Nahum 1 (UGV3)
1 Zail meṅ Nīnwā ke bāre meṅ wuh kalām qalamband hai jo Allāh ne royā meṅ Nāhūm Ilqūshī ko dikhāyā. 2 Rab ġhairatmand aur intaqām lene wālā Ḳhudā hai. Intaqām lete waqt Rab apnā pūrā ġhussā utārtā hai. Rab apne muḳhālifoṅ se badlā letā aur apne dushmanoṅ se nārāz rahtā hai. 3 Rab tahammul se bharpūr hai, aur us kī qudrat azīm hai. Wuh qusūrwār ko kabhī bhī sazā die baġhair nahīṅ chhoṛtā. Wuh āṅdhī aur tūfān se ghirā huā chaltā hai, aur bādal us ke pāṅwoṅ tale kī gard hote haiṅ. 4 Wuh samundar ko ḍānṭtā to wuh sūkh jātā, us ke hukm par tamām dariyā ḳhushk ho jāte haiṅ. Tab Basan aur Karmil kī shādāb hariyālī murjhā jātī aur Lubnān ke phūl kumlā jāte haiṅ. 5 Us ke sāmne pahāṛ laraz uṭhte, pahāṛiyāṅ pighal jātī haiṅ. Us ke huzūr pūrī zamīn apne bāshindoṅ samet laraz uṭhtī hai. 6 Kaun us kī nārāzī aur us ke shadīd qahr kā sāmnā kar saktā hai? Us kā ġhazab āg kī tarah bhaṛak kar zamīn par nāzil hotā hai, us ke āne par patthar phaṭ kar ṭukṛe ṭukṛe ho jāte haiṅ. 7 Rab mehrbān hai. Musībat ke din wuh mazbūt qilā hai, aur jo us meṅ panāh lete haiṅ unheṅ wuh jāntā hai. 8 Lekin apne dushmanoṅ par wuh sailāb lāegā jo un ke maqām ko ġharq karegā. Jahāṅ bhī dushman bhāg jāe wahāṅ us par tārīkī chhā jāne degā. 9 Rab ke ḳhilāf mansūbā bāndhne kā kyā fāydā? Wuh to tumheṅ ek dam tabāh kar degā, dūsrī bār tum par āfat lāne kī zarūrat hī nahīṅ hogī. 10 Kyoṅki go dushman ghanī aur ḳhārdār jhāṛiyoṅ aur nashe meṅ dhut sharābī kī mānind haiṅ, lekin wuh jald hī ḳhushk bhūse kī tarah bhasm ho jāeṅge. 11 Ai Nīnwā, tujh se wuh nikal āyā jis ne Rab ke ḳhilāf bure mansūbe bāndhe, jis ne shaitānī mashware die. 12 Lekin apnī qaum se Rab farmātā hai, “Go dushman tāqatwar aur beshumār kyoṅ na hoṅ to bhī unheṅ miṭāyā jāegā aur wuh ġhāyb ho jāeṅge. Beshak maiṅ ne tujhe past kar diyā, lekin āindā aisā nahīṅ karūṅga. 13 Ab maiṅ wuh juā toṛ ḍālūṅgā jo unhoṅ ne terī gardan par rakh diyā thā, maiṅ terī zanjīroṅ ko phāṛ ḍālūṅgā.” 14 Lekin Nīnwā se Rab farmātā hai, “Āindā terī koī aulād qāym nahīṅ rahegī jo terā nām rakhe. Jitne bhī but aur mujassame tere mandir meṅ paṛe haiṅ un sab ko maiṅ nest-o-nābūd kar dūṅgā. Maiṅ terī qabr taiyār kar rahā hūṅ, kyoṅki tū kuchh bhī nahīṅ hai.” 15 Wuh dekho, pahāṛoṅ par us ke qadam chal rahe haiṅ jo amn-o-amān kī ḳhushḳhabrī sunātā hai. Ai Yahūdāh, ab apnī īdeṅ manā, apnī mannateṅ pūrī kar! Kyoṅki āindā shaitānī ādmī tujh meṅ nahīṅ ghusegā, wuh sarāsar miṭ gayā hai.
