Matthew 22 (UGV3)

1 Īsā ne ek bār phir tamsīloṅ meṅ un se bāt kī. 2 “Āsmān kī bādshāhī ek bādshāh se mutābiqat rakhtī hai jis ne apne beṭe kī shādī kī ziyāfat kī taiyāriyāṅ karwāīṅ. 3 Jab ziyāfat kā waqt ā gayā to us ne apne naukaroṅ ko mehmānoṅ ke pās yih ittalā dene ke lie bhejā ki wuh āeṅ, lekin wuh ānā nahīṅ chāhte the. 4 Phir us ne mazīd kuchh naukaroṅ ko bhej kar kahā, ‘Mehmānoṅ ko batānā ki maiṅ ne apnā khānā taiyār kar rakhā hai. Bailoṅ aur moṭe-tāze bachhṛoṅ ko zabah kiyā gayā hai, 5 sab kuchh taiyār hai. Āeṅ, ziyāfat meṅ sharīk ho jāeṅ.’ Lekin mehmānoṅ ne parwā na kī balki apne muḳhtalif kāmoṅ meṅ lag gae. Ek apne khet ko chalā gayā, dūsrā apne kārobār meṅ masrūf ho gayā. 6 Bāqiyoṅ ne bādshāh ke naukaroṅ ko pakaṛ liyā aur un se burā sulūk karke unheṅ qatl kiyā. 7 Bādshāh baṛe taish meṅ ā gayā. Us ne apnī fauj ko bhej kar qātiloṅ ko tabāh kar diyā aur un kā shahr jalā diyā. 8 Phir us ne apne naukaroṅ se kahā, ‘Shādī kī ziyāfat to taiyār hai, lekin jin mehmānoṅ ko maiṅ ne dāwat dī thī wuh āne ke lāyq nahīṅ the. 9 Ab wahāṅ jāo jahāṅ saṛakeṅ shahr se nikaltī haiṅ aur jis se bhī mulāqāt ho jāe use ziyāfat ke lie dāwat de denā.’ 10 Chunāṅche naukar saṛakoṅ par nikle aur jis se bhī mulāqāt huī use lāe, ḳhāh wuh achchhā thā yā burā. Yoṅ shādī hāl mehmānoṅ se bhar gayā. 11 Lekin jab bādshāh mehmānoṅ se milne ke lie andar āyā to use ek ādmī nazar āyā jis ne shādī ke lie munāsib kapṛe nahīṅ pahne the. 12 Bādshāh ne pūchhā, ‘Dost, tum shādī kā libās pahne baġhair andar kis tarah āe?’ Wuh ādmī koī jawāb na de sakā. 13 Phir bādshāh ne apne darbāriyoṅ ko hukm diyā, ‘Is ke hāth aur pāṅw bāndh kar ise bāhar tārīkī meṅ phaiṅk do, wahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.’ 14 Kyoṅki bulāe hue to bahut haiṅ, lekin chune hue kam.” 15 Phir Farīsiyoṅ ne jā kar āpas meṅ mashwarā kiyā ki ham Īsā ko kis tarah aisī bāt karne ke lie ubhāreṅ jis se use pakaṛā jā sake. 16 Is maqsad ke taht unhoṅ ne apne shāgirdoṅ ko Herodes ke pairokāroṅ samet Īsā ke pās bhejā. Unhoṅ ne kahā, “Ustād, ham jānte haiṅ ki āp sachche haiṅ aur diyānatdārī se Allāh kī rāh kī tālīm dete haiṅ. Āp kisī kī parwā nahīṅ karte kyoṅki āp ġhairjānibdār haiṅ. 17 Ab hameṅ apnī rāy batāeṅ. Kyā Romī shahanshāh ko ṭaiks denā jāyz hai yā nājāyz?” 