Romans 2 (UGV3)

1 Ai insān, kyā tū dūsroṅ ko mujrim ṭhahrātā hai? Tū jo koī bhī ho terā koī uzr nahīṅ. Kyoṅki tū ḳhud bhī wuhī kuchh kartā hai jis meṅ tū dūsroṅ ko mujrim ṭhahrātā hai aur yoṅ apne āp ko bhī mujrim qarār detā hai. 2 Ab ham jānte haiṅ ki aise kām karne wāloṅ par Allāh kā faislā munsifānā hai. 3 Tāham tū wuhī kuchh kartā hai jis meṅ tū dūsroṅ ko mujrim ṭhahrātā hai. Kyā tū samajhtā hai ki ḳhud Allāh kī adālat se bach jāegā? 4 Yā kyā tū us kī wasī mehrbānī, tahammul aur sabar ko haqīr jāntā hai? Kyā tujhe mālūm nahīṅ ki Allāh kī mehrbānī tujhe taubā tak le jānā chāhtī hai? 5 Lekin tū haṭdharm hai, tū taubā karne ke lie taiyār nahīṅ aur yoṅ apnī sazā meṅ izāfā kartā jā rahā hai, wuh sazā jo us din dī jāegī jab Allāh kā ġhazab nāzil hogā, jab us kī rāst adālat zāhir hogī. 6 Allāh har ek ko us ke kāmoṅ kā badlā degā. 7 Kuchh log sābitqadmī se nek kām karte aur jalāl, izzat aur baqā ke tālib rahte haiṅ. Unheṅ Allāh abadī zindagī atā karegā. 8 Lekin kuchh log ḳhudġharz haiṅ aur sachchāī kī nahīṅ balki nārāstī kī pairawī karte haiṅ. Un par Allāh kā ġhazab aur qahr nāzil hogā. 9 Musībat aur pareshānī har us insān par āegī jo burāī kartā hai, pahle Yahūdī par, phir Yūnānī par. 10 Lekin jalāl, izzat aur salāmatī har us insān ko hāsil hogī jo nekī kartā hai, pahle Yahūdī ko, phir Yūnānī ko. 11 Kyoṅki Allāh kisī kā bhī tarafdār nahīṅ. 12 Ġhairyahūdiyoṅ ke pās Mūswī sharīat nahīṅ hai, is lie wuh sharīat ke baġhair hī gunāh karke halāk ho jāte haiṅ. Yahūdiyoṅ ke pās sharīat hai, lekin wuh bhī nahīṅ bacheṅge. Kyoṅki jab wuh gunāh karte haiṅ to sharīat hī unheṅ mujrim ṭhahrātī hai. 13 Kyoṅki Allāh ke nazdīk yih kāfī nahīṅ ki ham sharīat kī bāteṅ suneṅ balki wuh hameṅ us waqt hī rāstbāz qarār detā hai jab sharīat par amal bhī karte haiṅ. 14 Aur go Ġhairyahūdiyoṅ ke pās sharīat nahīṅ hotī lekin jab bhī wuh fitratī taur par wuh kuchh karte haiṅ jo sharīat farmātī hai to zāhir karte haiṅ ki go hamāre pās sharīat nahīṅ to bhī ham apne āp ke lie ḳhud sharīat haiṅ. 15 Is meṅ wuh sābit karte haiṅ ki sharīat ke taqāze un ke dil par likhe hue haiṅ. Un kā zamīr bhī is kī gawāhī detā hai, kyoṅki un ke ḳhayālāt kabhī ek dūsre kī mazammat aur kabhī ek dūsre kā difā bhī karte haiṅ. 16 Ġharz, merī ḳhushḳhabrī ke mutābiq har ek ko us din apnā ajr milegā jab Allāh Īsā Masīh kī mārifat insānoṅ kī poshīdā bātoṅ kī adālat karegā. 