Isaiah 51 (UGV3)

1 “Tum jo rāstī ke pīchhe lage rahte, jo Rab ke tālib ho, merī bāt suno! Us chaṭān par dhyān do jis meṅ se tumheṅ tarāsh kar nikālā gayā hai, us kān par ġhaur karo jis meṅ se tumheṅ khodā gayā hai. 2 Yānī apne bāp Ibrāhīm aur apnī māṅ Sārā par tawajjuh do, jis ne dard-e-zah kī taklīf uṭhā kar tumheṅ janm diyā. Ibrāhīm beaulād thā jab maiṅ ne use bulāyā, lekin phir maiṅ ne use barkat de kar bahut aulād baḳhshī.” 3 Yaqīnan Rab Siyyūn ko tasallī degā. Wuh us ke tamām khanḍarāt ko tashaffī de kar us ke registān ko Bāġh-e-Adan meṅ aur us kī banjar zamīn ko Rab ke bāġh meṅ badal degā. Tab us meṅ ḳhushī-o-shādmānī pāī jāegī, har taraf shukrguzārī aur gītoṅ kī āwāzeṅ sunāī deṅgī. 4 “Ai merī qaum, mujh par dhyān de! Ai merī ummat, mujh par ġhaur kar! Kyoṅki hidāyat mujh se sādir hogī, aur merā insāf qaumoṅ kī raushnī banegā. 5 Merī rāstī qarīb hī hai, merī najāt rāste meṅ hai, aur merā zorāwar bāzū qaumoṅ meṅ insāf qāym karegā. Jazīre mujh se ummīd rakheṅge, wuh merī qudrat deḳhne ke intazār meṅ raheṅge. 6 Apnī āṅkheṅ āsmān kī taraf uṭhāo! Nīche zamīn par nazar ḍālo! Āsmān dhueṅ kī tarah bikhar jāegā, zamīn purāne kapṛe kī tarah ghise-phaṭegī aur us ke bāshinde machchharoṅ kī tarah mar jāeṅge. Lekin merī najāt abad tak qāym rahegī, aur merī rāstī kabhī ḳhatm nahīṅ hogī. 7 Ai sahīh rāh ko jānane wālo, ai qaum jis ke dil meṅ merī sharīat hai, merī bāt suno! Jab log tumhārī be'izzatī karte haiṅ to un se mat ḍarnā, jab wuh tumheṅ gāliyāṅ dete haiṅ to mat ghabrānā. 8 Kyoṅki kirm unheṅ kapṛe kī tarah khā jāegā, kīṛā unheṅ ūn kī tarah hazm karegā. Lekin merī rāstī abad tak qāym rahegī, merī najāt pusht-dar-pusht barqarār rahegī.” 9 Ai Rab ke bāzū, uṭh. Jāg uṭh aur quwwat kā jāmā pahan le! Yoṅ amal meṅ ā jis tarah qadīm zamāne meṅ āyā thā, jab tū ne muta'addid nasloṅ pahle Rahab ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā, samundarī azhdahe ko chhed ḍālā. 10 Kyoṅki tū hī ne samundar ko ḳhushk kiyā, tū hī ne gahrāiyoṅ kī tah par rāstā banāyā tāki wuh jinheṅ tū ne ewazānā de kar chhuṛāyā thā us meṅ se guzar sakeṅ. 