Romans 9 (UGV3)

1 Maiṅ Masīh meṅ sach kahtā hūṅ, jhūṭ nahīṅ boltā, aur merā zamīr bhī Rūhul-quds meṅ is kī gawāhī detā hai 2 ki maiṅ dil meṅ apne Yahūdī hamwatanoṅ ke lie shadīd ġham aur musalsal dard mahsūs kartā hūṅ. 3 Kāsh mere bhāī aur ḳhūnī rishtedār najāt pāeṅ! Is ke lie maiṅ ḳhud malaūn aur Masīh se judā hone ke lie bhī taiyār hūṅ. 4 Allāh ne unhīṅ ko jo Isrāīlī haiṅ apne farzand banane ke lie muqarrar kiyā thā. Unhīṅ par us ne apnā jalāl zāhir kiyā, unhīṅ ke sāth apne ahd bāndhe aur unhīṅ ko sharīat atā kī. Wuhī haqīqī ibādat aur Allāh ke wādoṅ ke haqdār haiṅ, 5 wuhī Ibrāhīm aur Yāqūb kī aulād haiṅ aur unhīṅ meṅ se jismānī lihāz se Masīh āyā. Allāh kī tamjīd-o-tārīf abad tak ho jo sab par hukūmat kartā hai! Āmīn. 6 Kahne kā matlab yih nahīṅ ki Allāh apnā wādā pūrā na kar sakā. Bāt yih nahīṅ hai balki yih ki wuh sab haqīqī Isrāīlī nahīṅ haiṅ jo Isrāīlī qaum se haiṅ. 7 Aur sab Ibrāhīm kī haqīqī aulād nahīṅ haiṅ jo us kī nasl se haiṅ. Kyoṅki Allāh ne kalām-e-muqaddas meṅ Ibrāhīm se farmāyā, “Terī nasl Is'hāq hī se qāym rahegī.” 8 Chunāṅche lāzim nahīṅ ki Ibrāhīm kī tamām fitratī aulād Allāh ke farzand hoṅ balki sirf wuhī Ibrāhīm kī haqīqī aulād samjhe jāte haiṅ jo Allāh ke wāde ke mutābiq us ke farzand ban gae haiṅ. 9 Aur wādā yih thā, “Muqarrarā waqt par maiṅ wāpas āūṅgā to Sārā ke beṭā hogā.” 10 Lekin na sirf Sārā ke sāth aisā huā balki Is'hāq kī bīwī Ribqā ke sāth bhī. Ek hī mard yānī hamāre bāp Is'hāq se us ke juṛwāṅ bachche paidā hue. 11 Lekin bachche abhī paidā nahīṅ hue the na unhoṅ ne koī nek yā burā kām kiyā thā ki māṅ ko Allāh se ek paiġhām milā. Is paiġhām se zāhir hotā hai ki Allāh logoṅ ko apne irāde ke mutābiq chun letā hai. 12 Aur us kā yih chunāo un ke nek āmāl par mabnī nahīṅ hotā balki us ke bulāwe par. Paiġhām yih thā, “Baṛā chhoṭe kī ḳhidmat karegā.” 13 Yih bhī kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Yāqūb mujhe pyārā thā, jabki Esau se maiṅ mutanaffir rahā.” 14 Kyā is kā matlab yih hai ki Allāh be'insāf hai? Hargiz nahīṅ! 15 Kyoṅki us ne Mūsā se kahā, “Maiṅ jis par mehrbān honā chāhūṅ us par mehrbān hotā hūṅ aur jis par rahm karnā chāhūṅ us par rahm kartā hūṅ.” 16 Chunāṅche sab kuchh Allāh ke rahm par hī mabnī hai. Is meṅ insān kī marzī yā koshish kā koī daḳhl nahīṅ. 