Mark 4 (UGV3)

1 Phir Īsā dubārā jhīl ke kināre tālīm dene lagā. Aur itnī baṛī bhīṛ us ke pās jamā huī ki wuh jhīl meṅ khaṛī ek kashtī meṅ baiṭh gayā. Bāqī log jhīl ke kināre par khaṛe rahe. 2 Us ne unheṅ bahut-sī bāteṅ tamsīloṅ meṅ sikhāīṅ. Un meṅ se ek yih thī: 3 “Suno! Ek kisān bīj bone ke lie niklā. 4 Jab bīj idhar-udhar bikhar gayā to kuchh dāne rāste par gire aur parindoṅ ne ā kar unheṅ chug liyā. 5 Kuchh pathrīlī zamīn par gire jahāṅ miṭṭī kī kamī thī. Wuh jald ug āe kyoṅki miṭṭī gahrī nahīṅ thī. 6 Lekin jab sūraj niklā to paude jhulas gae aur chūṅki wuh jaṛ na pakaṛ sake is lie sūkh gae. 7 Kuchh dāne ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān bhī gire. Wahāṅ wuh ugne to lage, lekin ḳhudrau paudoṅ ne sāth sāth baṛh kar unheṅ phalne-phūlne kī jagah na dī. Chunāṅche wuh bhī ḳhatm ho gae aur phal na lā sake. 8 Lekin aise dāne bhī the jo zarḳhez zamīn meṅ gire. Wahāṅ wuh phūṭ nikle aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāe.” 9 Phir us ne kahā, “Jo sun saktā hai wuh sun le!” 10 Jab wuh akelā thā to jo log us ke irdgird jamā the unhoṅ ne bārah shāgirdoṅ samet us se pūchhā ki is tamsīl kā kyā matlab hai? 11 Us ne jawāb diyā, “Tum ko to Allāh kī bādshāhī kā bhed samajhne kī liyāqat dī gaī hai. Lekin maiṅ is dāyre se bāhar ke logoṅ ko har bāt samjhāne ke lie tamsīleṅ istemāl kartā hūṅ 12 tāki pāk kalām pūrā ho jāe ki‘Wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅge magar kuchh nahīṅ jāneṅge,wuh apne kānoṅ se suneṅge magar kuchh nahīṅ samjheṅge,aisā na ho ki wuh merī taraf rujū kareṅaur unheṅ muāf kar diyā jāe.’” 13 Phir Īsā ne un se kahā, “Kyā tum yih tamsīl nahīṅ samajhte? To phir bāqī tamām tamsīleṅ kis tarah samajh pāoge? 14 Bīj bone wālā Allāh kā kalām bo detā hai. 15 Rāste par girne wāle dāne wuh log haiṅ jo kalām ko sunte to haiṅ, lekin phir Iblīs fauran ā kar wuh kalām chhīn letā hai jo un meṅ boyā gayā hai. 16 Pathrīlī zamīn par girne wāle dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte hī use ḳhushī se qabūl to kar lete haiṅ, 17 lekin wuh jaṛ nahīṅ pakaṛte aur is lie zyādā der tak qāym nahīṅ rahte. Jyoṅ hī wuh kalām par īmān lāne ke bāis kisī musībat yā īzārasānī se dochār ho jāeṅ, to wuh bargashtā ho jāte haiṅ. 18 Ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte to haiṅ, 19 lekin phir rozmarrā kī pareshāniyāṅ, daulat kā fareb aur dīgar chīzoṅ kā lālach kalām ko phalne-phūlne nahīṅ dete. Natīje meṅ wuh phal lāne tak nahīṅ pahuṅchtā. 