John 19 (UGV3)

1 Phir Pīlātus ne Īsā ko koṛe lagwāe. 2 Faujiyoṅ ne kāṅṭedār ṭahniyoṅ kā ek tāj banā kar us ke sar par rakh diyā. Unhoṅ ne use arġhawānī rang kā libās bhī pahnāyā. 3 Phir us ke sāmne ā kar wuh kahte, “Ai Yahūdiyoṅ ke Bādshāh, ādāb!” Aur use thappaṛ mārte the. 4 Ek bār phir Pīlātus nikal āyā aur Yahūdiyoṅ se bāt karne lagā, “Dekho, maiṅ ise tumhāre pās bāhar lā rahā hūṅ tāki tum jān lo ki mujhe ise mujrim ṭhahrāne kī koī wajah nahīṅ milī.” 5 Phir Īsā kāṅṭedār tāj aur arġhawānī rang kā libās pahne bāhar āyā. Pīlātus ne un se kahā, “Lo yih hai wuh ādmī.” 6 Use deḳhte hī rāhnumā imām aur un ke mulāzim chīḳhne lage, “Ise maslūb kareṅ, ise maslūb kareṅ!”Pīlātus ne un se kahā, “Tum hī ise le jā kar maslūb karo. Kyoṅki mujhe ise mujrim ṭhahrāne kī koī wajah nahīṅ milī.” 7 Yahūdiyoṅ ne isrār kiyā, “Hamāre pās sharīat hai aur is sharīat ke mutābiq lāzim hai ki wuh mārā jāe. Kyoṅki is ne apne āp ko Allāh kā Farzand qarār diyā hai.” 8 Yih sun kar Pīlātus mazīd ḍar gayā. 9 Dubārā mahal meṅ jā kar Īsā se pūchhā, “Tum kahāṅ se āe ho?”Lekin Īsā ḳhāmosh rahā. 10 Pīlātus ne us se kahā, “Achchhā, tum mere sāth bāt nahīṅ karte? Kyā tumheṅ mālūm nahīṅ ki mujhe tumheṅ rihā karne aur maslūb karne kā iḳhtiyār hai?” 11 Īsā ne jawāb diyā, “Āp ko mujh par iḳhtiyār na hotā agar wuh āp ko ūpar se na diyā gayā hotā. Is wajah se us shaḳhs se zyādā sangīn gunāh huā hai jis ne mujhe dushman ke hawāle kar diyā hai.” 12 Is ke bād Pīlātus ne use āzād karne kī koshish kī. Lekin Yahūdī chīḳh chīḳh kar kahne lage, “Agar āp ise rihā kareṅ to āp Romī shahanshāh qaisar ke dost sābit nahīṅ hoṅge. Jo bhī bādshāh hone kā dāwā kare wuh shahanshāh kī muḳhālafat kartā hai.” 13 Is tarah kī bāteṅ sun kar Pīlātus Īsā ko bāhar le āyā. Phir wuh jaj kī kursī par baiṭh gayā. Us jagah kā nām “Pachchīkārī” thā. (Arāmī zabān meṅ wuh Gabbatā kahlātī thī.) 14 Ab dopahar ke taqrīban bārah baj gae the. Us din īd ke lie taiyāriyāṅ kī jātī thīṅ, kyoṅki agle din īd kā āġhāz thā. Pīlātus bol uṭhā, “Lo, tumhārā Bādshāh!” 15 Lekin wuh chillāte rahe, “Le jāeṅ ise, le jāeṅ! Ise maslūb kareṅ!”Pīlātus ne sawāl kiyā, “Kyā maiṅ tumhāre Bādshāh ko salīb par chaṛhāūṅ?”Rāhnumā imāmoṅ ne jawāb diyā, “Siwāe shahanshāh ke hamārā koī bādshāh nahīṅ hai.” 16 Phir Pīlātus ne Īsā ko un ke hawāle kar diyā tāki use maslūb kiyā jāe.Chunāṅche wuh Īsā ko le kar chale gae. 17 Wuh apnī salīb uṭhāe shahr se niklā aur us jagah pahuṅchā jis kā nām Khopaṛī (Arāmī zabān meṅ Gulgutā) thā. 18 Wahāṅ unhoṅ ne use salīb par chaṛhā diyā. Sāth sāth unhoṅ ne us ke bāeṅ aur dāeṅ hāth do aur ādmiyoṅ ko maslūb kiyā. 19 Pīlātus ne ek taḳhtī banwā kar use Īsā kī salīb par lagwā diyā. Taḳhtī par likhā thā, ‘Īsā Nāsarī, Yahūdiyoṅ kā Bādshāh.’ 