John 11 (UGV3)
1 Un dinoṅ meṅ ek ādmī bīmār paṛ gayā jis kā nām Lāzar thā. Wuh apnī bahnoṅ Mariyam aur Marthā ke sāth Bait-aniyāh meṅ rahtā thā. 2 Yih wuhī Mariyam thī jis ne bād meṅ Ḳhudāwand par ḳhushbū unḍel kar us ke pāṅw apne bāloṅ se ḳhushk kie the. Usī kā bhāī Lāzar bīmār thā. 3 Chunāṅche bahnoṅ ne Īsā ko ittalā dī, “Ḳhudāwand, jise āp pyār karte haiṅ wuh bīmār hai.” 4 Jab Īsā ko yih ḳhabar milī to us ne kahā, “Is bīmārī kā anjām maut nahīṅ hai, balki yih Allāh ke jalāl ke wāste huā hai, tāki is se Allāh ke Farzand ko jalāl mile.” 5 Īsā Marthā, Mariyam aur Lāzar se muhabbat rakhtā thā. 6 To bhī wuh Lāzar ke bāre meṅ ittalā milne ke bād do din aur wahīṅ ṭhahrā. 7 Phir us ne apne shāgirdoṅ se bāt kī, “Āo, ham dubārā Yahūdiyā chale jāeṅ.” 8 Shāgirdoṅ ne etarāz kiyā, “Ustād, abhī abhī wahāṅ ke Yahūdī āp ko sangsār karne kī koshish kar rahe the, phir bhī āp wāpas jānā chāhte haiṅ?” 9 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā din meṅ raushnī ke bārah ghanṭe nahīṅ hote? Jo shaḳhs din ke waqt chaltā phirtā hai wuh kisī bhī chīz se nahīṅ ṭakrāegā, kyoṅki wuh is duniyā kī raushnī ke zariye dekh saktā hai. 10 Lekin jo rāt ke waqt chaltā hai wuh chīzoṅ se ṭakrā jātā hai, kyoṅki us ke pās raushnī nahīṅ hai.” 11 Phir us ne kahā, “Hamārā dost Lāzar so gayā hai. Lekin maiṅ jā kar use jagā dūṅgā.” 12 Shāgirdoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, agar wuh so rahā hai to wuh bach jāegā.” 13 Un kā ḳhayāl thā ki Īsā Lāzar kī fitrī nīnd kā zikr kar rahā hai jabki haqīqat meṅ wuh us kī maut kī taraf ishārā kar rahā thā. 14 Is lie us ne unheṅ sāf batā diyā, “Lāzar wafāt pā gayā hai. 15 Aur tumhārī ḳhātir maiṅ ḳhush hūṅ ki maiṅ us ke marte waqt wahāṅ nahīṅ thā, kyoṅki ab tum īmān lāoge. Āo, ham us ke pās jāeṅ.” 16 Tomā ne jis kā laqab Juṛwāṅ thā apne sāthī shāgirdoṅ se kahā, “Chalo, ham bhī wahāṅ jā kar us ke sāth mar jāeṅ.” 17 Wahāṅ pahuṅch kar Īsā ko mālūm huā ki Lāzar ko qabr meṅ rakhe chār din ho gae haiṅ. 18 Bait-aniyāh kā Yarūshalam se fāsilā tīn kilomīṭar se kam thā, 19 aur bahut-se Yahūdī Marthā aur Mariyam ko un ke bhāī ke bāre meṅ tasallī dene ke lie āe hue the. 20 Yih sun kar ki Īsā ā rahā hai Marthā use milne gaī. Lekin Mariyam ghar meṅ baiṭhī rahī. 21 Marthā ne kahā, “Ḳhudāwand, agar āp yahāṅ hote to merā bhāī na martā. 22 Lekin maiṅ jāntī hūṅ ki ab bhī Allāh āp ko jo bhī māṅgeṅge degā.” 23 Īsā ne use batāyā, “Terā bhāī jī uṭhegā.” 24 Marthā ne jawāb diyā, “Jī, mujhe mālūm hai ki wuh qiyāmat ke din jī uṭhegā, jab sab jī uṭheṅge.” 25 Īsā ne use batāyā, “Qiyāmat aur zindagī to maiṅ hūṅ. Jo mujh par īmān rakhe wuh zindā rahegā, chāhe wuh mar bhī jāe. 26 Aur jo zindā hai aur mujh par īmān rakhtā hai wuh kabhī nahīṅ maregā. Marthā, kyā tujhe is bāt kā yaqīn hai?” 27 Marthā ne jawāb diyā, “Jī Ḳhudāwand, maiṅ īmān rakhtī hūṅ ki āp Ḳhudā ke Farzand Masīh haiṅ, jise duniyā meṅ ānā thā.” 28 Yih kah kar Marthā wāpas chalī gaī aur chupke se Mariyam ko bulāyā, “Ustād ā gae haiṅ, wuh tujhe bulā rahe haiṅ.” 29 Yih sunte hī Mariyam uṭh kar Īsā ke pās gaī. 30 Wuh abhī gāṅw ke bāhar usī jagah ṭhahrā thā jahāṅ us kī mulāqāt Marthā se huī thī. 31 Jo Yahūdī ghar meṅ Mariyam ke sāth baiṭhe use tasallī de rahe the, jab unhoṅ ne dekhā ki wuh jaldī se uṭh kar nikal gaī hai to wuh us ke pīchhe ho lie. Kyoṅki wuh samajh rahe the ki wuh mātam karne ke lie apne bhāī kī qabr par jā rahī hai. 32 Mariyam Īsā ke pās pahuṅch gaī. Use deḳhte hī wuh us ke pāṅwoṅ meṅ gir gaī aur kahne lagī, “Ḳhudāwand, agar āp yahāṅ hote to merā bhāī na martā.” 