Matthew 26 (UGV3)

1 Yih bāteṅ ḳhatm karne par Īsā shāgirdoṅ se muḳhātib huā, 2 “Tum jānte ho ki do din ke bād Fasah kī Īd shurū hogī. Us waqt Ibn-e-Ādam ko dushman ke hawāle kiyā jāegā tāki use maslūb kiyā jāe.” 3 Phir rāhnumā imām aur qaum ke buzurg Kāyfā nāmī imām-e-āzam ke mahal meṅ jamā hue 4 aur Īsā ko kisī chālākī se giriftār karke qatl karne kī sāzisheṅ karne lage. 5 Unhoṅ ne kahā, “Lekin yih īd ke daurān nahīṅ honā chāhie, aisā na ho ki awām meṅ halchal mach jāe.” 6 Itne meṅ Īsā Bait-aniyāh ā kar ek ādmī ke ghar meṅ dāḳhil huā jo kisī waqt koṛh kā marīz thā. Us kā nām Shamāūn thā. 7 Īsā khānā khāne ke lie baiṭh gayā to ek aurat āī jis ke pās nihāyat qīmtī itr kā itrdān thā. Us ne use Īsā ke sar par unḍel diyā. 8 Shāgird yih dekh kar nārāz hue. Unhoṅ ne kahā, “Itnā qīmtī itr zāe karne kī kyā zarūrat thī? 9 Yih bahut mahangī chīz hai. Agar ise bechā jātā to is ke paise ġharīboṅ ko die jā sakte the.” 10 Lekin un ke ḳhayāl pahchān kar Īsā ne un se kahā, “Tum ise kyoṅ tang kar rahe ho? Is ne to mere lie ek nek kām kiyā hai. 11 Ġharīb to hameshā tumhāre pās raheṅge, lekin maiṅ hameshā tak tumhāre pās nahīṅ rahūṅgā. 12 Mujh par itr unḍelne se us ne mere badan ko dafn hone ke lie taiyār kiyā hai. 13 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tamām duniyā meṅ jahāṅ bhī Allāh kī ḳhushḳhabrī kā elān kiyā jāegā wahāṅ log is ḳhātūn ko yād karke wuh kuchh sunāeṅge jo is ne kiyā hai.” 14 Phir Yahūdāh Iskariyotī jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā rāhnumā imāmoṅ ke pās gayā. 15 Us ne pūchhā, “Āp mujhe Īsā ko āp ke hawāle karne ke ewaz kitne paise dene ke lie taiyār haiṅ?” Unhoṅ ne us ke lie chāṅdī ke 30 sikke muta'ayyin kie. 16 Us waqt se Yahūdāh Īsā ko un ke hawāle karne kā mauqā ḍhūṅḍne lagā. 17 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī. Pahle din Īsā ke shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “Ham kahāṅ āp ke lie Fasah kā khānā taiyār kareṅ?” 18 Us ne jawāb diyā, “Yarūshalam Shahr meṅ fulāṅ ādmī ke pās jāo aur use batāo, ‘Ustād ne kahā hai ki merā muqarrarā waqt qarīb ā gayā hai. Maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kī Īd kā khānā āp ke ghar meṅ khāūṅgā.’” 19 Shāgirdoṅ ne wuh kuchh kiyā jo Īsā ne unheṅ batāyā thā aur Fasah kī Īd kā khānā taiyār kiyā. 20 Shām ke waqt Īsā bārah shāgirdoṅ ke sāth khānā khāne ke lie baiṭh gayā. 21 Jab wuh khānā khā rahe the to us ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum meṅ se ek mujhe dushman ke hawāle kar degā.” 22 Shāgird yih sun kar nihāyat ġhamgīn hue. Bārī bārī wuh us se pūchhne lage, “Ḳhudāwand, maiṅ to nahīṅ hūṅ?” 23 Īsā ne jawāb diyā, “Jis ne mere sāth apnā hāth sālan ke bartan meṅ ḍālā hai wuhī mujhe dushman ke hawāle karegā. 