17 Yoṅ Allāh apne kalām meṅ Misr ke bādshāh Firaun se muḳhātib ho kar farmātā hai, “Maiṅ ne tujhe is lie barpā kiyā hai ki tujh meṅ apnī qudrat kā izhār karūṅ aur yoṅ tamām duniyā meṅ mere nām kā prachār kiyā jāe.” 18 Ġharz, yih Allāh hī kī marzī hai ki wuh kis par rahm kare aur kis ko saḳht kar de. 19 Shāyad koī kahe, “Agar yih bāt hai to phir Allāh kis tarah ham par ilzām lagā saktā hai jab ham se ġhaltiyāṅ hotī haiṅ? Ham to us kī marzī kā muqābalā nahīṅ kar sakte.” 20 Yih na kaheṅ. Āp insān hote hue kaun haiṅ ki Allāh ke sāth bahs-mubāhasā kareṅ? Kyā jis ko tashkīl diyā gayā hai wuh tashkīl dene wāle se kahtā hai, “Tū ne mujhe is tarah kyoṅ banā diyā?” 21 Kyā kumhār kā haq nahīṅ hai ki gāre ke ek hī launde se muḳhtalif qism ke bartan banāe, kuchh bā-izzat istemāl ke lie aur kuchh zillatāmez istemāl ke lie? 22 Yih bāt Allāh par bhī sādiq ātī hai. Go wuh apnā ġhazab nāzil karnā aur apnī qudrat zāhir karnā chāhtā thā, lekin us ne baṛe sabr-o-tahammul se wuh bartan bardāsht kie jin par us kā ġhazab ānā hai aur jo halākat ke lie taiyār kie gae haiṅ. 23 Us ne yih is lie kiyā tāki apnā jalāl kasrat se un bartanoṅ par zāhir kare jin par us kā fazl hai aur jo pahle se jalāl pāne ke lie taiyār kie gae haiṅ. 24 Aur ham un meṅ se haiṅ jin ko us ne chun liyā hai, na sirf Yahūdiyoṅ meṅ se balki Ġhairyahūdiyoṅ meṅ se bhī. 25 Yoṅ wuh Ġhairyahūdiyoṅ ke nāte se Hosea kī kitāb meṅ farmātā hai,“Maiṅ use ‘Merī Qaum’ kahūṅgājo merī qaum na thī,aur use ‘Merī Pyārī’ kahūṅgājo mujhe pyārī na thī.” 26 Aur “Jahāṅ unheṅ batāyā gayā ki ‘Tum merī qaum nahīṅ’wahāṅ wuh ‘Zindā Ḳhudā ke Farzand’ kahlāeṅge.” 27 Aur Yasāyāh Nabī Isrāīl ke bāre meṅ pukārtā hai, “Go Isrāīlī sāhil par kī ret jaise beshumār kyoṅ na hoṅ to bhī sirf ek bache hue hisse ko najāt milegī. 28 Kyoṅki Rab apnā farmān mukammal taur par aur tezī se duniyā meṅ pūrā karegā.” 29 Yasāyāh ne yih bāt ek aur peshgoī meṅ bhī kī, “Agar Rabbul-afwāj hamārī kuchh aulād zindā na chhoṛtā to ham Sadūm kī tarah miṭ jāte, hamārā Amūrā jaisā satyānās ho jātā.” 30 Is se ham kyā kahnā chāhte haiṅ? Yih ki go Ġhairyahūdī rāstbāzī kī talāsh meṅ na the to bhī unheṅ rāstbāzī hāsil huī, aisī rāstbāzī jo īmān se paidā huī. 31 Is ke baraks Isrāīliyoṅ ko yih hāsil na huī, hālāṅki wuh aisī sharīat kī talāsh meṅ rahe jo unheṅ rāstbāz ṭhahrāe. 32 Is kī kyā wajah thī? Yih ki wuh apnī tamām koshishoṅ meṅ īmān par inhisār nahīṅ karte the balki apne nek āmāl par. Unhoṅ ne rāh meṅ paṛe patthar se ṭhokar khāī. 33 Yih bāt kalām-e-muqaddas meṅ likhī bhī hai,“Dekho maiṅ Siyyūn meṅ ek patthar rakh detā hūṅjo ṭhokar kā bāis banegā,ek chaṭān jo ṭhes lagne kā sabab hogī.Lekin jo us par īmān lāegāuse sharmindā nahīṅ kiyā jāegā.”

