John 16 (UGV3)

1 Maiṅ ne tum ko yih is lie batāyā hai tāki tum gumrāh na ho jāo. 2 Wuh tum ko Yahūdī jamātoṅ se nikāl deṅge, balki wuh waqt bhī āne wālā hai ki jo bhī tum ko mār ḍālegā wuh samjhegā, ‘Maiṅ ne Allāh kī ḳhidmat kī hai.’ 3 Wuh is qism kī harkateṅ is lie kareṅge ki unhoṅ ne na Bāp ko jānā hai, na mujhe. 4 Maiṅ ne tum ko yih bāteṅ is lie batāī haiṅ ki jab un kā waqt ā jāe to tum ko yād āe ki maiṅ ne tumheṅ āgāh kar diyā thā.Maiṅ ne ab tak tum ko yih nahīṅ batāyā kyoṅki maiṅ tumhāre sāth thā. 5 Lekin ab maiṅ us ke pās jā rahā hūṅ jis ne mujhe bhejā hai. To bhī tum meṅ se koī mujh se nahīṅ pūchhtā, ‘Āp kahāṅ jā rahe haiṅ?’ 6 Is ke bajāe tumhāre dil ġhamzadā haiṅ ki maiṅ ne tum ko aisī bāteṅ batāī haiṅ. 7 Lekin maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tumhāre lie fāydāmand hai ki maiṅ jā rahā hūṅ. Agar maiṅ na jāūṅ to madadgār tumhāre pās nahīṅ āegā. Lekin agar maiṅ jāūṅ to maiṅ use tumhāre pās bhej dūṅgā. 8 Aur jab wuh āegā to gunāh, rāstbāzī aur adālat ke bāre meṅ duniyā kī ġhaltī ko beniqāb karke yih zāhir karegā: 9 gunāh ke bāre meṅ yih ki log mujh par īmān nahīṅ rakhte, 10 rāstbāzī ke bāre meṅ yih ki maiṅ Bāp ke pās jā rahā hūṅ aur tum mujhe ab se nahīṅ dekhoge, 11 aur adālat ke bāre meṅ yih ki is duniyā ke hukmrān kī adālat ho chukī hai. 12 Mujhe tum ko mazīd bahut kuchh batānā hai, lekin is waqt tum use bardāsht nahīṅ kar sakte. 13 Jab sachchāī kā Rūh āegā to wuh pūrī sachchāī kī taraf tumhārī rāhnumāī karegā. Wuh apnī marzī se bāt nahīṅ karegā balki sirf wuhī kuchh kahegā jo wuh ḳhud sunegā. Wuhī tum ko mustaqbil ke bāre meṅ bhī batāegā. 14 Aur wuh is meṅ mujhe jalāl degā ki wuh tum ko wuhī kuchh sunāegā jo use mujh se milā hogā. 15 Jo kuchh bhī Bāp kā hai wuh merā hai. Is lie maiṅ ne kahā, ‘Rūh tum ko wuhī kuchh sunāegā jo use mujh se milā hogā.’ 16 Thoṛī der ke bād tum mujhe nahīṅ dekhoge. Phir thoṛī der ke bād tum mujhe dubārā dekh loge.” 17 Us ke kuchh shāgird āpas meṅ bāt karne lage, “Īsā ke yih kahne se kyā murād hai ki ‘Thoṛī der ke bād tum mujhe nahīṅ dekhoge, phir thoṛī der ke bād mujhe dubārā dekh loge’? Aur is kā kyā matlab hai, ‘Maiṅ Bāp ke pās jā rahā hūṅ’?” 18 Aur wuh sochte rahe, “Yih kis qism kī ‘thoṛī der’ hai jis kā zikr wuh kar rahe haiṅ? Ham un kī bāt nahīṅ samajhte.” 