24 Ibn-e-Ādam to kūch kar jāegā jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā. Us ke lie behtar yih hotā ki wuh kabhī paidā hī na hotā.” 25 Phir Yahūdāh ne jo use dushman ke hawāle karne ko thā pūchhā, “Ustād, maiṅ to nahīṅ hūṅ?”Īsā ne jawāb diyā, “Jī, tum ne ḳhud kahā hai.” 26 Khāne ke daurān Īsā ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke shāgirdoṅ ko de diyā. Us ne kahā, “Yih lo aur khāo. Yih merā badan hai.” 27 Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur use unheṅ de kar kahā, “Tum sab is meṅ se piyo. 28 Yih merā ḳhūn hai, nae ahd kā wuh ḳhūn jo bahutoṅ ke lie bahāyā jātā hai tāki un ke gunāhoṅ ko muāf kar diyā jāe. 29 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā yih ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise tumhāre sāth apne Bāp kī bādshāhī meṅ hī piyūṅgā.” 30 Phir ek zabūr gā kar wuh nikle aur Zaitūn ke pahāṛ ke pās pahuṅche. 31 Īsā ne unheṅ batāyā, “Āj rāt tum sab merī bābat bargashtā ho jāoge, kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ Allāh farmātā hai, ‘Maiṅ charwāhe ko mār ḍālūṅgā aur rewaṛ kī bheṛeṅ titar-bitar ho jāeṅgī.’ 32 Lekin apne jī uṭhne ke bād maiṅ tumhāre āge āge Galīl pahuṅchūṅgā.” 33 Patras ne etarāz kiyā, “Dūsre beshak sab āp kī bābat bargashtā ho jāeṅ, lekin maiṅ kabhī nahīṅ hūṅgā.” 34 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, isī rāt murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” 35 Patras ne kahā, “Hargiz nahīṅ! Maiṅ āp ko jānane se kabhī inkār nahīṅ karūṅga, chāhe mujhe āp ke sāth marnā bhī paṛe.”Dūsroṅ ne bhī yihī kuchh kahā. 36 Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth ek bāġh meṅ pahuṅchā jis kā nām gatsamanī thā. Us ne un se kahā, “Yahāṅ baiṭh kar merā intazār karo. Maiṅ duā karne ke lie āge jātā hūṅ.” 37 Us ne Patras aur Zabdī ke do beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā ko sāth liyā. Wahāṅ wuh ġhamgīn aur beqarār hone lagā. 38 Us ne un se kahā, “Maiṅ dukh se itnā dabā huā hūṅ ki marne ko hūṅ. Yahāṅ ṭhahar kar mere sāth jāgte raho.” 39 Kuchh āge jā kar wuh aundhe muṅh zamīn par gir kar yoṅ duā karne lagā, “Ai mere Bāp, agar mumkin ho to dukh kā yih pyālā mujh se haṭ jāe. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.” 