Acts 1 (UGV3)

1 Muazzaz Thiyufilus, pahlī kitāb meṅ maiṅ ne sab kuchh bayān kiyā jo Īsā ne shurū se le kar 2 us din tak kiyā aur sikhāyā, jab use āsmān par uṭhāyā gayā. Jāne se pahle us ne apne chune hue rasūloṅ ko Rūhul-quds kī mārifat mazīd hidāyāt dīṅ. 3 Apne dukh uṭhāne aur maut sahne ke bād us ne apne āp ko zāhir karke unheṅ bahut-sī dalīloṅ se qāyl kiyā ki wuh wāqaī zindā hai. Wuh chālīs din ke daurān un par zāhir hotā aur unheṅ Allāh kī bādshāhī ke bāre meṅ batātā rahā. 4 Jab wuh abhī un ke sāth thā us ne unheṅ hukm diyā, “Yarūshalam ko na chhoṛnā balki is intazār meṅ yihīṅ ṭhahro ki Bāp kā wādā pūrā ho jāe, wuh wādā jis ke bāre meṅ maiṅ ne tum ko āgāh kiyā hai. 5 Kyoṅki Yahyā ne to pānī se baptismā diyā, lekin tum ko thoṛe dinoṅ ke bād Rūhul-quds se baptismā diyā jāegā.” 6 Jo wahāṅ jamā the unhoṅ ne us se pūchhā, “Ḳhudāwand, kyā āp isī waqt Isrāīl ke lie us kī bādshāhī dubārā qāym kareṅge?” 7 Īsā ne jawāb diyā, “Yih jānanā tumhārā kām nahīṅ hai balki sirf Bāp kā jo aise auqāt aur tārīkheṅ muqarrar karne kā iḳhtiyār rakhtā hai. 8 Lekin tumheṅ Rūhul-quds kī quwwat milegī jo tum par nāzil hogā. Phir tum Yarūshalam, pūre Yahūdiyā aur Sāmariya balki duniyā kī intahā tak mere gawāh hoge.” 9 Yih kah kar wuh un ke deḳhte deḳhte uṭhā liyā gayā. Aur ek bādal ne use un kī nazaroṅ se ojhal kar diyā. 10 Wuh abhī āsmān kī taraf dekh hī rahe the ki achānak do ādmī un ke pās ā khaṛe hue. Donoṅ safed libās pahne hue the. 11 Unhoṅ ne kahā, “Galīl ke mardo, āp kyoṅ khaṛe āsmān kī taraf dekh rahe haiṅ? Yihī Īsā jise āp ke pās se āsmān par uṭhāyā gayā hai usī tarah wāpas āegā jis tarah āp ne use ūpar jāte hue dekhā hai.” 12 Phir wuh Zaitūn ke pahāṛ se Yarūshalam Shahr wāpas chale gae. (Yih pahāṛ shahr se taqrīban ek kilomīṭar dūr hai.) 13 Wahāṅ pahuṅch kar wuh us bālāḳhāne meṅ dāḳhil hue jis meṅ wuh ṭhahre hue the, yānī Patras, Yūhannā, Yāqūb aur Andriyās, Filippus aur Tomā, Bartulmāī aur Mattī, Yāqūb bin Halfaī, Shamāūn Mujāhid aur Yahūdāh bin Yāqūb. 