Isaiah 65 (UGV3)

1 “Jo mere bāre meṅ dariyāft nahīṅ karte the unheṅ maiṅ ne mujhe ḍhūṅḍne kā mauqā diyā. Jo mujhe talāsh nahīṅ karte the unheṅ maiṅ ne mujhe pāne kā mauqā diyā. Maiṅ bolā, ‘Maiṅ hāzir hūṅ, maiṅ hāzir hūṅ!’ Hālāṅki jis qaum se maiṅ muḳhātib huā wuh merā nām nahīṅ pukārtī thī. 2 Din-bhar maiṅ ne apne hāth phailāe rakhe tāki ek sarkash qaum kā istiqbāl karūṅ, hālāṅki yih log ġhalat rāh par chalte aur apne kajrau ḳhayālāt ke pīchhe paṛe rahte haiṅ. 3 Yih mutawātir aur mere rūbarū hī mujhe nārāz karte haiṅ. Kyoṅki yih bāġhoṅ meṅ qurbāniyāṅ chaṛhā kar īṅṭoṅ kī qurbāngāhoṅ par baḳhūr jalāte haiṅ. 4 Yih qabristān meṅ baiṭh kar ḳhufiyā ġhāroṅ meṅ rāt guzārte haiṅ. Yih suar kā gosht khāte haiṅ, un kī degoṅ meṅ qābil-e-ghin shorbā hotā hai. 5 Sāth sāth yih ek dūsre se kahte haiṅ, ‘Mujh se dūr raho, qarīb mat ānā! Kyoṅki maiṅ terī nisbat kahīṅ zyādā muqaddas hūṅ.’Is qism ke log merī nāk meṅ dhueṅ kī mānind haiṅ, ek āg jo din-bhar jaltī rahtī hai. 6 Dekho, yih bāt mere sāmne hī qalamband huī hai ki maiṅ ḳhāmosh nahīṅ rahūṅgā balki pūrā pūrā ajr dūṅgā. Maiṅ un kī jholī un ke ajr se bhar dūṅgā.” 7 Rab farmātā hai, “Unheṅ na sirf un ke apne gunāhoṅ kī sazā milegī balki bāpdādā ke gunāhoṅ kī bhī. Chūṅki unhoṅ ne pahāṛoṅ par baḳhūr kī qurbāniyāṅ chaṛhā kar merī tahqīr kī is lie maiṅ un kī jholī un kī harkatoṅ ke muāwaze se bhar dūṅgā.” 8 Rab farmātā hai, “Jab tak angūr meṅ thoṛā-sā ras bāqī ho log kahte haiṅ, ‘Use zāe mat karnā, kyoṅki ab tak us meṅ kuchh na kuchh hai jo barkat kā bāis hai.’ Maiṅ Isrāīl ke sāth bhī aisā hī karūṅga. Kyoṅki apne ḳhādimoṅ kī ḳhātir maiṅ sab ko nest nahīṅ karūṅga. 9 Maiṅ Yāqūb aur Yahūdāh ko aisī aulād baḳhsh dūṅgā jo mere pahāṛoṅ ko mīrās meṅ pāegī. Tab pahāṛ mere barguzīdoṅ kī milkiyat hoṅge, aur mere ḳhādim un par baseṅge. 10 Wādī-e-Shārūn meṅ bheṛ-bakriyāṅ chareṅgī, Wādī-e-Akūr meṅ gāy-bail ārām kareṅge. Yih sab kuchh merī us qaum ko dastyāb hogā jo merī tālib rahegī. 11 Lekin tum jo Rab ko tark karke mere muqaddas pahāṛ ko bhūl gae ho, ḳhabardār! Go is waqt tum ḳhushqismatī ke dewatā Jad ke lie mez bichhāte aur taqdīr ke dewatā Manāt ke lie mai kā bartan bhar dete ho, 12 lekin tumhārī taqdīr aur hai. Maiṅ ne tumhāre lie talwār kī taqdīr muqarrar kī hai. Tum sab ko qasāī ke sāmne jhuknā paṛegā, kyoṅki jab maiṅ ne tumheṅ bulāyā to tum ne jawāb na