Psalms 127 (UGV3)
1 Sulemān kā ziyārat kā gīt.Agar Rab ghar ko tāmīr na kare to us par kām karne wāloṅ kī mehnat abas hai. Agar Rab shahr kī pahrādārī na kare to insānī pahredāroṅ kī nigahbānī abas hai. 2 Yih bhī abas hai ki tum subah-sawere uṭho aur pūre din mehnat-mashaqqat ke sāth rozī kamā kar rāt gae so jāo. Kyoṅki jo Allāh ko pyāre haiṅ unheṅ wuh un kī zarūriyāt un ke sote meṅ pūrī kar detā hai. 3 Bachche aisī nemat haiṅ jo ham mīrās meṅ Rab se pāte haiṅ, aulād ek ajr hai jo wuhī hameṅ detā hai. 4 Jawānī meṅ paidā hue beṭe sūrme ke hāth meṅ tīroṅ kī mānind haiṅ. 5 Mubārak hai wuh ādmī jis kā tarkash un se bharā hai. Jab wuh shahr ke darwāze par apne dushmanoṅ se jhagaṛegā to sharmindā nahīṅ hogā.