Acts 3 (UGV3)

1 Ek dopahar Patras aur Yūhannā duā karne ke lie Baitul-muqaddas kī taraf chal paṛe. Tīn baj gae the. 2 Us waqt log ek paidāishī langaṛe ko uṭhā kar wahāṅ lā rahe the. Rozānā use sahan ke us darwāze ke pās lāyā jātā thā jo ‘Ḳhūbsūrat Darwāzā’ kahlātā thā tāki wuh Baitul-muqaddas ke sahnoṅ meṅ dāḳhil hone wāloṅ se bhīk māṅg sake. 3 Patras aur Yūhannā Baitul-muqaddas meṅ dāḳhil hone wāle the to langaṛā un se bhīk māṅgne lagā. 4 Patras aur Yūhannā ġhaur se us kī taraf deḳhne lage. Phir Patras ne kahā, “Hamārī taraf dekheṅ.” 5 Is tawaqqo se ki use kuchh milegā langaṛā un kī taraf mutawajjih huā. 6 Lekin Patras ne kahā, “Mere pās na to chāṅdī hai, na sonā, lekin jo kuchh hai wuh āp ko de detā hūṅ. Nāsarat ke Īsā Masīh ke nām se uṭheṅ aur chaleṅ-phireṅ!” 7 Us ne us kā dahnā hāth pakaṛ kar use khaṛā kiyā. Usī waqt langaṛe ke pāṅw aur ṭaḳhne mazbūt ho gae. 8 Wuh uchhal kar khaṛā huā aur chalne-phirne lagā. Phir wuh chalte, kūdte aur Allāh kī tamjīd karte hue un ke sāth Baitul-muqaddas meṅ dāḳhil huā. 9 Aur tamām logoṅ ne use chalte phirte aur Allāh kī tamjīd karte hue dekhā. 10 Jab unhoṅ ne jān liyā ki yih wuhī ādmī hai jo Ḳhūbsūrat nāmī darwāze par baiṭhā bhīk māṅgā kartā thā to wuh us kī tabdīlī dekh kar dang rah gae. 11 Wuh sab dauṛ kar Sulemān ke barāmde meṅ āe jahāṅ bhīk māṅgne wālā ab tak Patras aur Yūhannā se lipṭā huā thā. 12 Yih dekh kar Patras un se muḳhātib huā, “Isrāīl ke hazarāt, āp yih dekh kar kyoṅ hairān haiṅ? Āp kyoṅ ghūr ghūr kar hamārī taraf dekh rahe haiṅ goyā ham ne apnī zātī tāqat yā dīndārī ke bāis yih kiyā hai ki yih ādmī chal-phir sake? 13 Yih hamāre bāpdādā ke Ḳhudā, Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb ke Ḳhudā kī taraf se hai jis ne apne bande Īsā ko jalāl diyā hai. Yih wuhī Īsā hai jise āp ne dushman ke hawāle karke Pīlātus ke sāmne radd kiyā, agarche wuh use rihā karne kā faislā kar chukā thā. 14 Āp ne us Quddūs aur Rāstbāz ko radd karke taqāzā kiyā ki Pīlātus us ke ewaz ek qātil ko rihā karke āp ko de de. 15 Āp ne zindagī ke sardār ko qatl kiyā, lekin Allāh ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. Ham is bāt ke gawāh haiṅ. 16 Āp to is ādmī se wāqif haiṅ jise dekh rahe haiṅ. Ab wuh Īsā ke nām par īmān lāne se bahāl ho gayā hai, kyoṅki jo īmān Īsā ke zariye miltā hai usī ne is ādmī ko āp ke sāmne pūrī sehhatmandī atā kī. 17 Mere bhāiyo, maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp ke rāhnumāoṅ ko sahīh ilm nahīṅ thā, is lie āp ne aisā kiyā. 18 Lekin Allāh ne wuh kuchh pūrā kiyā jis kī peshgoī us ne tamām nabiyoṅ kī mārifat kī thī, yānī yih ki us kā Masīh dukh uṭhāegā. 19 Ab taubā kareṅ aur Allāh kī taraf rujū lāeṅ tāki āp ke gunāhoṅ ko miṭāyā jāe. 20 Phir āp ko Rab ke huzūr se tāzagī ke din muyassar āeṅge aur wuh dubārā Īsā yānī Masīh ko bhej degā jise āp ke lie muqarrar kiyā gayā hai. 21 Lāzim hai ki wuh us waqt tak āsmān par rahe jab tak Allāh sab kuchh bahāl na kar de, jis tarah wuh ibtidā se apne muqaddas nabiyoṅ kī zabānī farmātā āyā hai. 22 Kyoṅki Mūsā ne kahā, ‘Rab tumhārā Ḳhudā tumhāre wāste tumhāre bhāiyoṅ meṅ se mujh jaise nabī ko barpā karegā. Jo bhī bāt wuh kahe us kī sunanā. 23 Jo nahīṅ sunegā use miṭā kar qaum se nikāl diyā jāegā.’ 24 Aur Samuel se le kar har nabī ne in dinoṅ kī peshgoī kī hai. 25 Āp to in nabiyoṅ kī aulād aur us ahd ke wāris haiṅ jo Allāh ne āp ke bāpdādā se qāym kiyā thā, kyoṅki us ne Ibrāhīm se kahā thā, ‘Terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī.’ 26 Jab Allāh ne apne bande Īsā ko barpā kiyā to pahle use āp ke pās bhej diyā tāki wuh āp meṅ se har ek ko us kī burī rāhoṅ se pher kar barkat de.”

