Proverbs 14 (UGV3)
1 Hikmat bībī apnā ghar tāmīr kartī hai, lekin hamāqat bībī apne hī hāthoṅ se use ḍhā detī hai. 2 Jo sīdhī rāh par chaltā hai wuh Allāh kā ḳhauf māntā hai, lekin jo ġhalat rāh par chaltā hai wuh use haqīr jāntā hai. 3 Ahmaq kī bātoṅ se wuh ḍanḍā nikaltā hai jo use us ke takabbur kī sazā detā hai, lekin dānishmand ke hoṅṭ use mahfūz rakhte haiṅ. 4 Jahāṅ bail nahīṅ wahāṅ charnī ḳhālī rahtī hai, bail kī tāqat hī se kasrat kī fasleṅ paidā hotī haiṅ. 5 Wafādār gawāh jhūṭ nahīṅ boltā, lekin jhūṭe gawāh ke muṅh se jhūṭ nikaltā hai. 6 Tānāzan hikmat ko ḍhūṅḍtā hai, lekin befāydā. Samajhdār ke ilm meṅ āsānī se izāfā hotā hai. 7 Ahmaq se dūr rah, kyoṅki tū us kī bātoṅ meṅ ilm nahīṅ pāegā. 8 Zahīn kī hikmat is meṅ hai ki wuh soch-samajhkar apnī rāh par chale, lekin ahmaq kī hamāqat sarāsar dhokā hī hai. 9 Ahmaq apne qusūr kā mazāq uṛāte haiṅ, lekin sīdhī rāh par chalne wāle Rab ko manzūr haiṅ. 10 Har dil kī apnī hī talḳhī hotī hai jis se sirf wuhī wāqif hai, aur us kī ḳhushī meṅ bhī koī aur sharīk nahīṅ ho saktā. 11 Bedīn kā ghar tabāh ho jāegā, lekin sīdhī rāh par chalne wāle kā ḳhaimā phale phūlegā. 12 Aisī rāh bhī hotī hai jo deḳhne meṅ ṭhīk to lagtī hai go us kā anjām maut hai. 13 Dil haṅste waqt bhī ranjīdā ho saktā hai, aur ḳhushī ke iḳhtitām par dukh hī bāqī rah jātā hai. 14 Jis kā dil bewafā hai wuh jī bhar kar apne chāl-chalan kā kaṛwā phal khāegā jabki nek ādmī apne āmāl ke mīṭhe phal se ser ho jāegā. 15 Sādālauh har ek kī bāt mān letā hai jabki zahīn ādmī apnā har qadam soch-samajhkar uṭhātā hai. 16 Dānishmand ḍarte ḍarte ġhalat kām se dareġh kartā hai, lekin ahmaq ḳhudetimād hai aur ek dam mushta'il ho jātā hai. 17 Ġhusīlā ādmī ahmaqānā harkateṅ kartā hai, aur log sāzishī shaḳhs se nafrat karte haiṅ. 18 Sādālauh mīrās meṅ hamāqat pātā hai jabki zahīn ādmī kā sar ilm ke tāj se ārāstā rahtā hai. 19 Sharīroṅ ko nekoṅ ke sāmne jhuknā paṛegā, aur bedīnoṅ ko rāstbāz ke darwāze par aundhe muṅh honā paṛegā. 20 Ġharīb ke hamsāe bhī us se nafrat karte haiṅ jabki amīr ke beshumār dost hote haiṅ. 21 Jo apne paṛosī ko haqīr jāne wuh gunāh kartā hai. Mubārak hai wuh jo zarūratmand par tars khātā hai. 22 Bure mansūbe bāndhne wāle sab āwārā phirte haiṅ. Lekin achchhe mansūbe bāndhne wāle shafqat aur wafā pāeṅge. 