Romans 11 (UGV3)

1 To kyā is kā yih matlab hai ki Allāh ne apnī qaum ko radd kiyā hai? Hargiz nahīṅ! Maiṅ to ḳhud Isrāīlī hūṅ. Ibrāhīm merā bhī bāp hai, aur maiṅ Binyamīn ke qabīle kā hūṅ. 2 Allāh ne apnī qaum ko pahle se chun liyā thā. Wuh kis tarah use radd karegā! Kyā āp ko mālūm nahīṅ ki kalām-e-muqaddas meṅ Iliyās Nabī ke bāre meṅ kyā likhā hai? Iliyās ne Allāh ke sāmne Isrāīlī qaum kī shikāyat karke kahā, 3 “Ai Rab, unhoṅ ne tere nabiyoṅ ko qatl kiyā aur terī qurbāngāhoṅ ko girā diyā hai. Maiṅ akelā hī bachā hūṅ, aur wuh mujhe bhī mār ḍālne ke darpai haiṅ.” 4 Is par Allāh ne use kyā jawāb diyā? “Maiṅ ne apne lie 7,000 mardoṅ ko bachā liyā hai jinhoṅ ne apne ghuṭne Bāl Dewatā ke sāmne nahīṅ ṭeke.” 5 Āj bhī yihī hālat hai. Isrāīl kā ek chhoṭā hissā bach gayā hai jise Allāh ne apne fazl se chun liyā hai. 6 Aur chūṅki yih Allāh ke fazl se huā hai is lie yih un kī apnī koshishoṅ se nahīṅ huā. Warnā fazl fazl hī na rahtā. 7 Ġharz, jis chīz kī talāsh meṅ Isrāīl rahā wuh pūrī qaum ko hāsil nahīṅ huī balki sirf us ke ek chune hue hisse ko. Bāqī sab ko fazl ke bāre meṅ behis kar diyā gayā, 8 jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai,“Āj tak Allāh ne unheṅ aisī hālat meṅ rakhā haiki un kī rūh madhosh hai,un kī āṅkheṅ dekh nahīṅ saktīṅaur un ke kān sun nahīṅ sakte.” 9 Aur Dāūd farmātā hai,“Un kī mez un ke lie phandā aur jāl ban jāe,is se wuh ṭhokar khā kar apne ġhalat kāmoṅ kā muāwazā pāeṅ. 10 Un kī āṅkheṅ tārīk ho jāeṅ tāki wuh dekh na sakeṅ,un kī kamr hameshā jhukī rahe.” 11 To kyā Allāh kī qaum ṭhokar khā kar yoṅ gir gaī ki kabhī bahāl nahīṅ hogī? Hargiz nahīṅ! Us kī ḳhatāoṅ kī wajah se Allāh ne Ġhairyahūdiyoṅ ko najāt pāne kā mauqā diyā tāki Isrāīlī ġhairat khāeṅ. 12 Yoṅ Yahūdiyoṅ kī ḳhatāeṅ duniyā ke lie bharpūr barkat kā bāis ban gaīṅ, aur un kā nuqsān Ġhairyahūdiyoṅ ke lie bharpūr barkat kā bāis ban gayā. To phir yih barkat kitnī aur zyādā hogī jab Yahūdiyoṅ kī pūrī tādād is meṅ shāmil ho jāegī! 13 Āp ko jo Ġhairyahūdī haiṅ maiṅ yih batātā hūṅ, Allāh ne mujhe Ġhairyahūdiyoṅ ke lie rasūl banāyā hai, is lie maiṅ apnī is ḳhidmat par zor detā hūṅ. 14 Kyoṅki maiṅ chāhtā hūṅ ki merī qaum ke log yih dekh kar ġhairat khāeṅ aur un meṅ se kuchh bach jāeṅ. 15 Jab unheṅ radd kiyā gayā to bāqī duniyā kī Allāh ke sāth sulah ho gaī. To phir kyā hogā jab unheṅ dubārā qabūl kiyā jāegā? Yih murdoṅ meṅ se jī uṭhne ke barābar hogā! 16 Jab āp fasal ke pahle āṭe se roṭī banā kar Allāh ke lie maḳhsūs-o-muqaddas karte haiṅ to bāqī sārā āṭā bhī maḳhsūs-o-muqaddas hai. Aur jab daraḳht kī jaṛeṅ muqaddas haiṅ to us kī shāḳheṅ bhī muqaddas haiṅ. 17 Zaitūn ke daraḳht kī kuchh shāḳheṅ toṛ dī gaī haiṅ aur un kī jagah janglī zaitūn ke daraḳht kī ek shāḳh paiwand kī gaī hai. Āp Ġhairyahūdī is janglī shāḳh se mutābiqat rakhte haiṅ. Jis tarah yih dūsre daraḳht kī jaṛ se ras aur taqwiyat pātī hai usī tarah āp bhī Yahūdī qaum kī ruhānī jaṛ se taqwiyat pāte haiṅ. 18 Chunāṅche āp kā dūsrī shāḳhoṅ ke sāmne sheḳhī mārne kā haq nahīṅ. Aur agar āp sheḳhī māreṅ to yih ḳhayāl kareṅ ki āp jaṛ ko qāym nahīṅ rakhte balki jaṛ āp ko. 19 Shāyad āp is par etarāz kareṅ, “Hāṅ, lekin dūsrī shāḳheṅ toṛī gaīṅ tāki maiṅ paiwand kiyā jāūṅ.” 20 Beshak, lekin yād rakheṅ, dūsrī shāḳheṅ is lie toṛī gaīṅ ki wuh īmān nahīṅ rakhtī thīṅ aur āp is lie un kī jagah lage haiṅ ki āp īmān rakhte haiṅ. Chunāṅche apne āp par faḳhr na kareṅ balki ḳhauf rakheṅ. 