Psalms 68 (UGV3)

1 Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie gīt.Allāh uṭhe to us ke dushman titar-bitar ho jāeṅge, us se nafrat karne wāle us ke sāmne se bhāg jāeṅge. 2 Wuh dhueṅ kī tarah bikhar jāeṅge. Jis tarah mom āg ke sāmne pighal jātā hai usī tarah bedīn Allāh ke huzūr halāk ho jāeṅge. 3 Lekin rāstbāz ḳhush-o-ḳhurram hoṅge, wuh Allāh ke huzūr jashn manā kar phūle na samāeṅge. 4 Allāh kī tāzīm meṅ gīt gāo, us ke nām kī madahsarāī karo! Jo rath par sawār bayābān meṅ se guzar rahā hai us ke lie rāstā taiyār karo. Rab us kā nām hai, us ke huzūr ḳhushī manāo! 5 Allāh apnī muqaddas sukūnatgāh meṅ yatīmoṅ kā bāp aur bewāoṅ kā hāmī hai. 6 Allāh begharoṅ ko gharoṅ meṅ basā detā aur qaidiyoṅ ko qaid se nikāl kar ḳhushhālī atā kartā hai. Lekin jo sarkash haiṅ wuh jhulse hue mulk meṅ raheṅge. 7 Ai Allāh, jab tū apnī qaum ke āge āge niklā, jab tū registān meṅ qadam baqadam āge baṛhā (Silāh) 8 to zamīn laraz uṭhī aur āsmān se bārish ṭapakne lagī. Hāṅ, Allāh ke huzūr jo Koh-e-Sīnā aur Isrāīl kā Ḳhudā hai aisā hī huā. 9 Ai Allāh, tū ne kasrat kī bārish barasne dī. Jab kabhī terā maurūsī mulk niḍhāl huā to tū ne use tāzādam kiyā. 10 Yoṅ terī qaum us meṅ ābād huī. Ai Allāh, apnī bhalāī se tū ne use zarūratmandoṅ ke lie taiyār kiyā. 11 Rab farmān sādir kartā hai to ḳhushḳhabrī sunāne wālī auratoṅ kā baṛā lashkar nikaltā hai, 12 “Faujoṅ ke bādshāh bhāg rahe haiṅ. Wuh bhāg rahe haiṅ aur aurateṅ lūṭ kā māl taqsīm kar rahī haiṅ. 13 Tum kyoṅ apne zīn ke do boroṅ ke darmiyān baiṭhe rahte ho? Dekho, kabūtar ke paroṅ par chāṅdī aur us ke shāhparoṅ par pīlā sonā chaṛhāyā gayā hai.” 14 Jab Qādir-e-mutlaq ne wahāṅ ke bādshāhoṅ ko muntashir kar diyā to Koh-e-Zalmon par barf paṛī. 15 Koh-e-Basan ilāhī pahāṛ hai, Koh-e-Basan kī muta'addid choṭiyāṅ haiṅ. 16 Ai pahāṛ kī muta'addid choṭiyo, tum us pahāṛ ko kyoṅ rashk kī nigāh se deḳhtī ho jise Allāh ne apnī sukūnatgāh ke lie pasand kiyā hai? Yaqīnan Rab wahāṅ hameshā ke lie sukūnat karegā. 