Proverbs 1 (UGV3)
1 Zail meṅ Isrāīl ke bādshāh Sulemān bin Dāūd kī amsāl qalamband haiṅ. 2 In se tū hikmat aur tarbiyat hāsil karegā, basīrat ke alfāz samajhne ke qābil ho jāegā, 3 aur dānāī dilāne wālī tarbiyat, rāstī, insāf aur diyānatdārī apnāegā. 4 Yih amsāl sādālauh ko hoshyārī aur naujawān ko ilm aur tamīz sikhātī haiṅ. 5 Jo dānā hai wuh sun kar apne ilm meṅ izāfā kare, jo samajhdār hai wuh rāhnumāī karne kā fan sīkh le. 6 Tab wuh amsāl aur tamsīleṅ, dānishmandoṅ kī bāteṅ aur un ke muamme samajh legā. 7 Hikmat is se shurū hotī hai ki ham Rab kā ḳhauf māneṅ. Sirf ahmaq hikmat aur tarbiyat ko haqīr jānte haiṅ. 8 Mere beṭe, apne bāp kī tarbiyat ke tābe rah, aur apnī māṅ kī hidāyat mustarad na kar. 9 Kyoṅki yih tere sar par dilkash sehrā aur tere gale meṅ gulūband haiṅ. 10 Mere beṭe, jab ḳhatākār tujhe phuslāne kī koshish kareṅ to un ke pīchhe na ho le. 11 Un kī bāt na mān jab wuh kaheṅ, “Ā, hamāre sāth chal! Ham tāk meṅ baiṭh kar kisī ko qatl kareṅ, bilāwajah kisī bequsūr kī ghāt lagāeṅ. 12 Ham unheṅ Pātāl kī tarah zindā nigal leṅ, unheṅ maut ke gaṛhe meṅ utarne wāloṅ kī tarah ek dam haṛap kar leṅ. 13 Ham har qism kī qīmtī chīz hāsil kareṅge, apne gharoṅ ko lūṭ ke māl se bhar leṅge. 14 Ā, jurrat karke ham meṅ sharīk ho jā, ham lūṭ kā tamām māl barābar taqsīm kareṅge.” 15 Mere beṭe, un ke sāth mat jānā, apnā pāṅw un kī rāhoṅ par rakhne se rok lenā. 16 Kyoṅki un ke pāṅw ġhalat kām ke pīchhe dauṛte, ḳhūn bahāne ke lie bhāgte haiṅ. 17 Jab chiṛīmār apnā jāl lagā kar us par parindoṅ ko phāṅsne ke lie roṭī ke ṭukṛe bikher detā hai to parindoṅ kī nazar meṅ yih bemaqsad hai. 18 Yih log bhī ek din phaṅs jāeṅge. Jab tāk meṅ baiṭh jāte haiṅ to apne āp ko tabāh karte haiṅ, jab dūsroṅ kī ghāt lagāte haiṅ to apnī hī jān ko nuqsān pahuṅchāte haiṅ. 19 Yihī un sab kā anjām hai jo nārawā nafā ke pīchhe bhāgte haiṅ. Nājāyz nafā apne mālik kī jān chhīn letā hai. 20 Hikmat galī meṅ zor se āwāz detī, chaukoṅ meṅ buland āwāz se pukārtī hai. 21 Jahāṅ sab se zyādā shor-sharābā hai wahāṅ wuh chillā chillā kar boltī, shahr ke darwāzoṅ par hī apnī taqrīr kartī hai, 22 “Ai sādālauh logo, tum kab tak apnī sādālauhī se muhabbat rakhoge? Mazāq uṛāne wāle kab tak apne mazāq se lutf uṭhāeṅge, ahmaq kab tak ilm se nafrat kareṅge? 23 Āo, merī sarzanish par dhyān do. Tab maiṅ apnī rūh kā chashmā tum par phūṭne dūṅgī, tumheṅ apnī bāteṅ sunāūṅgī. 