11 Jinheṅ Rab ne fidyā de kar chhuṛāyā hai wuh wāpas āeṅge. Wuh shādiyānā bajā kar Siyyūn meṅ dāḳhil hoṅge, aur har ek kā sar abadī ḳhushī ke tāj se ārāstā hogā. Kyoṅki ḳhushī aur shādmānī un par ġhālib ā kar tamām ġham aur āh-o-zārī bhagā degī. 12 “Maiṅ, sirf maiṅ hī tujhe tasallī detā hūṅ. To phir tū fānī insān se kyoṅ ḍartī hai, jo ghās kī tarah murjhā kar ḳhatm ho jātā hai? 13 Tū Rab apne Ḳhāliq ko kyoṅ bhūl gaī hai, jis ne āsmān ko ḳhaime kī tarah tān liyā aur zamīn kī buniyād rakhī? Jab zālim tujhe tabāh karne par tulā rahtā hai to tū us ke taish se pūre din kyoṅ ḳhauf khātī rahtī hai? Ab us kā taish kahāṅ rahā? 14 Jo zanjīroṅ meṅ jakaṛā huā hai wuh jald hī āzād ho jāegā. Na wuh mar kar qabr meṅ utregā, na roṭī se mahrūm rahegā. 15 Kyoṅki maiṅ Rab terā Ḳhudā hūṅ jo samundar ko yoṅ harkat meṅ lātā hai ki wuh mutalātim ho kar garajne lagtā hai. Rabbul-afwāj merā nām hai. 16 Maiṅ ne apne alfāz tere muṅh meṅ ḍāl kar tujhe apne hāth ke sāy meṅ chhupāe rakhā hai tāki nae sire se āsmān ko tānūṅ, zamīn kī buniyādeṅ rakhūṅ aur Siyyūn ko batāūṅ, ‘Tū merī qaum hai.’” 17 Ai Yarūshalam, uṭh. Jāg uṭh. Ai shahr jis ne Rab ke hāth se us kā ġhazab bharā pyālā pī liyā hai, khaṛī ho jā! Ab tū ne laṛkhaṛā dene wāle pyāle ko āḳhirī qatre tak chāṭ liyā hai. 18 Jitne bhī beṭe tū ne janm die un meṅ se ek bhī nahīṅ rahā jo terī rāhnumāī kare. Jitne bhī beṭe tū ne pāle un meṅ se ek bhī nahīṅ jo terā hāth pakaṛ kar tere sāth chale. 19 Tujh par do āfateṅ āīṅ yānī barbādī-o-tabāhī, kāl aur talwār. Lekin kis ne hamdardī kā izhār kiyā? Kis ne tujhe tasallī dī? 20 Tere beṭe ġhash khā kar gir gae haiṅ. Har galī meṅ wuh jāl meṅ phaṅse hue ġhazāl kī tarah zamīn par taṛap rahe haiṅ. Kyoṅki Rab kā ġhazab un par nāzil huā hai, wuh ilāhī ḍānṭ-ḍapaṭ kā nishānā ban gae haiṅ. 21 Chunāṅche merī bāt sun, ai musībatzadā qaum, ai nashe meṅ matwālī ummat, go tū mai ke asar se nahīṅ ḍagmagā rahī. 22 Rab terā āqā jo terā Ḳhudā hai aur apnī qaum ke lie laṛtā hai wuh farmātā hai, “Dekh, maiṅ ne tere hāth se wuh pyālā dūr kar diyā jo tere laṛkhaṛāne kā sabab banā. Āindā tū merā ġhazab bharā pyālā nahīṅ piegī. 23 Ab maiṅ ise un ko pakaṛā dūṅgā jinhoṅ ne tujhe aziyat pahuṅchāī hai, jinhoṅ ne tujh se kahā, ‘Aundhe muṅh jhuk jā tāki ham tujh par se guzareṅ.’ Us waqt terī pīṭh ḳhāk meṅ dhaṅs kar dūsroṅ ke lie rāstā ban gaī thī.”

