Mark 15 (UGV3)

1 Subah-sawere hī rāhnumā imām buzurgoṅ, sharīat ke ulamā aur pūrī Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāth mil kar faisle tak pahuṅch gae. Wuh Īsā ko bāndh kar wahāṅ se le gae aur Romī gawarnar Pīlātus ke hawāle kar diyā. 2 Pīlātus ne us se pūchhā, “Kyā tum Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ho?”Īsā ne jawāb diyā, “Jī, āp ḳhud kahte haiṅ.” 3 Rāhnumā imāmoṅ ne us par bahut ilzām lagāe. 4 Chunāṅche Pīlātus ne dubārā us se sawāl kiyā, “Kyā tum koī jawāb nahīṅ doge? Yih to tum par bahut-se ilzāmāt lagā rahe haiṅ.” 5 Lekin Īsā ne is par bhī koī jawāb na diyā, aur Pīlātus baṛā hairān huā. 6 Un dinoṅ yih riwāj thā ki har sāl Fasah kī Īd par ek qaidī ko rihā kar diyā jātā thā. Yih qaidī awām se muntaḳhab kiyā jātā thā. 7 Us waqt kuchh ādmī jel meṅ the jo hukūmat ke ḳhilāf kisī inqalābī tahrīk meṅ sharīk hue the aur jinhoṅ ne baġhāwat ke mauqe par qatl-o-ġhārat kī thī. Un meṅ se ek kā nām Bar-abbā thā. 8 Ab hujūm ne Pīlātus ke pās ā kar us se guzārish kī ki wuh māmūl ke mutābiq ek qaidī ko āzād kar de. 9 Pīlātus ne pūchhā, “Kyā tum chāhte ho ki maiṅ Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ko āzād kar dūṅ?” 10 Wuh jāntā thā ki rāhnumā imāmoṅ ne Īsā ko sirf hasad kī binā par us ke hawāle kiyā hai. 11 Lekin rāhnumā imāmoṅ ne hujūm ko uksāyā ki wuh Īsā ke bajāe Bar-abbā ko māṅgeṅ. 12 Pīlātus ne sawāl kiyā, “Phir maiṅ is ke sāth kyā karūṅ jis kā nām tum ne Yahūdiyoṅ kā Bādshāh rakhā hai?” 13 Wuh chīḳhe, “Use maslūb kareṅ.” 14 Pīlātus ne pūchhā, “Kyoṅ? Us ne kyā jurm kiyā hai?”Lekin log mazīd shor machā kar chīḳhte rahe, “Use maslūb kareṅ!” 15 Chunāṅche Pīlātus ne hujūm ko mutma'in karne kī ḳhātir Bar-abbā ko āzād kar diyā. Us ne Īsā ko koṛe lagāne ko kahā, phir use maslūb karne ke lie faujiyoṅ ke hawāle kar diyā. 16 Faujī Īsā ko gawarnar ke mahal banām Praiṭoriyum ke sahan meṅ le gae aur pūrī palṭan ko ikaṭṭhā kiyā. 17 Unhoṅ ne use arġhawānī rang kā libās pahnāyā aur kāṅṭedār ṭahniyoṅ kā ek tāj banā kar us ke sar par rakh diyā. 18 Phir wuh use salām karne lage, “Ai Yahūdiyoṅ ke Bādshāh, ādāb!” 19 Lāṭhī se us ke sar par mār mār kar wuh us par thūkte rahe. Ghuṭne ṭek kar unhoṅ ne use sijdā kiyā. 20 Phir us kā mazāq uṛāne se thak kar unhoṅ ne arġhawānī libās utār kar use dubārā us ke apne kapṛe pahnāe. Phir wuh use maslūb karne ke lie bāhar le gae. 21 Us waqt Libiyā ke shahr Kuren kā rahne wālā ek ādmī banām Shamāūn dehāt se shahr ko ā rahā thā. Wuh Sikandar aur Rūfus kā bāp thā. Jab wuh Īsā aur faujiyoṅ ke pās se guzarne lagā to faujiyoṅ ne use salīb uṭhāne par majbūr kiyā. 22 Yoṅ chalte chalte wuh Īsā ko ek maqām par le gae jis kā nām Gulgutā (yānī Khopaṛī kā Maqām) thā. 23 Wahāṅ unhoṅ ne use mai pesh kī jis meṅ mur milāyā gayā thā, lekin us ne pīne se inkār kiyā. 24 Phir faujiyoṅ ne use maslūb kiyā aur us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ lie. Yih faislā karne ke lie ki kis ko kyā kyā milegā unhoṅ ne qurā ḍālā. 25 Nau baje subah kā waqt thā jab unhoṅ ne use maslūb kiyā. 26 Ek taḳhtī salīb par lagā dī gaī jis par yih ilzām likhā thā, “Yahūdiyoṅ kā Bādshāh.” 