40 Wuh apne shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh so rahe haiṅ. Us ne Patras se pūchhā, “Kyā tum log ek ghanṭā bhī mere sāth nahīṅ jāg sake? 41 Jāgte aur duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo. Kyoṅki rūh to taiyār hai lekin jism kamzor.” 42 Ek bār phir us ne jā kar duā kī, “Mere Bāp, agar yih pyālā mere pie baġhair haṭ nahīṅ saktā to phir terī marzī pūrī ho.” 43 Jab wuh wāpas āyā to dubārā dekhā ki wuh so rahe haiṅ, kyoṅki nīnd kī badaulat un kī āṅkheṅ bojhal thīṅ. 44 Chunāṅche wuh unheṅ dubārā chhoṛ kar chalā gayā aur tīsrī bār yihī duā karne lagā. 45 Phir Īsā shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā aur un se kahā, “Abhī tak so aur ārām kar rahe ho? Dekho, waqt ā gayā hai ki Ibn-e-Ādam gunāhgāroṅ ke hawāle kiyā jāe. 46 Uṭho! Āo, chaleṅ. Dekho, mujhe dushman ke hawāle karne wālā qarīb ā chukā hai.” 47 Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki Yahūdāh pahuṅch gayā, jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā. Us ke sāth talwāroṅ aur lāṭhiyoṅ se lais ādmiyoṅ kā baṛā hujūm thā. Unheṅ rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne bhejā thā. 48 Is ġhaddār Yahūdāh ne unheṅ ek imtiyāzī nishān diyā thā ki jis ko maiṅ bosā dūṅ wuhī Īsā hai. Use giriftār kar lenā. 49 Jyoṅ hī wuh pahuṅche Yahūdāh Īsā ke pās gayā aur “Ustād, assalāmu alaikum!” Kah kar use bosā diyā. 50 Īsā ne kahā, “Dost, kyā tū isī maqsad se āyā hai?”Phir unhoṅ ne use pakaṛ kar giriftār kar liyā. 51 Is par Īsā ke ek sāthī ne apnī talwār miyān se nikālī aur imām-e-āzam ke ġhulām ko mār kar us kā kān uṛā diyā. 52 Lekin Īsā ne kahā, “Apnī talwār ko miyān meṅ rakh, kyoṅki jo bhī talwār chalātā hai use talwār se mārā jāegā. 53 Yā kyā tū nahīṅ samajhtā ki merā Bāp mujhe hazāroṅ farishte fauran bhej degā agar maiṅ unheṅ talab karūṅ? 54 Lekin agar maiṅ aisā kartā to phir kalām-e-muqaddas kī peshgoiyāṅ kis tarah pūrī hotīṅ jin ke mutābiq yih aisā hī honā hai?” 55 Us waqt Īsā ne hujūm se kahā, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mujhe giriftār karne nikle ho? Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ baiṭh kar tālīm detā rahā, magar tum ne mujhe giriftār nahīṅ kiyā. 56 Lekin yih sab kuchh is lie ho rahā hai tāki nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ darj peshgoiyāṅ pūrī ho jāeṅ.”Phir tamām shāgird use chhoṛ kar bhāg gae. 57 Jinhoṅ ne Īsā ko giriftār kiyā thā wuh use Kāyfā Imām-e-Āzam ke ghar le gae jahāṅ sharīat ke tamām ulamā aur qaum ke buzurg jamā the. 58 Itne meṅ Patras kuchh fāsile par Īsā ke pīchhe pīchhe imām-e-āzam ke sahan tak pahuṅch gayā. Us meṅ dāḳhil ho kar wuh mulāzimoṅ ke sāth āg ke pās baiṭh gayā tāki is silsile kā anjām dekh sake. 59 Makān ke andar rāhnumā imām aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām afrād Īsā ke ḳhilāf jhūṭī gawāhiyāṅ ḍhūnḍ rahe the tāki use sazā-e-maut dilwā sakeṅ. 