Luke 23 (UGV3)

1 Phir pūrī majlis uṭhī aur use Pīlātus ke pās le āī. 2 Wahāṅ wuh us par ilzām lagā kar kahne lage, “Ham ne mālūm kiyā hai ki yih ādmī hamārī qaum ko gumrāh kar rahā hai. Yih shahanshāh ko ṭaiks dene se manā kartā aur dāwā kartā hai ki maiṅ Masīh aur bādshāh hūṅ.” 3 Pīlātus ne us se pūchhā, “Achchhā, tum Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ho?”Īsā ne jawāb diyā, “Jī, āp ḳhud kahte haiṅ.” 4 Phir Pīlātus ne rāhnumā imāmoṅ aur hujūm se kahā, “Mujhe is ādmī par ilzām lagāne kī koī wajah nazar nahīṅ ātī.” 5 Lekin wuh aṛe rahe. Unhoṅ ne kahā, “Wuh pūre Yahūdiyā meṅ tālīm dete hue qaum ko uksātā hai. Wuh Galīl se shurū karke yahāṅ tak ā pahuṅchā hai.” 6 Yih sun kar Pīlātus ne pūchhā, “Kyā yih shaḳhs Galīl kā hai?” 7 Jab use mālūm huā ki Īsā Galīl yānī us ilāqe se hai jis par Herodes Antipās kī hukūmat hai to us ne use Herodes ke pās bhej diyā, kyoṅki wuh bhī us waqt Yarūshalam meṅ thā. 8 Herodes Īsā ko dekh kar bahut ḳhush huā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ bahut kuchh sunā thā aur is lie kāfī der se us se milnā chāhtā thā. Ab us kī baṛī ḳhāhish thī ki Īsā ko koī mojizā karte hue dekh sake. 9 Us ne us se bahut sāre sawāl kie, lekin Īsā ne ek kā bhī jawāb na diyā. 10 Rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā sāth khaṛe baṛe josh se us par ilzām lagāte rahe. 11 Phir Herodes aur us ke faujiyoṅ ne us kī tahqīr karte hue us kā mazāq uṛāyā aur use chamakdār libās pahnā kar Pīlātus ke pās wāpas bhej diyā. 12 Usī din Herodes aur Pīlātus dost ban gae. Kyoṅki is se pahle un kī dushmanī chal rahī thī. 13 Phir Pīlātus ne rāhnumā imāmoṅ, sardāroṅ aur awām ko jamā karke 14 un se kahā, “Tum ne is shaḳhs ko mere pās lā kar is par ilzām lagāyā hai ki yih qaum ko uksā rahā hai. Maiṅ ne tumhārī maujūdagī meṅ is kā jāyzā le kar aisā kuchh nahīṅ pāyā jo tumhāre ilzāmāt kī tasdīq kare. 15 Herodes bhī kuchh nahīṅ mālūm kar sakā, is lie us ne ise hamāre pās wāpas bhej diyā hai. Is ādmī se koī bhī aisā qusūr nahīṅ huā ki yih sazā-e-maut ke lāyq hai. 16 Is lie maiṅ ise koṛoṅ kī sazā de kar rihā kar detā hūṅ.” 17 [Asl meṅ yih us kā farz thā ki wuh īd ke mauqe par un kī ḳhātir ek qaidī ko rihā kar de.] 18 Lekin sab mil kar shor machā kar kahne lage, “Ise le jāeṅ! Ise nahīṅ balki Bar-abbā ko rihā karke hameṅ deṅ.” 19 (Bar-abbā ko is lie jel meṅ ḍālā gayā thā ki wuh qātil thā aur us ne shahr meṅ hukūmat ke ḳhilāf baġhāwat kī thī.) 20 Pīlātus Īsā ko rihā karnā chāhtā thā, is lie wuh dubārā un se muḳhātib huā. 21 Lekin wuh chillāte rahe, “Ise maslūb kareṅ, ise maslūb kareṅ.” 