Matthew 5 (UGV3)

1 Bhīṛ ko dekh kar Īsā pahāṛ par chaṛh kar baiṭh gayā. Us ke shāgird us ke pās āe 2 aur wuh unheṅ yih tālīm dene lagā: 3 “Mubārak haiṅ wuh jin kī rūh zarūratmand hai, kyoṅki āsmān kī bādshāhī unhīṅ kī hai. 4 Mubārak haiṅ wuh jo mātam karte haiṅ, kyoṅki unheṅ tasallī dī jāegī. 5 Mubārak haiṅ wuh jo halīm haiṅ, kyoṅki wuh zamīn wirse meṅ pāeṅge. 6 Mubārak haiṅ wuh jinheṅ rāstbāzī kī bhūk aur pyās hai, kyoṅki wuh ser ho jāeṅge. 7 Mubārak haiṅ wuh jo rahm dil haiṅ, kyoṅki un par rahm kiyā jāegā. 8 Mubārak haiṅ wuh jo ḳhālis dil haiṅ, kyoṅki wuh Allāh ko dekheṅge. 9 Mubārak haiṅ wuh jo sulah karāte haiṅ, kyoṅki wuh Allāh ke farzand kahlāeṅge. 10 Mubārak haiṅ wuh jin ko rāstbāz hone ke sabab se satāyā jātā hai, kyoṅki unheṅ āsmān kī bādshāhī wirse meṅ milegī. 11 Mubārak ho tum jab log merī wajah se tumheṅ lān-tān karte, tumheṅ satāte aur tumhāre bāre meṅ har qism kī burī aur jhūṭī bāt karte haiṅ. 12 Ḳhushī manāo aur bāġh bāġh ho jāo, tum ko āsmān par baṛā ajr milegā. Kyoṅki isī tarah unhoṅ ne tum se pahle nabiyoṅ ko bhī īzā pahuṅchāī thī. 13 Tum duniyā kā namak ho. Lekin agar namak kā zāyqā jātā rahe to phir use kyoṅkar dubārā namkīn kiyā jā saktā hai? Wuh kisī bhī kām kā nahīṅ rahā balki bāhar phaiṅkā jāegā jahāṅ wuh logoṅ ke pāṅwoṅ tale raundā jāegā. 14 Tum duniyā kī raushnī ho. Pahāṛ par wāqe shahr kī tarah tum ko chhupāyā nahīṅ jā saktā. 15 Jab koī charāġh jalātā hai to wuh use bartan ke nīche nahīṅ rakhtā balki shamādān par rakh detā hai jahāṅ se wuh ghar ke tamām afrād ko raushnī detā hai. 16 Isī tarah tumhārī raushnī bhī logoṅ ke sāmne chamke tāki wuh tumhāre nek kām dekh kar tumhāre āsmānī Bāp ko jalāl deṅ. 17 Yih na samjho ki maiṅ Mūswī sharīat aur nabiyoṅ kī bātoṅ ko mansūḳh karne āyā hūṅ. Mansūḳh karne nahīṅ balki un kī takmīl karne āyā hūṅ. 18 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jab tak āsmān-o-zamīn qāym raheṅge tab tak sharīat bhī qāym rahegī—na us kā koī harf, na us kā koī zer yā zabar mansūḳh hogā jab tak sab kuchh pūrā na ho jāe. 19 Jo in sab se chhoṭe ahkām meṅ se ek ko bhī mansūḳh kare aur logoṅ ko aisā karnā sikhāe use āsmān kī bādshāhī meṅ sab se chhoṭā qarār diyā jāegā. Is ke muqābale meṅ jo in ahkām par amal karke inheṅ sikhātā hai use āsmān kī bādshāhī meṅ baṛā qarār diyā jāegā. 20 Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar tumhārī rāstbāzī sharīat ke ulamā aur Farīsiyoṅ kī rāstbāzī se zyādā nahīṅ to tum āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone ke lāyq nahīṅ. 21 Tum ne sunā hai ki bāpdādā ko farmāyā gayā, ‘Qatl na karnā. Aur jo qatl kare use adālat meṅ jawāb denā hogā.’ 22 Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jo bhī apne bhāī par ġhussā kare use adālat meṅ jawāb denā hogā. Isī tarah jo apne bhāī ko ‘ahmaq’ kahe use Yahūdī adālat-e-āliyā meṅ jawāb denā hogā. Aur jo us ko ‘bewuqūf!’ Kahe wuh jahannum kī āg meṅ phaiṅke jāne ke lāyq ṭhahregā. 