19 Īsā ne jān liyā ki wuh mujh se is ke bāre meṅ sawāl karnā chāhte haiṅ. Is lie us ne kahā, “Kyā tum ek dūsre se pūchh rahe ho ki merī is bāt kā kyā matlab hai ki ‘Thoṛī der ke bād tum mujhe nahīṅ dekhoge, phir thoṛī der ke bād mujhe dubārā dekh loge’? 20 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum ro ro kar mātam karoge jabki duniyā ḳhush hogī. Tum ġham karoge, lekin tumhārā ġham ḳhushī meṅ badal jāegā. 21 Jab kisī aurat ke bachchā paidā hone wālā hotā hai to use ġham aur taklīf hotī hai kyoṅki us kā waqt ā gayā hai. Lekin jyoṅ hī bachchā paidā ho jātā hai to māṅ ḳhushī ke māre ki ek insān duniyā meṅ ā gayā hai apnī tamām musībat bhūl jātī hai. 22 Yihī tumhārī hālat hai. Kyoṅki ab tum ġhamzadā ho, lekin maiṅ tum se dubārā milūṅgā. Us waqt tum ko ḳhushī hogī, aisī ḳhushī jo tum se koī chhīn na legā. 23 Us din tum mujh se kuchh nahīṅ pūchhoge. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo kuchh tum mere nām meṅ Bāp se māṅgoge wuh tum ko degā. 24 Ab tak tum ne mere nām meṅ kuchh nahīṅ māṅgā. Māṅgo to tum ko milegā. Phir tumhārī ḳhushī pūrī ho jāegī. 25 Maiṅ ne tum ko yih tamsīloṅ meṅ batāyā hai. Lekin ek din āegā jab maiṅ aisā nahīṅ karūṅga. Us waqt maiṅ tamsīloṅ meṅ bāt nahīṅ karūṅga balki tum ko Bāp ke bāre meṅ sāf sāf batā dūṅgā. 26 Us din tum merā nām le kar māṅgoge. Mere kahne kā matlab yih nahīṅ ki maiṅ hī tumhārī ḳhātir Bāp se darḳhāst karūṅga. 27 Kyoṅki Bāp ḳhud tum ko pyār kartā hai, is lie ki tum ne mujhe pyār kiyā hai aur īmān lāe ho ki maiṅ Allāh meṅ se nikal āyā hūṅ. 28 Maiṅ Bāp meṅ se nikal kar duniyā meṅ āyā hūṅ. Aur ab maiṅ duniyā ko chhoṛ kar Bāp ke pās wāpas jātā hūṅ.” 29 Is par us ke shāgirdoṅ ne kahā, “Ab āp tamsīloṅ meṅ nahīṅ balki sāf sāf bāt kar rahe haiṅ. 30 Ab hameṅ samajh āī hai ki āp sab kuchh jānte haiṅ aur ki is kī zarūrat nahīṅ ki koī āp kī pūchh-gachh kare. Is lie ham īmān rakhte haiṅ ki āp Allāh meṅ se nikal kar āe haiṅ.” 31 Īsā ne jawāb diyā, “Ab tum īmān rakhte ho? 32 Dekho, wuh waqt ā rahā hai balki ā chukā hai jab tum titar-bitar ho jāoge. Mujhe akelā chhoṛ kar har ek apne ghar chalā jāegā. To bhī maiṅ akelā nahīṅ hūṅgā kyoṅki Bāp mere sāth hai. 33 Maiṅ ne tum ko is lie yih bāt batāī tāki tum mujh meṅ salāmatī pāo. Duniyā meṅ tum musībat meṅ phaṅse rahte ho. Lekin hauslā rakho, maiṅ duniyā par ġhālib āyā hūṅ.”