In Other Versions

Isaiah 51 in the ANGEFD

Isaiah 51 in the ANTPNG2D

Isaiah 51 in the AS21

Isaiah 51 in the BAGH

Isaiah 51 in the BBPNG

Isaiah 51 in the BBT1E

Isaiah 51 in the BDS

Isaiah 51 in the BEV

Isaiah 51 in the BHAD

Isaiah 51 in the BIB

Isaiah 51 in the BLPT

Isaiah 51 in the BNT

Isaiah 51 in the BNTABOOT

Isaiah 51 in the BNTLV

Isaiah 51 in the BOATCB

Isaiah 51 in the BOATCB2

Isaiah 51 in the BOBCV

Isaiah 51 in the BOCNT

Isaiah 51 in the BOECS

Isaiah 51 in the BOGWICC

Isaiah 51 in the BOHCB

Isaiah 51 in the BOHCV

Isaiah 51 in the BOHLNT

Isaiah 51 in the BOHNTLTAL

Isaiah 51 in the BOICB

Isaiah 51 in the BOILNTAP

Isaiah 51 in the BOITCV

Isaiah 51 in the BOKCV

Isaiah 51 in the BOKCV2

Isaiah 51 in the BOKHWOG

Isaiah 51 in the BOKSSV

Isaiah 51 in the BOLCB

Isaiah 51 in the BOLCB2

Isaiah 51 in the BOMCV

Isaiah 51 in the BONAV

Isaiah 51 in the BONCB

Isaiah 51 in the BONLT

Isaiah 51 in the BONUT2

Isaiah 51 in the BOPLNT

Isaiah 51 in the BOSCB

Isaiah 51 in the BOSNC

Isaiah 51 in the BOTLNT

Isaiah 51 in the BOVCB

Isaiah 51 in the BOYCB

Isaiah 51 in the BPBB

Isaiah 51 in the BPH

Isaiah 51 in the BSB

Isaiah 51 in the CCB

Isaiah 51 in the CUV

Isaiah 51 in the CUVS

Isaiah 51 in the DBT

Isaiah 51 in the DGDNT

Isaiah 51 in the DHNT

Isaiah 51 in the DNT

Isaiah 51 in the ELBE

Isaiah 51 in the EMTV

Isaiah 51 in the ESV

Isaiah 51 in the FBV

Isaiah 51 in the FEB

Isaiah 51 in the GGMNT

Isaiah 51 in the GNT

Isaiah 51 in the HARY

Isaiah 51 in the HNT

Isaiah 51 in the IRVA

Isaiah 51 in the IRVB

Isaiah 51 in the IRVG

Isaiah 51 in the IRVH

Isaiah 51 in the IRVK

Isaiah 51 in the IRVM

Isaiah 51 in the IRVM2

Isaiah 51 in the IRVO

Isaiah 51 in the IRVP

Isaiah 51 in the IRVT

Isaiah 51 in the IRVT2

Isaiah 51 in the IRVU

Isaiah 51 in the ISVN

Isaiah 51 in the JSNT

Isaiah 51 in the KAPI

Isaiah 51 in the KBT1ETNIK

Isaiah 51 in the KBV

Isaiah 51 in the KJV

Isaiah 51 in the KNFD

Isaiah 51 in the LBA

Isaiah 51 in the LBLA

Isaiah 51 in the LNT

Isaiah 51 in the LSV

Isaiah 51 in the MAAL

Isaiah 51 in the MBV

Isaiah 51 in the MBV2

Isaiah 51 in the MHNT

Isaiah 51 in the MKNFD

Isaiah 51 in the MNG

Isaiah 51 in the MNT

Isaiah 51 in the MNT2

Isaiah 51 in the MRS1T

Isaiah 51 in the NAA

Isaiah 51 in the NASB

Isaiah 51 in the NBLA

Isaiah 51 in the NBS

Isaiah 51 in the NBVTP

Isaiah 51 in the NET2

Isaiah 51 in the NIV11

Isaiah 51 in the NNT

Isaiah 51 in the NNT2

Isaiah 51 in the NNT3

Isaiah 51 in the PDDPT

Isaiah 51 in the PFNT

Isaiah 51 in the RMNT

Isaiah 51 in the SBIAS

Isaiah 51 in the SBIBS

Isaiah 51 in the SBIBS2

Isaiah 51 in the SBICS

Isaiah 51 in the SBIDS

Isaiah 51 in the SBIGS

Isaiah 51 in the SBIHS

Isaiah 51 in the SBIIS

Isaiah 51 in the SBIIS2

Isaiah 51 in the SBIIS3

Isaiah 51 in the SBIKS

Isaiah 51 in the SBIKS2

Isaiah 51 in the SBIMS

Isaiah 51 in the SBIOS

Isaiah 51 in the SBIPS

Isaiah 51 in the SBISS

Isaiah 51 in the SBITS

Isaiah 51 in the SBITS2

Isaiah 51 in the SBITS3

Isaiah 51 in the SBITS4

Isaiah 51 in the SBIUS

Isaiah 51 in the SBIVS

Isaiah 51 in the SBT

Isaiah 51 in the SBT1E

Isaiah 51 in the SCHL

Isaiah 51 in the SNT

Isaiah 51 in the SUSU

Isaiah 51 in the SUSU2

Isaiah 51 in the SYNO

Isaiah 51 in the TBIAOTANT

Isaiah 51 in the TBT1E

Isaiah 51 in the TBT1E2

Isaiah 51 in the TFTIP

Isaiah 51 in the TFTU

Isaiah 51 in the TGNTATF3T

Isaiah 51 in the THAI

Isaiah 51 in the TNFD

Isaiah 51 in the TNT

Isaiah 51 in the TNTIK

Isaiah 51 in the TNTIL

Isaiah 51 in the TNTIN

Isaiah 51 in the TNTIP

Isaiah 51 in the TNTIZ

Isaiah 51 in the TOMA

Isaiah 51 in the TTENT

Isaiah 51 in the UBG

Isaiah 51 in the UGV

Isaiah 51 in the UGV2

Isaiah 51 in the VBL

Isaiah 51 in the VDCC

Isaiah 51 in the YALU

Isaiah 51 in the YAPE

Isaiah 51 in the YBVTP

Isaiah 51 in the ZBP