Mark 3 (UGV3)

1 Kisī aur waqt jab Īsā ibādatḳhāne meṅ gayā to wahāṅ ek ādmī thā jis kā hāth sūkhā huā thā. 2 Sabat kā din thā aur log baṛe ġhaur se dekh rahe the ki kyā Īsā us ādmī ko āj bhī shifā degā. Kyoṅki wuh is par ilzām lagāne kā koī bahānā talāsh kar rahe the. 3 Īsā ne sūkhe hāth wāle ādmī se kahā, “Uṭh, darmiyān meṅ khaṛā ho.” 4 Phir Īsā ne un se pūchhā, “Mujhe batāo, sharīat hameṅ Sabat ke din kyā karne kī ijāzat detī hai, nek kām karne kī yā ġhalat kām karne kī, kisī kī jān bachāne kī yā use tabāh karne kī?”Sab ḳhāmosh rahe. 5 Wuh ġhusse se apne irdgird ke logoṅ kī taraf deḳhne lagā. Un kī saḳhtdilī us ke lie baṛe dukh kā bāis ban rahī thī. Phir us ne ādmī se kahā, “Apnā hāth āge baṛhā.” Us ne aisā kiyā to us kā hāth bahāl ho gayā. 6 Is par Farīsī bāhar nikal kar sīdhe Herodes kī pārṭī ke afrād ke sāth mil kar Īsā ko qatl karne kī sāzisheṅ karne lage. 7 Lekin Īsā wahāṅ se haṭ kar apne shāgirdoṅ ke sāth jhīl ke pās gayā. Ek baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā. Log na sirf Galīl ke ilāqe se āe balki bahut-sī aur jaghoṅ yānī Yahūdiyā, 8 Yarūshalam, Idūmayā, Dariyā-e-Yardan ke pār aur Sūr aur Saidā ke ilāqe se bhī. Wajah yih thī ki Īsā ke kām kī ḳhabar un ilāqoṅ tak bhī pahuṅch chukī thī aur natīje meṅ bahut-se log wahāṅ se bhī āe. 9 Īsā ne shāgirdoṅ se kahā, “Ehtiyātan ek kashtī us waqt ke lie taiyār kar rakho jab hujūm mujhe had se zyādā dabāne lagegā.” 10 Kyoṅki us din us ne bahutoṅ ko shifā dī thī, is lie jise bhī koī taklīf thī wuh dhakke de de kar us ke pās āyā tāki use chhū sake. 11 Aur jab bhī nāpāk rūhoṅ ne Īsā ko dekhā to wuh us ke sāmne gir kar chīḳheṅ mārne lagīṅ, “Āp Allāh ke Farzand haiṅ.” 12 Lekin Īsā ne unheṅ saḳhtī se ḍāṅṭ kar kahā ki wuh use zāhir na kareṅ. 13 Is ke bād Īsā ne pahāṛ par chaṛh kar jinheṅ wuh chāhtā thā unheṅ apne pās bulā liyā. Aur wuh us ke pās āe. 14 Us ne un meṅ se bārah ko chun liyā. Unheṅ us ne apne rasūl muqarrar kar liyā tāki wuh us ke sāth chaleṅ aur wuh unheṅ munādī karne ke lie bhej sake. 15 Us ne unheṅ badrūheṅ nikālne kā iḳhtiyār bhī diyā. 16 Jin bārah ko