23 Lihāzā agar tujhe Baitul-muqaddas meṅ qurbānī pesh karte waqt yād āe ki tere bhāī ko tujh se koī shikāyat hai 24 to apnī qurbānī ko wahīṅ qurbāngāh ke sāmne hī chhoṛ kar apne bhāī ke pās chalā jā. Pahle us se sulah kar aur phir wāpas ā kar Allāh ko apnī qurbānī pesh kar. 25 Farz karo ki kisī ne tujh par muqaddamā chalāyā hai. Agar aisā ho to kachahrī meṅ dāḳhil hone se pahle pahle jaldī se jhagaṛā ḳhatm kar. Aisā na ho ki wuh tujhe jaj ke hawāle kare, jaj tujhe pulis afsar ke hawāle kare aur natīje meṅ tujh ko jel meṅ ḍālā jāe. 26 Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, wahāṅ se tū us waqt tak nahīṅ nikal pāegā jab tak jurmāne kī pūrī pūrī raqam adā na kar de. 27 Tum ne yih hukm sun liyā hai ki ‘Zinā na karnā.’ 28 Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, jo kisī aurat ko burī ḳhāhish se deḳhtā hai wuh apne dil meṅ us ke sāth zinā kar chukā hai. 29 Agar terī dāīṅ āṅkh tujhe gunāh karne par uksāe to use nikāl kar phaiṅk de. Is se pahle ki tere pūre jism ko jahannum meṅ ḍālā jāe behtar yih hai ki terā ek hī azu jātā rahe. 30 Aur agar terā dahnā hāth tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ kar phaiṅk de. Is se pahle ki terā pūrā jism jahannum meṅ jāe behtar yih hai ki terā ek hī azu jātā rahe. 31 Yih bhī farmāyā gayā hai, ‘Jo bhī apnī bīwī ko talāq de wuh use talāqnāmā likh de.’ 32 Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar kisī kī bīwī ne zinā na kiyā ho to bhī shauhar use talāq de to wuh us se zinā karātā hai. Aur jo talāqshudā aurat se shādī kare wuh zinā kartā hai. 33 Tum ne yih bhī sunā hai ki bāpdādā ko farmāyā gayā, ‘Jhūṭī qasam mat khānā balki jo wāde tū ne Rab se qasam khā kar kie hoṅ unheṅ pūrā karnā.’ 34 Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, qasam bilkul na khānā. Na ‘Āsmān kī qasam’ kyoṅki āsmān Allāh kā taḳht hai, 35 na ‘Zamīn kī’ kyoṅki zamīn us ke pāṅwoṅ kī chaukī hai. ‘Yarūshalam kī qasam’ bhī na khānā kyoṅki Yarūshalam azīm Bādshāh kā shahr hai. 36 Yahāṅ tak ki apne sar kī qasam bhī na khānā, kyoṅki tū apnā ek bāl bhī kālā yā safed nahīṅ kar saktā. 37 Sirf itnā hī kahnā, ‘Jī hāṅ’ yā ‘Jī nahīṅ.’ Agar is se zyādā kaho to yih Iblīs kī taraf se hai. 38 Tum ne sunā hai ki yih farmāyā gayā hai, ‘Āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt ke badle dāṅt.’ 39 Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki badkār kā muqābalā mat karnā. Agar koī tere dahne gāl par thappaṛ māre to use dūsrā gāl bhī pesh kar de. 40 Agar koī terī qamīs lene ke lie tujh par muqaddamā karnā chāhe to use apnī chādar bhī de denā. 41 Agar koī tujh ko us kā sāmān uṭhā kar ek kilomīṭar jāne par majbūr kare to us ke sāth do kilomīṭar chalā jānā. 42 Jo tujh se kuchh māṅge use de denā aur jo tujh se qarz lenā chāhe us se inkār na karnā. 43 Tum ne sunā hai ki farmāyā gayā hai, ‘Apne paṛosī se muhabbat rakhnā aur apne dushman se nafrat karnā.’ 44 Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ, apne dushmanoṅ se muhabbat rakho aur un ke lie duā karo jo tum ko satāte haiṅ. 45 Phir tum apne āsmānī Bāp ke farzand ṭhahroge, kyoṅki wuh apnā sūraj sab par tulū hone detā hai, ḳhāh wuh achchhe hoṅ yā bure. Aur wuh sab par bārish barasne detā hai, ḳhāh wuh rāstbāz hoṅ yā nārāst. 46 Agar tum sirf unhīṅ se muhabbat karo jo tum se karte haiṅ to tum ko kyā ajr milegā? Ṭaiks lene wāle bhī to aisā hī karte haiṅ. 47 Aur agar tum sirf apne bhāiyoṅ ke lie salāmatī kī duā karo to kaun-sī ḳhās bāt karte ho? Ġhairyahūdī bhī to aisā hī karte haiṅ. 48 Chunāṅche waise hī kāmil ho jaisā tumhārā āsmānī Bāp kāmil hai.

