1 John 4 (UGV3)

1 Azīzo, har ek rūh kā yaqīn mat karnā balki rūhoṅ ko parakh kar mālūm kareṅ ki wuh Allāh se haiṅ yā nahīṅ, kyoṅki muta'addid jhūṭe nabī duniyā meṅ nikle haiṅ. 2 Is se āp Allāh ke Rūh ko pahchān lete haiṅ: Jo bhī rūh is kā etarāf kartī hai ki Īsā Masīh mujassam ho kar āyā hai wuh Allāh se hai. 3 Lekin jo bhī rūh Īsā ke bāre meṅ yih taslīm na kare wuh Allāh se nahīṅ hai. Yih muḳhālif-e-Masīh kī rūh hai jis ke bāre meṅ āp ko ḳhabar milī ki wuh āne wālā hai balki is waqt duniyā meṅ ā chukā hai. 4 Lekin āp pyāre bachcho, Allāh se haiṅ aur un par ġhālib ā gae haiṅ. Kyoṅki jo āp meṅ hai wuh us se baṛā hai jo duniyā meṅ hai. 5 Yih log duniyā se haiṅ aur is lie duniyā kī bāteṅ karte haiṅ aur duniyā un kī suntī hai. 6 Ham to Allāh se haiṅ aur jo Allāh ko jāntā hai wuh hamārī suntā hai. Lekin jo Allāh se nahīṅ hai wuh hamārī nahīṅ suntā. Yoṅ ham sachchāī kī rūh aur fareb dene wālī rūh meṅ imtiyāz kar sakte haiṅ. 7 Azīzo, āeṅ ham ek dūsre se muhabbat rakheṅ. Kyoṅki muhabbat Allāh kī taraf se hai, aur jo muhabbat rakhtā hai wuh Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai aur Allāh ko jāntā hai. 8 Jo muhabbat nahīṅ rakhtā wuh Allāh ko nahīṅ jāntā, kyoṅki Allāh muhabbat hai. 9 Is meṅ Allāh kī muhabbat hamāre darmiyān zāhir huī ki us ne apne iklaute Farzand ko duniyā meṅ bhej diyā tāki ham us ke zariye jieṅ. 10 Yihī muhabbat hai, yih nahīṅ ki ham ne Allāh se muhabbat kī balki yih ki us ne ham se muhabbat karke apne Farzand ko bhej diyā tāki wuh hamāre gunāhoṅ ko miṭāne ke lie kaffārā de. 11 Azīzo, chūṅki Allāh ne hameṅ itnā pyār kiyā is lie lāzim hai ki ham bhī ek dūsre ko pyār kareṅ. 12 Kisī ne bhī Allāh ko nahīṅ dekhā. Lekin jab ham ek dūsre ko pyār karte haiṅ to Allāh hamāre andar bastā hai aur us kī muhabbat hamāre andar takmīl pātī hai. 13 Ham kis tarah jān lete haiṅ ki ham us meṅ rahte haiṅ aur wuh ham meṅ? Is tarah ki us ne hameṅ apnā Rūh baḳhsh diyā hai. 14 Aur ham ne yih bāt dekh lī aur is kī gawāhī dete haiṅ ki Ḳhudā Bāp ne apne Farzand ko duniyā kā Najātdahindā banane ke lie bhej diyā hai. 15 Agar koī iqrār kare ki Īsā Allāh kā Farzand hai to Allāh us meṅ rahtā hai aur wuh Allāh meṅ. 16 Aur ḳhud ham ne wuh muhabbat jān lī hai aur us par īmān lāe haiṅ jo Allāh ham se rakhtā hai. Allāh muhabbat hī hai. Jo bhī muhabbat meṅ qāym rahtā hai wuh Allāh meṅ rahtā hai aur Allāh us meṅ. 17 Isī tarah muhabbat hamāre darmiyān takmīl tak pahuṅchtī hai, aur yoṅ ham adālat ke din pūre etamād ke sāth khaṛe ho sakeṅge, kyoṅki jaise wuh hai waise hī ham bhī is duniyā meṅ haiṅ. 18 Muhabbat meṅ ḳhauf nahīṅ hotā balki kāmil muhabbat ḳhauf ko bhagā detī hai, kyoṅki ḳhauf ke pīchhe sazā kā ḍar hai. Jo ḍartā hai us kī muhabbat takmīl tak nahīṅ pahuṅchī. 19 Ham is lie muhabbat rakhte haiṅ ki Allāh ne pahle ham se muhabbat rakhī. 20 Agar koī kahe, “Maiṅ Allāh se muhabbat rakhtā hūṅ” lekin apne bhāī se nafrat kare to wuh jhūṭā hai. Kyoṅki jo apne bhāī se jise us ne dekhā hai muhabbat nahīṅ rakhtā wuh kis tarah Allāh se muhabbat rakh saktā hai jise us ne nahīṅ dekhā? 21 Jo hukm Masīh ne hameṅ diyā hai wuh yih hai, jo Allāh se muhabbat rakhtā hai wuh apne bhāī se bhī muhabbat rakhe.