us ne muqarrar kiyā un ke nām yih haiṅ: Shamāūn jis kā laqab us ne Patras rakhā, 17 Zabdī ke beṭe Yāqūb aur Yūhannā jin kā laqab Īsā ne ‘Bādal kī Garaj ke Beṭe’ rakhā, 18 Andriyās, Filippus, Bartulmāī, Mattī, Tomā, Yāqūb bin Halfaī, Taddī, Shamāūn Mujāhid 19 aur Yahūdāh Iskariyotī jis ne bād meṅ use dushman ke hawāle kar diyā. 20 Phir Īsā kisī ghar meṅ dāḳhil huā. Is bār bhī itnā hujūm jamā ho gayā ki Īsā ko apne shāgirdoṅ samet khānā khāne kā mauqā bhī na milā. 21 Jab us ke ḳhāndān ke afrād ne yih sunā to wuh use pakaṛ kar le jāne ke lie āe, kyoṅki unhoṅ ne kahā, “Wuh hosh meṅ nahīṅ hai.” 22 Lekin sharīat ke jo ālim Yarūshalam se āe the unhoṅ ne kahā, “Yih badrūhoṅ ke sardār Bāl-zabūl ke qabze meṅ hai. Usī kī madad se badrūhoṅ ko nikāl rahā hai.” 23 Phir Īsā ne unheṅ apne pās bulā kar tamsīloṅ meṅ jawāb diyā. “Iblīs kis tarah Iblīs ko nikāl saktā hai? 24 Jis bādshāhī meṅ phūṭ paṛ jāe wuh qāym nahīṅ rah saktī. 25 Aur jis gharāne kī aisī hālat ho wuh bhī qāym nahīṅ rah saktā. 26 Isī tarah agar Iblīs apne āp kī muḳhālafat kare aur yoṅ us meṅ phūṭ paṛ jāe to wuh qāym nahīṅ rah saktā balki ḳhatm ho chukā hai. 27 Kisī zorāwar ādmī ke ghar meṅ ghus kar us kā māl-o-asbāb lūṭnā us waqt tak mumkin nahīṅ hai jab tak us ādmī ko bāndhā na jāe. Phir hī use lūṭā jā saktā hai. 28 Maiṅ tum se sach kahtā hūṅ ki logoṅ ke tamām gunāh aur kufr kī bāteṅ muāf kī jā sakeṅgī, ḳhāh wuh kitnā hī kufr kyoṅ na bakeṅ. 29 Lekin jo Rūhul-quds ke ḳhilāf kufr bake use abad tak muāfī nahīṅ milegī. Wuh ek abadī gunāh kā qusūrwār ṭhahregā.” 30 Īsā ne yih is lie kahā kyoṅki ālim kah rahe the ki wuh kisī badrūh kī girift meṅ hai. 31 Phir Īsā kī māṅ aur bhāī pahuṅch gae. Bāhar khaṛe ho kar unhoṅ ne kisī ko use bulāne ko bhej diyā. 32 Us ke irdgird hujūm baiṭhā thā. Unhoṅ ne kahā, “Āp kī māṅ aur bhāī bāhar āp ko bulā rahe haiṅ.” 33 Īsā ne pūchhā, “Kaun merī māṅ aur kaun mere bhāī haiṅ?” 34 Aur apne gird baiṭhe logoṅ par nazar ḍāl kar us ne kahā, “Dekho, yih merī māṅ aur mere bhāī haiṅ. 35 Jo bhī Allāh kī marzī pūrī kartā hai wuh merā bhāī, merī bahan aur merī māṅ hai.”

