Hebrews 10 (UGV3)

1 Mūswī sharīat āne wālī achchhī aur aslī chīzoṅ kī sirf naqlī sūrat aur sāyā hai. Yih un chīzoṅ kī aslī shakl nahīṅ hai. Is lie yih unheṅ kabhī bhī kāmil nahīṅ kar saktī jo sāl basāl aur bār bār Allāh ke huzūr ā kar wuhī qurbāniyāṅ pesh karte rahte haiṅ. 2 Agar wuh kāmil kar saktī to qurbāniyāṅ pesh karne kī zarūrat na rahtī. Kyoṅki is sūrat meṅ parastār ek bār sadā ke lie pāk-sāf ho jāte aur unheṅ gunāhgār hone kā shaūr na rahtā. 3 Lekin is ke bajāe yih qurbāniyāṅ sāl basāl logoṅ ko un ke gunāhoṅ kī yād dilātī haiṅ. 4 Kyoṅki mumkin hī nahīṅ ki bail-bakroṅ kā ḳhūn gunāhoṅ ko dūr kare. 5 Is lie Masīh duniyā meṅ āte waqt Allāh se kahtā hai,“Tū qurbāniyāṅ aur nazareṅ nahīṅ chāhtā thālekin tū ne mere lie ek jism taiyār kiyā. 6 Bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur gunāh kī qurbāniyāṅtujhe pasand nahīṅ thīṅ. 7 Phir maiṅ bol uṭhā, ‘Ai Ḳhudā, maiṅ hāzir hūṅtāki terī marzī pūrī karūṅ,jis tarah mere bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai.’” 8 Pahle Masīh kahtā hai, “Na tū qurbāniyāṅ, nazareṅ, bhasm hone wālī qurbāniyāṅ yā gunāh kī qurbāniyāṅ chāhtā thā, na unheṅ pasand kartā thā” go sharīat inheṅ pesh karne kā mutālabā kartī hai. 9 Phir wuh farmātā hai, “Maiṅ hāzir hūṅ tāki terī marzī pūrī karūṅ.” Yoṅ wuh pahlā nizām ḳhatm karke us kī jagah dūsrā nizām qāym kartā hai. 10 Aur us kī marzī pūrī ho jāne se hameṅ Īsā Masīh ke badan ke wasīle se maḳhsūs-o-muqaddas kiyā gayā hai. Kyoṅki use ek hī bār sadā ke lie hamāre lie qurbān kiyā gayā. 11 Har imām roz baroz maqdis meṅ khaṛā apnī ḳhidmat ke farāyz adā kartā hai. Rozānā aur bār bār wuh wuhī qurbāniyāṅ pesh kartā rahtā hai jo kabhī bhī gunāhoṅ ko dūr nahīṅ kar saktīṅ. 12 Lekin Masīh ne gunāhoṅ ko dūr karne ke lie ek hī qurbānī pesh kī, ek aisī qurbānī jis kā asar sadā ke lie rahegā. Phir wuh Allāh ke dahne hāth baiṭh gayā. 13 Wahīṅ wuh ab intazār kartā hai jab tak Allāh us ke dushmanoṅ ko us ke pāṅwoṅ kī chaukī na banā de. 14 Yoṅ us ne ek hī qurbānī se unheṅ sadā ke lie kāmil banā diyā hai jinheṅ muqaddas kiyā jā rahā hai. 15 Rūhul-quds bhī hameṅ is ke bāre meṅ gawāhī detā hai. Pahle wuh kahtā hai, 16 “Rab farmātā hai kijo nayā ahd maiṅ un dinoṅ ke bād un se bāndhūṅgāus ke taht maiṅ apnī sharīatun ke diloṅ meṅ ḍāl karun ke zahnoṅ par kandā karūṅga.” 17 Phir wuh kahtā hai, “Us waqt se maiṅ un ke gunāhoṅ aur burāiyoṅ ko yād nahīṅ karūṅga.” 