60 Bahut-se jhūṭe gawāh sāmne āe, lekin koī aisī gawāhī na milī. Āḳhirkār do ādmiyoṅ ne sāmne ā kar 61 yih bāt pesh kī, “Is ne kahā hai ki maiṅ Allāh ke Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar saktā hūṅ.” 62 Phir imām-e-āzam ne khaṛe ho kar Īsā se kahā, “Kyā tū koī jawāb nahīṅ degā? Yih kyā gawāhiyāṅ haiṅ jo yih log tere ḳhilāf de rahe haiṅ?” 63 Lekin Īsā ḳhāmosh rahā. Imām-e-āzam ne us se ek aur sawāl kiyā, “Maiṅ tujhe zindā Ḳhudā kī qasam de kar pūchhtā hūṅ ki kyā tū Allāh kā Farzand Masīh hai?” 64 Īsā ne kahā, “Jī, tū ne ḳhud kah diyā hai. Aur maiṅ tum sab ko batātā hūṅ ki āindā tum Ibn-e-Ādam ko Qādir-e-mutlaq ke dahne hāth baiṭhe aur āsmān ke bādaloṅ par āte hue dekhoge.” 65 Imām-e-āzam ne ranjish kā izhār karke apne kapṛe phāṛ lie aur kahā, “Is ne kufr bakā hai! Hameṅ mazīd gawāhoṅ kī kyā zarūrat rahī! Āp ne ḳhud sun liyā hai ki is ne kufr bakā hai. 66 Āp kā kyā faislā hai?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yih sazā-e-maut ke lāyq hai.” 67 Phir wuh us par thūkne aur us ke mukke mārne lage. Bāz ne us ke thappaṛ mār mār kar 68 kahā, “Ai Masīh, nabuwwat karke hameṅ batā ki tujhe kis ne mārā.” 69 Is daurān Patras bāhar sahan meṅ baiṭhā thā. Ek naukarānī us ke pās āī. Us ne kahā, “Tum bhī Galīl ke us ādmī Īsā ke sāth the.” 70 Lekin Patras ne un sab ke sāmne inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ jāntā ki tū kyā bāt kar rahī hai.” Yih kah kar 71 wuh bāhar geṭ tak gayā. Wahāṅ ek aur naukarānī ne use dekhā aur pās khaṛe logoṅ se kahā, “Yih ādmī Īsā Nāsarī ke sāth thā.” 72 Dubārā Patras ne inkār kiyā. Is dafā us ne qasam khā kar kahā, “Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā.” 73 Thoṛī der ke bād wahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne Patras ke pās ā kar kahā, “Tum zarūr un meṅ se ho kyoṅki tumhārī bolī se sāf patā chaltā hai.” 74 Is par Patras ne qasam khā kar kahā, “Mujh par lānat agar maiṅ jhūṭ bol rahā hūṅ. Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā!” Fauran murġh kī bāṅg sunāī dī. 75 Phir Patras ko wuh bāt yād āī jo Īsā ne kahī thī, “Murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” Is par wuh bāhar niklā aur ṭūṭe dil se ḳhūb royā.