23 Mehnat-mashaqqat karne meṅ hameshā fāydā hotā hai, jabki ḳhālī bāteṅ karne se log ġharīb ho jāte haiṅ. 24 Dānishmandoṅ kā ajr daulat kā tāj hai jabki ahmaqoṅ kā ajr hamāqat hī hai. 25 Sachchā gawāh jāneṅ bachātā hai jabki jhūṭā gawāh farebdeh hai. 26 Jo Rab kā ḳhauf māne us ke pās mahfūz qilā hai jis meṅ us kī aulād bhī panāh le saktī hai. 27 Rab kā ḳhauf zindagī kā sarchashmā hai jo insān ko mohlak phandoṅ se bachāe rakhtā hai. 28 Jitnī ābādī mulk meṅ hai utnī hī bādshāh kī shān-o-shaukat hai. Riāyā kī kamī hukmrān ke tanazzul kā bāis hai. 29 Tahammul karne wālā baṛī samajhdārī kā mālik hai, lekin ġhusīlā ādmī apnī hamāqat kā izhār kartā hai. 30 Pursukūn dil jism ko zindagī dilātā jabki hasad haḍḍiyoṅ ko galne detā hai. 31 Jo pasthāl par zulm kare wuh us ke Ḳhāliq kī tahqīr kartā hai jabki jo zarūratmand par tars khāe wuh Allāh kā ehtirām kartā hai. 32 Bedīn kī burāī use ḳhāk meṅ milā detī hai, lekin rāstbāz marte waqt bhī Allāh meṅ panāh letā hai. 33 Hikmat samajhdār ke dil meṅ ārām kartī hai, aur wuh ahmaqoṅ ke darmiyān bhī zāhir ho jātī hai. 34 Rāstī se har qaum sarfarāz hotī hai jabki gunāh se ummateṅ ruswā ho jātī haiṅ. 35 Bādshāh dānishmand mulāzim se ḳhush hotā hai, lekin sharmnāk kām karne wālā mulāzim us ke ġhusse kā nishānā ban jātā hai.
In Other Versions
Proverbs 14 in the ANGEFD
Proverbs 14 in the ANTPNG2D
Proverbs 14 in the AS21
Proverbs 14 in the BAGH
Proverbs 14 in the BBPNG
Proverbs 14 in the BBT1E
Proverbs 14 in the BDS
Proverbs 14 in the BEV
Proverbs 14 in the BHAD
Proverbs 14 in the BIB
Proverbs 14 in the BLPT
Proverbs 14 in the BNT
Proverbs 14 in the BNTABOOT
Proverbs 14 in the BNTLV
Proverbs 14 in the BOATCB
Proverbs 14 in the BOATCB2
Proverbs 14 in the BOBCV
Proverbs 14 in the BOCNT
Proverbs 14 in the BOECS
Proverbs 14 in the BOGWICC
Proverbs 14 in the BOHCB
Proverbs 14 in the BOHCV
Proverbs 14 in the BOHLNT
Proverbs 14 in the BOHNTLTAL
Proverbs 14 in the BOICB
Proverbs 14 in the BOILNTAP
Proverbs 14 in the BOITCV
Proverbs 14 in the BOKCV
Proverbs 14 in the BOKCV2
Proverbs 14 in the BOKHWOG
Proverbs 14 in the BOKSSV
Proverbs 14 in the BOLCB
Proverbs 14 in the BOLCB2
Proverbs 14 in the BOMCV
Proverbs 14 in the BONAV
Proverbs 14 in the BONCB
Proverbs 14 in the BONLT
Proverbs 14 in the BONUT2
Proverbs 14 in the BOPLNT
Proverbs 14 in the BOSCB
Proverbs 14 in the BOSNC
Proverbs 14 in the BOTLNT
Proverbs 14 in the BOVCB
Proverbs 14 in the BOYCB
Proverbs 14 in the BPBB
Proverbs 14 in the BPH
Proverbs 14 in the BSB
Proverbs 14 in the CCB
Proverbs 14 in the CUV
Proverbs 14 in the CUVS
Proverbs 14 in the DBT
Proverbs 14 in the DGDNT
Proverbs 14 in the DHNT
Proverbs 14 in the DNT
Proverbs 14 in the ELBE
Proverbs 14 in the EMTV
Proverbs 14 in the ESV
Proverbs 14 in the FBV
Proverbs 14 in the FEB