17 Achchhā, tū apne āp ko Yahūdī kahtā hai. Tū sharīat par inhisār kartā aur Allāh ke sāth apne tālluq par faḳhr kartā hai. 18 Tū us kī marzī ko jāntā hai aur sharīat kī tālīm pāne ke bāis sahīh rāh kī pahchān rakhtā hai. 19 Tujhe pūrā yaqīn hai, ‘Maiṅ andhoṅ kā qāyd, tārīkī meṅ basne wāloṅ kī raushnī, 20 besamjhoṅ kā muallim aur bachchoṅ kā ustād hūṅ.’ Ek lihāz se yih durust bhī hai, kyoṅki sharīat kī sūrat meṅ tere pās ilm-o-irfān aur sachchāī maujūd hai. 21 Ab batā, tū jo auroṅ ko sikhātā hai apne āp ko kyoṅ nahīṅ sikhātā? Tū jo chorī na karne kī munādī kartā hai, ḳhud chorī kyoṅ kartā hai? 22 Tū jo auroṅ ko zinā karne se manā kartā hai, ḳhud zinā kyoṅ kartā hai? Tū jo butoṅ se ghin khātā hai, ḳhud mandiroṅ ko kyoṅ lūṭtā hai? 23 Tū jo sharīat par faḳhr kartā hai, kyoṅ is kī ḳhilāfwarzī karke Allāh kī be'izzatī kartā hai? 24 Yih wuhī bāt hai jo kalām-e-muqaddas meṅ likhī hai, “Tumhāre sabab se Ġhairyahūdiyoṅ meṅ Allāh ke nām par kufr bakā jātā hai.” 25 Ḳhatne kā fāydā to us waqt hotā hai jab tū sharīat par amal kartā hai. Lekin agar tū us kī hukmadūlī kartā hai to tū nāmaḳhtūn jaisā hai. 26 Is ke baraks agar nāmaḳhtūn Ġhairyahūdī sharīat ke taqāzoṅ ko pūrā kartā hai to kyā Allāh use maḳhtūn Yahūdī ke barābar nahīṅ ṭhahrāegā? 27 Chunāṅche jo nāmaḳhtūn Ġhairyahūdī sharīat par amal karte haiṅ wuh āp Yahūdiyoṅ ko mujrim ṭhahrāeṅge jin kā ḳhatnā huā hai aur jin ke pās sharīat hai, kyoṅki āp sharīat par amal nahīṅ karte. 28 Āp is binā par haqīqī Yahūdī nahīṅ haiṅ ki āp ke wālidain Yahūdī the yā āp ke badan kā ḳhatnā zāhirī taur par huā hai. 29 Balki haqīqī Yahūdī wuh hai jo bātin meṅ Yahūdī hai. Aur haqīqī ḳhatnā us waqt hotā hai jab dil kā ḳhatnā huā hai. Aisā ḳhatnā sharīat se nahīṅ balki Rūhul-quds ke wasīle se kiyā jātā hai. Aur aise Yahūdī ko insān kī taraf se nahīṅ balki Allāh kī taraf se tārīf miltī hai.