22 Phir Pīlātus ne tīsrī dafā un se kahā, “Kyoṅ? Us ne kyā jurm kiyā hai? Mujhe ise sazā-e-maut dene kī koī wajah nazar nahīṅ ātī. Is lie maiṅ ise koṛe lagwā kar rihā kar detā hūṅ.” 23 Lekin wuh baṛā shor machā kar use maslūb karne kā taqāzā karte rahe, aur āḳhirkār un kī āwāzeṅ ġhālib ā gaīṅ. 24 Phir Pīlātus ne faislā kiyā ki un kā mutālabā pūrā kiyā jāe. 25 Us ne us ādmī ko rihā kar diyā jo apnī bāġhiyānā harkatoṅ aur qatl kī wajah se jel meṅ ḍāl diyā gayā thā jabki Īsā ko us ne un kī marzī ke mutābiq un ke hawāle kar diyā. 26 Jab faujī Īsā ko le jā rahe the to unhoṅ ne ek ādmī ko pakaṛ liyā jo Libiyā ke shahr Kuren kā rahne wālā thā. Us kā nām Shamāūn thā. Us waqt wuh dehāt se shahr meṅ dāḳhil ho rahā thā. Unhoṅ ne salīb ko us ke kandhoṅ par rakh kar use Īsā ke pīchhe chalne kā hukm diyā. 27 Ek baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā jis meṅ kuchh aisī aurateṅ bhī shāmil thīṅ jo Sīnā pīṭ pīṭ kar us kā mātam kar rahī thīṅ. 28 Īsā ne muṛ kar un se kahā, “Yarūshalam kī beṭiyo! Mere wāste na ro'o balki apne aur apne bachchoṅ ke wāste ro'o. 29 Kyoṅki aise din āeṅge jab log kaheṅge, ‘Mubārak haiṅ wuh jo bāṅjh haiṅ, jinhoṅ ne na to bachchoṅ ko janm diyā, na dūdh pilāyā.’ 30 Phir log pahāṛoṅ se kahne lageṅge, ‘Ham par gir paṛo,’ aur pahāṛiyoṅ se ki ‘Hameṅ chhupā lo.’ 31 Kyoṅki agar harī lakaṛī se aisā sulūk kiyā jātā hai to phir sūkhī lakaṛī kā kyā banegā?” 32 Do aur mardoṅ ko bhī phāṅsī dene ke lie bāhar le jāyā jā rahā thā. Donoṅ mujrim the. 33 Chalte chalte wuh us jagah pahuṅche jis kā nām Khopaṛī thā. Wahāṅ unhoṅ ne Īsā ko donoṅ mujrimoṅ samet maslūb kiyā. Ek mujrim ko us ke dāeṅ hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth laṭkā diyā gayā. 34 Īsā ne kahā, “Ai Bāp, inheṅ muāf kar, kyoṅki yih jānte nahīṅ ki kyā kar rahe haiṅ.”Unhoṅ ne qurā ḍāl kar us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ lie. 35 Hujūm wahāṅ khaṛā tamāshā deḳhtā rahā jabki qaum ke sardāroṅ ne us kā mazāq bhī uṛāyā. Unhoṅ ne kahā, “Us ne auroṅ ko bachāyā hai. Agar yih Allāh kā chunā huā aur Masīh hai to apne āp ko bachāe.” 