Matthew 18 (UGV3)

1 Us waqt shāgird Īsā ke pās ā kar pūchhne lage, “Āsmān kī bādshāhī meṅ kaun sab se baṛā hai?” 2 Jawāb meṅ Īsā ne ek chhoṭe bachche ko bulā kar un ke darmiyān khaṛā kiyā 3 aur kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ agar tum badal kar chhoṭe bachchoṅ kī mānind na bano to tum kabhī āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil nahīṅ hoge. 4 Is lie jo bhī apne āp ko is bachche kī tarah chhoṭā banāegā wuh āsmān meṅ sab se baṛā hogā. 5 Aur jo bhī mere nām meṅ is jaise chhoṭe bachche ko qabūl kare wuh mujhe qabūl kartā hai. 6 Lekin jo koī in chhoṭoṅ meṅ se kisī ko gunāh karne par uksāe us ke lie behtar hai ki us ke gale meṅ baṛī chakkī kā pāṭ bāndh kar use samundar kī gahrāiyoṅ meṅ ḍubo diyā jāe. 7 Duniyā par un chīzoṅ kī wajah se afsos jo gunāh karne par uksātī haiṅ. Lāzim hai ki aisī āzmāisheṅ āeṅ, lekin us shaḳhs par afsos jis kī mārifat wuh āeṅ. 8 Agar terā hāth yā pāṅw tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ kar phaiṅk denā. Is se pahle ki tujhe do hāthoṅ yā do pāṅwoṅ samet jahannum kī abadī āg meṅ phaiṅkā jāe, behtar yih hai ki ek hāth yā pāṅw se mahrūm ho kar abadī zindagī meṅ dāḳhil ho. 9 Aur agar terī āṅkh tujhe gunāh karne par uksāe to use nikāl kar phaiṅk denā. Is se pahle ki tujhe do āṅkhoṅ samet jahannum kī āg meṅ phaiṅkā jāe behtar yih hai ki ek āṅkh se mahrūm ho kar abadī zindagī meṅ dāḳhil ho. 10 Ḳhabardār! Tum in chhoṭoṅ meṅ se kisī ko bhī haqīr na jānanā. Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki āsmān par in ke farishte har waqt mere Bāp ke chehre ko deḳhte rahte haiṅ. 11 [Kyoṅki Ibn-e-Ādam khoe huoṅ ko ḍhūṅḍne aur najāt dene āyā hai.] 12 Tumhārā kyā ḳhayāl hai? Agar kisī ādmī kī 100 bheṛeṅ hoṅ aur ek bhaṭak kar gum ho jāe to wuh kyā karegā? Kyā wuh bāqī 99 bheṛeṅ pahāṛī ilāqe meṅ chhoṛ kar bhaṭkī huī bheṛ ko ḍhūṅḍne nahīṅ jāegā? 13 Aur maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki bhaṭkī huī bheṛ ke milne par wuh us ke bāre meṅ un bāqī 99 bheṛoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā ḳhushī manāegā jo bhaṭkī nahīṅ. 14 Bilkul isī tarah āsmān par tumhārā Bāp nahīṅ chāhtā ki in chhoṭoṅ meṅ se ek bhī halāk ho jāe. 15 Agar tere bhāī ne terā gunāh kiyā ho to akele us ke pās jā kar us par us kā gunāh zāhir kar. Agar wuh terī bāt māne to tū ne apne bhāī ko jīt liyā. 16 Lekin agar wuh na māne to ek yā do aur logoṅ ko apne sāth le jā tāki tumhārī har bāt kī do yā tīn gawāhoṅ se tasdīq ho jāe. 17 Agar wuh un kī bāt bhī na māne to jamāt ko batā denā. Aur agar wuh jamāt kī bhī na māne to us ke sāth ġhairīmāndār yā ṭaiks lene wāle kā-sā sulūk kar. 18 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo kuchh bhī tum zamīn par bāndhoge āsmān par bhī bandhegā, aur jo kuchh zamīn par khologe āsmān par bhī khulegā. 