Jude 1 (UGV3)

1 Yih ḳhat Īsā Masīh ke ḳhādim aur Yāqūb ke bhāī Yahūdāh kī taraf se hai.Maiṅ unheṅ likh rahā hūṅ jinheṅ bulāyā gayā hai, jo Ḳhudā Bāp meṅ pyāre haiṅ aur Īsā Masīh ke lie mahfūz rakhe gae haiṅ. 2 Allāh āp ko rahm, salāmatī aur muhabbat kasrat se atā kare. 3 Azīzo, go maiṅ āp ko us najāt ke bāre meṅ likhne kā baṛā shauq rakhtā hūṅ jis meṅ ham sab sharīk haiṅ, lekin ab maiṅ āp ko ek aur bāt ke bāre meṅ likhnā chāhtā hūṅ. Maiṅ is meṅ āp ko nasīhat karne kī zarūrat mahsūs kartā hūṅ ki āp us īmān kī ḳhātir jidd-o-jahd kareṅ jo ek hī bār sadā ke lie muqaddasīn ke sapurd kar diyā gayā hai. 4 Kyoṅki kuchh log āp ke darmiyān ghus āe haiṅ jinheṅ bahut arsā pahle mujrim ṭhahrāyā jā chukā hai. Un ke bāre meṅ yih likhā gayā hai ki wuh bedīn haiṅ jo hamāre Ḳhudā ke fazl ko toṛ-maroṛ kar aiyāshī kā bāis banā dete haiṅ aur hamāre wāhid āqā aur Ḳhudāwand Īsā Masīh kā inkār karte haiṅ. 5 Go āp yih sab kuchh jānte haiṅ, phir bhī maiṅ āp ko is kī yād dilānā chāhtā hūṅ ki agarche Ḳhudāwand ne apnī qaum ko Misr se nikāl kar bachā liyā thā to bhī us ne bād meṅ unheṅ halāk kar diyā jo īmān nahīṅ rakhte the. 6 Un farishtoṅ ko yād kareṅ jo us dāyrā-e-iḳhtiyār ke andar na rahe jo Allāh ne un ke lie muqarrar kiyā thā balki jinhoṅ ne apnī rihāishgāh ko tark kar diyā. Unheṅ us ne tārīkī meṅ mahfūz rakhā hai jahāṅ wuh abadī zanjīroṅ meṅ jakaṛe hue roz-e-azīm kī adālat kā intazār kar rahe haiṅ. 7 Sadūm, Amūrā aur un ke irdgird ke shahroṅ ko bhī mat bhūlnā, jin ke bāshinde in farishtoṅ kī tarah zinākārī aur ġhairfitrī sohbat ke pīchhe paṛe rahe. Yih log abadī āg kī sazā bhugatte hue sab ke lie ek ibratnāk misāl haiṅ. 8 To bhī in logoṅ ne un kā-sā rawaiyā apnā liyā hai. Apne ḳhāboṅ kī binā par wuh apne badanoṅ ko ālūdā kar lete, Ḳhudāwand kā iḳhtiyār radd karte aur jalālī hastiyoṅ par kufr bakte haiṅ. 9 In ke muqābale meṅ sardār farishte Mīkāel ke rawaiye par ġhaur kareṅ. Jab wuh Iblīs se jhagaṛte waqt Mūsā kī lāsh ke bāre meṅ bahs-mubāhasā kar rahā thā to us ne Iblīs par kufr bakne kā faislā karne kī jurrat na kī balki sirf itnā hī kahā, “Rab āp ko ḍānṭe!” 10 Lekin yih log har aisī bāt ke bāre meṅ kufr bakte haiṅ jo un kī samajh meṅ nahīṅ ātī. Aur jo kuchh wuh fitrī taur par besamajh jānwaroṅ kī tarah samajhte haiṅ wuhī unheṅ tabāh kar detā hai. 11 Un par afsos! Unhoṅ ne Qābīl kī rāh iḳhtiyār kī hai. Paisoṅ ke lālach meṅ unhoṅ ne apne āp ko pūre taur par us ġhaltī ke hawāle kar diyā hai jo Bilām ne kī. Wuh Qorah kī tarah bāġhī ho