In Other Versions

Matthew 5 in the ANGEFD

Matthew 5 in the ANTPNG2D

Matthew 5 in the AS21

Matthew 5 in the BAGH

Matthew 5 in the BBPNG

Matthew 5 in the BBT1E

Matthew 5 in the BDS

Matthew 5 in the BEV

Matthew 5 in the BHAD

Matthew 5 in the BIB

Matthew 5 in the BLPT

Matthew 5 in the BNT

Matthew 5 in the BNTABOOT

Matthew 5 in the BNTLV

Matthew 5 in the BOATCB

Matthew 5 in the BOATCB2

Matthew 5 in the BOBCV

Matthew 5 in the BOCNT

Matthew 5 in the BOECS

Matthew 5 in the BOGWICC

Matthew 5 in the BOHCB

Matthew 5 in the BOHCV

Matthew 5 in the BOHLNT

Matthew 5 in the BOHNTLTAL

Matthew 5 in the BOICB

Matthew 5 in the BOILNTAP

Matthew 5 in the BOITCV

Matthew 5 in the BOKCV

Matthew 5 in the BOKCV2

Matthew 5 in the BOKHWOG

Matthew 5 in the BOKSSV

Matthew 5 in the BOLCB

Matthew 5 in the BOLCB2

Matthew 5 in the BOMCV

Matthew 5 in the BONAV

Matthew 5 in the BONCB

Matthew 5 in the BONLT

Matthew 5 in the BONUT2

Matthew 5 in the BOPLNT

Matthew 5 in the BOSCB

Matthew 5 in the BOSNC

Matthew 5 in the BOTLNT

Matthew 5 in the BOVCB

Matthew 5 in the BOYCB

Matthew 5 in the BPBB

Matthew 5 in the BPH

Matthew 5 in the BSB

Matthew 5 in the CCB

Matthew 5 in the CUV

Matthew 5 in the CUVS

Matthew 5 in the DBT

Matthew 5 in the DGDNT

Matthew 5 in the DHNT

Matthew 5 in the DNT

Matthew 5 in the ELBE

Matthew 5 in the EMTV

Matthew 5 in the ESV

Matthew 5 in the FBV

Matthew 5 in the FEB

Matthew 5 in the GGMNT

Matthew 5 in the GNT

Matthew 5 in the HARY

Matthew 5 in the HNT

Matthew 5 in the IRVA

Matthew 5 in the IRVB

Matthew 5 in the IRVG

Matthew 5 in the IRVH

Matthew 5 in the IRVK

Matthew 5 in the IRVM

Matthew 5 in the IRVM2

Matthew 5 in the IRVO

Matthew 5 in the IRVP

Matthew 5 in the IRVT

Matthew 5 in the IRVT2

Matthew 5 in the IRVU

Matthew 5 in the ISVN

Matthew 5 in the JSNT

Matthew 5 in the KAPI

Matthew 5 in the KBT1ETNIK

Matthew 5 in the KBV

Matthew 5 in the KJV

Matthew 5 in the KNFD

Matthew 5 in the LBA

Matthew 5 in the LBLA

Matthew 5 in the LNT

Matthew 5 in the LSV

Matthew 5 in the MAAL

Matthew 5 in the MBV

Matthew 5 in the MBV2

Matthew 5 in the MHNT

Matthew 5 in the MKNFD

Matthew 5 in the MNG

Matthew 5 in the MNT

Matthew 5 in the MNT2

Matthew 5 in the MRS1T

Matthew 5 in the NAA

Matthew 5 in the NASB

Matthew 5 in the NBLA

Matthew 5 in the NBS

Matthew 5 in the NBVTP

Matthew 5 in the NET2

Matthew 5 in the NIV11

Matthew 5 in the NNT

Matthew 5 in the NNT2

Matthew 5 in the NNT3

Matthew 5 in the PDDPT

Matthew 5 in the PFNT

Matthew 5 in the RMNT

Matthew 5 in the SBIAS

Matthew 5 in the SBIBS

Matthew 5 in the SBIBS2

Matthew 5 in the SBICS

Matthew 5 in the SBIDS

Matthew 5 in the SBIGS

Matthew 5 in the SBIHS

Matthew 5 in the SBIIS

Matthew 5 in the SBIIS2

Matthew 5 in the SBIIS3

Matthew 5 in the SBIKS

Matthew 5 in the SBIKS2

Matthew 5 in the SBIMS

Matthew 5 in the SBIOS

Matthew 5 in the SBIPS

Matthew 5 in the SBISS

Matthew 5 in the SBITS

Matthew 5 in the SBITS2

Matthew 5 in the SBITS3

Matthew 5 in the SBITS4

Matthew 5 in the SBIUS

Matthew 5 in the SBIVS

Matthew 5 in the SBT

Matthew 5 in the SBT1E

Matthew 5 in the SCHL

Matthew 5 in the SNT

Matthew 5 in the SUSU

Matthew 5 in the SUSU2

Matthew 5 in the SYNO

Matthew 5 in the TBIAOTANT

Matthew 5 in the TBT1E

Matthew 5 in the TBT1E2

Matthew 5 in the TFTIP

Matthew 5 in the TFTU

Matthew 5 in the TGNTATF3T

Matthew 5 in the THAI

Matthew 5 in the TNFD

Matthew 5 in the TNT

Matthew 5 in the TNTIK

Matthew 5 in the TNTIL

Matthew 5 in the TNTIN

Matthew 5 in the TNTIP

Matthew 5 in the TNTIZ

Matthew 5 in the TOMA

Matthew 5 in the TTENT

Matthew 5 in the UBG

Matthew 5 in the UGV

Matthew 5 in the UGV2

Matthew 5 in the VBL

Matthew 5 in the VDCC

Matthew 5 in the YALU

Matthew 5 in the YAPE

Matthew 5 in the YBVTP

Matthew 5 in the ZBP