19 Maiṅ tum ko yih bhī batātā hūṅ ki agar tum meṅ se do shaḳhs kisī bāt ko māṅgne par muttafiq ho jāeṅ to merā āsmānī Bāp tum ko baḳhshegā. 20 Kyoṅki jahāṅ bhī do yā tīn afrād mere nām meṅ jamā ho jāeṅ wahāṅ maiṅ un ke darmiyān hūṅgā.” 21 Phir Patras ne Īsā ke pās ā kar pūchhā, “Ḳhudāwand, jab merā bhāī merā gunāh kare to maiṅ kitnī bār use muāf karūṅ? Sāt bār tak?” 22 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe batātā hūṅ, sāt bār nahīṅ balki 77 bār. 23 Is lie āsmān kī bādshāhī ek bādshāh kī mānind hai jo apne naukaroṅ ke karzoṅ kā hisāb-kitāb karnā chāhtā thā. 24 Hisāb-kitāb shurū karte waqt ek ādmī us ke sāmne pesh kiyā gayā jo Araboṅ ke hisāb se us kā qarzdār thā. 25 Wuh yih raqam adā na kar sakā, is lie us ke mālik ne yih qarz wasūl karne ke lie hukm diyā ki use bāl-bachchoṅ aur tamām milkiyat samet faroḳht kar diyā jāe. 26 Yih sun kar naukar muṅh ke bal girā aur minnat karne lagā, ‘Mujhe muhlat deṅ, maiṅ pūrī raqam adā kar dūṅgā.’ 27 Bādshāh ko us par tars āyā. Us ne us kā qarz muāf karke use jāne diyā. 28 Lekin jab yihī naukar bāhar niklā to ek hamḳhidmat milā jo us kā chand hazār rūpoṅ kā qarzdār thā. Use pakaṛ kar wuh us kā galā dabā kar kahne lagā, ‘Apnā qarz adā kar!’ 29 Dūsrā naukar gir kar minnat karne lagā, ‘Mujhe muhlat deṅ, maiṅ āp ko sārī raqam adā kar dūṅgā.’ 30 Lekin wuh is ke lie taiyār na huā, balki jā kar use us waqt tak jel meṅ ḍalwāyā jab tak wuh pūrī raqam adā na kar de. 31 Jab bāqī naukaroṅ ne yih dekhā to unheṅ shadīd dukh huā aur unhoṅ ne apne mālik ke pās jā kar sab kuchh batā diyā jo huā thā. 32 Is par mālik ne us naukar ko apne pās bulā liyā aur kahā, ‘Sharīr naukar! Jab tū ne merī minnat kī to maiṅ ne terā pūrā qarz muāf kar diyā. 33 Kyā lāzim na thā ki tū bhī apne sāthī naukar par utnā rahm kartā jitnā maiṅ ne tujh par kiyā thā?’ 34 Ġhusse meṅ mālik ne use jel ke afsaroṅ ke hawāle kar diyā tāki us par us waqt tak tashaddud kiyā jāe jab tak wuh qarz kī pūrī raqam adā na kar de. 35 Merā āsmānī Bāp tum meṅ se har ek ke sāth bhī aisā hī karegā agar tum ne apne bhāī ko pūre dil se muāf na kiyā.”

