Romans 6 (UGV3)

1 Kyā is kā matlab yih hai ki ham gunāh karte raheṅ tāki Allāh ke fazl meṅ izāfā ho? 2 Hargiz nahīṅ! Ham to mar kar gunāh se lātālluq ho gae haiṅ. To phir ham kis tarah gunāh ko apne āp par hukūmat karne de sakte haiṅ? 3 Yā kyā āp ko mālūm nahīṅ ki ham sab jinheṅ baptismā diyā gayā hai is se Masīh Īsā kī maut meṅ shāmil ho gae haiṅ? 4 Kyoṅki baptisme se hameṅ dafnāyā gayā aur us kī maut meṅ shāmil kiyā gayā tāki ham Masīh kī tarah naī zindagī guzāreṅ, jise Bāp kī jalālī qudrat ne murdoṅ meṅ se zindā kiyā. 5 Chūṅki is tarah ham us kī maut meṅ us ke sāth paiwast ho gae haiṅ is lie ham us ke jī uṭhne meṅ bhī us ke sāth paiwast hoṅge. 6 Kyoṅki ham jānte haiṅ ki hamārā purānā insān Masīh ke sāth maslūb ho gayā tāki gunāh ke qabze meṅ yih jism nest ho jāe aur yoṅ ham gunāh ke ġhulām na raheṅ. 7 Kyoṅki jo mar gayā wuh gunāh se āzād ho gayā hai. 8 Aur hamārā īmān hai ki chūṅki ham Masīh ke sāth mar gae haiṅ is lie ham us ke sāth zindā bhī hoṅge, 9 kyoṅki ham jānte haiṅ ki Masīh murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai aur ab kabhī nahīṅ maregā. Ab maut kā us par koī iḳhtiyār nahīṅ. 10 Marte waqt wuh hameshā ke lie gunāh kī hukūmat se nikal gayā, aur ab jab wuh dubārā zindā hai to us kī zindagī Allāh ke lie maḳhsūs hai. 11 Āp bhī apne āp ko aisā samjheṅ. Āp bhī mar kar gunāh kī hukūmat se nikal gae haiṅ aur ab āp kī Masīh meṅ zindagī Allāh ke lie maḳhsūs hai. 12 Chunāṅche gunāh āp ke fānī badan meṅ hukūmat na kare. Dhyān deṅ ki āp us kī burī ḳhāhishāt ke tābe na ho jāeṅ. 13 Apne badan ke kisī bhī azu ko gunāh kī ḳhidmat ke lie pesh na kareṅ, na use nārāstī kā hathiyār banane deṅ. Is ke bajāe apne āp ko Allāh kī ḳhidmat ke lie pesh kareṅ. Kyoṅki pahle āp murdā the, lekin ab āp zindā ho gae haiṅ. Chunāṅche apne tamām āzā ko Allāh kī ḳhidmat ke lie pesh kareṅ aur unheṅ rāstī ke hathiyār banane deṅ. 14 Āindā gunāh āp par hukūmat nahīṅ karegā, kyoṅki āp apnī zindagī sharīat ke taht nahīṅ guzārte balki Allāh ke fazl ke taht. 15 Ab sawāl yih hai, chūṅki ham sharīat ke taht nahīṅ balki fazl ke taht haiṅ to kyā is kā matlab yih hai ki hameṅ gunāh karne ke lie khulā chhoṛ diyā gayā hai? Hargiz nahīṅ! 16 Kyā āp ko mālūm nahīṅ ki jab āp apne āp ko kisī ke tābe karke us ke ġhulām ban jāte haiṅ to āp us mālik ke ġhulām haiṅ jis ke tābe āp haiṅ? Yā to gunāh āp kā mālik ban kar āp ko maut tak le jāegā, yā farmāṅbardārī āp kī mālikan ban kar āp ko rāstbāzī tak le jāegī. 17 Darhaqīqat āp pahle gunāh ke ġhulām the, lekin Ḳhudā kā shukr hai ki ab āp pūre dil se usī tālīm ke tābe ho gae haiṅ jo āp ke sapurd kī gaī hai. 18 Ab āp ko gunāh se āzād kar diyā gayā hai, rāstbāzī hī āp kī mālikan ban gaī hai. 19 (Āp kī fitratī kamzorī kī wajah se maiṅ ġhulāmī kī yih misāl de rahā hūṅ tāki āp merī bāt samajh pāeṅ.) Pahle āp ne apne āzā ko najāsat aur bedīnī kī ġhulāmī meṅ de rakhā thā jis ke natīje meṅ āp kī bedīnī baṛhtī gaī. Lekin ab āp apne āzā ko rāstbāzī kī ġhulāmī meṅ de deṅ tāki āp muqaddas ban jāeṅ. 20 Jab gunāh āp kā mālik thā to āp rāstbāzī se āzād the. 21 Aur is kā natījā kyā thā? Jo kuchh āp ne us waqt kiyā us se āp ko āj sharm ātī hai aur us kā anjām maut hai. 22 Lekin ab āp gunāh kī ġhulāmī se āzād ho kar Allāh ke ġhulām ban gae haiṅ, jis ke natīje meṅ āp maḳhsūs-o-muqaddas ban jāte haiṅ aur jis kā anjām abadī zindagī hai. 23 Kyoṅki gunāh kā ajr maut hai jabki Allāh hamāre Ḳhudāwand Masīh Īsā ke wasīle se hameṅ abadī zindagī kī muft nemat atā kartā hai.