18 Lekin Īsā ne un kī burī nīyat pahchān lī. Us ne kahā, “Riyākāro, tum mujhe kyoṅ phaṅsānā chāhte ho? 19 Mujhe wuh sikkā dikhāo jo ṭaiks adā karne ke lie istemāl hotā hai.”Wuh us ke pās chāṅdī kā ek Romī sikkā le āe 20 to us ne pūchhā, “Kis kī sūrat aur nām is par kandā hai?” 21 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Shahanshāh kā.”Us ne kahā, “To jo shahanshāh kā hai shahanshāh ko do aur jo Allāh kā hai Allāh ko.” 22 Us kā yih jawāb sun kar wuh hakkā-bakkā rah gae aur use chhoṛ kar chale gae. 23 Us din Sadūqī Īsā ke pās āe. Sadūqī nahīṅ mānte ki roz-e-qiyāmat murde jī uṭheṅge. Unhoṅ ne Īsā se ek sawāl kiyā. 24 “Ustād, Mūsā ne hameṅ hukm diyā ki agar koī shādīshudā ādmī beaulād mar jāe aur us kā bhāī ho to bhāī kā farz hai ki wuh bewā se shādī karke apne bhāī ke lie aulād paidā kare. 25 Ab farz kareṅ ki hamāre darmiyān sāt bhāī the. Pahle ne shādī kī, lekin beaulād faut huā. Is lie dūsre bhāī ne bewā se shādī kī. 26 Lekin wuh bhī beaulād mar gayā. Phir tīsre bhāī ne us se shādī kī. Yih silsilā sātweṅ bhāī tak jārī rahā. Yake bād dīgare har bhāī bewā se shādī karne ke bād mar gayā. 27 Āḳhir meṅ bewā bhī faut ho gaī. 28 Ab batāeṅ ki qiyāmat ke din wuh kis kī bīwī hogī? Kyoṅki sāt ke sāt bhāiyoṅ ne us se shādī kī thī.” 29 Īsā ne jawāb diyā, “Tum is lie ġhaltī par ho ki na tum kalām-e-muqaddas se wāqif ho, na Allāh kī qudrat se. 30 Kyoṅki qiyāmat ke din log na shādī kareṅge na un kī shādī karāī jāegī balki wuh āsmān par farishtoṅ kī mānind hoṅge. 31 Rahī yih bāt ki murde jī uṭheṅge, kyā tum ne wuh bāt nahīṅ paṛhī jo Allāh ne tum se kahī? 32 Us ne farmāyā, ‘Maiṅ Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ,’ hālāṅki us waqt tīnoṅ kāfī arse se mar chuke the. Is kā matlab hai ki yih haqīqat meṅ zindā haiṅ. Kyoṅki Allāh murdoṅ kā nahīṅ balki zindoṅ kā Ḳhudā hai.” 33 Yih sun kar hujūm us kī tālīm ke bāis hairān rah gayā. 34 Jab Farīsiyoṅ ne sunā ki Īsā ne Sadūqiyoṅ ko lājawāb kar diyā hai to wuh jamā hue. 35 Un meṅ se ek ne jo sharīat kā ālim thā use phaṅsāne ke lie sawāl kiyā, 36 “Ustād, sharīat meṅ sab se baṛā hukm kaun-sā hai?” 37 Īsā ne jawāb diyā, “‘Rab apne Ḳhudā se apne pūre dil, apnī pūrī jān aur apne pūre zahan se pyār karnā.’ 38 Yih awwal aur sab se baṛā hukm hai. 39 Aur dūsrā hukm is ke barābar yih hai, ‘Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.’ 40 Tamām sharīat aur nabiyoṅ kī tālīmāt in do ahkām par mabnī haiṅ.” 41 Jab Farīsī ikaṭṭhe the to Īsā ne un se pūchhā, 42 “Tumhārā Masīh ke bāre meṅ kyā ḳhayāl hai? Wuh kis kā farzand hai?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh Dāūd kā farzand hai.” 43 Īsā ne kahā, “To phir Dāūd Rūhul-quds kī mārifat use kis tarah ‘Rab’ kahtā hai? Kyoṅki wuh farmātā hai, 44 ‘Rab ne mere Rab se kahā,mere dahne hāth baiṭh,jab tak maiṅ tere dushmanoṅ kotere pāṅwoṅ ke nīche na kar dūṅ.’ 45 Dāūd to ḳhud Masīh ko Rab kahtā hai. To phir wuh kis tarah us kā farzand ho saktā hai?” 46 Koī bhī jawāb na de sakā, aur us din se kisī ne bhī us se mazīd kuchh pūchhne kī jurrat na kī.