In Other Versions

Matthew 18 in the ANGEFD

Matthew 18 in the ANTPNG2D

Matthew 18 in the AS21

Matthew 18 in the BAGH

Matthew 18 in the BBPNG

Matthew 18 in the BBT1E

Matthew 18 in the BDS

Matthew 18 in the BEV

Matthew 18 in the BHAD

Matthew 18 in the BIB

Matthew 18 in the BLPT

Matthew 18 in the BNT

Matthew 18 in the BNTABOOT

Matthew 18 in the BNTLV

Matthew 18 in the BOATCB

Matthew 18 in the BOATCB2

Matthew 18 in the BOBCV

Matthew 18 in the BOCNT

Matthew 18 in the BOECS

Matthew 18 in the BOGWICC

Matthew 18 in the BOHCB

Matthew 18 in the BOHCV

Matthew 18 in the BOHLNT

Matthew 18 in the BOHNTLTAL

Matthew 18 in the BOICB

Matthew 18 in the BOILNTAP

Matthew 18 in the BOITCV

Matthew 18 in the BOKCV

Matthew 18 in the BOKCV2

Matthew 18 in the BOKHWOG

Matthew 18 in the BOKSSV

Matthew 18 in the BOLCB

Matthew 18 in the BOLCB2

Matthew 18 in the BOMCV

Matthew 18 in the BONAV

Matthew 18 in the BONCB

Matthew 18 in the BONLT

Matthew 18 in the BONUT2

Matthew 18 in the BOPLNT

Matthew 18 in the BOSCB

Matthew 18 in the BOSNC

Matthew 18 in the BOTLNT

Matthew 18 in the BOVCB

Matthew 18 in the BOYCB

Matthew 18 in the BPBB

Matthew 18 in the BPH

Matthew 18 in the BSB

Matthew 18 in the CCB

Matthew 18 in the CUV

Matthew 18 in the CUVS

Matthew 18 in the DBT

Matthew 18 in the DGDNT

Matthew 18 in the DHNT

Matthew 18 in the DNT

Matthew 18 in the ELBE

Matthew 18 in the EMTV

Matthew 18 in the ESV

Matthew 18 in the FBV

Matthew 18 in the FEB

Matthew 18 in the GGMNT

Matthew 18 in the GNT

Matthew 18 in the HARY

Matthew 18 in the HNT

Matthew 18 in the IRVA

Matthew 18 in the IRVB

Matthew 18 in the IRVG

Matthew 18 in the IRVH

Matthew 18 in the IRVK

Matthew 18 in the IRVM

Matthew 18 in the IRVM2

Matthew 18 in the IRVO

Matthew 18 in the IRVP

Matthew 18 in the IRVT

Matthew 18 in the IRVT2

Matthew 18 in the IRVU

Matthew 18 in the ISVN

Matthew 18 in the JSNT

Matthew 18 in the KAPI

Matthew 18 in the KBT1ETNIK

Matthew 18 in the KBV

Matthew 18 in the KJV

Matthew 18 in the KNFD

Matthew 18 in the LBA

Matthew 18 in the LBLA

Matthew 18 in the LNT

Matthew 18 in the LSV

Matthew 18 in the MAAL

Matthew 18 in the MBV

Matthew 18 in the MBV2

Matthew 18 in the MHNT

Matthew 18 in the MKNFD

Matthew 18 in the MNG

Matthew 18 in the MNT

Matthew 18 in the MNT2

Matthew 18 in the MRS1T

Matthew 18 in the NAA

Matthew 18 in the NASB

Matthew 18 in the NBLA

Matthew 18 in the NBS

Matthew 18 in the NBVTP

Matthew 18 in the NET2

Matthew 18 in the NIV11

Matthew 18 in the NNT

Matthew 18 in the NNT2

Matthew 18 in the NNT3

Matthew 18 in the PDDPT

Matthew 18 in the PFNT

Matthew 18 in the RMNT

Matthew 18 in the SBIAS

Matthew 18 in the SBIBS

Matthew 18 in the SBIBS2

Matthew 18 in the SBICS

Matthew 18 in the SBIDS

Matthew 18 in the SBIGS

Matthew 18 in the SBIHS

Matthew 18 in the SBIIS

Matthew 18 in the SBIIS2

Matthew 18 in the SBIIS3

Matthew 18 in the SBIKS

Matthew 18 in the SBIKS2

Matthew 18 in the SBIMS

Matthew 18 in the SBIOS

Matthew 18 in the SBIPS

Matthew 18 in the SBISS

Matthew 18 in the SBITS

Matthew 18 in the SBITS2

Matthew 18 in the SBITS3

Matthew 18 in the SBITS4

Matthew 18 in the SBIUS

Matthew 18 in the SBIVS

Matthew 18 in the SBT

Matthew 18 in the SBT1E

Matthew 18 in the SCHL

Matthew 18 in the SNT

Matthew 18 in the SUSU

Matthew 18 in the SUSU2

Matthew 18 in the SYNO

Matthew 18 in the TBIAOTANT

Matthew 18 in the TBT1E

Matthew 18 in the TBT1E2

Matthew 18 in the TFTIP

Matthew 18 in the TFTU

Matthew 18 in the TGNTATF3T

Matthew 18 in the THAI

Matthew 18 in the TNFD

Matthew 18 in the TNT

Matthew 18 in the TNTIK

Matthew 18 in the TNTIL

Matthew 18 in the TNTIN

Matthew 18 in the TNTIP

Matthew 18 in the TNTIZ

Matthew 18 in the TOMA

Matthew 18 in the TTENT

Matthew 18 in the UBG

Matthew 18 in the UGV

Matthew 18 in the UGV2

Matthew 18 in the VBL

Matthew 18 in the VDCC

Matthew 18 in the YALU

Matthew 18 in the YAPE

Matthew 18 in the YBVTP

Matthew 18 in the ZBP