diyā. Jab maiṅ tum se hamkalām huā to tum ne na sunā balki wuh kuchh kiyā jo mujhe burā lagā. Tum ne wuh kuchh iḳhtiyār kiyā jo mujhe nāpasand hai.” 13 Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Mere ḳhādim khānā khāeṅge, lekin tum bhūke rahoge. Mere ḳhādim pānī pieṅge, lekin tum pyāse rahoge. Mere ḳhādim masrūr hoṅge, lekin tum sharmsār hoge. 14 Mere ḳhādim ḳhushī ke māre shādiyānā bajāeṅge, lekin tum ranjīdā ho kar ro paṛoge, tum māyūs ho kar wāwailā karoge. 15 Āḳhirkār tumhārā nām hī mere barguzīdoṅ ke pās bāqī rahegā, aur wuh bhī sirf lānat ke taur par istemāl hogā. Qasam khāte waqt wuh kaheṅge, ‘Rab Qādir-e-mutlaq tumheṅ isī tarah qatl kare.’ Lekin mere ḳhādimoṅ kā ek aur nām rakhā jāegā. 16 Mulk meṅ jo bhī apne lie barkat māṅge yā qasam khāe wuh wafādār Ḳhudā kā nām legā. Kyoṅki guzarī musībatoṅ kī yādeṅ miṭ jāeṅgī, wuh merī āṅkhoṅ se chhup jāeṅgī. 17 Kyoṅki maiṅ nayā āsmān aur naī zamīn ḳhalaq karūṅga. Tab guzarī chīzeṅ yād nahīṅ āeṅgī, un kā ḳhayāl tak nahīṅ āegā. 18 Chunāṅche ḳhush-o-ḳhurram ho! Jo kuchh maiṅ ḳhalaq karūṅga us kī hameshā tak ḳhushī manāo! Kyoṅki dekho, maiṅ Yarūshalam ko shādmānī kā bāis aur us ke bāshindoṅ ko ḳhushī kā sabab banāūṅgā. 19 Maiṅ ḳhud bhī Yarūshalam kī ḳhushī manāūṅgā aur apnī qaum se lutfandoz hūṅgā.Āindā us meṅ ronā aur wāwailā sunāī nahīṅ degā. 20 Wahāṅ koī bhī paidāish ke thoṛe dinoṅ bād faut nahīṅ hogā, koī bhī waqt se pahle nahīṅ maregā. Jo sau sāl kā hogā use jawān samjhā jāegā, aur jo sau sāl kī umr se pahle hī faut ho jāe use malaūn samjhā jāegā. 21 Log ghar banā kar un meṅ baseṅge, wuh angūr ke bāġh lagā kar un kā phal khāeṅge. 22 Āindā aisā nahīṅ hogā ki ghar banāne ke bād koī aur us meṅ base, ki bāġh lagāne ke bād koī aur us kā phal khāe. Kyoṅki merī qaum kī umr daraḳhtoṅ jaisī darāz hogī, aur mere barguzīdā apne hāthoṅ ke kām se lutfandoz hoṅge. 23 Na un kī mehnat-mashaqqat rāygāṅ jāegī, na un ke bachche achānak tashaddud kā nishānā ban kar mareṅge. Kyoṅki wuh Rab kī mubārak nasl hoṅge, wuh ḳhud aur un kī aulād bhī. 24 Is se pahle ki wuh āwāz deṅ maiṅ jawāb dūṅgā, wuh abhī bol rahe hoṅge ki maiṅ un kī sunūṅgā.” 25 Rab farmātā hai, “Bheṛiyā aur lelā mil kar chareṅge, sherbabar bail kī tarah bhūsā khāegā, aur sāṅp kī ḳhurāk ḳhāk hī hogī. Mere pūre muqaddas pahāṛ par na ġhalat kām kiyā jāegā, na kisī ko nuqsān pahuṅchegā.”