33 Jab Īsā ne Mariyam aur us ke sāthiyoṅ ko rote dekhā to use baṛī ranjish huī. Muztarib hālat meṅ 34 us ne pūchhā, “Tum ne use kahāṅ rakhā hai?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āeṅ Ḳhudāwand, aur dekh leṅ.” 35 Īsā ro paṛā. 36 Yahūdiyoṅ ne kahā, “Dekho, wuh use kitnā azīz thā.” 37 Lekin un meṅ se bāz ne kahā, “Is ādmī ne andhe ko shifā dī. Kyā yih Lāzar ko marne se nahīṅ bachā saktā thā?” 38 Phir Īsā dubārā nihāyat ranjīdā ho kar qabr par āyā. Qabr ek ġhār thī jis ke muṅh par patthar rakhā gayā thā. 39 Īsā ne kahā, “Patthar ko haṭā do.”Lekin marhūm kī bahan Marthā ne etarāz kiyā, “Ḳhudāwand, badbū āegī, kyoṅki use yahāṅ paṛe chār din ho gae haiṅ.” 40 Īsā ne us se kahā, “Kyā maiṅ ne tujhe nahīṅ batāyā ki agar tū īmān rakhe to Allāh kā jalāl dekhegī?” 41 Chunāṅche unhoṅ ne patthar ko haṭā diyā. Phir Īsā ne apnī nazar uṭhā kar kahā, “Ai Bāp, maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki tū ne merī sun lī hai. 42 Maiṅ to jāntā hūṅ ki tū hameshā merī suntā hai. Lekin maiṅ ne yih bāt pās khaṛe logoṅ kī ḳhātir kī, tāki wuh īmān lāeṅ ki tū ne mujhe bhejā hai.” 43 Phir Īsā zor se pukār uṭhā, “Lāzar, nikal ā!” 44 Aur murdā nikal āyā. Abhī tak us ke hāth aur pāṅw paṭṭiyoṅ se bandhe hue the jabki us kā chehrā kapṛe meṅ lipṭā huā thā. Īsā ne un se kahā, “Is ke kafan ko khol kar ise jāne do.” 45 Un Yahūdiyoṅ meṅ se jo Mariyam ke pās āe the bahut-se Īsā par īmān lāe jab unhoṅ ne wuh dekhā jo us ne kiyā. 46 Lekin bāz Farīsiyoṅ ke pās gae aur unheṅ batāyā ki Īsā ne kyā kiyā hai. 47 Tab rāhnumā imāmoṅ aur Farīsiyoṅ ne Yahūdī adālat-e-āliyā kā ijlās mun'aqid kiyā. Unhoṅ ne ek dūsre se pūchhā, “Ham kyā kar rahe haiṅ? Yih ādmī bahut-se ilāhī nishān dikhā rahā hai. 48 Agar ham use khulā chhoṛeṅ to āḳhirkār sab us par īmān le āeṅge. Phir Romī ā kar hamāre Baitul-muqaddas aur hamāre mulk ko tabāh kar deṅge.” 49 Un meṅ se ek Kāyfā thā jo us sāl imām-e-āzam thā. Us ne kahā, “Āp kuchh nahīṅ samajhte 50 aur is kā ḳhayāl bhī nahīṅ karte ki is se pahle ki pūrī qaum halāk ho jāe behtar yih hai ki ek ādmī ummat ke lie mar jāe.” 51 Us ne yih bāt apnī taraf se nahīṅ kī thī. Us sāl ke imām-e-āzam kī haisiyat se hī us ne yih peshgoī kī ki Īsā Yahūdī qaum ke lie maregā. 52 Aur na sirf is ke lie balki Allāh ke bikhre hue farzandoṅ ko jamā karke ek karne ke lie bhī. 53 Us din se unhoṅ ne Īsā ko qatl karne kā irādā kar liyā. 54 Is lie us ne ab se alāniyā Yahūdiyoṅ ke darmiyān waqt na guzārā, balki us jagah ko chhoṛ kar registān ke qarīb ek ilāqe meṅ gayā. Wahāṅ wuh apne shāgirdoṅ samet ek gāṅw banām Ifrāīm meṅ rahne lagā. 55 Phir Yahūdiyoṅ kī Īd-e-Fasah qarīb ā gaī. Dehāt se bahut-se log apne āp ko pāk karwāne ke lie īd se pahle pahle Yarūshalam pahuṅche. 56 Wahāṅ wuh Īsā kā patā karte aur Baitul-muqaddas meṅ khaṛe āpas meṅ bāt karte rahe, “Kyā ḳhayāl hai? Kyā wuh tahwār par nahīṅ āegā?” 57 Lekin rāhnumā imāmoṅ aur Farīsiyoṅ ne hukm diyā thā, “Agar kisī ko mālūm ho jāe ki Īsā kahāṅ hai to wuh ittalā de tāki ham use giriftār kar leṅ.”