21 Allāh ne aslī shāḳheṅ bachne na dīṅ. Agar āp is tarah kī harkateṅ kareṅ to kyā wuh āp ko chhoṛ degā? 22 Yahāṅ hameṅ Allāh kī mehrbānī aur saḳhtī nazar ātī hai—jo gir gae haiṅ un ke silsile meṅ us kī saḳhtī, lekin āp ke silsile meṅ us kī mehrbānī. Aur yih mehrbānī rahegī jab tak āp us kī mehrbānī se lipṭe raheṅge. Warnā āp ko bhī daraḳht se kāṭ ḍālā jāegā. 23 Aur agar Yahūdī apne kufr se bāz āeṅ to un kī paiwandkārī dubārā daraḳht ke sāth kī jāegī, kyoṅki Allāh aisā karne par qādir hai. 24 Āḳhir āp ḳhud qudratī taur par zaitūn ke janglī daraḳht kī shāḳh the jise Allāh ne toṛ kar qudratī qawānīn ke ḳhilāf zaitūn ke asal daraḳht par lagāyā. To phir wuh kitnī zyādā āsānī se Yahūdiyoṅ kī toṛī gaī shāḳheṅ dubārā un ke apne daraḳht meṅ lagā degā! 25 Bhāiyo, maiṅ chāhtā hūṅ ki āp ek bhed se wāqif ho jāeṅ, kyoṅki yih āp ko apne āp ko dānā samajhne se bāz rakhegā. Bhed yih hai ki Isrāīl kā ek hissā Allāh ke fazl ke bāre meṅ behis ho gayā hai, aur us kī yih hālat us waqt tak rahegī jab tak Ġhairyahūdiyoṅ kī pūrī tādād Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil na ho jāe. 26 Phir pūrā Isrāīl najāt pāegā. Yih kalām-e-muqaddas meṅ bhī likhā hai,“Chhuṛāne wālā Siyyūn se āegā.Wuh bedīnī ko Yāqūb se haṭā degā. 27 Aur yih merā un ke sāth ahd hogājab maiṅ un ke gunāhoṅ ko un se dūr karūṅga.” 28 Chūṅki Yahūdī Allāh kī ḳhushḳhabrī qabūl nahīṅ karte is lie wuh Allāh ke dushman haiṅ, aur yih bāt āp ke lie fāyde kā bāis ban gaī hai. To bhī wuh Allāh ko pyāre haiṅ, is lie ki us ne un ke bāpdādā Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb ko chun liyā thā. 29 Kyoṅki jab bhī Allāh kisī ko apnī nematoṅ se nawāz kar bulātā hai to us kī yih nemateṅ aur bulāwe kabhī nahīṅ miṭne kī. 30 Māzī meṅ Ġhairyahūdī Allāh ke tābe nahīṅ the, lekin ab Allāh ne āp par Yahūdiyoṅ kī nāfarmānī kī wajah se rahm kiyā hai. 31 Ab is ke ulaṭ hai ki Yahūdī ḳhud āp par kie gae rahm kī wajah se Allāh ke tābe nahīṅ haiṅ, aur lāzim hai ki Allāh un par bhī rahm kare. 32 Kyoṅki us ne sab ko nāfarmānī ke qaidī banā diyā hai tāki sab par rahm kare. 33 Wāh! Allāh kī daulat, hikmat aur ilm kyā hī gahrā hai. Kaun us ke faisloṅ kī tah tak pahuṅch saktā hai! Kaun us kī rāhoṅ kā khoj lagā saktā hai! 34 Kalām-e-muqaddas yoṅ farmātā hai,“Kis ne Rab kī soch ko jānā?Yā kaun itnā ilm rakhtā haiki wuh use mashwarā de? 35 Kyā kisī ne kabhī use kuchh diyāki use is kā muāwazā denā paṛe?” 36 Kyoṅki sab kuchh usī ne paidā kiyā hai, sab kuchh usī ke zariye aur usī ke jalāl ke lie qāym hai. Usī kī tamjīd abad tak hotī rahe! Āmīn.