In Other Versions

Mark 3 in the ANGEFD

Mark 3 in the ANTPNG2D

Mark 3 in the AS21

Mark 3 in the BAGH

Mark 3 in the BBPNG

Mark 3 in the BBT1E

Mark 3 in the BDS

Mark 3 in the BEV

Mark 3 in the BHAD

Mark 3 in the BIB

Mark 3 in the BLPT

Mark 3 in the BNT

Mark 3 in the BNTABOOT

Mark 3 in the BNTLV

Mark 3 in the BOATCB

Mark 3 in the BOATCB2

Mark 3 in the BOBCV

Mark 3 in the BOCNT

Mark 3 in the BOECS

Mark 3 in the BOGWICC

Mark 3 in the BOHCB

Mark 3 in the BOHCV

Mark 3 in the BOHLNT

Mark 3 in the BOHNTLTAL

Mark 3 in the BOICB

Mark 3 in the BOILNTAP

Mark 3 in the BOITCV

Mark 3 in the BOKCV

Mark 3 in the BOKCV2

Mark 3 in the BOKHWOG

Mark 3 in the BOKSSV

Mark 3 in the BOLCB

Mark 3 in the BOLCB2

Mark 3 in the BOMCV

Mark 3 in the BONAV

Mark 3 in the BONCB

Mark 3 in the BONLT

Mark 3 in the BONUT2

Mark 3 in the BOPLNT

Mark 3 in the BOSCB

Mark 3 in the BOSNC

Mark 3 in the BOTLNT

Mark 3 in the BOVCB

Mark 3 in the BOYCB

Mark 3 in the BPBB

Mark 3 in the BPH

Mark 3 in the BSB

Mark 3 in the CCB

Mark 3 in the CUV

Mark 3 in the CUVS

Mark 3 in the DBT

Mark 3 in the DGDNT

Mark 3 in the DHNT

Mark 3 in the DNT

Mark 3 in the ELBE

Mark 3 in the EMTV

Mark 3 in the ESV

Mark 3 in the FBV

Mark 3 in the FEB

Mark 3 in the GGMNT

Mark 3 in the GNT

Mark 3 in the HARY

Mark 3 in the HNT

Mark 3 in the IRVA

Mark 3 in the IRVB

Mark 3 in the IRVG

Mark 3 in the IRVH

Mark 3 in the IRVK

Mark 3 in the IRVM

Mark 3 in the IRVM2

Mark 3 in the IRVO

Mark 3 in the IRVP

Mark 3 in the IRVT

Mark 3 in the IRVT2

Mark 3 in the IRVU

Mark 3 in the ISVN

Mark 3 in the JSNT

Mark 3 in the KAPI

Mark 3 in the KBT1ETNIK

Mark 3 in the KBV

Mark 3 in the KJV

Mark 3 in the KNFD

Mark 3 in the LBA

Mark 3 in the LBLA

Mark 3 in the LNT

Mark 3 in the LSV

Mark 3 in the MAAL

Mark 3 in the MBV

Mark 3 in the MBV2

Mark 3 in the MHNT

Mark 3 in the MKNFD

Mark 3 in the MNG

Mark 3 in the MNT

Mark 3 in the MNT2

Mark 3 in the MRS1T

Mark 3 in the NAA

Mark 3 in the NASB

Mark 3 in the NBLA

Mark 3 in the NBS

Mark 3 in the NBVTP

Mark 3 in the NET2

Mark 3 in the NIV11

Mark 3 in the NNT

Mark 3 in the NNT2

Mark 3 in the NNT3

Mark 3 in the PDDPT

Mark 3 in the PFNT

Mark 3 in the RMNT

Mark 3 in the SBIAS

Mark 3 in the SBIBS

Mark 3 in the SBIBS2

Mark 3 in the SBICS

Mark 3 in the SBIDS

Mark 3 in the SBIGS

Mark 3 in the SBIHS

Mark 3 in the SBIIS

Mark 3 in the SBIIS2

Mark 3 in the SBIIS3

Mark 3 in the SBIKS

Mark 3 in the SBIKS2

Mark 3 in the SBIMS

Mark 3 in the SBIOS

Mark 3 in the SBIPS

Mark 3 in the SBISS

Mark 3 in the SBITS

Mark 3 in the SBITS2

Mark 3 in the SBITS3

Mark 3 in the SBITS4

Mark 3 in the SBIUS

Mark 3 in the SBIVS

Mark 3 in the SBT

Mark 3 in the SBT1E

Mark 3 in the SCHL

Mark 3 in the SNT

Mark 3 in the SUSU

Mark 3 in the SUSU2

Mark 3 in the SYNO

Mark 3 in the TBIAOTANT

Mark 3 in the TBT1E

Mark 3 in the TBT1E2

Mark 3 in the TFTIP

Mark 3 in the TFTU

Mark 3 in the TGNTATF3T

Mark 3 in the THAI

Mark 3 in the TNFD

Mark 3 in the TNT

Mark 3 in the TNTIK

Mark 3 in the TNTIL

Mark 3 in the TNTIN

Mark 3 in the TNTIP

Mark 3 in the TNTIZ

Mark 3 in the TOMA

Mark 3 in the TTENT

Mark 3 in the UBG

Mark 3 in the UGV

Mark 3 in the UGV2

Mark 3 in the VBL

Mark 3 in the VDCC

Mark 3 in the YALU

Mark 3 in the YAPE

Mark 3 in the YBVTP

Mark 3 in the ZBP