In Other Versions

1 John 4 in the ANGEFD

1 John 4 in the ANTPNG2D

1 John 4 in the AS21

1 John 4 in the BAGH

1 John 4 in the BBPNG

1 John 4 in the BBT1E

1 John 4 in the BDS

1 John 4 in the BEV

1 John 4 in the BHAD

1 John 4 in the BIB

1 John 4 in the BLPT

1 John 4 in the BNT

1 John 4 in the BNTABOOT

1 John 4 in the BNTLV

1 John 4 in the BOATCB

1 John 4 in the BOATCB2

1 John 4 in the BOBCV

1 John 4 in the BOCNT

1 John 4 in the BOECS

1 John 4 in the BOGWICC

1 John 4 in the BOHCB

1 John 4 in the BOHCV

1 John 4 in the BOHLNT

1 John 4 in the BOHNTLTAL

1 John 4 in the BOICB

1 John 4 in the BOILNTAP

1 John 4 in the BOITCV

1 John 4 in the BOKCV

1 John 4 in the BOKCV2

1 John 4 in the BOKHWOG

1 John 4 in the BOKSSV

1 John 4 in the BOLCB

1 John 4 in the BOLCB2

1 John 4 in the BOMCV

1 John 4 in the BONAV

1 John 4 in the BONCB

1 John 4 in the BONLT

1 John 4 in the BONUT2

1 John 4 in the BOPLNT

1 John 4 in the BOSCB

1 John 4 in the BOSNC

1 John 4 in the BOTLNT

1 John 4 in the BOVCB

1 John 4 in the BOYCB

1 John 4 in the BPBB

1 John 4 in the BPH

1 John 4 in the BSB

1 John 4 in the CCB

1 John 4 in the CUV

1 John 4 in the CUVS

1 John 4 in the DBT

1 John 4 in the DGDNT

1 John 4 in the DHNT

1 John 4 in the DNT

1 John 4 in the ELBE

1 John 4 in the EMTV

1 John 4 in the ESV

1 John 4 in the FBV

1 John 4 in the FEB

1 John 4 in the GGMNT

1 John 4 in the GNT

1 John 4 in the HARY

1 John 4 in the HNT

1 John 4 in the IRVA

1 John 4 in the IRVB

1 John 4 in the IRVG

1 John 4 in the IRVH

1 John 4 in the IRVK

1 John 4 in the IRVM

1 John 4 in the IRVM2

1 John 4 in the IRVO

1 John 4 in the IRVP

1 John 4 in the IRVT

1 John 4 in the IRVT2

1 John 4 in the IRVU

1 John 4 in the ISVN

1 John 4 in the JSNT

1 John 4 in the KAPI

1 John 4 in the KBT1ETNIK

1 John 4 in the KBV

1 John 4 in the KJV

1 John 4 in the KNFD

1 John 4 in the LBA

1 John 4 in the LBLA

1 John 4 in the LNT

1 John 4 in the LSV

1 John 4 in the MAAL

1 John 4 in the MBV

1 John 4 in the MBV2

1 John 4 in the MHNT

1 John 4 in the MKNFD

1 John 4 in the MNG

1 John 4 in the MNT

1 John 4 in the MNT2

1 John 4 in the MRS1T

1 John 4 in the NAA

1 John 4 in the NASB

1 John 4 in the NBLA

1 John 4 in the NBS

1 John 4 in the NBVTP

1 John 4 in the NET2

1 John 4 in the NIV11

1 John 4 in the NNT

1 John 4 in the NNT2

1 John 4 in the NNT3

1 John 4 in the PDDPT

1 John 4 in the PFNT

1 John 4 in the RMNT

1 John 4 in the SBIAS

1 John 4 in the SBIBS

1 John 4 in the SBIBS2

1 John 4 in the SBICS

1 John 4 in the SBIDS

1 John 4 in the SBIGS

1 John 4 in the SBIHS

1 John 4 in the SBIIS

1 John 4 in the SBIIS2

1 John 4 in the SBIIS3

1 John 4 in the SBIKS

1 John 4 in the SBIKS2

1 John 4 in the SBIMS

1 John 4 in the SBIOS

1 John 4 in the SBIPS

1 John 4 in the SBISS

1 John 4 in the SBITS

1 John 4 in the SBITS2

1 John 4 in the SBITS3

1 John 4 in the SBITS4

1 John 4 in the SBIUS

1 John 4 in the SBIVS

1 John 4 in the SBT

1 John 4 in the SBT1E

1 John 4 in the SCHL

1 John 4 in the SNT

1 John 4 in the SUSU

1 John 4 in the SUSU2

1 John 4 in the SYNO

1 John 4 in the TBIAOTANT

1 John 4 in the TBT1E

1 John 4 in the TBT1E2

1 John 4 in the TFTIP

1 John 4 in the TFTU

1 John 4 in the TGNTATF3T

1 John 4 in the THAI

1 John 4 in the TNFD

1 John 4 in the TNT

1 John 4 in the TNTIK

1 John 4 in the TNTIL

1 John 4 in the TNTIN

1 John 4 in the TNTIP

1 John 4 in the TNTIZ

1 John 4 in the TOMA

1 John 4 in the TTENT

1 John 4 in the UBG

1 John 4 in the UGV

1 John 4 in the UGV2

1 John 4 in the VBL

1 John 4 in the VDCC

1 John 4 in the YALU

1 John 4 in the YAPE

1 John 4 in the YBVTP

1 John 4 in the ZBP