20 Bahut-se Yahūdiyoṅ ne yih paṛh liyā, kyoṅki maslūbiyat kā maqām shahr ke qarīb thā aur yih jumlā Arāmī, Lātīnī aur Yūnānī zabānoṅ meṅ likhā thā. 21 Yih dekh kar Yahūdiyoṅ ke rāhnumā imāmoṅ ne etarāz kiyā, “‘Yahūdiyoṅ kā Bādshāh’ na likheṅ balki yih ki ‘Is ādmī ne Yahūdiyoṅ kā Bādshāh hone kā dāwā kiyā.’” 22 Pīlātus ne jawāb diyā, “Jo kuchh maiṅ ne likh diyā so likh diyā.” 23 Īsā ko salīb par chaṛhāne ke bād faujiyoṅ ne us ke kapṛe le kar chār hissoṅ meṅ bāṅṭ lie, har faujī ke lie ek hissā. Lekin choġhā bejoṛ thā. Wuh ūpar se le kar nīche tak bunā huā ek hī ṭukṛe kā thā. 24 Is lie faujiyoṅ ne kahā, “Āo, ise phāṛ kar taqsīm na kareṅ balki is par qurā ḍāleṅ.” Yoṅ kalām-e-muqaddas kī yih peshgoī pūrī huī, “Unhoṅ ne āpas meṅ mere kapṛe bāṅṭ lie aur mere libās par qurā ḍālā.” Faujiyoṅ ne yihī kuchh kiyā. 25 Kuchh ḳhawātīn bhī Īsā kī salīb ke qarīb khaṛī thīṅ: us kī māṅ, us kī ḳhālā, Klopās kī bīwī Mariyam aur Mariyam Magdalīnī. 26 Jab Īsā ne apnī māṅ ko us shāgird ke sāth khaṛe dekhā jo use pyārā thā to us ne kahā, “Ai ḳhātūn, dekheṅ āp kā beṭā yih hai.” 27 Aur us shāgird se us ne kahā, “Dekh, terī māṅ yih hai.” Us waqt se us shāgird ne Īsā kī māṅ ko apne ghar rakhā. 28 Is ke bād jab Īsā ne jān liyā ki merā mishan takmīl tak pahuṅch chukā hai to us ne kahā, “Mujhe pyās lagī hai.” (Is se bhī kalām-e-muqaddas kī ek peshgoī pūrī huī.) 29 Qarīb mai ke sirke se bharā bartan paṛā thā. Unhoṅ ne ek ispanj sirke meṅ ḍubo kar use zūfe kī shāḳh par lagā diyā aur uṭhā kar Īsā ke muṅh tak pahuṅchāyā. 30 Yih sirkā pīne ke bād Īsā bol uṭhā, “Kām mukammal ho gayā hai.” Aur sar jhukā kar us ne apnī jān Allāh ke sapurd kar dī. 31 Fasah kī taiyārī kā din thā aur agle din īd kā āġhāz aur ek ḳhās Sabat thā. Is lie Yahūdī nahīṅ chāhte the ki maslūb huī lāsheṅ agle din tak salīboṅ par laṭkī raheṅ. Chunāṅche unhoṅ ne Pīlātus se guzārish kī ki wuh un kī ṭāṅgeṅ tuṛwā kar unheṅ salīboṅ se utārne de. 32 Tab faujiyoṅ ne ā kar Īsā ke sāth maslūb kie jāne wāle ādmiyoṅ kī ṭāṅgeṅ toṛ dīṅ, pahle ek kī phir dūsre kī. 33 Jab wuh Īsā ke pās āe to unhoṅ ne dekhā ki wuh faut ho chukā hai, is lie unhoṅ ne us kī ṭāṅgeṅ na toṛīṅ. 34 Is ke bajāe ek ne neze se Īsā kā pahlū chhed diyā. Zaḳhm se fauran ḳhūn aur pānī bah niklā. 35 (Jis ne yih dekhā hai us ne gawāhī dī hai aur us kī gawāhī sachchī hai. Wuh jāntā hai ki wuh haqīqat bayān kar rahā hai aur us kī gawāhī kā maqsad yih hai ki āp bhī īmān lāeṅ.) 36 Yih yoṅ huā tāki kalām-e-muqaddas kī yih peshgoī pūrī ho jāe, “Us kī ek haḍḍī bhī toṛī nahīṅ jāegī.” 37 Kalām-e-muqaddas meṅ yih bhī likhā hai, “Wuh us par nazar ḍāleṅge jise unhoṅ ne chhedā hai.” 38 Bād meṅ Arimatiyāh ke rahne wāle Yūsuf ne Pīlātus se Īsā kī lāsh utārne kī ijāzat māṅgī. (Yūsuf Īsā kā ḳhufiyā shāgird thā, kyoṅki wuh Yahūdiyoṅ se ḍartā thā.) Is kī ijāzat milne par wuh āyā aur lāsh ko utār liyā. 39 Nīkudemus bhī sāth thā, wuh ādmī jo guzare dinoṅ meṅ rāt ke waqt Īsā se milne āyā thā. Nīkudemus apne sāth mur aur ūd kī taqrīban 34 kilogrām ḳhushbū le kar āyā thā. 40 Yahūdī janāze kī rusūmāt ke mutābiq unhoṅ ne lāsh par ḳhushbū lagā kar use paṭṭiyoṅ se lapeṭ diyā. 41 Salīboṅ ke qarīb ek bāġh thā aur bāġh meṅ ek naī qabr thī jo ab tak istemāl nahīṅ kī gaī thī. 42 Us ke qarīb hone ke sabab se unhoṅ ne Īsā ko us meṅ rakh diyā, kyoṅki Fasah kī taiyārī kā din thā aur agle din īd kā āġhāz thā.