27 Do ḍākuoṅ ko bhī Īsā ke sāth maslūb kiyā gayā, ek ko us ke dahne hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth. 28 [Yoṅ muqaddas kalām kā wuh hawālā pūrā huā jis meṅ likhā hai, ‘Use mujrimoṅ meṅ shumār kiyā gayā.’] 29 Jo wahāṅ se guzare unhoṅ ne kufr bak kar us kī tazlīl kī aur sar hilā hilā kar apnī hiqārat kā izhār kiyā. Unhoṅ ne kahā, “Tū ne to kahā thā ki maiṅ Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar dūṅgā. 30 Ab salīb par se utar kar apne āp ko bachā!” 31 Rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ne bhī Īsā kā mazāq uṛā kar kahā, “Is ne auroṅ ko bachāyā, lekin apne āp ko nahīṅ bachā saktā. 32 Isrāīl kā yih Bādshāh Masīh ab salīb par se utar āe tāki ham yih dekh kar īmān lāeṅ.” Aur jin ādmiyoṅ ko us ke sāth maslūb kiyā gayā thā unhoṅ ne bhī use lān-tān kī. 33 Dopahar bārah baje pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. Yih tārīkī tīn ghanṭoṅ tak rahī. 34 Phir tīn baje Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Elī, Elī, lamā shabaqtanī?” Jis kā matlab hai, “Ai mere Ḳhudā, ai mere Ḳhudā, tū ne mujhe kyoṅ tark kar diyā hai?” 35 Yih sun kar pās khaṛe kuchh log kahne lage, “Wuh Iliyās Nabī ko bulā rahā hai.” 36 Kisī ne dauṛ kar mai ke sirke meṅ ek isfanj ḍuboyā aur use ḍanḍe par lagā kar Īsā ko chusāne kī koshish kī. Wuh bolā, “Āo ham dekheṅ, shāyad Iliyās ā kar use salīb par se utār le.” 37 Lekin Īsā ne baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā. 38 Usī waqt Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. 39 Jab Īsā ke muqābil khaṛe Romī afsar ne dekhā ki wuh kis tarah marā to us ne kahā, “Yih ādmī wāqaī Allāh kā Farzand thā!” 40 Kuchh ḳhawātīn bhī wahāṅ thīṅ jo kuchh fāsile par us kā mushāhadā kar rahī thīṅ. Un meṅ Mariyam Magdalīnī, chhoṭe Yāqūb aur Yoses kī māṅ Mariyam aur Salomī bhī thīṅ. 41 Galīl meṅ yih aurateṅ Īsā ke pīchhe chal kar is kī ḳhidmat kartī rahī thīṅ. Kaī aur ḳhawātīn bhī wahāṅ thīṅ jo us ke sāth Yarūshalam ā gaī thīṅ. 42 Yih sab kuchh jume ko huā jo agle din ke Sabat ke lie taiyārī kā din thā. Jab shām hone ko thī 43 to Arimatiyāh kā ek ādmī banām Yūsuf himmat karke Pīlātus ke pās gayā aur us se Īsā kī lāsh māṅgī. (Yūsuf Yahūdī adālat-e-āliyā kā nāmwar membar thā aur Allāh kī bādshāhī ke āne ke intazār meṅ thā). 44 Pīlātus yih sun kar hairān huā ki Īsā mar chukā hai. Us ne Romī afsar ko bulā kar us se pūchhā ki kyā Īsā wāqaī mar chukā hai? 45 Jab afsar ne is kī tasdīq kī to Pīlātus ne Yūsuf ko lāsh de dī. 46 Yūsuf ne kafan ḳharīd liyā, phir Īsā kī lāsh utār kar use katān ke kafan meṅ lapeṭā aur ek qabr meṅ rakh diyā jo chaṭān meṅ tarāshī gaī thī. Āḳhir meṅ us ne ek baṛā patthar luṛhkā kar qabr kā muṅh band kar diyā. 47 Mariyam Magdalīnī aur Yoses kī māṅ Mariyam ne dekh liyā ki Īsā kī lāsh kahāṅ rakhī gaī hai.