kar halāk hue haiṅ. 12 Jab yih log Ḳhudāwand kī muhabbat ko yād karne wāle rifāqatī khānoṅ meṅ sharīk hote haiṅ to rifāqat ke lie dhabbe ban jāte haiṅ. Yih ḍare baġhair khānā khā khā kar us se mahzūz hote haiṅ. Yih aise charwāhe haiṅ jo sirf apnī gallābānī karte haiṅ. Yih aise bādal haiṅ jo hawāoṅ ke zor se chalte to haiṅ lekin baraste nahīṅ. Yih sardiyoṅ ke mausam meṅ aise daraḳhtoṅ kī mānind haiṅ jo do lihāz se murdā haiṅ. Wuh phal nahīṅ lāte aur jaṛ se ukhaṛe hue haiṅ. 13 Yih samundar kī beqābū lahroṅ kī mānind haiṅ jo apnī sharmnāk harkatoṅ kī jhāg uchhāltī haiṅ. Yih āwārā sitāre haiṅ jin ke lie Allāh ne sab se gahrī tārīkī meṅ ek dāymī jagah maḳhsūs kī hai. 14 Ādam ke bād sātweṅ ādmī Hanūk ne in logoṅ ke bāre meṅ yih peshgoī kī, “Dekho, Ḳhudāwand apne beshumār muqaddas farishtoṅ ke sāth 15 sab kī adālat karne āegā. Wuh unheṅ un tamām bedīn harkatoṅ ke sabab se mujrim ṭhahrāegā jo un se sarzad huī haiṅ aur un tamām saḳht bātoṅ kī wajah se jo bedīn gunāhgāroṅ ne us ke ḳhilāf kī haiṅ.” 16 Yih log buṛbuṛāte aur shikāyat karte rahte haiṅ. Yih sirf apnī zātī ḳhāhishāt pūrī karne ke lie zindagī guzārte haiṅ. Yih apne bāre meṅ sheḳhī mārte aur apne fāyde ke lie dūsroṅ kī ḳhushāmad karte haiṅ. 17 Lekin āp mere azīzo, wuh kuchh yād rakheṅ jis kī peshgoī hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke rasūloṅ ne kī thī. 18 Unhoṅ ne āp se kahā thā, “Āḳhirī dinoṅ meṅ mazāq uṛāne wāle hoṅge jo apnī bedīn ḳhāhishāt pūrī karne ke lie hī zindagī guzāreṅge.” 19 Yih wuh haiṅ jo pārṭībāzī karte, jo duniyāwī soch rakhte haiṅ aur jin ke pās Rūhul-quds nahīṅ hai. 20 Lekin āp mere azīzo, apne āp ko apne muqaddastarīn īmān kī buniyād par tāmīr kareṅ aur Rūhul-quds meṅ duā kareṅ. 21 Apne āp ko Allāh kī muhabbat meṅ qāym rakheṅ aur is intazār meṅ raheṅ ki hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā rahm āp ko abadī zindagī tak pahuṅchāe. 22 Un par rahm kareṅ jo shak meṅ paṛe haiṅ. 23 Bāz ko āg meṅ se chhīn kar bachāeṅ aur bāz par rahm kareṅ, lekin ḳhauf ke sāth. Balki us shaḳhs ke libās se bhī nafrat kareṅ jo apnī harkatoṅ se gunāh se ālūdā ho gayā hai. 24 Us kī tamjīd ho jo āp ko ṭhokar khāne se mahfūz rakh saktā hai aur āp ko apne jalāl ke sāmne bedāġh aur baṛī ḳhushī se māmūr karke khaṛā kar saktā hai. 25 Us wāhid Ḳhudā yānī hamāre Najātdahindā kā jalāl ho. Hāṅ, hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke wasīle se use jalāl, azmat, qudrat aur iḳhtiyār azal se ab bhī ho aur abad tak rahe. Āmīn.

