Numbers 23 (UGV3)
1 Bilām ne kahā, “Yahāṅ mere lie sāt qurbāngāheṅ banāeṅ. Sāth sāth mere lie sāt bail aur sāt menḍhe taiyār kar rakheṅ.” 2 Balaq ne aisā hī kiyā, aur donoṅ ne mil kar har qurbāngāh par ek bail aur ek menḍhā chaṛhāyā. 3 Phir Bilām ne Balaq se kahā, “Yahāṅ apnī qurbānī ke pās khaṛe raheṅ. Maiṅ kuchh fāsile par jātā hūṅ, shāyad Rab mujh se milne āe. Jo kuchh wuh mujh par zāhir kare maiṅ āp ko batā dūṅgā.”Yih kah kar wuh ek ūṅche maqām par chalā gayā jo hariyālī se bilkul mahrūm thā. 4 Wahāṅ Allāh Bilām se milā. Bilām ne kahā, “Maiṅ ne sāt qurbāngāheṅ taiyār karke har qurbāngāh par ek bail aur ek menḍhā qurbān kiyā hai.” 5 Tab Rab ne use Balaq ke lie paiġhām diyā aur kahā, “Balaq ke pās wāpas jā aur use yih paiġhām sunā.” 6 Bilām Balaq ke pās wāpas āyā jo ab tak Moābī sardāroṅ ke sāth apnī qurbānī ke pās khaṛā thā. 7 Bilām bol uṭhā,“Balaq mujhe Arām se yahāṅ lāyā hai, Moābī bādshāh ne mujhe mashriqī pahāṛoṅ se bulā kar kahā, ‘Āo, Yāqūb par mere lie lānat bhejo. Āo, Isrāīl ko badduā do.’ 8 Maiṅ kis tarah un par lānat bhejūṅ jin par Allāh ne lānat nahīṅ bhejī? Maiṅ kis tarah unheṅ badduā dūṅ jinheṅ Rab ne badduā nahīṅ dī? 9 Maiṅ unheṅ chaṭānoṅ kī choṭī se deḳhtā hūṅ, pahāṛiyoṅ se un kā mushāhadā kartā hūṅ. Wāqaī yih ek aisī qaum hai jo dūsroṅ se alag rahtī hai. Yih apne āp ko dūsrī qaumoṅ se mumtāz samajhtī hai. 10 Kaun Yāqūb kī aulād ko gin saktā hai jo gard kī mānind beshumār hai. Kaun Isrāīliyoṅ kā chauthā hissā bhī gin saktā hai? Rab kare ki maiṅ rāstbāzoṅ kī maut marūṅ, ki merā anjām un ke anjām jaisā achchhā ho.” 11 Balaq ne Bilām se kahā, “Āp ne mere sāth kyā kiyā hai? Maiṅ āp ko apne dushmanoṅ par lānat bhejne ke lie lāyā aur āp ne unheṅ achchhī-ḳhāsī barkat dī hai.” 12 Bilām ne jawāb diyā, “Kyā lāzim nahīṅ ki maiṅ wuhī kuchh bolūṅ jo Rab ne batāne ko kahā hai?” 13 Phir Balaq ne us se kahā, “Āeṅ, ham ek aur jagah jāeṅ jahāṅ se āp Isrāīlī qaum ko dekh sakeṅge, go un kī ḳhaimāgāh kā sirf kinārā hī nazar āegā. Āp sab ko nahīṅ dekh sakeṅge. Wahīṅ se un par mere lie lānat bhejeṅ.” 14 Yih kah kar wuh us ke sāth Pisgā kī choṭī par chaṛh kar Pahredāroṅ ke Maidān tak pahuṅch gayā. Wahāṅ bhī us ne sāt qurbāngāheṅ banā kar har ek par ek bail aur ek menḍhā qurbān kiyā. 15 Bilām ne Balaq se kahā, “Yahāṅ apnī qurbāngāh ke pās khaṛe raheṅ. Maiṅ kuchh fāsile par jā kar Rab se milūṅgā.” 16 Rab Bilām se milā. Us ne use Balaq ke lie paiġhām diyā aur kahā, “Balaq ke pās wāpas jā aur use yih paiġhām sunā de.” 17 Wuh wāpas chalā gayā. Balaq ab tak apne sardāroṅ ke sāth apnī qurbānī ke pās khaṛā thā. Us ne us se pūchhā, “Rab ne kyā kahā?” 18 Bilām ne kahā, “Ai Balaq, uṭho aur suno. Ai Safor ke beṭe, merī bāt par ġhaur karo. 19 Allāh ādmī nahīṅ jo jhūṭ boltā hai. Wuh insān nahīṅ jo koī faislā karke bād meṅ pachhtāe. Kyā wuh kabhī apnī bāt par amal nahīṅ kartā? Kyā wuh kabhī apnī bāt pūrī nahīṅ kartā? 20 Mujhe barkat dene ko kahā gayā hai. Us ne barkat dī hai aur maiṅ yih barkat rok nahīṅ saktā. 21 Yāqūb ke gharāne meṅ ḳharābī nazar nahīṅ ātī, Isrāīl meṅ dukh dikhāī nahīṅ detā. Rab us kā Ḳhudā us ke sāth hai, aur qaum bādshāh kī ḳhushī meṅ nāre lagātī hai. 22 Allāh unheṅ Misr se nikāl lāyā, aur unheṅ janglī bail kī tāqat hāsil hai. 23 Yāqūb ke gharāne ke ḳhilāf jādūgarī nākām hai, Isrāīl ke ḳhilāf ġhaibdānī befāydā hai. Ab Yāqūb ke gharāne se kahā jāegā, ‘Allāh ne kaisā kām kiyā hai!’ 24 Isrāīlī qaum shernī kī tarah uṭhtī aur sherbabar kī tarah khaṛī ho jātī hai. Jab tak wuh apnā shikār na khā le wuh ārām nahīṅ kartā, jab tak wuh māre hue logoṅ kā ḳhūn na pī le wuh nahīṅ leṭtā.” 25 Yih sun kar Balaq ne kahā, “Agar āp un par lānat bhejne se inkār kareṅ, kam az kam unheṅ barkat to na deṅ.” 26 Bilām ne jawāb diyā, “Kyā maiṅ ne āp ko nahīṅ batāyā thā ki jo kuchh bhī Rab kahegā maiṅ wuhī karūṅga?” 27 Tab Balaq ne Bilām se kahā, “Āeṅ, maiṅ āp ko ek aur jagah le jāūṅ. Shāyad Allāh rāzī ho jāe ki āp mere lie wahāṅ se un par lānat bhejeṅ.” 28 Wuh us ke sāth Faġhūr Pahāṛ par chaṛh gayā. Us kī choṭī se Yardan kī Wādī kā junūbī hissā Yashīmon dikhāī diyā. 29 Bilām ne us se kahā, “Mere lie yahāṅ sāt qurbāngāheṅ banā kar sāt bail aur sāt menḍhe taiyār kar rakheṅ.” 30 Balaq ne aisā hī kiyā. Us ne har ek qurbāngāh par ek bail aur ek menḍhā qurbān kiyā.