In Other Versions

Romans 11 in the ANGEFD

Romans 11 in the ANTPNG2D

Romans 11 in the AS21

Romans 11 in the BAGH

Romans 11 in the BBPNG

Romans 11 in the BBT1E

Romans 11 in the BDS

Romans 11 in the BEV

Romans 11 in the BHAD

Romans 11 in the BIB

Romans 11 in the BLPT

Romans 11 in the BNT

Romans 11 in the BNTABOOT

Romans 11 in the BNTLV

Romans 11 in the BOATCB

Romans 11 in the BOATCB2

Romans 11 in the BOBCV

Romans 11 in the BOCNT

Romans 11 in the BOECS

Romans 11 in the BOGWICC

Romans 11 in the BOHCB

Romans 11 in the BOHCV

Romans 11 in the BOHLNT

Romans 11 in the BOHNTLTAL

Romans 11 in the BOICB

Romans 11 in the BOILNTAP

Romans 11 in the BOITCV

Romans 11 in the BOKCV

Romans 11 in the BOKCV2

Romans 11 in the BOKHWOG

Romans 11 in the BOKSSV

Romans 11 in the BOLCB

Romans 11 in the BOLCB2

Romans 11 in the BOMCV

Romans 11 in the BONAV

Romans 11 in the BONCB

Romans 11 in the BONLT

Romans 11 in the BONUT2

Romans 11 in the BOPLNT

Romans 11 in the BOSCB

Romans 11 in the BOSNC

Romans 11 in the BOTLNT

Romans 11 in the BOVCB

Romans 11 in the BOYCB

Romans 11 in the BPBB

Romans 11 in the BPH

Romans 11 in the BSB

Romans 11 in the CCB

Romans 11 in the CUV

Romans 11 in the CUVS

Romans 11 in the DBT

Romans 11 in the DGDNT

Romans 11 in the DHNT

Romans 11 in the DNT

Romans 11 in the ELBE

Romans 11 in the EMTV

Romans 11 in the ESV

Romans 11 in the FBV

Romans 11 in the FEB

Romans 11 in the GGMNT

Romans 11 in the GNT

Romans 11 in the HARY

Romans 11 in the HNT

Romans 11 in the IRVA

Romans 11 in the IRVB

Romans 11 in the IRVG

Romans 11 in the IRVH

Romans 11 in the IRVK

Romans 11 in the IRVM

Romans 11 in the IRVM2

Romans 11 in the IRVO

Romans 11 in the IRVP

Romans 11 in the IRVT

Romans 11 in the IRVT2

Romans 11 in the IRVU

Romans 11 in the ISVN

Romans 11 in the JSNT

Romans 11 in the KAPI

Romans 11 in the KBT1ETNIK

Romans 11 in the KBV

Romans 11 in the KJV

Romans 11 in the KNFD

Romans 11 in the LBA

Romans 11 in the LBLA

Romans 11 in the LNT

Romans 11 in the LSV

Romans 11 in the MAAL

Romans 11 in the MBV

Romans 11 in the MBV2

Romans 11 in the MHNT

Romans 11 in the MKNFD

Romans 11 in the MNG

Romans 11 in the MNT

Romans 11 in the MNT2

Romans 11 in the MRS1T

Romans 11 in the NAA

Romans 11 in the NASB

Romans 11 in the NBLA

Romans 11 in the NBS

Romans 11 in the NBVTP

Romans 11 in the NET2

Romans 11 in the NIV11

Romans 11 in the NNT

Romans 11 in the NNT2

Romans 11 in the NNT3

Romans 11 in the PDDPT

Romans 11 in the PFNT

Romans 11 in the RMNT

Romans 11 in the SBIAS

Romans 11 in the SBIBS

Romans 11 in the SBIBS2

Romans 11 in the SBICS

Romans 11 in the SBIDS

Romans 11 in the SBIGS

Romans 11 in the SBIHS

Romans 11 in the SBIIS

Romans 11 in the SBIIS2

Romans 11 in the SBIIS3

Romans 11 in the SBIKS

Romans 11 in the SBIKS2

Romans 11 in the SBIMS

Romans 11 in the SBIOS

Romans 11 in the SBIPS

Romans 11 in the SBISS

Romans 11 in the SBITS

Romans 11 in the SBITS2

Romans 11 in the SBITS3

Romans 11 in the SBITS4

Romans 11 in the SBIUS

Romans 11 in the SBIVS

Romans 11 in the SBT

Romans 11 in the SBT1E

Romans 11 in the SCHL

Romans 11 in the SNT

Romans 11 in the SUSU

Romans 11 in the SUSU2

Romans 11 in the SYNO

Romans 11 in the TBIAOTANT

Romans 11 in the TBT1E

Romans 11 in the TBT1E2

Romans 11 in the TFTIP

Romans 11 in the TFTU

Romans 11 in the TGNTATF3T

Romans 11 in the THAI

Romans 11 in the TNFD

Romans 11 in the TNT

Romans 11 in the TNTIK

Romans 11 in the TNTIL

Romans 11 in the TNTIN

Romans 11 in the TNTIP

Romans 11 in the TNTIZ

Romans 11 in the TOMA

Romans 11 in the TTENT

Romans 11 in the UBG

Romans 11 in the UGV

Romans 11 in the UGV2

Romans 11 in the VBL

Romans 11 in the VDCC

Romans 11 in the YALU

Romans 11 in the YAPE

Romans 11 in the YBVTP

Romans 11 in the ZBP