17 Allāh ke beshumār rath aur anginat faujī haiṅ. Ḳhudāwand un ke darmiyān hai, Sīnā kā Ḳhudā maqdis meṅ hai. 18 Tū ne bulandī par chaṛh kar qaidiyoṅ kā hujūm giriftār kar liyā, tujhe insānoṅ se tohfe mile, un se bhī jo sarkash ho gae the. Yoṅ hī Rab Ḳhudā wahāṅ sukūnatpazīr huā. 19 Rab kī tamjīd ho jo roz baroz hamārā bojh uṭhāe chaltā hai. Allāh hamārī najāt hai. (Silāh) 20 Hamārā Ḳhudā wuh Ḳhudā hai jo hameṅ bār bār najāt detā hai, Rab Qādir-e-mutlaq hameṅ bār bār maut se bachne ke rāste muhaiyā kartā hai. 21 Yaqīnan Allāh apne dushmanoṅ ke saroṅ ko kuchal degā. Jo apne gunāhoṅ se bāz nahīṅ ātā us kī khopaṛī wuh pāsh pāsh karegā. 22 Rab ne farmāyā, “Maiṅ unheṅ Basan se wāpas lāūṅgā, samundar kī gahrāiyoṅ se wāpas pahuṅchāūṅgā. 23 Tab tū apne pāṅwoṅ ko dushman ke ḳhūn meṅ dho legā, aur tere kutte use chāṭ leṅge.” 24 Ai Allāh, tere julūs nazar ā gae haiṅ, mere Ḳhudā aur Bādshāh ke julūs maqdis meṅ dāḳhil hote hue nazar ā gae haiṅ. 25 Āge gulūkār, phir sāz bajāne wāle chal rahe haiṅ. Un ke ās-pās kuṅwāriyāṅ daf bajāte hue phir rahī haiṅ. 26 “Jamātoṅ meṅ Allāh kī satāish karo! Jitne bhī Isrāīl ke sarchashme se nikle hue ho Rab kī tamjīd karo!” 27 Wahāṅ sab se chhoṭā bhāī Binyamīn āge chal rahā hai, phir Yahūdāh ke buzurgoṅ kā purshor hujūm Zabūlūn aur Naftālī ke buzurgoṅ ke sāth chal rahā hai. 28 Ai Allāh, apnī qudrat ba-rū-e kār lā! Ai Allāh, jo qudrat tū ne pahle bhī hamārī ḳhātir dikhāī use dubārā dikhā! 29 Use Yarūshalam ke ūpar apnī sukūnatgāh se dikhā. Tab bādshāh tere huzūr tohfe lāeṅge. 30 Sarkanḍoṅ meṅ chhupe hue darinde ko malāmat kar! Sānḍoṅ kā jo ġhol bachhṛoṅ jaisī qaumoṅ meṅ rahtā hai use ḍāṅṭ! Unheṅ kuchal de jo chāṅdī ko pyār karte haiṅ. Un qaumoṅ ko muntashir kar jo jang karne se lutfandoz hotī haiṅ. 31 Misr se safīr āeṅge, Ethopiyā apne hāth Allāh kī taraf uṭhāegā. 32 Ai duniyā kī saltanato, Allāh kī tāzīm meṅ gīt gāo! Rab kī madahsarāī karo (Silāh) 33 jo apne rath par sawār ho kar qadīm zamāne ke bulandtarīn āsmānoṅ meṅ se guzartā hai. Suno us kī āwāz jo zor se garaj rahā hai. 34 Allāh kī qudrat ko taslīm karo! Us kī azmat Isrāīl par chhāī rahtī aur us kī qudrat āsmān par hai. 35 Ai Allāh, tū apne maqdis se zāhir hote waqt kitnā mahīb hai. Isrāīl kā Ḳhudā hī qaum ko quwwat aur tāqat atā kartā hai. Allāh kī tamjīd ho!

