Lamentations 4 (UGV3)
1 Hāy, sone kī āb-o-tāb na rahī, ḳhālis sonā bhī māṅd paṛ gayā hai. Maqdis ke jawāhar tamām galiyoṅ meṅ bikhre paṛe haiṅ. 2 Pahle to Siyyūn ke girāṅqadar farzand ḳhālis sone jaise qīmtī the, lekin ab wuh goyā miṭṭī ke bartan samjhe jāte haiṅ jo ām kumhār ne banāe haiṅ. 3 Go gīdaṛ bhī apne bachchoṅ ko dūdh pilāte haiṅ, lekin merī qaum registān meṅ rahne wāle uqābī ullū jaisī zālim ho gaī hai. 4 Shīrḳhār bachche kī zabān pyās ke māre tālū se chipak gaī hai. Chhoṭe bachche bhūk ke māre roṭī māṅgte haiṅ, lekin khilāne wālā koī nahīṅ hai. 5 Jo pahle lazīz khānā khāte the wuh ab galiyoṅ meṅ tabāh ho rahe haiṅ. Jo pahle arġhawānī rang ke shāndār kapṛe pahante the wuh ab kūṛe-karkaṭ meṅ loṭ-poṭ ho rahe haiṅ. 6 Merī qaum se Sadūm kī nisbat kahīṅ zyādā sangīn gunāh sarzad huā hai. Aur Sadūm kā qusūr itnā sangīn thā ki wuh ek hī lamhe meṅ tabāh huā. Kisī ne bhī mudāḳhalat na kī. 7 Siyyūn ke ra'īs kitne shāndār the! Jild barf jaisī nikhrī, dūdh jaisī safed thī. Ruḳhsār mūṅge kī tarah gulābī, shakl-o-sūrat sang-e-lājaward jaisī chamakdār thī. 8 Lekin ab wuh koele jaise kāle nazar āte haiṅ. Jab galiyoṅ meṅ ghūmte haiṅ to unheṅ pahchānā nahīṅ jātā. Un kī haḍḍiyoṅ par kī jild sukaṛ kar lakaṛī kī tarah sūkhī huī hai. 9 Jo talwār se halāk hue un kā hāl un se behtar thā jo bhūke mar gae. Kyoṅki khetoṅ se ḳhurāk na milne par wuh ghul ghul kar mar gae. 10 Jab merī qaum tabāh huī to itnā saḳht kāl paṛ gayā ki narmdil māoṅ ne bhī apne bachchoṅ ko pakā kar khā liyā. 11 Rab ne apnā pūrā ġhazab Siyyūn par nāzil kiyā, use apne shadīd qahr kā nishānā banāyā. Us ne Yarūshalam meṅ itnī zabardast āg lagāī ki wuh buniyādoṅ tak bhasm ho gayā. 12 Ab dushman Yarūshalam ke darwāzoṅ meṅ dāḳhil hue haiṅ, hālāṅki duniyā ke tamām bādshāh balki sab log samajhte the ki yih mumkin hī nahīṅ. 13 Lekin yih sab kuchh us ke nabiyoṅ aur imāmoṅ ke sabab se huā jinhoṅ ne shahr hī meṅ rāstbāzoṅ kī ḳhūṅrezī kī. 14 Ab yihī log andhoṅ kī tarah galiyoṅ meṅ ṭaṭol ṭaṭol kar phirte haiṅ. Wuh ḳhūn se itne ālūdā haiṅ ki sab log un ke kapṛoṅ se lagne se gurez karte haiṅ. 15 Unheṅ dekh kar log garajte haiṅ, “Haṭo, tum nāpāk ho! Bhāg jāo, dafā ho jāo, hameṅ hāth mat lagānā!” Phir jab wuh dīgar aqwām meṅ jā kar idhar-udhar phirne lagte haiṅ to wahāṅ ke log bhī kahte haiṅ ki yih mazīd yahāṅ na ṭhahreṅ. 16 Rab ne ḳhud unheṅ muntashir kar diyā, ab se wuh un kā ḳhayāl nahīṅ karegā. Ab na imāmoṅ kī izzat hotī hai, na buzurgoṅ par mehrbānī kī jātī hai. 17 Ham chāroṅ taraf āṅkh dauṛāte rahe, lekin befāydā, koī madad na milī. Deḳhte deḳhte hamārī nazar dhundlā gaī. Kyoṅki ham apne burjoṅ par khaṛe ek aisī qaum ke intazār meṅ rahe jo hamārī madad kar hī nahīṅ saktī thī. 18 Ham apne chaukoṅ meṅ jā na sake, kyoṅki wahāṅ dushman hamārī tāk meṅ baiṭhā thā. Hamārā ḳhātmā qarīb āyā, hamārā muqarrarā waqt iḳhtitāmpazīr huā, hamārā anjām ā pahuṅchā. 