14 Yih sab yakdil ho kar duā meṅ lage rahe. Kuchh aurateṅ, Īsā kī māṅ Mariyam aur us ke bhāī bhī sāth the. 15 Un dinoṅ meṅ Patras bhāiyoṅ meṅ khaṛā huā. Us waqt taqrīban 120 log jamā the. Us ne kahā, 16 “Bhāiyo, lāzim thā ki kalām-e-muqaddas kī wuh peshgoī pūrī ho jo Rūhul-quds ne Dāūd kī mārifat Yahūdāh ke bāre meṅ kī. Yahūdāh un kā rāhnumā ban gayā jinhoṅ ne Īsā ko giriftār kiyā, 17 go use ham meṅ shumār kiyā jātā thā aur wuh isī ḳhidmat meṅ hamāre sāth sharīk thā.” 18 (Jo paise Yahūdāh ko us ke ġhalat kām ke lie mil gae the un se us ne ek khet ḳharīd liyā thā. Wahāṅ wuh sar ke bal gir gayā, us kā peṭ phaṭ gayā aur us kī tamām antaṛiyāṅ bāhar nikal paṛīṅ. 19 Is kā charchā Yarūshalam ke tamām bāshindoṅ meṅ phail gayā, is lie yih khet un kī mādarī zabān meṅ Haqaldamā ke nām se mashhūr huā jis kā matlab hai Ḳhūn kā Khet.) 20 Patras ne apnī bāt jārī rakhī, “Yihī bāt zabūr kī kitāb meṅ likhī hai, ‘Us kī rihāishgāh sunsān ho jāe, koī us meṅ ābād na ho.’ Yih bhī likhā hai, ‘Koī aur us kī zimmedārī uṭhāe.’ 21 Chunāṅche ab zarūrī hai ki ham Yahūdāh kī jagah kisī aur ko chun leṅ. Yih shaḳhs un mardoṅ meṅ se ek ho jo us pūre waqt ke daurān hamāre sāth safr karte rahe jab Ḳhudāwand Īsā hamāre sāth thā, 22 yānī us ke Yahyā ke hāth se baptismā lene se le kar us waqt tak jab use hamāre pās se uṭhāyā gayā. Lāzim hai ki un meṅ se ek hamāre sāth Īsā ke jī uṭhne kā gawāh ho.” 23 Chunāṅche unhoṅ ne do ādmī pesh kie, Yūsuf jo Barsabbā kahlātā thā (us kā dūsrā nām Yūstus thā) aur Mattiyāh. 24 Phir unhoṅ ne duā kī, “Ai Ḳhudāwand, tū har ek ke dil se wāqif hai. Ham par zāhir kar ki tū ne in donoṅ meṅ se kis ko chunā hai 25 tāki wuh us ḳhidmat kī zimmedārī uṭhāe jo Yahūdāh chhoṛ kar wahāṅ chalā gayā jahāṅ use jānā hī thā.” 26 Yih kah kar unhoṅ ne donoṅ kā nām le kar qurā ḍālā to Mattiyāh kā nām niklā. Lihāzā use bhī gyārah rasūloṅ meṅ shāmil kar liyā gayā.