20 Is ke muqābale meṅ zarḳhez zamīn meṅ gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sun kar use qabūl karte aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāte haiṅ.” 21 Īsā ne bāt jārī rakhī aur kahā, “Kyā charāġh ko is lie jalā kar lāyā jātā hai ki wuh kisī bartan yā chārpāī ke nīche rakhā jāe? Hargiz nahīṅ! Use shamādān par rakhā jātā hai. 22 Kyoṅki jo kuchh bhī is waqt poshīdā hai use āḳhirkār zāhir ho jānā hai aur tamām bhedoṅ ko ek din khul jānā hai. 23 Agar koī sun sake to sun le.” 24 Us ne un se yih bhī kahā, “Is par dhyān do ki tum kyā sunte ho. Jis hisāb se tum dūsroṅ ko dete ho usī hisāb se tum ko bhī diyā jāegā balki tum ko us se baṛh kar milegā. 25 Kyoṅki jise kuchh hāsil huā hai use aur bhī diyā jāegā, jabki jise kuchh hāsil nahīṅ huā us se wuh thoṛā-bahut bhī chhīn liyā jāegā jo use hāsil hai.” 26 Phir Īsā ne kahā, “Allāh kī bādshāhī yoṅ samajh lo: Ek kisān zamīn meṅ bīj bikher detā hai. 27 Yih bīj phūṭ kar din rāt ugtā rahtā hai, ḳhāh kisān so rahā yā jāg rahā ho. Use mālūm nahīṅ ki yih kyoṅkar hotā hai. 28 Zamīn ḳhud baḳhud anāj kī fasal paidā kartī hai. Pahle patte nikalte haiṅ, phir bāleṅ nazar āne lagtī haiṅ aur āḳhir meṅ dāne paidā ho jāte haiṅ. 29 Aur jyoṅ hī anāj kī fasal pak jātī hai kisān ā kar darāntī se use kāṭ letā hai, kyoṅki fasal kī kaṭāī kā waqt ā chukā hotā hai.” 30 Phir Īsā ne kahā, “Ham Allāh kī bādshāhī kā muwāzanā kis chīz se kareṅ? Yā ham kaun-sī tamsīl se ise bayān kareṅ? 31 Wuh rāī ke dāne kī mānind hai jo zamīn meṅ ḍālā gayā ho. Rāī bījoṅ meṅ sab se chhoṭā dānā hai 32 lekin baṛhte baṛhte sabziyoṅ meṅ sab se baṛā ho jātā hai. Us kī shāḳheṅ itnī lambī ho jātī haiṅ ki parinde us ke sāy meṅ apne ghoṅsle banā sakte haiṅ.” 33 Īsā isī qism kī bahut-sī tamsīloṅ kī madad se unheṅ kalām yoṅ sunātā thā ki wuh ise samajh sakte the. 34 Hāṅ, awām ko wuh sirf tamsīloṅ ke zariye sikhātā thā. Lekin jab wuh apne shāgirdoṅ ke sāth akelā hotā to wuh har bāt kī tashrīh kartā thā. 35 Us din jab shām huī to Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Āo, ham jhīl ke pār chaleṅ.” 36 Chunāṅche wuh bhīṛ ko ruḳhsat karke use le kar chal paṛe. Bāz aur kashtiyāṅ bhī sāth gaīṅ. 37 Achānak saḳht āṅdhī āī. Lahreṅ kashtī se ṭakrā kar use pānī se bharne lagīṅ, 38 lekin Īsā abhī tak kashtī ke pichhle hisse meṅ apnā sar gaddī par rakhe so rahā thā. Shāgirdoṅ ne use jagā kar kahā, “Ustād, kyā āp ko parwā nahīṅ ki ham tabāh ho rahe haiṅ?” 39 Wuh jāg uṭhā, āṅdhī ko ḍānṭā aur jhīl se kahā, “Ḳhāmosh! Chup kar!” Is par āṅdhī tham gaī aur lahreṅ bilkul sākit ho gaīṅ. 40 Phir Īsā ne shāgirdoṅ se pūchhā, “Tum kyoṅ ghabrāte ho? Kyā tum abhī tak īmān nahīṅ rakhte?” 41 Un par saḳht ḳhauf tārī ho gayā aur wuh ek dūsre se kahne lage, “Āḳhir yih kaun hai? Hawā aur jhīl bhī us kā hukm māntī haiṅ.”