In Other Versions

Psalms 68 in the ANGEFD

Psalms 68 in the ANTPNG2D

Psalms 68 in the AS21

Psalms 68 in the BAGH

Psalms 68 in the BBPNG

Psalms 68 in the BBT1E

Psalms 68 in the BDS

Psalms 68 in the BEV

Psalms 68 in the BHAD

Psalms 68 in the BIB

Psalms 68 in the BLPT

Psalms 68 in the BNT

Psalms 68 in the BNTABOOT

Psalms 68 in the BNTLV

Psalms 68 in the BOATCB

Psalms 68 in the BOATCB2

Psalms 68 in the BOBCV

Psalms 68 in the BOCNT

Psalms 68 in the BOECS

Psalms 68 in the BOGWICC

Psalms 68 in the BOHCB

Psalms 68 in the BOHCV

Psalms 68 in the BOHLNT

Psalms 68 in the BOHNTLTAL

Psalms 68 in the BOICB

Psalms 68 in the BOILNTAP

Psalms 68 in the BOITCV

Psalms 68 in the BOKCV

Psalms 68 in the BOKCV2

Psalms 68 in the BOKHWOG

Psalms 68 in the BOKSSV

Psalms 68 in the BOLCB

Psalms 68 in the BOLCB2

Psalms 68 in the BOMCV

Psalms 68 in the BONAV

Psalms 68 in the BONCB

Psalms 68 in the BONLT

Psalms 68 in the BONUT2

Psalms 68 in the BOPLNT

Psalms 68 in the BOSCB

Psalms 68 in the BOSNC

Psalms 68 in the BOTLNT

Psalms 68 in the BOVCB

Psalms 68 in the BOYCB

Psalms 68 in the BPBB

Psalms 68 in the BPH

Psalms 68 in the BSB

Psalms 68 in the CCB

Psalms 68 in the CUV

Psalms 68 in the CUVS

Psalms 68 in the DBT

Psalms 68 in the DGDNT

Psalms 68 in the DHNT

Psalms 68 in the DNT

Psalms 68 in the ELBE

Psalms 68 in the EMTV

Psalms 68 in the ESV

Psalms 68 in the FBV

Psalms 68 in the FEB

Psalms 68 in the GGMNT

Psalms 68 in the GNT

Psalms 68 in the HARY

Psalms 68 in the HNT

Psalms 68 in the IRVA

Psalms 68 in the IRVB

Psalms 68 in the IRVG

Psalms 68 in the IRVH

Psalms 68 in the IRVK

Psalms 68 in the IRVM

Psalms 68 in the IRVM2

Psalms 68 in the IRVO

Psalms 68 in the IRVP

Psalms 68 in the IRVT

Psalms 68 in the IRVT2

Psalms 68 in the IRVU

Psalms 68 in the ISVN

Psalms 68 in the JSNT

Psalms 68 in the KAPI

Psalms 68 in the KBT1ETNIK

Psalms 68 in the KBV

Psalms 68 in the KJV

Psalms 68 in the KNFD

Psalms 68 in the LBA

Psalms 68 in the LBLA

Psalms 68 in the LNT

Psalms 68 in the LSV

Psalms 68 in the MAAL

Psalms 68 in the MBV

Psalms 68 in the MBV2

Psalms 68 in the MHNT

Psalms 68 in the MKNFD

Psalms 68 in the MNG

Psalms 68 in the MNT

Psalms 68 in the MNT2

Psalms 68 in the MRS1T

Psalms 68 in the NAA

Psalms 68 in the NASB

Psalms 68 in the NBLA

Psalms 68 in the NBS

Psalms 68 in the NBVTP

Psalms 68 in the NET2

Psalms 68 in the NIV11

Psalms 68 in the NNT

Psalms 68 in the NNT2

Psalms 68 in the NNT3

Psalms 68 in the PDDPT

Psalms 68 in the PFNT

Psalms 68 in the RMNT

Psalms 68 in the SBIAS

Psalms 68 in the SBIBS

Psalms 68 in the SBIBS2

Psalms 68 in the SBICS

Psalms 68 in the SBIDS

Psalms 68 in the SBIGS

Psalms 68 in the SBIHS

Psalms 68 in the SBIIS

Psalms 68 in the SBIIS2

Psalms 68 in the SBIIS3

Psalms 68 in the SBIKS

Psalms 68 in the SBIKS2

Psalms 68 in the SBIMS

Psalms 68 in the SBIOS

Psalms 68 in the SBIPS

Psalms 68 in the SBISS

Psalms 68 in the SBITS

Psalms 68 in the SBITS2

Psalms 68 in the SBITS3

Psalms 68 in the SBITS4

Psalms 68 in the SBIUS

Psalms 68 in the SBIVS

Psalms 68 in the SBT

Psalms 68 in the SBT1E

Psalms 68 in the SCHL

Psalms 68 in the SNT

Psalms 68 in the SUSU

Psalms 68 in the SUSU2

Psalms 68 in the SYNO

Psalms 68 in the TBIAOTANT

Psalms 68 in the TBT1E

Psalms 68 in the TBT1E2

Psalms 68 in the TFTIP

Psalms 68 in the TFTU

Psalms 68 in the TGNTATF3T

Psalms 68 in the THAI

Psalms 68 in the TNFD

Psalms 68 in the TNT

Psalms 68 in the TNTIK

Psalms 68 in the TNTIL

Psalms 68 in the TNTIN

Psalms 68 in the TNTIP

Psalms 68 in the TNTIZ

Psalms 68 in the TOMA

Psalms 68 in the TTENT

Psalms 68 in the UBG

Psalms 68 in the UGV

Psalms 68 in the UGV2

Psalms 68 in the VBL

Psalms 68 in the VDCC

Psalms 68 in the YALU

Psalms 68 in the YAPE

Psalms 68 in the YBVTP

Psalms 68 in the ZBP