Proverbs 14 in the GGMNT
Proverbs 14 in the GNT
Proverbs 14 in the HARY
Proverbs 14 in the HNT
Proverbs 14 in the IRVA
Proverbs 14 in the IRVB
Proverbs 14 in the IRVG
Proverbs 14 in the IRVH
Proverbs 14 in the IRVK
Proverbs 14 in the IRVM
Proverbs 14 in the IRVM2
Proverbs 14 in the IRVO
Proverbs 14 in the IRVP
Proverbs 14 in the IRVT
Proverbs 14 in the IRVT2
Proverbs 14 in the IRVU
Proverbs 14 in the ISVN
Proverbs 14 in the JSNT
Proverbs 14 in the KAPI
Proverbs 14 in the KBT1ETNIK
Proverbs 14 in the KBV
Proverbs 14 in the KJV
Proverbs 14 in the KNFD
Proverbs 14 in the LBA
Proverbs 14 in the LBLA
Proverbs 14 in the LNT
Proverbs 14 in the LSV
Proverbs 14 in the MAAL
Proverbs 14 in the MBV
Proverbs 14 in the MBV2
Proverbs 14 in the MHNT
Proverbs 14 in the MKNFD
Proverbs 14 in the MNG
Proverbs 14 in the MNT
Proverbs 14 in the MNT2
Proverbs 14 in the MRS1T
Proverbs 14 in the NAA
Proverbs 14 in the NASB
Proverbs 14 in the NBLA
Proverbs 14 in the NBS
Proverbs 14 in the NBVTP
Proverbs 14 in the NET2
Proverbs 14 in the NIV11
Proverbs 14 in the NNT
Proverbs 14 in the NNT2
Proverbs 14 in the NNT3
Proverbs 14 in the PDDPT
Proverbs 14 in the PFNT
Proverbs 14 in the RMNT
Proverbs 14 in the SBIAS
Proverbs 14 in the SBIBS
Proverbs 14 in the SBIBS2
Proverbs 14 in the SBICS
Proverbs 14 in the SBIDS
Proverbs 14 in the SBIGS
Proverbs 14 in the SBIHS
Proverbs 14 in the SBIIS
Proverbs 14 in the SBIIS2
Proverbs 14 in the SBIIS3
Proverbs 14 in the SBIKS
Proverbs 14 in the SBIKS2
Proverbs 14 in the SBIMS
Proverbs 14 in the SBIOS
Proverbs 14 in the SBIPS
Proverbs 14 in the SBISS
Proverbs 14 in the SBITS
Proverbs 14 in the SBITS2
Proverbs 14 in the SBITS3
Proverbs 14 in the SBITS4
Proverbs 14 in the SBIUS
Proverbs 14 in the SBIVS
Proverbs 14 in the SBT
Proverbs 14 in the SBT1E
Proverbs 14 in the SCHL
Proverbs 14 in the SNT
Proverbs 14 in the SUSU
Proverbs 14 in the SUSU2
Proverbs 14 in the SYNO
Proverbs 14 in the TBIAOTANT
Proverbs 14 in the TBT1E
Proverbs 14 in the TBT1E2
Proverbs 14 in the TFTIP
Proverbs 14 in the TFTU
Proverbs 14 in the TGNTATF3T
Proverbs 14 in the THAI
Proverbs 14 in the TNFD
Proverbs 14 in the TNT
Proverbs 14 in the TNTIK
Proverbs 14 in the TNTIL
Proverbs 14 in the TNTIN
Proverbs 14 in the TNTIP
Proverbs 14 in the TNTIZ
Proverbs 14 in the TOMA
Proverbs 14 in the TTENT
Proverbs 14 in the UBG
Proverbs 14 in the UGV
Proverbs 14 in the UGV2
Proverbs 14 in the VBL
Proverbs 14 in the VDCC
Proverbs 14 in the YALU
Proverbs 14 in the YAPE
Proverbs 14 in the YBVTP
Proverbs 14 in the ZBP