In Other Versions

John 16 in the ANGEFD

John 16 in the ANTPNG2D

John 16 in the AS21

John 16 in the BAGH

John 16 in the BBPNG

John 16 in the BBT1E

John 16 in the BDS

John 16 in the BEV

John 16 in the BHAD

John 16 in the BIB

John 16 in the BLPT

John 16 in the BNT

John 16 in the BNTABOOT

John 16 in the BNTLV

John 16 in the BOATCB

John 16 in the BOATCB2

John 16 in the BOBCV

John 16 in the BOCNT

John 16 in the BOECS

John 16 in the BOGWICC

John 16 in the BOHCB

John 16 in the BOHCV

John 16 in the BOHLNT

John 16 in the BOHNTLTAL

John 16 in the BOICB

John 16 in the BOILNTAP

John 16 in the BOITCV

John 16 in the BOKCV

John 16 in the BOKCV2

John 16 in the BOKHWOG

John 16 in the BOKSSV

John 16 in the BOLCB

John 16 in the BOLCB2

John 16 in the BOMCV

John 16 in the BONAV

John 16 in the BONCB

John 16 in the BONLT

John 16 in the BONUT2

John 16 in the BOPLNT

John 16 in the BOSCB

John 16 in the BOSNC

John 16 in the BOTLNT

John 16 in the BOVCB

John 16 in the BOYCB

John 16 in the BPBB

John 16 in the BPH

John 16 in the BSB

John 16 in the CCB

John 16 in the CUV

John 16 in the CUVS

John 16 in the DBT

John 16 in the DGDNT

John 16 in the DHNT

John 16 in the DNT

John 16 in the ELBE

John 16 in the EMTV

John 16 in the ESV

John 16 in the FBV

John 16 in the FEB

John 16 in the GGMNT

John 16 in the GNT

John 16 in the HARY

John 16 in the HNT

John 16 in the IRVA

John 16 in the IRVB

John 16 in the IRVG

John 16 in the IRVH

John 16 in the IRVK

John 16 in the IRVM

John 16 in the IRVM2

John 16 in the IRVO

John 16 in the IRVP

John 16 in the IRVT

John 16 in the IRVT2

John 16 in the IRVU

John 16 in the ISVN

John 16 in the JSNT

John 16 in the KAPI

John 16 in the KBT1ETNIK

John 16 in the KBV

John 16 in the KJV

John 16 in the KNFD

John 16 in the LBA

John 16 in the LBLA

John 16 in the LNT

John 16 in the LSV

John 16 in the MAAL

John 16 in the MBV

John 16 in the MBV2

John 16 in the MHNT

John 16 in the MKNFD

John 16 in the MNG

John 16 in the MNT

John 16 in the MNT2

John 16 in the MRS1T

John 16 in the NAA

John 16 in the NASB

John 16 in the NBLA

John 16 in the NBS

John 16 in the NBVTP

John 16 in the NET2

John 16 in the NIV11

John 16 in the NNT

John 16 in the NNT2

John 16 in the NNT3

John 16 in the PDDPT

John 16 in the PFNT

John 16 in the RMNT

John 16 in the SBIAS

John 16 in the SBIBS

John 16 in the SBIBS2

John 16 in the SBICS

John 16 in the SBIDS

John 16 in the SBIGS

John 16 in the SBIHS

John 16 in the SBIIS

John 16 in the SBIIS2

John 16 in the SBIIS3

John 16 in the SBIKS

John 16 in the SBIKS2

John 16 in the SBIMS

John 16 in the SBIOS

John 16 in the SBIPS

John 16 in the SBISS

John 16 in the SBITS

John 16 in the SBITS2

John 16 in the SBITS3

John 16 in the SBITS4

John 16 in the SBIUS

John 16 in the SBIVS

John 16 in the SBT

John 16 in the SBT1E

John 16 in the SCHL

John 16 in the SNT

John 16 in the SUSU

John 16 in the SUSU2

John 16 in the SYNO

John 16 in the TBIAOTANT

John 16 in the TBT1E

John 16 in the TBT1E2

John 16 in the TFTIP

John 16 in the TFTU

John 16 in the TGNTATF3T

John 16 in the THAI

John 16 in the TNFD

John 16 in the TNT

John 16 in the TNTIK

John 16 in the TNTIL

John 16 in the TNTIN

John 16 in the TNTIP

John 16 in the TNTIZ

John 16 in the TOMA

John 16 in the TTENT

John 16 in the UBG

John 16 in the UGV

John 16 in the UGV2

John 16 in the VBL

John 16 in the VDCC

John 16 in the YALU

John 16 in the YAPE

John 16 in the YBVTP

John 16 in the ZBP