In Other Versions

Jude 1 in the ANGEFD

Jude 1 in the ANTPNG2D

Jude 1 in the AS21

Jude 1 in the BAGH

Jude 1 in the BBPNG

Jude 1 in the BBT1E

Jude 1 in the BDS

Jude 1 in the BEV

Jude 1 in the BHAD

Jude 1 in the BIB

Jude 1 in the BLPT

Jude 1 in the BNT

Jude 1 in the BNTABOOT

Jude 1 in the BNTLV

Jude 1 in the BOATCB

Jude 1 in the BOATCB2

Jude 1 in the BOBCV

Jude 1 in the BOCNT

Jude 1 in the BOECS

Jude 1 in the BOGWICC

Jude 1 in the BOHCB

Jude 1 in the BOHCV

Jude 1 in the BOHLNT

Jude 1 in the BOHNTLTAL

Jude 1 in the BOICB

Jude 1 in the BOILNTAP

Jude 1 in the BOITCV

Jude 1 in the BOKCV

Jude 1 in the BOKCV2

Jude 1 in the BOKHWOG

Jude 1 in the BOKSSV

Jude 1 in the BOLCB

Jude 1 in the BOLCB2

Jude 1 in the BOMCV

Jude 1 in the BONAV

Jude 1 in the BONCB

Jude 1 in the BONLT

Jude 1 in the BONUT2

Jude 1 in the BOPLNT

Jude 1 in the BOSCB

Jude 1 in the BOSNC

Jude 1 in the BOTLNT

Jude 1 in the BOVCB

Jude 1 in the BOYCB

Jude 1 in the BPBB

Jude 1 in the BPH

Jude 1 in the BSB

Jude 1 in the CCB

Jude 1 in the CUV

Jude 1 in the CUVS

Jude 1 in the DBT

Jude 1 in the DGDNT

Jude 1 in the DHNT

Jude 1 in the DNT

Jude 1 in the ELBE

Jude 1 in the EMTV

Jude 1 in the ESV

Jude 1 in the FBV

Jude 1 in the FEB

Jude 1 in the GGMNT

Jude 1 in the GNT

Jude 1 in the HARY

Jude 1 in the HNT

Jude 1 in the IRVA

Jude 1 in the IRVB

Jude 1 in the IRVG

Jude 1 in the IRVH

Jude 1 in the IRVK

Jude 1 in the IRVM

Jude 1 in the IRVM2

Jude 1 in the IRVO

Jude 1 in the IRVP

Jude 1 in the IRVT

Jude 1 in the IRVT2

Jude 1 in the IRVU

Jude 1 in the ISVN

Jude 1 in the JSNT

Jude 1 in the KAPI

Jude 1 in the KBT1ETNIK

Jude 1 in the KBV

Jude 1 in the KJV

Jude 1 in the KNFD

Jude 1 in the LBA

Jude 1 in the LBLA

Jude 1 in the LNT

Jude 1 in the LSV

Jude 1 in the MAAL

Jude 1 in the MBV

Jude 1 in the MBV2

Jude 1 in the MHNT

Jude 1 in the MKNFD

Jude 1 in the MNG

Jude 1 in the MNT

Jude 1 in the MNT2

Jude 1 in the MRS1T

Jude 1 in the NAA

Jude 1 in the NASB

Jude 1 in the NBLA

Jude 1 in the NBS

Jude 1 in the NBVTP

Jude 1 in the NET2

Jude 1 in the NIV11

Jude 1 in the NNT

Jude 1 in the NNT2

Jude 1 in the NNT3

Jude 1 in the PDDPT

Jude 1 in the PFNT

Jude 1 in the RMNT

Jude 1 in the SBIAS

Jude 1 in the SBIBS

Jude 1 in the SBIBS2

Jude 1 in the SBICS

Jude 1 in the SBIDS

Jude 1 in the SBIGS

Jude 1 in the SBIHS

Jude 1 in the SBIIS

Jude 1 in the SBIIS2

Jude 1 in the SBIIS3

Jude 1 in the SBIKS

Jude 1 in the SBIKS2

Jude 1 in the SBIMS

Jude 1 in the SBIOS

Jude 1 in the SBIPS

Jude 1 in the SBISS

Jude 1 in the SBITS

Jude 1 in the SBITS2

Jude 1 in the SBITS3

Jude 1 in the SBITS4

Jude 1 in the SBIUS

Jude 1 in the SBIVS

Jude 1 in the SBT

Jude 1 in the SBT1E

Jude 1 in the SCHL

Jude 1 in the SNT

Jude 1 in the SUSU

Jude 1 in the SUSU2

Jude 1 in the SYNO

Jude 1 in the TBIAOTANT

Jude 1 in the TBT1E

Jude 1 in the TBT1E2

Jude 1 in the TFTIP

Jude 1 in the TFTU

Jude 1 in the TGNTATF3T

Jude 1 in the THAI

Jude 1 in the TNFD

Jude 1 in the TNT

Jude 1 in the TNTIK

Jude 1 in the TNTIL

Jude 1 in the TNTIN

Jude 1 in the TNTIP

Jude 1 in the TNTIZ

Jude 1 in the TOMA

Jude 1 in the TTENT

Jude 1 in the UBG

Jude 1 in the UGV

Jude 1 in the UGV2

Jude 1 in the VBL

Jude 1 in the VDCC

Jude 1 in the YALU

Jude 1 in the YAPE

Jude 1 in the YBVTP

Jude 1 in the ZBP