In Other Versions

Mark 4 in the ANGEFD

Mark 4 in the ANTPNG2D

Mark 4 in the AS21

Mark 4 in the BAGH

Mark 4 in the BBPNG

Mark 4 in the BBT1E

Mark 4 in the BDS

Mark 4 in the BEV

Mark 4 in the BHAD

Mark 4 in the BIB

Mark 4 in the BLPT

Mark 4 in the BNT

Mark 4 in the BNTABOOT

Mark 4 in the BNTLV

Mark 4 in the BOATCB

Mark 4 in the BOATCB2

Mark 4 in the BOBCV

Mark 4 in the BOCNT

Mark 4 in the BOECS

Mark 4 in the BOGWICC

Mark 4 in the BOHCB

Mark 4 in the BOHCV

Mark 4 in the BOHLNT

Mark 4 in the BOHNTLTAL

Mark 4 in the BOICB

Mark 4 in the BOILNTAP

Mark 4 in the BOITCV

Mark 4 in the BOKCV

Mark 4 in the BOKCV2

Mark 4 in the BOKHWOG

Mark 4 in the BOKSSV

Mark 4 in the BOLCB

Mark 4 in the BOLCB2

Mark 4 in the BOMCV

Mark 4 in the BONAV

Mark 4 in the BONCB

Mark 4 in the BONLT

Mark 4 in the BONUT2

Mark 4 in the BOPLNT

Mark 4 in the BOSCB

Mark 4 in the BOSNC

Mark 4 in the BOTLNT

Mark 4 in the BOVCB

Mark 4 in the BOYCB

Mark 4 in the BPBB

Mark 4 in the BPH

Mark 4 in the BSB

Mark 4 in the CCB

Mark 4 in the CUV

Mark 4 in the CUVS

Mark 4 in the DBT

Mark 4 in the DGDNT

Mark 4 in the DHNT

Mark 4 in the DNT

Mark 4 in the ELBE

Mark 4 in the EMTV

Mark 4 in the ESV

Mark 4 in the FBV

Mark 4 in the FEB

Mark 4 in the GGMNT

Mark 4 in the GNT

Mark 4 in the HARY

Mark 4 in the HNT

Mark 4 in the IRVA

Mark 4 in the IRVB

Mark 4 in the IRVG

Mark 4 in the IRVH

Mark 4 in the IRVK

Mark 4 in the IRVM

Mark 4 in the IRVM2

Mark 4 in the IRVO

Mark 4 in the IRVP

Mark 4 in the IRVT

Mark 4 in the IRVT2

Mark 4 in the IRVU

Mark 4 in the ISVN

Mark 4 in the JSNT

Mark 4 in the KAPI

Mark 4 in the KBT1ETNIK

Mark 4 in the KBV

Mark 4 in the KJV

Mark 4 in the KNFD

Mark 4 in the LBA

Mark 4 in the LBLA

Mark 4 in the LNT

Mark 4 in the LSV

Mark 4 in the MAAL

Mark 4 in the MBV

Mark 4 in the MBV2

Mark 4 in the MHNT

Mark 4 in the MKNFD

Mark 4 in the MNG

Mark 4 in the MNT

Mark 4 in the MNT2

Mark 4 in the MRS1T

Mark 4 in the NAA

Mark 4 in the NASB

Mark 4 in the NBLA

Mark 4 in the NBS

Mark 4 in the NBVTP

Mark 4 in the NET2

Mark 4 in the NIV11

Mark 4 in the NNT

Mark 4 in the NNT2

Mark 4 in the NNT3

Mark 4 in the PDDPT

Mark 4 in the PFNT

Mark 4 in the RMNT

Mark 4 in the SBIAS

Mark 4 in the SBIBS

Mark 4 in the SBIBS2

Mark 4 in the SBICS

Mark 4 in the SBIDS

Mark 4 in the SBIGS

Mark 4 in the SBIHS

Mark 4 in the SBIIS

Mark 4 in the SBIIS2

Mark 4 in the SBIIS3

Mark 4 in the SBIKS

Mark 4 in the SBIKS2

Mark 4 in the SBIMS

Mark 4 in the SBIOS

Mark 4 in the SBIPS

Mark 4 in the SBISS

Mark 4 in the SBITS

Mark 4 in the SBITS2

Mark 4 in the SBITS3

Mark 4 in the SBITS4

Mark 4 in the SBIUS

Mark 4 in the SBIVS

Mark 4 in the SBT

Mark 4 in the SBT1E

Mark 4 in the SCHL

Mark 4 in the SNT

Mark 4 in the SUSU

Mark 4 in the SUSU2

Mark 4 in the SYNO

Mark 4 in the TBIAOTANT

Mark 4 in the TBT1E

Mark 4 in the TBT1E2

Mark 4 in the TFTIP

Mark 4 in the TFTU

Mark 4 in the TGNTATF3T

Mark 4 in the THAI

Mark 4 in the TNFD

Mark 4 in the TNT

Mark 4 in the TNTIK

Mark 4 in the TNTIL

Mark 4 in the TNTIN

Mark 4 in the TNTIP

Mark 4 in the TNTIZ

Mark 4 in the TOMA

Mark 4 in the TTENT

Mark 4 in the UBG

Mark 4 in the UGV

Mark 4 in the UGV2

Mark 4 in the VBL

Mark 4 in the VDCC

Mark 4 in the YALU

Mark 4 in the YAPE

Mark 4 in the YBVTP

Mark 4 in the ZBP