In Other Versions

Romans 6 in the ANGEFD

Romans 6 in the ANTPNG2D

Romans 6 in the AS21

Romans 6 in the BAGH

Romans 6 in the BBPNG

Romans 6 in the BBT1E

Romans 6 in the BDS

Romans 6 in the BEV

Romans 6 in the BHAD

Romans 6 in the BIB

Romans 6 in the BLPT

Romans 6 in the BNT

Romans 6 in the BNTABOOT

Romans 6 in the BNTLV

Romans 6 in the BOATCB

Romans 6 in the BOATCB2

Romans 6 in the BOBCV

Romans 6 in the BOCNT

Romans 6 in the BOECS

Romans 6 in the BOGWICC

Romans 6 in the BOHCB

Romans 6 in the BOHCV

Romans 6 in the BOHLNT

Romans 6 in the BOHNTLTAL

Romans 6 in the BOICB

Romans 6 in the BOILNTAP

Romans 6 in the BOITCV

Romans 6 in the BOKCV

Romans 6 in the BOKCV2

Romans 6 in the BOKHWOG

Romans 6 in the BOKSSV

Romans 6 in the BOLCB

Romans 6 in the BOLCB2

Romans 6 in the BOMCV

Romans 6 in the BONAV

Romans 6 in the BONCB

Romans 6 in the BONLT

Romans 6 in the BONUT2

Romans 6 in the BOPLNT

Romans 6 in the BOSCB

Romans 6 in the BOSNC

Romans 6 in the BOTLNT

Romans 6 in the BOVCB

Romans 6 in the BOYCB

Romans 6 in the BPBB

Romans 6 in the BPH

Romans 6 in the BSB

Romans 6 in the CCB

Romans 6 in the CUV

Romans 6 in the CUVS

Romans 6 in the DBT

Romans 6 in the DGDNT

Romans 6 in the DHNT

Romans 6 in the DNT

Romans 6 in the ELBE

Romans 6 in the EMTV

Romans 6 in the ESV

Romans 6 in the FBV

Romans 6 in the FEB

Romans 6 in the GGMNT

Romans 6 in the GNT

Romans 6 in the HARY

Romans 6 in the HNT

Romans 6 in the IRVA

Romans 6 in the IRVB

Romans 6 in the IRVG

Romans 6 in the IRVH

Romans 6 in the IRVK

Romans 6 in the IRVM

Romans 6 in the IRVM2

Romans 6 in the IRVO

Romans 6 in the IRVP

Romans 6 in the IRVT

Romans 6 in the IRVT2

Romans 6 in the IRVU

Romans 6 in the ISVN

Romans 6 in the JSNT

Romans 6 in the KAPI

Romans 6 in the KBT1ETNIK

Romans 6 in the KBV

Romans 6 in the KJV

Romans 6 in the KNFD

Romans 6 in the LBA

Romans 6 in the LBLA

Romans 6 in the LNT

Romans 6 in the LSV

Romans 6 in the MAAL

Romans 6 in the MBV

Romans 6 in the MBV2

Romans 6 in the MHNT

Romans 6 in the MKNFD

Romans 6 in the MNG

Romans 6 in the MNT

Romans 6 in the MNT2

Romans 6 in the MRS1T

Romans 6 in the NAA

Romans 6 in the NASB

Romans 6 in the NBLA

Romans 6 in the NBS

Romans 6 in the NBVTP

Romans 6 in the NET2

Romans 6 in the NIV11

Romans 6 in the NNT

Romans 6 in the NNT2

Romans 6 in the NNT3

Romans 6 in the PDDPT

Romans 6 in the PFNT

Romans 6 in the RMNT

Romans 6 in the SBIAS

Romans 6 in the SBIBS

Romans 6 in the SBIBS2

Romans 6 in the SBICS

Romans 6 in the SBIDS

Romans 6 in the SBIGS

Romans 6 in the SBIHS

Romans 6 in the SBIIS

Romans 6 in the SBIIS2

Romans 6 in the SBIIS3

Romans 6 in the SBIKS

Romans 6 in the SBIKS2

Romans 6 in the SBIMS

Romans 6 in the SBIOS

Romans 6 in the SBIPS

Romans 6 in the SBISS

Romans 6 in the SBITS

Romans 6 in the SBITS2

Romans 6 in the SBITS3

Romans 6 in the SBITS4

Romans 6 in the SBIUS

Romans 6 in the SBIVS

Romans 6 in the SBT

Romans 6 in the SBT1E

Romans 6 in the SCHL

Romans 6 in the SNT

Romans 6 in the SUSU

Romans 6 in the SUSU2

Romans 6 in the SYNO

Romans 6 in the TBIAOTANT

Romans 6 in the TBT1E

Romans 6 in the TBT1E2

Romans 6 in the TFTIP

Romans 6 in the TFTU

Romans 6 in the TGNTATF3T

Romans 6 in the THAI

Romans 6 in the TNFD

Romans 6 in the TNT

Romans 6 in the TNTIK

Romans 6 in the TNTIL

Romans 6 in the TNTIN

Romans 6 in the TNTIP

Romans 6 in the TNTIZ

Romans 6 in the TOMA

Romans 6 in the TTENT

Romans 6 in the UBG

Romans 6 in the UGV

Romans 6 in the UGV2

Romans 6 in the VBL

Romans 6 in the VDCC

Romans 6 in the YALU

Romans 6 in the YAPE

Romans 6 in the YBVTP

Romans 6 in the ZBP