In Other Versions

Acts 3 in the ANGEFD

Acts 3 in the ANTPNG2D

Acts 3 in the AS21

Acts 3 in the BAGH

Acts 3 in the BBPNG

Acts 3 in the BBT1E

Acts 3 in the BDS

Acts 3 in the BEV

Acts 3 in the BHAD

Acts 3 in the BIB

Acts 3 in the BLPT

Acts 3 in the BNT

Acts 3 in the BNTABOOT

Acts 3 in the BNTLV

Acts 3 in the BOATCB

Acts 3 in the BOATCB2

Acts 3 in the BOBCV

Acts 3 in the BOCNT

Acts 3 in the BOECS

Acts 3 in the BOGWICC

Acts 3 in the BOHCB

Acts 3 in the BOHCV

Acts 3 in the BOHLNT

Acts 3 in the BOHNTLTAL

Acts 3 in the BOICB

Acts 3 in the BOILNTAP

Acts 3 in the BOITCV

Acts 3 in the BOKCV

Acts 3 in the BOKCV2

Acts 3 in the BOKHWOG

Acts 3 in the BOKSSV

Acts 3 in the BOLCB

Acts 3 in the BOLCB2

Acts 3 in the BOMCV

Acts 3 in the BONAV

Acts 3 in the BONCB

Acts 3 in the BONLT

Acts 3 in the BONUT2

Acts 3 in the BOPLNT

Acts 3 in the BOSCB

Acts 3 in the BOSNC

Acts 3 in the BOTLNT

Acts 3 in the BOVCB

Acts 3 in the BOYCB

Acts 3 in the BPBB

Acts 3 in the BPH

Acts 3 in the BSB

Acts 3 in the CCB

Acts 3 in the CUV

Acts 3 in the CUVS

Acts 3 in the DBT

Acts 3 in the DGDNT

Acts 3 in the DHNT

Acts 3 in the DNT

Acts 3 in the ELBE

Acts 3 in the EMTV

Acts 3 in the ESV

Acts 3 in the FBV

Acts 3 in the FEB

Acts 3 in the GGMNT

Acts 3 in the GNT

Acts 3 in the HARY

Acts 3 in the HNT

Acts 3 in the IRVA

Acts 3 in the IRVB

Acts 3 in the IRVG

Acts 3 in the IRVH

Acts 3 in the IRVK

Acts 3 in the IRVM

Acts 3 in the IRVM2

Acts 3 in the IRVO

Acts 3 in the IRVP

Acts 3 in the IRVT

Acts 3 in the IRVT2

Acts 3 in the IRVU

Acts 3 in the ISVN

Acts 3 in the JSNT

Acts 3 in the KAPI

Acts 3 in the KBT1ETNIK

Acts 3 in the KBV

Acts 3 in the KJV

Acts 3 in the KNFD

Acts 3 in the LBA

Acts 3 in the LBLA

Acts 3 in the LNT

Acts 3 in the LSV

Acts 3 in the MAAL

Acts 3 in the MBV

Acts 3 in the MBV2

Acts 3 in the MHNT

Acts 3 in the MKNFD

Acts 3 in the MNG

Acts 3 in the MNT

Acts 3 in the MNT2

Acts 3 in the MRS1T

Acts 3 in the NAA

Acts 3 in the NASB

Acts 3 in the NBLA

Acts 3 in the NBS

Acts 3 in the NBVTP

Acts 3 in the NET2

Acts 3 in the NIV11

Acts 3 in the NNT

Acts 3 in the NNT2

Acts 3 in the NNT3

Acts 3 in the PDDPT

Acts 3 in the PFNT

Acts 3 in the RMNT

Acts 3 in the SBIAS

Acts 3 in the SBIBS

Acts 3 in the SBIBS2

Acts 3 in the SBICS

Acts 3 in the SBIDS

Acts 3 in the SBIGS

Acts 3 in the SBIHS

Acts 3 in the SBIIS

Acts 3 in the SBIIS2

Acts 3 in the SBIIS3

Acts 3 in the SBIKS

Acts 3 in the SBIKS2

Acts 3 in the SBIMS

Acts 3 in the SBIOS

Acts 3 in the SBIPS

Acts 3 in the SBISS

Acts 3 in the SBITS

Acts 3 in the SBITS2

Acts 3 in the SBITS3

Acts 3 in the SBITS4

Acts 3 in the SBIUS

Acts 3 in the SBIVS

Acts 3 in the SBT

Acts 3 in the SBT1E

Acts 3 in the SCHL

Acts 3 in the SNT

Acts 3 in the SUSU

Acts 3 in the SUSU2

Acts 3 in the SYNO

Acts 3 in the TBIAOTANT

Acts 3 in the TBT1E

Acts 3 in the TBT1E2

Acts 3 in the TFTIP

Acts 3 in the TFTU

Acts 3 in the TGNTATF3T

Acts 3 in the THAI

Acts 3 in the TNFD

Acts 3 in the TNT

Acts 3 in the TNTIK

Acts 3 in the TNTIL

Acts 3 in the TNTIN

Acts 3 in the TNTIP

Acts 3 in the TNTIZ

Acts 3 in the TOMA

Acts 3 in the TTENT

Acts 3 in the UBG

Acts 3 in the UGV

Acts 3 in the UGV2

Acts 3 in the VBL

Acts 3 in the VDCC

Acts 3 in the YALU

Acts 3 in the YAPE

Acts 3 in the YBVTP

Acts 3 in the ZBP