In Other Versions

John 19 in the ANGEFD

John 19 in the ANTPNG2D

John 19 in the AS21

John 19 in the BAGH

John 19 in the BBPNG

John 19 in the BBT1E

John 19 in the BDS

John 19 in the BEV

John 19 in the BHAD

John 19 in the BIB

John 19 in the BLPT

John 19 in the BNT

John 19 in the BNTABOOT

John 19 in the BNTLV

John 19 in the BOATCB

John 19 in the BOATCB2

John 19 in the BOBCV

John 19 in the BOCNT

John 19 in the BOECS

John 19 in the BOGWICC

John 19 in the BOHCB

John 19 in the BOHCV

John 19 in the BOHLNT

John 19 in the BOHNTLTAL

John 19 in the BOICB

John 19 in the BOILNTAP

John 19 in the BOITCV

John 19 in the BOKCV

John 19 in the BOKCV2

John 19 in the BOKHWOG

John 19 in the BOKSSV

John 19 in the BOLCB

John 19 in the BOLCB2

John 19 in the BOMCV

John 19 in the BONAV

John 19 in the BONCB

John 19 in the BONLT

John 19 in the BONUT2

John 19 in the BOPLNT

John 19 in the BOSCB

John 19 in the BOSNC

John 19 in the BOTLNT

John 19 in the BOVCB

John 19 in the BOYCB

John 19 in the BPBB

John 19 in the BPH

John 19 in the BSB

John 19 in the CCB

John 19 in the CUV

John 19 in the CUVS

John 19 in the DBT

John 19 in the DGDNT

John 19 in the DHNT

John 19 in the DNT

John 19 in the ELBE

John 19 in the EMTV

John 19 in the ESV

John 19 in the FBV

John 19 in the FEB

John 19 in the GGMNT

John 19 in the GNT

John 19 in the HARY

John 19 in the HNT

John 19 in the IRVA

John 19 in the IRVB

John 19 in the IRVG

John 19 in the IRVH

John 19 in the IRVK

John 19 in the IRVM

John 19 in the IRVM2

John 19 in the IRVO

John 19 in the IRVP

John 19 in the IRVT

John 19 in the IRVT2

John 19 in the IRVU

John 19 in the ISVN

John 19 in the JSNT

John 19 in the KAPI

John 19 in the KBT1ETNIK

John 19 in the KBV

John 19 in the KJV

John 19 in the KNFD

John 19 in the LBA

John 19 in the LBLA

John 19 in the LNT

John 19 in the LSV

John 19 in the MAAL

John 19 in the MBV

John 19 in the MBV2

John 19 in the MHNT

John 19 in the MKNFD

John 19 in the MNG

John 19 in the MNT

John 19 in the MNT2

John 19 in the MRS1T

John 19 in the NAA

John 19 in the NASB

John 19 in the NBLA

John 19 in the NBS

John 19 in the NBVTP

John 19 in the NET2

John 19 in the NIV11

John 19 in the NNT

John 19 in the NNT2

John 19 in the NNT3

John 19 in the PDDPT

John 19 in the PFNT

John 19 in the RMNT

John 19 in the SBIAS

John 19 in the SBIBS

John 19 in the SBIBS2

John 19 in the SBICS

John 19 in the SBIDS

John 19 in the SBIGS

John 19 in the SBIHS

John 19 in the SBIIS

John 19 in the SBIIS2

John 19 in the SBIIS3

John 19 in the SBIKS

John 19 in the SBIKS2

John 19 in the SBIMS

John 19 in the SBIOS

John 19 in the SBIPS

John 19 in the SBISS

John 19 in the SBITS

John 19 in the SBITS2

John 19 in the SBITS3

John 19 in the SBITS4

John 19 in the SBIUS

John 19 in the SBIVS

John 19 in the SBT

John 19 in the SBT1E

John 19 in the SCHL

John 19 in the SNT

John 19 in the SUSU

John 19 in the SUSU2

John 19 in the SYNO

John 19 in the TBIAOTANT

John 19 in the TBT1E

John 19 in the TBT1E2

John 19 in the TFTIP

John 19 in the TFTU

John 19 in the TGNTATF3T

John 19 in the THAI

John 19 in the TNFD

John 19 in the TNT

John 19 in the TNTIK

John 19 in the TNTIL

John 19 in the TNTIN

John 19 in the TNTIP

John 19 in the TNTIZ

John 19 in the TOMA

John 19 in the TTENT

John 19 in the UBG

John 19 in the UGV

John 19 in the UGV2

John 19 in the VBL

John 19 in the VDCC

John 19 in the YALU

John 19 in the YAPE

John 19 in the YBVTP

John 19 in the ZBP