24 Lekin jab maiṅ ne āwāz dī to tum ne inkār kiyā, jab maiṅ ne apnā hāth tumhārī taraf baṛhāyā to kisī ne bhī tawajjuh na dī. 25 Tum ne mere kisī mashware kī parwā na kī, merī malāmat tumhāre nazdīk qābil-e-qabūl nahīṅ thī. 26 Is lie jab tum par āfat āegī to maiṅ qahqahā lagāūṅgī, jab tum haulnāk musībat meṅ phaṅs jāoge to tumhārā mazāq uṛāūṅgī. 27 Us waqt tum par dahshatnāk āṅdhī ṭūṭ paṛegī, āfat tūfān kī tarah tum par āegī, aur tum musībat aur taklīf ke sailāb meṅ ḍūb jāoge. 28 Tab wuh mujhe āwāz deṅge, lekin maiṅ un kī nahīṅ sunūṅgī, wuh mujhe ḍhūnḍeṅge par pāeṅge nahīṅ. 29 Kyoṅki wuh ilm se nafrat karke Rab kā ḳhauf mānane ke lie taiyār nahīṅ the. 30 Merā mashwarā unheṅ qabūl nahīṅ thā balki wuh merī har sarzanish ko haqīr jānte the. 31 Chunāṅche ab wuh apne chāl-chalan kā phal khāeṅ, apne mansūboṅ kī fasal khā khā kar ser ho jāeṅ. 32 Kyoṅki sahīh rāh se dūr hone kā amal sādālauh ko mār ḍāltā hai, aur ahmaqoṅ kī beparwāī unheṅ tabāh kartī hai. 33 Lekin jo merī sune wuh sukūn se basegā, haulnāk musībat use pareshān nahīṅ karegī.”
In Other Versions
Proverbs 1 in the ANGEFD
Proverbs 1 in the ANTPNG2D
Proverbs 1 in the AS21
Proverbs 1 in the BAGH
Proverbs 1 in the BBPNG
Proverbs 1 in the BBT1E
Proverbs 1 in the BDS
Proverbs 1 in the BEV
Proverbs 1 in the BHAD
Proverbs 1 in the BIB
Proverbs 1 in the BLPT
Proverbs 1 in the BNT
Proverbs 1 in the BNTABOOT
Proverbs 1 in the BNTLV
Proverbs 1 in the BOATCB
Proverbs 1 in the BOATCB2
Proverbs 1 in the BOBCV
Proverbs 1 in the BOCNT
Proverbs 1 in the BOECS
Proverbs 1 in the BOGWICC
Proverbs 1 in the BOHCB
Proverbs 1 in the BOHCV
Proverbs 1 in the BOHLNT
Proverbs 1 in the BOHNTLTAL
Proverbs 1 in the BOICB
Proverbs 1 in the BOILNTAP
Proverbs 1 in the BOITCV
Proverbs 1 in the BOKCV
Proverbs 1 in the BOKCV2
Proverbs 1 in the BOKHWOG
Proverbs 1 in the BOKSSV
Proverbs 1 in the BOLCB
Proverbs 1 in the BOLCB2
Proverbs 1 in the BOMCV
Proverbs 1 in the BONAV
Proverbs 1 in the BONCB
Proverbs 1 in the BONLT
Proverbs 1 in the BONUT2
Proverbs 1 in the BOPLNT
Proverbs 1 in the BOSCB
Proverbs 1 in the BOSNC
Proverbs 1 in the BOTLNT
Proverbs 1 in the BOVCB
Proverbs 1 in the BOYCB
Proverbs 1 in the BPBB
Proverbs 1 in the BPH
Proverbs 1 in the BSB
Proverbs 1 in the CCB
Proverbs 1 in the CUV
Proverbs 1 in the CUVS
Proverbs 1 in the DBT
Proverbs 1 in the DGDNT
Proverbs 1 in the DHNT
Proverbs 1 in the DNT
Proverbs 1 in the ELBE
Proverbs 1 in the EMTV
Proverbs 1 in the ESV
Proverbs 1 in the FBV
Proverbs 1 in the FEB