In Other Versions

Mark 15 in the ANGEFD

Mark 15 in the ANTPNG2D

Mark 15 in the AS21

Mark 15 in the BAGH

Mark 15 in the BBPNG

Mark 15 in the BBT1E

Mark 15 in the BDS

Mark 15 in the BEV

Mark 15 in the BHAD

Mark 15 in the BIB

Mark 15 in the BLPT

Mark 15 in the BNT

Mark 15 in the BNTABOOT

Mark 15 in the BNTLV

Mark 15 in the BOATCB

Mark 15 in the BOATCB2

Mark 15 in the BOBCV

Mark 15 in the BOCNT

Mark 15 in the BOECS

Mark 15 in the BOGWICC

Mark 15 in the BOHCB

Mark 15 in the BOHCV

Mark 15 in the BOHLNT

Mark 15 in the BOHNTLTAL

Mark 15 in the BOICB

Mark 15 in the BOILNTAP

Mark 15 in the BOITCV

Mark 15 in the BOKCV

Mark 15 in the BOKCV2

Mark 15 in the BOKHWOG

Mark 15 in the BOKSSV

Mark 15 in the BOLCB

Mark 15 in the BOLCB2

Mark 15 in the BOMCV

Mark 15 in the BONAV

Mark 15 in the BONCB

Mark 15 in the BONLT

Mark 15 in the BONUT2

Mark 15 in the BOPLNT

Mark 15 in the BOSCB

Mark 15 in the BOSNC

Mark 15 in the BOTLNT

Mark 15 in the BOVCB

Mark 15 in the BOYCB

Mark 15 in the BPBB

Mark 15 in the BPH

Mark 15 in the BSB

Mark 15 in the CCB

Mark 15 in the CUV

Mark 15 in the CUVS

Mark 15 in the DBT

Mark 15 in the DGDNT

Mark 15 in the DHNT

Mark 15 in the DNT

Mark 15 in the ELBE

Mark 15 in the EMTV

Mark 15 in the ESV

Mark 15 in the FBV

Mark 15 in the FEB

Mark 15 in the GGMNT

Mark 15 in the GNT

Mark 15 in the HARY

Mark 15 in the HNT

Mark 15 in the IRVA

Mark 15 in the IRVB

Mark 15 in the IRVG

Mark 15 in the IRVH

Mark 15 in the IRVK

Mark 15 in the IRVM

Mark 15 in the IRVM2

Mark 15 in the IRVO

Mark 15 in the IRVP

Mark 15 in the IRVT

Mark 15 in the IRVT2

Mark 15 in the IRVU

Mark 15 in the ISVN

Mark 15 in the JSNT

Mark 15 in the KAPI

Mark 15 in the KBT1ETNIK

Mark 15 in the KBV

Mark 15 in the KJV

Mark 15 in the KNFD

Mark 15 in the LBA

Mark 15 in the LBLA

Mark 15 in the LNT

Mark 15 in the LSV

Mark 15 in the MAAL

Mark 15 in the MBV

Mark 15 in the MBV2

Mark 15 in the MHNT

Mark 15 in the MKNFD

Mark 15 in the MNG

Mark 15 in the MNT

Mark 15 in the MNT2

Mark 15 in the MRS1T

Mark 15 in the NAA

Mark 15 in the NASB

Mark 15 in the NBLA

Mark 15 in the NBS

Mark 15 in the NBVTP

Mark 15 in the NET2

Mark 15 in the NIV11

Mark 15 in the NNT

Mark 15 in the NNT2

Mark 15 in the NNT3

Mark 15 in the PDDPT

Mark 15 in the PFNT

Mark 15 in the RMNT

Mark 15 in the SBIAS

Mark 15 in the SBIBS

Mark 15 in the SBIBS2

Mark 15 in the SBICS

Mark 15 in the SBIDS

Mark 15 in the SBIGS

Mark 15 in the SBIHS

Mark 15 in the SBIIS

Mark 15 in the SBIIS2

Mark 15 in the SBIIS3

Mark 15 in the SBIKS

Mark 15 in the SBIKS2

Mark 15 in the SBIMS

Mark 15 in the SBIOS

Mark 15 in the SBIPS

Mark 15 in the SBISS

Mark 15 in the SBITS

Mark 15 in the SBITS2

Mark 15 in the SBITS3

Mark 15 in the SBITS4

Mark 15 in the SBIUS

Mark 15 in the SBIVS

Mark 15 in the SBT

Mark 15 in the SBT1E

Mark 15 in the SCHL

Mark 15 in the SNT

Mark 15 in the SUSU

Mark 15 in the SUSU2

Mark 15 in the SYNO

Mark 15 in the TBIAOTANT

Mark 15 in the TBT1E

Mark 15 in the TBT1E2

Mark 15 in the TFTIP

Mark 15 in the TFTU

Mark 15 in the TGNTATF3T

Mark 15 in the THAI

Mark 15 in the TNFD

Mark 15 in the TNT

Mark 15 in the TNTIK

Mark 15 in the TNTIL

Mark 15 in the TNTIN

Mark 15 in the TNTIP

Mark 15 in the TNTIZ

Mark 15 in the TOMA

Mark 15 in the TTENT

Mark 15 in the UBG

Mark 15 in the UGV

Mark 15 in the UGV2

Mark 15 in the VBL

Mark 15 in the VDCC

Mark 15 in the YALU

Mark 15 in the YAPE

Mark 15 in the YBVTP

Mark 15 in the ZBP