In Other Versions

Romans 9 in the ANGEFD

Romans 9 in the ANTPNG2D

Romans 9 in the AS21

Romans 9 in the BAGH

Romans 9 in the BBPNG

Romans 9 in the BBT1E

Romans 9 in the BDS

Romans 9 in the BEV

Romans 9 in the BHAD

Romans 9 in the BIB

Romans 9 in the BLPT

Romans 9 in the BNT

Romans 9 in the BNTABOOT

Romans 9 in the BNTLV

Romans 9 in the BOATCB

Romans 9 in the BOATCB2

Romans 9 in the BOBCV

Romans 9 in the BOCNT

Romans 9 in the BOECS

Romans 9 in the BOGWICC

Romans 9 in the BOHCB

Romans 9 in the BOHCV

Romans 9 in the BOHLNT

Romans 9 in the BOHNTLTAL

Romans 9 in the BOICB

Romans 9 in the BOILNTAP

Romans 9 in the BOITCV

Romans 9 in the BOKCV

Romans 9 in the BOKCV2

Romans 9 in the BOKHWOG

Romans 9 in the BOKSSV

Romans 9 in the BOLCB

Romans 9 in the BOLCB2

Romans 9 in the BOMCV

Romans 9 in the BONAV

Romans 9 in the BONCB

Romans 9 in the BONLT

Romans 9 in the BONUT2

Romans 9 in the BOPLNT

Romans 9 in the BOSCB

Romans 9 in the BOSNC

Romans 9 in the BOTLNT

Romans 9 in the BOVCB

Romans 9 in the BOYCB

Romans 9 in the BPBB

Romans 9 in the BPH

Romans 9 in the BSB

Romans 9 in the CCB

Romans 9 in the CUV

Romans 9 in the CUVS

Romans 9 in the DBT

Romans 9 in the DGDNT

Romans 9 in the DHNT

Romans 9 in the DNT

Romans 9 in the ELBE

Romans 9 in the EMTV

Romans 9 in the ESV

Romans 9 in the FBV

Romans 9 in the FEB

Romans 9 in the GGMNT

Romans 9 in the GNT

Romans 9 in the HARY

Romans 9 in the HNT

Romans 9 in the IRVA

Romans 9 in the IRVB

Romans 9 in the IRVG

Romans 9 in the IRVH

Romans 9 in the IRVK

Romans 9 in the IRVM

Romans 9 in the IRVM2

Romans 9 in the IRVO

Romans 9 in the IRVP

Romans 9 in the IRVT

Romans 9 in the IRVT2

Romans 9 in the IRVU

Romans 9 in the ISVN

Romans 9 in the JSNT

Romans 9 in the KAPI

Romans 9 in the KBT1ETNIK

Romans 9 in the KBV

Romans 9 in the KJV

Romans 9 in the KNFD

Romans 9 in the LBA

Romans 9 in the LBLA

Romans 9 in the LNT

Romans 9 in the LSV

Romans 9 in the MAAL

Romans 9 in the MBV

Romans 9 in the MBV2

Romans 9 in the MHNT

Romans 9 in the MKNFD

Romans 9 in the MNG

Romans 9 in the MNT

Romans 9 in the MNT2

Romans 9 in the MRS1T

Romans 9 in the NAA

Romans 9 in the NASB

Romans 9 in the NBLA

Romans 9 in the NBS

Romans 9 in the NBVTP

Romans 9 in the NET2

Romans 9 in the NIV11

Romans 9 in the NNT

Romans 9 in the NNT2

Romans 9 in the NNT3

Romans 9 in the PDDPT

Romans 9 in the PFNT

Romans 9 in the RMNT

Romans 9 in the SBIAS

Romans 9 in the SBIBS

Romans 9 in the SBIBS2

Romans 9 in the SBICS

Romans 9 in the SBIDS

Romans 9 in the SBIGS

Romans 9 in the SBIHS

Romans 9 in the SBIIS

Romans 9 in the SBIIS2

Romans 9 in the SBIIS3

Romans 9 in the SBIKS

Romans 9 in the SBIKS2

Romans 9 in the SBIMS

Romans 9 in the SBIOS

Romans 9 in the SBIPS

Romans 9 in the SBISS

Romans 9 in the SBITS

Romans 9 in the SBITS2

Romans 9 in the SBITS3

Romans 9 in the SBITS4

Romans 9 in the SBIUS

Romans 9 in the SBIVS

Romans 9 in the SBT

Romans 9 in the SBT1E

Romans 9 in the SCHL

Romans 9 in the SNT

Romans 9 in the SUSU

Romans 9 in the SUSU2

Romans 9 in the SYNO

Romans 9 in the TBIAOTANT

Romans 9 in the TBT1E

Romans 9 in the TBT1E2

Romans 9 in the TFTIP

Romans 9 in the TFTU

Romans 9 in the TGNTATF3T

Romans 9 in the THAI

Romans 9 in the TNFD

Romans 9 in the TNT

Romans 9 in the TNTIK

Romans 9 in the TNTIL

Romans 9 in the TNTIN

Romans 9 in the TNTIP

Romans 9 in the TNTIZ

Romans 9 in the TOMA

Romans 9 in the TTENT

Romans 9 in the UBG

Romans 9 in the UGV

Romans 9 in the UGV2

Romans 9 in the VBL

Romans 9 in the VDCC

Romans 9 in the YALU

Romans 9 in the YAPE

Romans 9 in the YBVTP

Romans 9 in the ZBP