In Other Versions
Nahum 1 in the ANGEFD
Nahum 1 in the ANTPNG2D
Nahum 1 in the AS21
Nahum 1 in the BAGH
Nahum 1 in the BBPNG
Nahum 1 in the BBT1E
Nahum 1 in the BDS
Nahum 1 in the BEV
Nahum 1 in the BHAD
Nahum 1 in the BIB
Nahum 1 in the BLPT
Nahum 1 in the BNT
Nahum 1 in the BNTABOOT
Nahum 1 in the BNTLV
Nahum 1 in the BOATCB
Nahum 1 in the BOATCB2
Nahum 1 in the BOBCV
Nahum 1 in the BOCNT
Nahum 1 in the BOECS
Nahum 1 in the BOGWICC
Nahum 1 in the BOHCB
Nahum 1 in the BOHCV
Nahum 1 in the BOHLNT
Nahum 1 in the BOHNTLTAL
Nahum 1 in the BOICB
Nahum 1 in the BOILNTAP
Nahum 1 in the BOITCV
Nahum 1 in the BOKCV
Nahum 1 in the BOKCV2
Nahum 1 in the BOKHWOG
Nahum 1 in the BOKSSV
Nahum 1 in the BOLCB
Nahum 1 in the BOLCB2
Nahum 1 in the BOMCV
Nahum 1 in the BONAV
Nahum 1 in the BONCB
Nahum 1 in the BONLT
Nahum 1 in the BONUT2
Nahum 1 in the BOPLNT
Nahum 1 in the BOSCB
Nahum 1 in the BOSNC
Nahum 1 in the BOTLNT
Nahum 1 in the BOVCB
Nahum 1 in the BOYCB
Nahum 1 in the BPBB
Nahum 1 in the BPH
Nahum 1 in the BSB
Nahum 1 in the CCB
Nahum 1 in the CUV
Nahum 1 in the CUVS
Nahum 1 in the DBT
Nahum 1 in the DGDNT
Nahum 1 in the DHNT
Nahum 1 in the DNT
Nahum 1 in the ELBE
Nahum 1 in the EMTV
Nahum 1 in the ESV
Nahum 1 in the FBV
Nahum 1 in the FEB
Nahum 1 in the GGMNT
Nahum 1 in the GNT
Nahum 1 in the HARY
Nahum 1 in the HNT
Nahum 1 in the IRVA
Nahum 1 in the IRVB
Nahum 1 in the IRVG
Nahum 1 in the IRVH
Nahum 1 in the IRVK
Nahum 1 in the IRVM
Nahum 1 in the IRVM2
Nahum 1 in the IRVO
Nahum 1 in the IRVP
Nahum 1 in the IRVT
Nahum 1 in the IRVT2
Nahum 1 in the IRVU
Nahum 1 in the ISVN
Nahum 1 in the JSNT
Nahum 1 in the KAPI
Nahum 1 in the KBT1ETNIK
Nahum 1 in the KBV
Nahum 1 in the KJV
Nahum 1 in the KNFD
Nahum 1 in the LBA
Nahum 1 in the LBLA
Nahum 1 in the LNT
Nahum 1 in the LSV
Nahum 1 in the MAAL
Nahum 1 in the MBV
Nahum 1 in the MBV2
Nahum 1 in the MHNT
Nahum 1 in the MKNFD
Nahum 1 in the MNG
Nahum 1 in the MNT
Nahum 1 in the MNT2
Nahum 1 in the MRS1T
Nahum 1 in the NAA
Nahum 1 in the NASB
Nahum 1 in the NBLA
Nahum 1 in the NBS
Nahum 1 in the NBVTP
Nahum 1 in the NET2
Nahum 1 in the NIV11
Nahum 1 in the NNT
Nahum 1 in the NNT2
Nahum 1 in the NNT3
Nahum 1 in the PDDPT
Nahum 1 in the PFNT
Nahum 1 in the RMNT
Nahum 1 in the SBIAS
Nahum 1 in the SBIBS
Nahum 1 in the SBIBS2
Nahum 1 in the SBICS
Nahum 1 in the SBIDS
Nahum 1 in the SBIGS
Nahum 1 in the SBIHS
Nahum 1 in the SBIIS
Nahum 1 in the SBIIS2
Nahum 1 in the SBIIS3
Nahum 1 in the SBIKS
Nahum 1 in the SBIKS2
Nahum 1 in the SBIMS
Nahum 1 in the SBIOS
Nahum 1 in the SBIPS
Nahum 1 in the SBISS
Nahum 1 in the SBITS
Nahum 1 in the SBITS2
Nahum 1 in the SBITS3
Nahum 1 in the SBITS4
Nahum 1 in the SBIUS
Nahum 1 in the SBIVS
Nahum 1 in the SBT
Nahum 1 in the SBT1E
Nahum 1 in the SCHL
Nahum 1 in the SNT
Nahum 1 in the SUSU
Nahum 1 in the SUSU2
Nahum 1 in the SYNO
Nahum 1 in the TBIAOTANT
Nahum 1 in the TBT1E
Nahum 1 in the TBT1E2
Nahum 1 in the TFTIP
Nahum 1 in the TFTU
Nahum 1 in the TGNTATF3T
Nahum 1 in the THAI
Nahum 1 in the TNFD
Nahum 1 in the TNT
Nahum 1 in the TNTIK
Nahum 1 in the TNTIL
Nahum 1 in the TNTIN
Nahum 1 in the TNTIP
Nahum 1 in the TNTIZ
Nahum 1 in the TOMA
Nahum 1 in the TTENT
Nahum 1 in the UBG
Nahum 1 in the UGV
Nahum 1 in the UGV2
Nahum 1 in the VBL
Nahum 1 in the VDCC
Nahum 1 in the YALU
Nahum 1 in the YAPE
Nahum 1 in the YBVTP
Nahum 1 in the ZBP