In Other Versions

Matthew 26 in the ANGEFD

Matthew 26 in the ANTPNG2D

Matthew 26 in the AS21

Matthew 26 in the BAGH

Matthew 26 in the BBPNG

Matthew 26 in the BBT1E

Matthew 26 in the BDS

Matthew 26 in the BEV

Matthew 26 in the BHAD

Matthew 26 in the BIB

Matthew 26 in the BLPT

Matthew 26 in the BNT

Matthew 26 in the BNTABOOT

Matthew 26 in the BNTLV

Matthew 26 in the BOATCB

Matthew 26 in the BOATCB2

Matthew 26 in the BOBCV

Matthew 26 in the BOCNT

Matthew 26 in the BOECS

Matthew 26 in the BOGWICC

Matthew 26 in the BOHCB

Matthew 26 in the BOHCV

Matthew 26 in the BOHLNT

Matthew 26 in the BOHNTLTAL

Matthew 26 in the BOICB

Matthew 26 in the BOILNTAP

Matthew 26 in the BOITCV

Matthew 26 in the BOKCV

Matthew 26 in the BOKCV2

Matthew 26 in the BOKHWOG

Matthew 26 in the BOKSSV

Matthew 26 in the BOLCB

Matthew 26 in the BOLCB2

Matthew 26 in the BOMCV

Matthew 26 in the BONAV

Matthew 26 in the BONCB

Matthew 26 in the BONLT

Matthew 26 in the BONUT2

Matthew 26 in the BOPLNT

Matthew 26 in the BOSCB

Matthew 26 in the BOSNC

Matthew 26 in the BOTLNT

Matthew 26 in the BOVCB

Matthew 26 in the BOYCB

Matthew 26 in the BPBB

Matthew 26 in the BPH

Matthew 26 in the BSB

Matthew 26 in the CCB

Matthew 26 in the CUV

Matthew 26 in the CUVS

Matthew 26 in the DBT

Matthew 26 in the DGDNT

Matthew 26 in the DHNT

Matthew 26 in the DNT

Matthew 26 in the ELBE

Matthew 26 in the EMTV

Matthew 26 in the ESV

Matthew 26 in the FBV

Matthew 26 in the FEB

Matthew 26 in the GGMNT

Matthew 26 in the GNT

Matthew 26 in the HARY

Matthew 26 in the HNT

Matthew 26 in the IRVA

Matthew 26 in the IRVB

Matthew 26 in the IRVG

Matthew 26 in the IRVH

Matthew 26 in the IRVK

Matthew 26 in the IRVM

Matthew 26 in the IRVM2

Matthew 26 in the IRVO

Matthew 26 in the IRVP

Matthew 26 in the IRVT

Matthew 26 in the IRVT2

Matthew 26 in the IRVU

Matthew 26 in the ISVN

Matthew 26 in the JSNT

Matthew 26 in the KAPI

Matthew 26 in the KBT1ETNIK

Matthew 26 in the KBV

Matthew 26 in the KJV

Matthew 26 in the KNFD

Matthew 26 in the LBA

Matthew 26 in the LBLA

Matthew 26 in the LNT

Matthew 26 in the LSV

Matthew 26 in the MAAL

Matthew 26 in the MBV

Matthew 26 in the MBV2

Matthew 26 in the MHNT

Matthew 26 in the MKNFD

Matthew 26 in the MNG

Matthew 26 in the MNT

Matthew 26 in the MNT2

Matthew 26 in the MRS1T

Matthew 26 in the NAA

Matthew 26 in the NASB

Matthew 26 in the NBLA

Matthew 26 in the NBS

Matthew 26 in the NBVTP

Matthew 26 in the NET2

Matthew 26 in the NIV11

Matthew 26 in the NNT

Matthew 26 in the NNT2

Matthew 26 in the NNT3

Matthew 26 in the PDDPT

Matthew 26 in the PFNT

Matthew 26 in the RMNT

Matthew 26 in the SBIAS

Matthew 26 in the SBIBS

Matthew 26 in the SBIBS2

Matthew 26 in the SBICS

Matthew 26 in the SBIDS

Matthew 26 in the SBIGS

Matthew 26 in the SBIHS

Matthew 26 in the SBIIS

Matthew 26 in the SBIIS2

Matthew 26 in the SBIIS3

Matthew 26 in the SBIKS

Matthew 26 in the SBIKS2

Matthew 26 in the SBIMS

Matthew 26 in the SBIOS

Matthew 26 in the SBIPS

Matthew 26 in the SBISS

Matthew 26 in the SBITS

Matthew 26 in the SBITS2

Matthew 26 in the SBITS3

Matthew 26 in the SBITS4

Matthew 26 in the SBIUS

Matthew 26 in the SBIVS

Matthew 26 in the SBT

Matthew 26 in the SBT1E

Matthew 26 in the SCHL

Matthew 26 in the SNT

Matthew 26 in the SUSU

Matthew 26 in the SUSU2

Matthew 26 in the SYNO

Matthew 26 in the TBIAOTANT

Matthew 26 in the TBT1E

Matthew 26 in the TBT1E2

Matthew 26 in the TFTIP

Matthew 26 in the TFTU

Matthew 26 in the TGNTATF3T

Matthew 26 in the THAI

Matthew 26 in the TNFD

Matthew 26 in the TNT

Matthew 26 in the TNTIK

Matthew 26 in the TNTIL

Matthew 26 in the TNTIN

Matthew 26 in the TNTIP

Matthew 26 in the TNTIZ

Matthew 26 in the TOMA

Matthew 26 in the TTENT

Matthew 26 in the UBG

Matthew 26 in the UGV

Matthew 26 in the UGV2

Matthew 26 in the VBL

Matthew 26 in the VDCC

Matthew 26 in the YALU

Matthew 26 in the YAPE

Matthew 26 in the YBVTP

Matthew 26 in the ZBP