36 Faujiyoṅ ne bhī use lān-tān kī. Us ke pās ā kar unhoṅ ne use mai kā sirkā pesh kiyā 37 aur kahā, “Agar tū Yahūdiyoṅ kā Bādshāh hai to apne āp ko bachā le.” 38 Us ke sar ke ūpar ek taḳhtī lagāī gaī thī jis par likhā thā, “Yih Yahūdiyoṅ kā Bādshāh hai.” 39 Jo mujrim us ke sāth maslūb hue the un meṅ se ek ne kufr bakte hue kahā, “Kyā tū Masīh nahīṅ hai? To phir apne āp ko aur hameṅ bhī bachā le.” 40 Lekin dūsre ne yih sun kar use ḍānṭā, “Kyā tū Allāh se bhī nahīṅ ḍartā? Jo sazā use dī gaī hai wuh tujhe bhī milī hai. 41 Hamārī sazā to wājibī hai, kyoṅki hameṅ apne kāmoṅ kā badlā mil rahā hai, lekin is ne koī burā kām nahīṅ kiyā.” 42 Phir us ne Īsā se kahā, “Jab āp apnī bādshāhī meṅ āeṅ to mujhe yād kareṅ.” 43 Īsā ne us se kahā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ ki tū āj hī mere sāth firdaus meṅ hogā.” 44 Bārah baje se dopahar tīn baje tak pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. 45 Sūraj tārīk ho gayā aur Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. 46 Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Ai Bāp, maiṅ apnī rūh tere hāthoṅ meṅ sauṅptā hūṅ.” Yih kah kar us ne dam chhoṛ diyā. 47 Yih dekh kar wahāṅ khaṛe faujī afsar ne Allāh kī tamjīd karke kahā, “Yih ādmī wāqaī rāstbāz thā.” 48 Aur hujūm ke tamām log jo yih tamāshā deḳhne ke lie jamā hue the yih sab kuchh dekh kar chhātī pīṭne lage aur shahr meṅ wāpas chale gae. 49 Lekin Īsā ke jānane wāle kuchh fāsile par khaṛe deḳhte rahe. Un meṅ wuh ḳhawātīn bhī shāmil thīṅ jo Galīl meṅ us ke pīchhe chal kar yahāṅ tak us ke sāth āī thīṅ. 50 Wahāṅ ek nek aur rāstbāz ādmī banām Yūsuf thā. Wuh Yahūdī adālat-e-āliyā kā rukn thā 51 lekin dūsroṅ ke faisle aur harkatoṅ par razāmand nahīṅ huā thā. Yih ādmī Yahūdiyā ke shahr Arimatiyāh kā rahne wālā thā aur is intazār meṅ thā ki Allāh kī bādshāhī āe. 52 Ab us ne Pīlātus ke pās jā kar us se Īsā kī lāsh le jāne kī ijāzat māṅgī. 53 Phir lāsh ko utār kar us ne use katān ke kafan meṅ lapeṭ kar chaṭān meṅ tarāshī huī ek qabr meṅ rakh diyā jis meṅ ab tak kisī ko dafnāyā nahīṅ gayā thā. 54 Yih taiyārī kā din yānī jumā thā, lekin Sabat kā din shurū hone ko thā. 55 Jo aurateṅ Īsā ke sāth Galīl se āī thīṅ wuh Yūsuf ke pīchhe ho līṅ. Unhoṅ ne qabr ko dekhā aur yih bhī ki Īsā kī lāsh kis tarah us meṅ rakhī gaī hai. 56 Phir wuh shahr meṅ wāpas chalī gaīṅ aur us kī lāsh ke lie ḳhushbūdār masāle taiyār karne lagīṅ. Lekin bīch meṅ Sabat kā din shurū huā, is lie unhoṅ ne sharīat ke mutābiq ārām kiyā.