19 Jis tarah āsmān par manḍlāne wālā uqāb ek dam shikār par jhapaṭ paṛtā hai usī tarah hamārā tāqqub karne wāle ham par ṭūṭ paṛe, aur wuh bhī kahīṅ zyādā tezī se. Wuh pahāṛoṅ par hamāre pīchhe pīchhe bhāge aur registān meṅ hamārī ghāt meṅ rahe. 20 Hamārā bādshāh bhī un ke gaṛhoṅ meṅ phaṅs gayā. Jo hamārī jān thā aur jise Rab ne masah karke chun liyā thā use bhī pakaṛ liyā gayā, go ham ne sochā thā ki us ke sāy meṅ bas kar aqwām ke darmiyān mahfūz raheṅge. 21 Ai Adom Beṭī, beshak shādiyānā bajā! Beshak Mulk-e-Ūz meṅ rah kar ḳhushī manā! Lekin ḳhabardār, Allāh ke ġhazab kā pyālā tujhe bhī pilāyā jāegā. Tab tū use pī pī kar mast ho jāegī aur nashe meṅ apne kapṛe utār kar barahnā phiregī. 22 Ai Siyyūn Beṭī, terī sazā kā waqt pūrā ho gayā hai. Ab se Rab tujhe qaidī banā kar jilāwatan nahīṅ karegā. Lekin ai Adom Beṭī, wuh tujhe tere qusūr kā pūrā ajr degā, wuh tere gunāhoṅ par se pardā uṭhā legā.
In Other Versions
Lamentations 4 in the ANGEFD
Lamentations 4 in the ANTPNG2D
Lamentations 4 in the AS21
Lamentations 4 in the BAGH
Lamentations 4 in the BBPNG
Lamentations 4 in the BBT1E
Lamentations 4 in the BDS
Lamentations 4 in the BEV
Lamentations 4 in the BHAD
Lamentations 4 in the BIB
Lamentations 4 in the BLPT
Lamentations 4 in the BNT
Lamentations 4 in the BNTABOOT
Lamentations 4 in the BNTLV
Lamentations 4 in the BOATCB
Lamentations 4 in the BOATCB2
Lamentations 4 in the BOBCV
Lamentations 4 in the BOCNT
Lamentations 4 in the BOECS
Lamentations 4 in the BOGWICC
Lamentations 4 in the BOHCB
Lamentations 4 in the BOHCV
Lamentations 4 in the BOHLNT
Lamentations 4 in the BOHNTLTAL
Lamentations 4 in the BOICB
Lamentations 4 in the BOILNTAP
Lamentations 4 in the BOITCV
Lamentations 4 in the BOKCV
Lamentations 4 in the BOKCV2
Lamentations 4 in the BOKHWOG
Lamentations 4 in the BOKSSV
Lamentations 4 in the BOLCB
Lamentations 4 in the BOLCB2
Lamentations 4 in the BOMCV
Lamentations 4 in the BONAV
Lamentations 4 in the BONCB
Lamentations 4 in the BONLT
Lamentations 4 in the BONUT2
Lamentations 4 in the BOPLNT
Lamentations 4 in the BOSCB
Lamentations 4 in the BOSNC
Lamentations 4 in the BOTLNT
Lamentations 4 in the BOVCB
Lamentations 4 in the BOYCB
Lamentations 4 in the BPBB
Lamentations 4 in the BPH
Lamentations 4 in the BSB
Lamentations 4 in the CCB
Lamentations 4 in the CUV
Lamentations 4 in the CUVS
Lamentations 4 in the DBT
Lamentations 4 in the DGDNT
Lamentations 4 in the DHNT
Lamentations 4 in the DNT
Lamentations 4 in the ELBE
Lamentations 4 in the EMTV
Lamentations 4 in the ESV
Lamentations 4 in the FBV
Lamentations 4 in the FEB
Lamentations 4 in the GGMNT
Lamentations 4 in the GNT
Lamentations 4 in the HARY