In Other Versions

Isaiah 65 in the ANGEFD

Isaiah 65 in the ANTPNG2D

Isaiah 65 in the AS21

Isaiah 65 in the BAGH

Isaiah 65 in the BBPNG

Isaiah 65 in the BBT1E

Isaiah 65 in the BDS

Isaiah 65 in the BEV

Isaiah 65 in the BHAD

Isaiah 65 in the BIB

Isaiah 65 in the BLPT

Isaiah 65 in the BNT

Isaiah 65 in the BNTABOOT

Isaiah 65 in the BNTLV

Isaiah 65 in the BOATCB

Isaiah 65 in the BOATCB2

Isaiah 65 in the BOBCV

Isaiah 65 in the BOCNT

Isaiah 65 in the BOECS

Isaiah 65 in the BOGWICC

Isaiah 65 in the BOHCB

Isaiah 65 in the BOHCV

Isaiah 65 in the BOHLNT

Isaiah 65 in the BOHNTLTAL

Isaiah 65 in the BOICB

Isaiah 65 in the BOILNTAP

Isaiah 65 in the BOITCV

Isaiah 65 in the BOKCV

Isaiah 65 in the BOKCV2

Isaiah 65 in the BOKHWOG

Isaiah 65 in the BOKSSV

Isaiah 65 in the BOLCB

Isaiah 65 in the BOLCB2

Isaiah 65 in the BOMCV

Isaiah 65 in the BONAV

Isaiah 65 in the BONCB

Isaiah 65 in the BONLT

Isaiah 65 in the BONUT2

Isaiah 65 in the BOPLNT

Isaiah 65 in the BOSCB

Isaiah 65 in the BOSNC

Isaiah 65 in the BOTLNT

Isaiah 65 in the BOVCB

Isaiah 65 in the BOYCB

Isaiah 65 in the BPBB

Isaiah 65 in the BPH

Isaiah 65 in the BSB

Isaiah 65 in the CCB

Isaiah 65 in the CUV

Isaiah 65 in the CUVS

Isaiah 65 in the DBT

Isaiah 65 in the DGDNT

Isaiah 65 in the DHNT

Isaiah 65 in the DNT

Isaiah 65 in the ELBE

Isaiah 65 in the EMTV

Isaiah 65 in the ESV

Isaiah 65 in the FBV

Isaiah 65 in the FEB

Isaiah 65 in the GGMNT

Isaiah 65 in the GNT

Isaiah 65 in the HARY

Isaiah 65 in the HNT

Isaiah 65 in the IRVA

Isaiah 65 in the IRVB

Isaiah 65 in the IRVG

Isaiah 65 in the IRVH

Isaiah 65 in the IRVK

Isaiah 65 in the IRVM

Isaiah 65 in the IRVM2

Isaiah 65 in the IRVO

Isaiah 65 in the IRVP

Isaiah 65 in the IRVT

Isaiah 65 in the IRVT2

Isaiah 65 in the IRVU

Isaiah 65 in the ISVN

Isaiah 65 in the JSNT

Isaiah 65 in the KAPI

Isaiah 65 in the KBT1ETNIK

Isaiah 65 in the KBV

Isaiah 65 in the KJV

Isaiah 65 in the KNFD

Isaiah 65 in the LBA

Isaiah 65 in the LBLA

Isaiah 65 in the LNT

Isaiah 65 in the LSV

Isaiah 65 in the MAAL

Isaiah 65 in the MBV

Isaiah 65 in the MBV2

Isaiah 65 in the MHNT

Isaiah 65 in the MKNFD

Isaiah 65 in the MNG

Isaiah 65 in the MNT

Isaiah 65 in the MNT2

Isaiah 65 in the MRS1T

Isaiah 65 in the NAA

Isaiah 65 in the NASB

Isaiah 65 in the NBLA

Isaiah 65 in the NBS

Isaiah 65 in the NBVTP

Isaiah 65 in the NET2

Isaiah 65 in the NIV11

Isaiah 65 in the NNT

Isaiah 65 in the NNT2

Isaiah 65 in the NNT3

Isaiah 65 in the PDDPT

Isaiah 65 in the PFNT

Isaiah 65 in the RMNT

Isaiah 65 in the SBIAS

Isaiah 65 in the SBIBS

Isaiah 65 in the SBIBS2

Isaiah 65 in the SBICS

Isaiah 65 in the SBIDS

Isaiah 65 in the SBIGS

Isaiah 65 in the SBIHS

Isaiah 65 in the SBIIS

Isaiah 65 in the SBIIS2

Isaiah 65 in the SBIIS3

Isaiah 65 in the SBIKS

Isaiah 65 in the SBIKS2

Isaiah 65 in the SBIMS

Isaiah 65 in the SBIOS

Isaiah 65 in the SBIPS

Isaiah 65 in the SBISS

Isaiah 65 in the SBITS

Isaiah 65 in the SBITS2

Isaiah 65 in the SBITS3

Isaiah 65 in the SBITS4

Isaiah 65 in the SBIUS

Isaiah 65 in the SBIVS

Isaiah 65 in the SBT

Isaiah 65 in the SBT1E

Isaiah 65 in the SCHL

Isaiah 65 in the SNT

Isaiah 65 in the SUSU

Isaiah 65 in the SUSU2

Isaiah 65 in the SYNO

Isaiah 65 in the TBIAOTANT

Isaiah 65 in the TBT1E

Isaiah 65 in the TBT1E2

Isaiah 65 in the TFTIP

Isaiah 65 in the TFTU

Isaiah 65 in the TGNTATF3T

Isaiah 65 in the THAI

Isaiah 65 in the TNFD

Isaiah 65 in the TNT

Isaiah 65 in the TNTIK

Isaiah 65 in the TNTIL

Isaiah 65 in the TNTIN

Isaiah 65 in the TNTIP

Isaiah 65 in the TNTIZ

Isaiah 65 in the TOMA

Isaiah 65 in the TTENT

Isaiah 65 in the UBG

Isaiah 65 in the UGV

Isaiah 65 in the UGV2

Isaiah 65 in the VBL

Isaiah 65 in the VDCC

Isaiah 65 in the YALU

Isaiah 65 in the YAPE

Isaiah 65 in the YBVTP

Isaiah 65 in the ZBP