In Other Versions

Matthew 22 in the ANGEFD

Matthew 22 in the ANTPNG2D

Matthew 22 in the AS21

Matthew 22 in the BAGH

Matthew 22 in the BBPNG

Matthew 22 in the BBT1E

Matthew 22 in the BDS

Matthew 22 in the BEV

Matthew 22 in the BHAD

Matthew 22 in the BIB

Matthew 22 in the BLPT

Matthew 22 in the BNT

Matthew 22 in the BNTABOOT

Matthew 22 in the BNTLV

Matthew 22 in the BOATCB

Matthew 22 in the BOATCB2

Matthew 22 in the BOBCV

Matthew 22 in the BOCNT

Matthew 22 in the BOECS

Matthew 22 in the BOGWICC

Matthew 22 in the BOHCB

Matthew 22 in the BOHCV

Matthew 22 in the BOHLNT

Matthew 22 in the BOHNTLTAL

Matthew 22 in the BOICB

Matthew 22 in the BOILNTAP

Matthew 22 in the BOITCV

Matthew 22 in the BOKCV

Matthew 22 in the BOKCV2

Matthew 22 in the BOKHWOG

Matthew 22 in the BOKSSV

Matthew 22 in the BOLCB

Matthew 22 in the BOLCB2

Matthew 22 in the BOMCV

Matthew 22 in the BONAV

Matthew 22 in the BONCB

Matthew 22 in the BONLT

Matthew 22 in the BONUT2

Matthew 22 in the BOPLNT

Matthew 22 in the BOSCB

Matthew 22 in the BOSNC

Matthew 22 in the BOTLNT

Matthew 22 in the BOVCB

Matthew 22 in the BOYCB

Matthew 22 in the BPBB

Matthew 22 in the BPH

Matthew 22 in the BSB

Matthew 22 in the CCB

Matthew 22 in the CUV

Matthew 22 in the CUVS

Matthew 22 in the DBT

Matthew 22 in the DGDNT

Matthew 22 in the DHNT

Matthew 22 in the DNT

Matthew 22 in the ELBE

Matthew 22 in the EMTV

Matthew 22 in the ESV

Matthew 22 in the FBV

Matthew 22 in the FEB

Matthew 22 in the GGMNT

Matthew 22 in the GNT

Matthew 22 in the HARY

Matthew 22 in the HNT

Matthew 22 in the IRVA

Matthew 22 in the IRVB

Matthew 22 in the IRVG

Matthew 22 in the IRVH

Matthew 22 in the IRVK

Matthew 22 in the IRVM

Matthew 22 in the IRVM2

Matthew 22 in the IRVO

Matthew 22 in the IRVP

Matthew 22 in the IRVT

Matthew 22 in the IRVT2

Matthew 22 in the IRVU

Matthew 22 in the ISVN

Matthew 22 in the JSNT

Matthew 22 in the KAPI

Matthew 22 in the KBT1ETNIK

Matthew 22 in the KBV

Matthew 22 in the KJV

Matthew 22 in the KNFD

Matthew 22 in the LBA

Matthew 22 in the LBLA

Matthew 22 in the LNT

Matthew 22 in the LSV

Matthew 22 in the MAAL

Matthew 22 in the MBV

Matthew 22 in the MBV2

Matthew 22 in the MHNT

Matthew 22 in the MKNFD

Matthew 22 in the MNG

Matthew 22 in the MNT

Matthew 22 in the MNT2

Matthew 22 in the MRS1T

Matthew 22 in the NAA

Matthew 22 in the NASB

Matthew 22 in the NBLA

Matthew 22 in the NBS

Matthew 22 in the NBVTP

Matthew 22 in the NET2

Matthew 22 in the NIV11

Matthew 22 in the NNT

Matthew 22 in the NNT2

Matthew 22 in the NNT3

Matthew 22 in the PDDPT

Matthew 22 in the PFNT

Matthew 22 in the RMNT

Matthew 22 in the SBIAS

Matthew 22 in the SBIBS

Matthew 22 in the SBIBS2

Matthew 22 in the SBICS

Matthew 22 in the SBIDS

Matthew 22 in the SBIGS

Matthew 22 in the SBIHS

Matthew 22 in the SBIIS

Matthew 22 in the SBIIS2

Matthew 22 in the SBIIS3

Matthew 22 in the SBIKS

Matthew 22 in the SBIKS2

Matthew 22 in the SBIMS

Matthew 22 in the SBIOS

Matthew 22 in the SBIPS

Matthew 22 in the SBISS

Matthew 22 in the SBITS

Matthew 22 in the SBITS2

Matthew 22 in the SBITS3

Matthew 22 in the SBITS4

Matthew 22 in the SBIUS

Matthew 22 in the SBIVS

Matthew 22 in the SBT

Matthew 22 in the SBT1E

Matthew 22 in the SCHL

Matthew 22 in the SNT

Matthew 22 in the SUSU

Matthew 22 in the SUSU2

Matthew 22 in the SYNO

Matthew 22 in the TBIAOTANT

Matthew 22 in the TBT1E

Matthew 22 in the TBT1E2

Matthew 22 in the TFTIP

Matthew 22 in the TFTU

Matthew 22 in the TGNTATF3T

Matthew 22 in the THAI

Matthew 22 in the TNFD

Matthew 22 in the TNT

Matthew 22 in the TNTIK

Matthew 22 in the TNTIL

Matthew 22 in the TNTIN

Matthew 22 in the TNTIP

Matthew 22 in the TNTIZ

Matthew 22 in the TOMA

Matthew 22 in the TTENT

Matthew 22 in the UBG

Matthew 22 in the UGV

Matthew 22 in the UGV2

Matthew 22 in the VBL

Matthew 22 in the VDCC

Matthew 22 in the YALU

Matthew 22 in the YAPE

Matthew 22 in the YBVTP

Matthew 22 in the ZBP