Lamentations 4 in the HNT
Lamentations 4 in the IRVA
Lamentations 4 in the IRVB
Lamentations 4 in the IRVG
Lamentations 4 in the IRVH
Lamentations 4 in the IRVK
Lamentations 4 in the IRVM
Lamentations 4 in the IRVM2
Lamentations 4 in the IRVO
Lamentations 4 in the IRVP
Lamentations 4 in the IRVT
Lamentations 4 in the IRVT2
Lamentations 4 in the IRVU
Lamentations 4 in the ISVN
Lamentations 4 in the JSNT
Lamentations 4 in the KAPI
Lamentations 4 in the KBT1ETNIK
Lamentations 4 in the KBV
Lamentations 4 in the KJV
Lamentations 4 in the KNFD
Lamentations 4 in the LBA
Lamentations 4 in the LBLA
Lamentations 4 in the LNT
Lamentations 4 in the LSV
Lamentations 4 in the MAAL
Lamentations 4 in the MBV
Lamentations 4 in the MBV2
Lamentations 4 in the MHNT
Lamentations 4 in the MKNFD
Lamentations 4 in the MNG
Lamentations 4 in the MNT
Lamentations 4 in the MNT2
Lamentations 4 in the MRS1T
Lamentations 4 in the NAA
Lamentations 4 in the NASB
Lamentations 4 in the NBLA
Lamentations 4 in the NBS
Lamentations 4 in the NBVTP
Lamentations 4 in the NET2
Lamentations 4 in the NIV11
Lamentations 4 in the NNT
Lamentations 4 in the NNT2
Lamentations 4 in the NNT3
Lamentations 4 in the PDDPT
Lamentations 4 in the PFNT
Lamentations 4 in the RMNT
Lamentations 4 in the SBIAS
Lamentations 4 in the SBIBS
Lamentations 4 in the SBIBS2
Lamentations 4 in the SBICS
Lamentations 4 in the SBIDS
Lamentations 4 in the SBIGS
Lamentations 4 in the SBIHS
Lamentations 4 in the SBIIS
Lamentations 4 in the SBIIS2
Lamentations 4 in the SBIIS3
Lamentations 4 in the SBIKS
Lamentations 4 in the SBIKS2
Lamentations 4 in the SBIMS
Lamentations 4 in the SBIOS
Lamentations 4 in the SBIPS
Lamentations 4 in the SBISS
Lamentations 4 in the SBITS
Lamentations 4 in the SBITS2
Lamentations 4 in the SBITS3
Lamentations 4 in the SBITS4
Lamentations 4 in the SBIUS
Lamentations 4 in the SBIVS
Lamentations 4 in the SBT
Lamentations 4 in the SBT1E
Lamentations 4 in the SCHL
Lamentations 4 in the SNT
Lamentations 4 in the SUSU
Lamentations 4 in the SUSU2
Lamentations 4 in the SYNO
Lamentations 4 in the TBIAOTANT
Lamentations 4 in the TBT1E
Lamentations 4 in the TBT1E2
Lamentations 4 in the TFTIP
Lamentations 4 in the TFTU
Lamentations 4 in the TGNTATF3T
Lamentations 4 in the THAI
Lamentations 4 in the TNFD
Lamentations 4 in the TNT
Lamentations 4 in the TNTIK
Lamentations 4 in the TNTIL
Lamentations 4 in the TNTIN
Lamentations 4 in the TNTIP
Lamentations 4 in the TNTIZ
Lamentations 4 in the TOMA
Lamentations 4 in the TTENT
Lamentations 4 in the UBG
Lamentations 4 in the UGV
Lamentations 4 in the UGV2
Lamentations 4 in the VBL
Lamentations 4 in the VDCC
Lamentations 4 in the YALU
Lamentations 4 in the YAPE
Lamentations 4 in the YBVTP
Lamentations 4 in the ZBP