Proverbs 1 in the GGMNT
Proverbs 1 in the GNT
Proverbs 1 in the HARY
Proverbs 1 in the HNT
Proverbs 1 in the IRVA
Proverbs 1 in the IRVB
Proverbs 1 in the IRVG
Proverbs 1 in the IRVH
Proverbs 1 in the IRVK
Proverbs 1 in the IRVM
Proverbs 1 in the IRVM2
Proverbs 1 in the IRVO
Proverbs 1 in the IRVP
Proverbs 1 in the IRVT
Proverbs 1 in the IRVT2
Proverbs 1 in the IRVU
Proverbs 1 in the ISVN
Proverbs 1 in the JSNT
Proverbs 1 in the KAPI
Proverbs 1 in the KBT1ETNIK
Proverbs 1 in the KBV
Proverbs 1 in the KJV
Proverbs 1 in the KNFD
Proverbs 1 in the LBA
Proverbs 1 in the LBLA
Proverbs 1 in the LNT
Proverbs 1 in the LSV
Proverbs 1 in the MAAL
Proverbs 1 in the MBV
Proverbs 1 in the MBV2
Proverbs 1 in the MHNT
Proverbs 1 in the MKNFD
Proverbs 1 in the MNG
Proverbs 1 in the MNT
Proverbs 1 in the MNT2
Proverbs 1 in the MRS1T
Proverbs 1 in the NAA
Proverbs 1 in the NASB
Proverbs 1 in the NBLA
Proverbs 1 in the NBS
Proverbs 1 in the NBVTP
Proverbs 1 in the NET2
Proverbs 1 in the NIV11
Proverbs 1 in the NNT
Proverbs 1 in the NNT2
Proverbs 1 in the NNT3
Proverbs 1 in the PDDPT
Proverbs 1 in the PFNT
Proverbs 1 in the RMNT
Proverbs 1 in the SBIAS
Proverbs 1 in the SBIBS
Proverbs 1 in the SBIBS2
Proverbs 1 in the SBICS
Proverbs 1 in the SBIDS
Proverbs 1 in the SBIGS
Proverbs 1 in the SBIHS
Proverbs 1 in the SBIIS
Proverbs 1 in the SBIIS2
Proverbs 1 in the SBIIS3
Proverbs 1 in the SBIKS
Proverbs 1 in the SBIKS2
Proverbs 1 in the SBIMS
Proverbs 1 in the SBIOS
Proverbs 1 in the SBIPS
Proverbs 1 in the SBISS
Proverbs 1 in the SBITS
Proverbs 1 in the SBITS2
Proverbs 1 in the SBITS3
Proverbs 1 in the SBITS4
Proverbs 1 in the SBIUS
Proverbs 1 in the SBIVS
Proverbs 1 in the SBT
Proverbs 1 in the SBT1E
Proverbs 1 in the SCHL
Proverbs 1 in the SNT
Proverbs 1 in the SUSU
Proverbs 1 in the SUSU2
Proverbs 1 in the SYNO
Proverbs 1 in the TBIAOTANT
Proverbs 1 in the TBT1E
Proverbs 1 in the TBT1E2
Proverbs 1 in the TFTIP
Proverbs 1 in the TFTU
Proverbs 1 in the TGNTATF3T
Proverbs 1 in the THAI
Proverbs 1 in the TNFD
Proverbs 1 in the TNT
Proverbs 1 in the TNTIK
Proverbs 1 in the TNTIL
Proverbs 1 in the TNTIN
Proverbs 1 in the TNTIP
Proverbs 1 in the TNTIZ
Proverbs 1 in the TOMA
Proverbs 1 in the TTENT
Proverbs 1 in the UBG
Proverbs 1 in the UGV
Proverbs 1 in the UGV2
Proverbs 1 in the VBL
Proverbs 1 in the VDCC
Proverbs 1 in the YALU
Proverbs 1 in the YAPE
Proverbs 1 in the YBVTP
Proverbs 1 in the ZBP