In Other Versions

Acts 1 in the ANGEFD

Acts 1 in the ANTPNG2D

Acts 1 in the AS21

Acts 1 in the BAGH

Acts 1 in the BBPNG

Acts 1 in the BBT1E

Acts 1 in the BDS

Acts 1 in the BEV

Acts 1 in the BHAD

Acts 1 in the BIB

Acts 1 in the BLPT

Acts 1 in the BNT

Acts 1 in the BNTABOOT

Acts 1 in the BNTLV

Acts 1 in the BOATCB

Acts 1 in the BOATCB2

Acts 1 in the BOBCV

Acts 1 in the BOCNT

Acts 1 in the BOECS

Acts 1 in the BOGWICC

Acts 1 in the BOHCB

Acts 1 in the BOHCV

Acts 1 in the BOHLNT

Acts 1 in the BOHNTLTAL

Acts 1 in the BOICB

Acts 1 in the BOILNTAP

Acts 1 in the BOITCV

Acts 1 in the BOKCV

Acts 1 in the BOKCV2

Acts 1 in the BOKHWOG

Acts 1 in the BOKSSV

Acts 1 in the BOLCB

Acts 1 in the BOLCB2

Acts 1 in the BOMCV

Acts 1 in the BONAV

Acts 1 in the BONCB

Acts 1 in the BONLT

Acts 1 in the BONUT2

Acts 1 in the BOPLNT

Acts 1 in the BOSCB

Acts 1 in the BOSNC

Acts 1 in the BOTLNT

Acts 1 in the BOVCB

Acts 1 in the BOYCB

Acts 1 in the BPBB

Acts 1 in the BPH

Acts 1 in the BSB

Acts 1 in the CCB

Acts 1 in the CUV

Acts 1 in the CUVS

Acts 1 in the DBT

Acts 1 in the DGDNT

Acts 1 in the DHNT

Acts 1 in the DNT

Acts 1 in the ELBE

Acts 1 in the EMTV

Acts 1 in the ESV

Acts 1 in the FBV

Acts 1 in the FEB

Acts 1 in the GGMNT

Acts 1 in the GNT

Acts 1 in the HARY

Acts 1 in the HNT

Acts 1 in the IRVA

Acts 1 in the IRVB

Acts 1 in the IRVG

Acts 1 in the IRVH

Acts 1 in the IRVK

Acts 1 in the IRVM

Acts 1 in the IRVM2

Acts 1 in the IRVO

Acts 1 in the IRVP

Acts 1 in the IRVT

Acts 1 in the IRVT2

Acts 1 in the IRVU

Acts 1 in the ISVN

Acts 1 in the JSNT

Acts 1 in the KAPI

Acts 1 in the KBT1ETNIK

Acts 1 in the KBV

Acts 1 in the KJV

Acts 1 in the KNFD

Acts 1 in the LBA

Acts 1 in the LBLA

Acts 1 in the LNT

Acts 1 in the LSV

Acts 1 in the MAAL

Acts 1 in the MBV

Acts 1 in the MBV2

Acts 1 in the MHNT

Acts 1 in the MKNFD

Acts 1 in the MNG

Acts 1 in the MNT

Acts 1 in the MNT2

Acts 1 in the MRS1T

Acts 1 in the NAA

Acts 1 in the NASB

Acts 1 in the NBLA

Acts 1 in the NBS

Acts 1 in the NBVTP

Acts 1 in the NET2

Acts 1 in the NIV11

Acts 1 in the NNT

Acts 1 in the NNT2

Acts 1 in the NNT3

Acts 1 in the PDDPT

Acts 1 in the PFNT

Acts 1 in the RMNT

Acts 1 in the SBIAS

Acts 1 in the SBIBS

Acts 1 in the SBIBS2

Acts 1 in the SBICS

Acts 1 in the SBIDS

Acts 1 in the SBIGS

Acts 1 in the SBIHS

Acts 1 in the SBIIS

Acts 1 in the SBIIS2

Acts 1 in the SBIIS3

Acts 1 in the SBIKS

Acts 1 in the SBIKS2

Acts 1 in the SBIMS

Acts 1 in the SBIOS

Acts 1 in the SBIPS

Acts 1 in the SBISS

Acts 1 in the SBITS

Acts 1 in the SBITS2

Acts 1 in the SBITS3

Acts 1 in the SBITS4

Acts 1 in the SBIUS

Acts 1 in the SBIVS

Acts 1 in the SBT

Acts 1 in the SBT1E

Acts 1 in the SCHL

Acts 1 in the SNT

Acts 1 in the SUSU

Acts 1 in the SUSU2

Acts 1 in the SYNO

Acts 1 in the TBIAOTANT

Acts 1 in the TBT1E

Acts 1 in the TBT1E2

Acts 1 in the TFTIP

Acts 1 in the TFTU

Acts 1 in the TGNTATF3T

Acts 1 in the THAI

Acts 1 in the TNFD

Acts 1 in the TNT

Acts 1 in the TNTIK

Acts 1 in the TNTIL

Acts 1 in the TNTIN

Acts 1 in the TNTIP

Acts 1 in the TNTIZ

Acts 1 in the TOMA

Acts 1 in the TTENT

Acts 1 in the UBG

Acts 1 in the UGV

Acts 1 in the UGV2

Acts 1 in the VBL

Acts 1 in the VDCC

Acts 1 in the YALU

Acts 1 in the YAPE

Acts 1 in the YBVTP

Acts 1 in the ZBP