In Other Versions

Romans 2 in the ANGEFD

Romans 2 in the ANTPNG2D

Romans 2 in the AS21

Romans 2 in the BAGH

Romans 2 in the BBPNG

Romans 2 in the BBT1E

Romans 2 in the BDS

Romans 2 in the BEV

Romans 2 in the BHAD

Romans 2 in the BIB

Romans 2 in the BLPT

Romans 2 in the BNT

Romans 2 in the BNTABOOT

Romans 2 in the BNTLV

Romans 2 in the BOATCB

Romans 2 in the BOATCB2

Romans 2 in the BOBCV

Romans 2 in the BOCNT

Romans 2 in the BOECS

Romans 2 in the BOGWICC

Romans 2 in the BOHCB

Romans 2 in the BOHCV

Romans 2 in the BOHLNT

Romans 2 in the BOHNTLTAL

Romans 2 in the BOICB

Romans 2 in the BOILNTAP

Romans 2 in the BOITCV

Romans 2 in the BOKCV

Romans 2 in the BOKCV2

Romans 2 in the BOKHWOG

Romans 2 in the BOKSSV

Romans 2 in the BOLCB

Romans 2 in the BOLCB2

Romans 2 in the BOMCV

Romans 2 in the BONAV

Romans 2 in the BONCB

Romans 2 in the BONLT

Romans 2 in the BONUT2

Romans 2 in the BOPLNT

Romans 2 in the BOSCB

Romans 2 in the BOSNC

Romans 2 in the BOTLNT

Romans 2 in the BOVCB

Romans 2 in the BOYCB

Romans 2 in the BPBB

Romans 2 in the BPH

Romans 2 in the BSB

Romans 2 in the CCB

Romans 2 in the CUV

Romans 2 in the CUVS

Romans 2 in the DBT

Romans 2 in the DGDNT

Romans 2 in the DHNT

Romans 2 in the DNT

Romans 2 in the ELBE

Romans 2 in the EMTV

Romans 2 in the ESV

Romans 2 in the FBV

Romans 2 in the FEB

Romans 2 in the GGMNT

Romans 2 in the GNT

Romans 2 in the HARY

Romans 2 in the HNT

Romans 2 in the IRVA

Romans 2 in the IRVB

Romans 2 in the IRVG

Romans 2 in the IRVH

Romans 2 in the IRVK

Romans 2 in the IRVM

Romans 2 in the IRVM2

Romans 2 in the IRVO

Romans 2 in the IRVP

Romans 2 in the IRVT

Romans 2 in the IRVT2

Romans 2 in the IRVU

Romans 2 in the ISVN

Romans 2 in the JSNT

Romans 2 in the KAPI

Romans 2 in the KBT1ETNIK

Romans 2 in the KBV

Romans 2 in the KJV

Romans 2 in the KNFD

Romans 2 in the LBA

Romans 2 in the LBLA

Romans 2 in the LNT

Romans 2 in the LSV

Romans 2 in the MAAL

Romans 2 in the MBV

Romans 2 in the MBV2

Romans 2 in the MHNT

Romans 2 in the MKNFD

Romans 2 in the MNG

Romans 2 in the MNT

Romans 2 in the MNT2

Romans 2 in the MRS1T

Romans 2 in the NAA

Romans 2 in the NASB

Romans 2 in the NBLA

Romans 2 in the NBS

Romans 2 in the NBVTP

Romans 2 in the NET2

Romans 2 in the NIV11

Romans 2 in the NNT

Romans 2 in the NNT2

Romans 2 in the NNT3

Romans 2 in the PDDPT

Romans 2 in the PFNT

Romans 2 in the RMNT

Romans 2 in the SBIAS

Romans 2 in the SBIBS

Romans 2 in the SBIBS2

Romans 2 in the SBICS

Romans 2 in the SBIDS

Romans 2 in the SBIGS

Romans 2 in the SBIHS

Romans 2 in the SBIIS

Romans 2 in the SBIIS2

Romans 2 in the SBIIS3

Romans 2 in the SBIKS

Romans 2 in the SBIKS2

Romans 2 in the SBIMS

Romans 2 in the SBIOS

Romans 2 in the SBIPS

Romans 2 in the SBISS

Romans 2 in the SBITS

Romans 2 in the SBITS2

Romans 2 in the SBITS3

Romans 2 in the SBITS4

Romans 2 in the SBIUS

Romans 2 in the SBIVS

Romans 2 in the SBT

Romans 2 in the SBT1E

Romans 2 in the SCHL

Romans 2 in the SNT

Romans 2 in the SUSU

Romans 2 in the SUSU2

Romans 2 in the SYNO

Romans 2 in the TBIAOTANT

Romans 2 in the TBT1E

Romans 2 in the TBT1E2

Romans 2 in the TFTIP

Romans 2 in the TFTU

Romans 2 in the TGNTATF3T

Romans 2 in the THAI

Romans 2 in the TNFD

Romans 2 in the TNT

Romans 2 in the TNTIK

Romans 2 in the TNTIL

Romans 2 in the TNTIN

Romans 2 in the TNTIP

Romans 2 in the TNTIZ

Romans 2 in the TOMA

Romans 2 in the TTENT

Romans 2 in the UBG

Romans 2 in the UGV

Romans 2 in the UGV2

Romans 2 in the VBL

Romans 2 in the VDCC

Romans 2 in the YALU

Romans 2 in the YAPE

Romans 2 in the YBVTP

Romans 2 in the ZBP