In Other Versions

Luke 23 in the ANGEFD

Luke 23 in the ANTPNG2D

Luke 23 in the AS21

Luke 23 in the BAGH

Luke 23 in the BBPNG

Luke 23 in the BBT1E

Luke 23 in the BDS

Luke 23 in the BEV

Luke 23 in the BHAD

Luke 23 in the BIB

Luke 23 in the BLPT

Luke 23 in the BNT

Luke 23 in the BNTABOOT

Luke 23 in the BNTLV

Luke 23 in the BOATCB

Luke 23 in the BOATCB2

Luke 23 in the BOBCV

Luke 23 in the BOCNT

Luke 23 in the BOECS

Luke 23 in the BOGWICC

Luke 23 in the BOHCB

Luke 23 in the BOHCV

Luke 23 in the BOHLNT

Luke 23 in the BOHNTLTAL

Luke 23 in the BOICB

Luke 23 in the BOILNTAP

Luke 23 in the BOITCV

Luke 23 in the BOKCV

Luke 23 in the BOKCV2

Luke 23 in the BOKHWOG

Luke 23 in the BOKSSV

Luke 23 in the BOLCB

Luke 23 in the BOLCB2

Luke 23 in the BOMCV

Luke 23 in the BONAV

Luke 23 in the BONCB

Luke 23 in the BONLT

Luke 23 in the BONUT2

Luke 23 in the BOPLNT

Luke 23 in the BOSCB

Luke 23 in the BOSNC

Luke 23 in the BOTLNT

Luke 23 in the BOVCB

Luke 23 in the BOYCB

Luke 23 in the BPBB

Luke 23 in the BPH

Luke 23 in the BSB

Luke 23 in the CCB

Luke 23 in the CUV

Luke 23 in the CUVS

Luke 23 in the DBT

Luke 23 in the DGDNT

Luke 23 in the DHNT

Luke 23 in the DNT

Luke 23 in the ELBE

Luke 23 in the EMTV

Luke 23 in the ESV

Luke 23 in the FBV

Luke 23 in the FEB

Luke 23 in the GGMNT

Luke 23 in the GNT

Luke 23 in the HARY

Luke 23 in the HNT

Luke 23 in the IRVA

Luke 23 in the IRVB

Luke 23 in the IRVG

Luke 23 in the IRVH

Luke 23 in the IRVK

Luke 23 in the IRVM

Luke 23 in the IRVM2

Luke 23 in the IRVO

Luke 23 in the IRVP

Luke 23 in the IRVT

Luke 23 in the IRVT2

Luke 23 in the IRVU

Luke 23 in the ISVN

Luke 23 in the JSNT

Luke 23 in the KAPI

Luke 23 in the KBT1ETNIK

Luke 23 in the KBV

Luke 23 in the KJV

Luke 23 in the KNFD

Luke 23 in the LBA

Luke 23 in the LBLA

Luke 23 in the LNT

Luke 23 in the LSV

Luke 23 in the MAAL

Luke 23 in the MBV

Luke 23 in the MBV2

Luke 23 in the MHNT

Luke 23 in the MKNFD

Luke 23 in the MNG

Luke 23 in the MNT

Luke 23 in the MNT2

Luke 23 in the MRS1T

Luke 23 in the NAA

Luke 23 in the NASB

Luke 23 in the NBLA

Luke 23 in the NBS

Luke 23 in the NBVTP

Luke 23 in the NET2

Luke 23 in the NIV11

Luke 23 in the NNT

Luke 23 in the NNT2

Luke 23 in the NNT3

Luke 23 in the PDDPT

Luke 23 in the PFNT

Luke 23 in the RMNT

Luke 23 in the SBIAS

Luke 23 in the SBIBS

Luke 23 in the SBIBS2

Luke 23 in the SBICS

Luke 23 in the SBIDS

Luke 23 in the SBIGS

Luke 23 in the SBIHS

Luke 23 in the SBIIS

Luke 23 in the SBIIS2

Luke 23 in the SBIIS3

Luke 23 in the SBIKS

Luke 23 in the SBIKS2

Luke 23 in the SBIMS

Luke 23 in the SBIOS

Luke 23 in the SBIPS

Luke 23 in the SBISS

Luke 23 in the SBITS

Luke 23 in the SBITS2

Luke 23 in the SBITS3

Luke 23 in the SBITS4

Luke 23 in the SBIUS

Luke 23 in the SBIVS

Luke 23 in the SBT

Luke 23 in the SBT1E

Luke 23 in the SCHL

Luke 23 in the SNT

Luke 23 in the SUSU

Luke 23 in the SUSU2

Luke 23 in the SYNO

Luke 23 in the TBIAOTANT

Luke 23 in the TBT1E

Luke 23 in the TBT1E2

Luke 23 in the TFTIP

Luke 23 in the TFTU

Luke 23 in the TGNTATF3T

Luke 23 in the THAI

Luke 23 in the TNFD

Luke 23 in the TNT

Luke 23 in the TNTIK

Luke 23 in the TNTIL

Luke 23 in the TNTIN

Luke 23 in the TNTIP

Luke 23 in the TNTIZ

Luke 23 in the TOMA

Luke 23 in the TTENT

Luke 23 in the UBG

Luke 23 in the UGV

Luke 23 in the UGV2

Luke 23 in the VBL

Luke 23 in the VDCC

Luke 23 in the YALU

Luke 23 in the YAPE

Luke 23 in the YBVTP

Luke 23 in the ZBP