18 Aur jahāṅ in gunāhoṅ kī muāfī huī hai wahāṅ gunāhoṅ ko dūr karne kī qurbāniyoṅ kī zarūrat hī nahīṅ rahī. 19 Chunāṅche bhāiyo, ab ham Īsā ke ḳhūn ke wasīle se pūre etamād ke sāth Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil ho sakte haiṅ. 20 Apne badan kī qurbānī se Īsā ne us kamre ke parde meṅ se guzarne kā ek nayā aur zindagībaḳhsh rāstā khol diyā. 21 Hamārā ek azīm imām-e-āzam hai jo Allāh ke ghar par muqarrar hai. 22 Is lie āeṅ, ham ḳhulūsdilī aur īmān ke pūre etamād ke sāth Allāh ke huzūr āeṅ. Kyoṅki hamāre diloṅ par Masīh kā ḳhūn chhiṛkā gayā hai tāki hamāre mujrim zamīr sāf ho jāeṅ. Nīz, hamāre badanoṅ ko pāk-sāf pānī se dhoyā gayā hai. 23 Āeṅ, ham mazbūtī se us ummīd ko thāme rakheṅ jis kā iqrār ham karte haiṅ. Ham ḍāṅwāṅḍol na ho jāeṅ, kyoṅki jis ne is ummīd kā wādā kiyā hai wuh wafādār hai. 24 Aur āeṅ, ham is par dhyān deṅ ki ham ek dūsre ko kis tarah muhabbat dikhāne aur nek kām karne par ubhār sakeṅ. 25 Ham bāham jamā hone se bāz na āeṅ, jis tarah bāz kī ādat ban gaī hai. Is ke bajāe ham ek dūsre kī hauslā-afzāī kareṅ, ḳhāskar yih bāt madd-e-nazar rakh kar ki Ḳhudāwand kā din qarīb ā rahā hai. 26 Ḳhabardār! Agar ham sachchāī jān lene ke bād bhī jān-būjh kar gunāh karte raheṅ to Masīh kī qurbānī in gunāhoṅ ko dūr nahīṅ kar sakegī. 27 Phir sirf Allāh kī adālat kī haulnāk tawaqqo bāqī rahegī, us bhaṛaktī huī āg kī jo Allāh ke muḳhālifoṅ ko bhasm kar ḍālegī. 28 Jo Mūsā kī sharīat radd kartā hai us par rahm nahīṅ kiyā jā saktā balki agar do yā is se zāyd log is jurm kī gawāhī deṅ to use sazā-e-maut dī jāe. 29 To phir kyā ḳhayāl hai, wuh kitnī saḳht sazā ke lāyq hogā jis ne Allāh ke Farzand ko pāṅwoṅ tale raundā? Jis ne ahd kā wuh ḳhūn haqīr jānā jis se use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā gayā thā? Aur jis ne fazl ke Rūh kī be'izzatī kī? 30 Kyoṅki ham use jānte haiṅ jis ne farmāyā, “Intaqām lenā merā hī kām hai, maiṅ hī badlā lūṅgā.” Us ne yih bhī kahā, “Rab apnī qaum kā insāf karegā.” 31 Yih ek haulnāk bāt hai agar zindā Ḳhudā hameṅ sazā dene ke lie pakaṛe. 32 Īmān ke pahle din yād kareṅ jab Allāh ne āp ko raushan kar diyā thā. Us waqt ke saḳht muqābale meṅ āp ko kaī tarah kā dukh sahnā paṛā, lekin āp sābitqadam rahe. 33 Kabhī kabhī āp kī be'izzatī aur awām ke sāmne hī īzārasānī hotī thī, kabhī kabhī āp un ke sāthī the jin se aisā sulūk ho rahā thā. 34 Jinheṅ jel meṅ ḍālā gayā āp un ke dukh meṅ sharīk hue aur jab āp kā māl-o-matā lūṭā gayā to āp ne yih bāt ḳhushī se bardāsht kī. Kyoṅki āp jānte the ki wuh māl ham se nahīṅ chhīn liyā gayā jo pahle kī nisbat kahīṅ behtar hai aur har sūrat meṅ qāym rahegā. 35 Chunāṅche apne is etamād ko hāth se jāne na deṅ kyoṅki is kā baṛā ajr milegā. 36 Lekin is ke lie āp ko sābitqadmī kī zarūrat hai tāki āp Allāh kī marzī pūrī kar sakeṅ aur yoṅ āp ko wuh kuchh mil jāe jis kā wādā us ne kiyā hai. 37 Kyoṅki kalām-e-muqaddas yih farmātā hai,“Thoṛī hī der bāqī haito āne wālā pahuṅchegā, wuh der nahīṅ karegā. 38 Lekin merā rāstbāz īmān hī se jītā rahegā,aur agar wuh pīchhe haṭ jāeto maiṅ us se ḳhush nahīṅ hūṅgā.” 39 Lekin ham un meṅ se nahīṅ haiṅ jo pīchhe haṭ kar tabāh ho jāeṅge balki ham un meṅ se haiṅ jo īmān rakh kar najāt pāte haiṅ.

