Acts 11 (UGV3)
1 Yih ḳhabar rasūloṅ aur Yahūdiyā ke bāqī bhāiyoṅ tak pahuṅchī ki Ġhairyahūdiyoṅ ne bhī Allāh kā kalām qabūl kiyā hai. 2 Chunāṅche jab Patras Yarūshalam wāpas āyā to Yahūdī īmāndār us par etarāz karne lage, 3 “Āp Ġhairyahūdiyoṅ ke ghar meṅ gae aur un ke sāth khānā bhī khāyā.” 4 Phir Patras ne un ke sāmne tartīb se sab kuchh bayān kiyā jo huā thā. 5 “Maiṅ Yāfā Shahr meṅ duā kar rahā thā ki wajd kī hālat meṅ ā kar royā dekhī. Āsmān se ek chīz zamīn par utar rahī hai, katān kī baṛī chādar jaisī jo apne chāroṅ konoṅ se utārī jā rahī hai. Utartī utartī wuh mujh tak pahuṅch gaī. 6 Jab maiṅ ne ġhaur se dekhā to patā chalā ki us meṅ tamām qism ke jānwar haiṅ: chār pāṅw wāle, reṅgne wāle aur parinde. 7 Phir ek āwāz mujh se muḳhātib huī, ‘Patras, uṭh. Kuchh zabah karke khā!’ 8 Maiṅ ne etarāz kiyā, ‘Hargiz nahīṅ, Ḳhudāwand, maiṅ ne kabhī bhī harām yā nāpāk khānā nahīṅ khāyā.’ 9 Lekin yih āwāz dubārā mujh se hamkalām huī, ‘Jo kuchh Allāh ne pāk kar diyā hai use nāpāk qarār na de.’ 10 Tīn martabā aisā huā, phir chādar ko jānwaroṅ samet wāpas āsmān par uṭhā liyā gayā. 11 Usī waqt tīn ādmī us ghar ke sāmne ruk gae jahāṅ maiṅ ṭhahrā huā thā. Unheṅ Qaisariyā se mere pās bhejā gayā thā. 12 Rūhul-quds ne mujhe batāyā ki maiṅ baġhair jhijke un ke sāth chalā jāūṅ. Yih mere chhih bhāī bhī mere sāth gae. Ham rawānā ho kar us ādmī ke ghar meṅ dāḳhil hue jis ne mujhe bulāyā thā. 13 Us ne hameṅ batāyā ki ek farishtā ghar meṅ us par zāhir huā thā jis ne use kahā thā, ‘Kisī ko Yāfā bhej kar Shamāūn ko bulā lo jo Patras kahlātā hai. 14 Us ke pās wuh paiġhām hai jis ke zariye tum apne pūre gharāne samet najāt pāoge.’ 15 Jab maiṅ wahāṅ bolne lagā to Rūhul-quds un par nāzil huā, bilkul usī tarah jis tarah wuh shurū meṅ ham par huā thā. 16 Phir mujhe wuh bāt yād āī jo Ḳhudāwand ne kahī thī, ‘Yahyā ne tum ko pānī se baptismā diyā, lekin tumheṅ Rūhul-quds se baptismā diyā jāegā.’ 17 Allāh ne unheṅ wuhī nemat dī jo us ne hameṅ bhī dī thī jo Ḳhudāwand Īsā Masīh par īmān lāe the. To phir maiṅ kaun thā ki Allāh ko roktā?” 18 Patras kī yih bāteṅ sun kar Yarūshalam ke īmāndār etarāz karne se bāz āe aur Allāh kī tamjīd karne lage. Unhoṅ ne kahā, “To is kā matlab hai ki Allāh ne Ġhairyahūdiyoṅ ko bhī taubā karne aur abadī zindagī pāne kā mauqā diyā hai.” 19 Jo īmāndār Stifanus kī maut ke bād kī īzārasānī se bikhar gae the wuh Fenīke, Qubrus aur Antākiyā tak pahuṅch gae. Jahāṅ bhī wuh jāte wahāṅ Allāh kā paiġhām sunāte albattā sirf Yahūdiyoṅ ko. 20 Lekin un meṅ se Kuren aur Qubrus ke kuchh ādmī Antākiyā Shahr jā kar Yūnāniyoṅ ko bhī Ḳhudāwand Īsā ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī sunāne lage. 21 Ḳhudāwand kī qudrat un ke sāth thī, aur bahut-se logoṅ ne īmān lā kar Ḳhudāwand kī taraf rujū kiyā. 22 Is kī ḳhabar Yarūshalam kī jamāt tak pahuṅch gaī to unhoṅ ne Barnabās ko Antākiyā bhej diyā. 23 Jab wuh wahāṅ pahuṅchā aur dekhā ki Allāh ke fazl se kyā kuchh huā hai to wuh ḳhush huā. Us ne un sab kī hauslā-afzāī kī ki wuh pūrī lagan se Ḳhudāwand ke sāth lipṭe raheṅ. 24 Barnabās nek ādmī thā jo Rūhul-quds aur īmān se māmūr thā. Chunāṅche us waqt bahut-se log Ḳhudāwand kī jamāt meṅ shāmil hue. 25 Is ke bād wuh Sāūl kī talāsh meṅ Tarsus chalā gayā. 26 Jab use milā to wuh use Antākiyā le āyā. Wahāṅ wuh donoṅ ek pūre sāl tak jamāt meṅ shāmil hote aur bahut-se logoṅ ko sikhāte rahe. Antākiyā pahlā maqām thā jahāṅ īmāndār Masīhī kahlāne lage. 27 Un dinoṅ kuchh nabī Yarūshalam se ā kar Antākiyā pahuṅch gae. 28 Ek kā nām Agabus thā. Wuh khaṛā huā aur Rūhul-quds kī mārifat peshgoī kī ki Rom kī pūrī mamlakat meṅ saḳht kāl paṛegā. (Yih bāt us waqt pūrī huī jab shahanshāh Klaudiyus kī hukūmat thī.) 29 Agabus kī bāt sun kar Antākiyā ke shāgirdoṅ ne faislā kiyā ki ham meṅ se har ek apnī mālī gunjāish ke mutābiq kuchh de tāki use Yahūdiyā meṅ rahne wāle bhāiyoṅ kī imdād ke lie bhejā jā sake. 30 Unhoṅ ne apne is hadiye ko Barnabās aur Sāūl ke sapurd karke wahāṅ ke buzurgoṅ ko bhej diyā.