In Other Versions

Hebrews 10 in the ANGEFD

Hebrews 10 in the ANTPNG2D

Hebrews 10 in the AS21

Hebrews 10 in the BAGH

Hebrews 10 in the BBPNG

Hebrews 10 in the BBT1E

Hebrews 10 in the BDS

Hebrews 10 in the BEV

Hebrews 10 in the BHAD

Hebrews 10 in the BIB

Hebrews 10 in the BLPT

Hebrews 10 in the BNT

Hebrews 10 in the BNTABOOT

Hebrews 10 in the BNTLV

Hebrews 10 in the BOATCB

Hebrews 10 in the BOATCB2

Hebrews 10 in the BOBCV

Hebrews 10 in the BOCNT

Hebrews 10 in the BOECS

Hebrews 10 in the BOGWICC

Hebrews 10 in the BOHCB

Hebrews 10 in the BOHCV

Hebrews 10 in the BOHLNT

Hebrews 10 in the BOHNTLTAL

Hebrews 10 in the BOICB

Hebrews 10 in the BOILNTAP

Hebrews 10 in the BOITCV

Hebrews 10 in the BOKCV

Hebrews 10 in the BOKCV2

Hebrews 10 in the BOKHWOG

Hebrews 10 in the BOKSSV

Hebrews 10 in the BOLCB

Hebrews 10 in the BOLCB2

Hebrews 10 in the BOMCV

Hebrews 10 in the BONAV

Hebrews 10 in the BONCB

Hebrews 10 in the BONLT

Hebrews 10 in the BONUT2

Hebrews 10 in the BOPLNT

Hebrews 10 in the BOSCB

Hebrews 10 in the BOSNC

Hebrews 10 in the BOTLNT

Hebrews 10 in the BOVCB

Hebrews 10 in the BOYCB

Hebrews 10 in the BPBB

Hebrews 10 in the BPH

Hebrews 10 in the BSB

Hebrews 10 in the CCB

Hebrews 10 in the CUV

Hebrews 10 in the CUVS

Hebrews 10 in the DBT

Hebrews 10 in the DGDNT

Hebrews 10 in the DHNT

Hebrews 10 in the DNT

Hebrews 10 in the ELBE

Hebrews 10 in the EMTV

Hebrews 10 in the ESV

Hebrews 10 in the FBV

Hebrews 10 in the FEB

Hebrews 10 in the GGMNT

Hebrews 10 in the GNT

Hebrews 10 in the HARY

Hebrews 10 in the HNT

Hebrews 10 in the IRVA

Hebrews 10 in the IRVB

Hebrews 10 in the IRVG

Hebrews 10 in the IRVH

Hebrews 10 in the IRVK

Hebrews 10 in the IRVM

Hebrews 10 in the IRVM2

Hebrews 10 in the IRVO

Hebrews 10 in the IRVP

Hebrews 10 in the IRVT

Hebrews 10 in the IRVT2

Hebrews 10 in the IRVU

Hebrews 10 in the ISVN

Hebrews 10 in the JSNT

Hebrews 10 in the KAPI

Hebrews 10 in the KBT1ETNIK

Hebrews 10 in the KBV

Hebrews 10 in the KJV

Hebrews 10 in the KNFD

Hebrews 10 in the LBA

Hebrews 10 in the LBLA

Hebrews 10 in the LNT

Hebrews 10 in the LSV

Hebrews 10 in the MAAL

Hebrews 10 in the MBV

Hebrews 10 in the MBV2

Hebrews 10 in the MHNT

Hebrews 10 in the MKNFD

Hebrews 10 in the MNG

Hebrews 10 in the MNT

Hebrews 10 in the MNT2

Hebrews 10 in the MRS1T

Hebrews 10 in the NAA

Hebrews 10 in the NASB

Hebrews 10 in the NBLA

Hebrews 10 in the NBS

Hebrews 10 in the NBVTP

Hebrews 10 in the NET2

Hebrews 10 in the NIV11

Hebrews 10 in the NNT

Hebrews 10 in the NNT2

Hebrews 10 in the NNT3

Hebrews 10 in the PDDPT

Hebrews 10 in the PFNT

Hebrews 10 in the RMNT

Hebrews 10 in the SBIAS

Hebrews 10 in the SBIBS

Hebrews 10 in the SBIBS2

Hebrews 10 in the SBICS

Hebrews 10 in the SBIDS

Hebrews 10 in the SBIGS

Hebrews 10 in the SBIHS

Hebrews 10 in the SBIIS

Hebrews 10 in the SBIIS2

Hebrews 10 in the SBIIS3

Hebrews 10 in the SBIKS

Hebrews 10 in the SBIKS2

Hebrews 10 in the SBIMS

Hebrews 10 in the SBIOS

Hebrews 10 in the SBIPS

Hebrews 10 in the SBISS

Hebrews 10 in the SBITS

Hebrews 10 in the SBITS2

Hebrews 10 in the SBITS3

Hebrews 10 in the SBITS4

Hebrews 10 in the SBIUS

Hebrews 10 in the SBIVS

Hebrews 10 in the SBT

Hebrews 10 in the SBT1E

Hebrews 10 in the SCHL

Hebrews 10 in the SNT

Hebrews 10 in the SUSU

Hebrews 10 in the SUSU2

Hebrews 10 in the SYNO

Hebrews 10 in the TBIAOTANT

Hebrews 10 in the TBT1E

Hebrews 10 in the TBT1E2

Hebrews 10 in the TFTIP

Hebrews 10 in the TFTU

Hebrews 10 in the TGNTATF3T

Hebrews 10 in the THAI

Hebrews 10 in the TNFD

Hebrews 10 in the TNT

Hebrews 10 in the TNTIK

Hebrews 10 in the TNTIL

Hebrews 10 in the TNTIN

Hebrews 10 in the TNTIP

Hebrews 10 in the TNTIZ

Hebrews 10 in the TOMA

Hebrews 10 in the TTENT

Hebrews 10 in the UBG

Hebrews 10 in the UGV

Hebrews 10 in the UGV2

Hebrews 10 in the VBL

Hebrews 10 in the VDCC

Hebrews 10 in the YALU

Hebrews 10 in the YAPE

Hebrews 10 in the YBVTP

Hebrews 10 in the ZBP