Romans 7 (UGV3)

1 Bhāiyo, āp to sharīat se wāqif haiṅ. To kyā āp nahīṅ jānte ki sharīat us waqt tak insān par iḳhtiyār rakhtī hai jab tak wuh zindā hai? 2 Shādī kī misāl leṅ. Jab kisī aurat kī shādī hotī hai to sharīat us kā shauhar ke sāth bandhan us waqt tak qāym rakhtī hai jab tak shauhar zindā hai. Agar shauhar mar jāe to phir wuh is bandhan se āzād ho gaī. 3 Chunāṅche agar wuh apne ḳhāwind ke jīte-jī kisī aur mard kī bīwī ban jāe to use zinākār qarār diyā jātā hai. Lekin agar us kā shauhar mar jāe to wuh sharīat se āzād huī. Ab wuh kisī dūsre mard kī bīwī bane to zinākār nahīṅ ṭhahartī. 4 Mere bhāiyo, yih bāt āp par bhī sādiq ātī hai. Jab āp Masīh ke badan kā hissā ban gae to āp mar kar sharīat ke iḳhtiyār se āzād ho gae. Ab āp us ke sāth paiwast ho gae haiṅ jise murdoṅ meṅ se zindā kiyā gayā tāki ham Allāh kī ḳhidmat meṅ phal lāeṅ. 5 Kyoṅki jab ham apnī purānī fitrat ke taht zindagī guzārte the to sharīat hamārī gunāhālūdā raġhbatoṅ ko uksātī thī. Phir yihī raġhbateṅ hamāre āzā par asarandāz hotī thīṅ aur natīje meṅ ham aisā phal lāte the jis kā anjām maut hai. 6 Lekin ab ham mar kar sharīat ke bandhan se āzād ho gae haiṅ. Ab ham sharīat kī purānī zindagī ke taht ḳhidmat nahīṅ karte balki Rūhul-quds kī naī zindagī ke taht. 7 Kyā is kā matlab yih hai ki sharīat ḳhud gunāh hai? Hargiz nahīṅ! Bāt to yih hai ki agar sharīat mujh par mere gunāh zāhir na kartī to mujhe in kā kuchh patā na chaltā. Masalan agar sharīat na batātī, “Lālach na karnā” to mujhe darhaqīqat mālūm na hotā ki lālach kyā hai. 8 Lekin gunāh ne is hukm se fāydā uṭhā kar mujh meṅ har tarah kā lālach paidā kar diyā. Is ke baraks jahāṅ sharīat nahīṅ hotī wahāṅ gunāh murdā hai aur aisā kām nahīṅ kar pātā. 9 Ek waqt thā jab maiṅ sharīat ke baġhair zindagī guzārtā thā. Lekin jyoṅ hī hukm mere sāmne āyā to gunāh meṅ jān ā gaī 10 aur maiṅ mar gayā. Is tarah mālūm huā ki jis hukm kā maqsad merī zindagī ko qāym rakhnā thā wuhī merī maut kā bāis ban gayā. 11 Kyoṅki gunāh ne hukm se fāydā uṭhā kar mujhe bahkāyā aur hukm se hī mujhe mār ḍālā. 12 Lekin sharīat ḳhud muqaddas hai aur is ke ahkām muqaddas, rāst aur achchhe haiṅ. 13 Kyā is kā matlab yih hai ki jo achchhā hai wuhī mere lie maut kā bāis ban gayā? Hargiz nahīṅ! Gunāh hī ne yih kiyā. Is achchhī chīz ko istemāl karke us ne mere lie maut paidā kar dī tāki gunāh zāhir ho jāe. Yoṅ hukm ke zariye gunāh kī sanjīdagī had se zyādā baṛh jātī hai. 14 Ham jānte haiṅ ki sharīat ruhānī hai. Lekin merī fitrat insānī hai, mujhe gunāh kī ġhulāmī meṅ bechā gayā hai. 15 Darhaqīqat maiṅ nahīṅ samajhtā ki kyā kartā hūṅ. Kyoṅki maiṅ wuh kām nahīṅ kartā jo karnā chāhtā hūṅ balki wuh jis se mujhe nafrat hai. 16 Lekin agar maiṅ wuh kartā hūṅ jo nahīṅ karnā chāhtā to zāhir hai ki maiṅ muttafiq hūṅ ki sharīat achchhī hai. 17 Aur agar aisā hai to phir maiṅ yih kām ḳhud nahīṅ kar rahā balki gunāh jo mere andar sukūnat kartā hai. 18 Mujhe mālūm hai ki mere andar yānī merī purānī fitrat meṅ koī achchhī chīz nahīṅ bastī. Agarche mujh meṅ nek kām karne kā irādā to maujūd hai lekin maiṅ use amlī jāmā nahīṅ pahnā saktā. 19 Jo nek kām maiṅ karnā chāhtā hūṅ wuh nahīṅ kartā balki wuh burā kām kartā hūṅ jo karnā nahīṅ chāhtā. 20 Ab agar maiṅ wuh kām kartā hūṅ jo maiṅ nahīṅ karnā chāhtā to is kā matlab hai ki maiṅ ḳhud nahīṅ kar rahā balki wuh gunāh jo mere andar bastā hai. 21 Chunāṅche mujhe ek aur tarah kī sharīat kām kartī huī nazar ātī hai, aur wuh yih hai ki jab maiṅ nek kām karne kā irādā rakhtā hūṅ to burāī ā maujūd hotī hai. 22 Hāṅ, apne bātin meṅ to maiṅ ḳhushī se Allāh kī sharīat ko māntā hūṅ. 23 Lekin mujhe apne āzā meṅ ek aur tarah kī sharīat dikhāī detī hai, aisī sharīat jo merī samajh kī sharīat ke ḳhilāf laṛ kar mujhe gunāh kī sharīat kā qaidī banā detī hai, us sharīat kā jo mere āzā meṅ maujūd hai. 24 Hāy, merī hālat kitnī burī hai! Mujhe is badan se jis kā anjām maut hai kaun chhuṛāegā? 25 Ḳhudā kā shukr hai jo hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke wasīle se yih kām kartā hai.Ġharz yihī merī hālat hai, Masīh ke baġhair maiṅ Allāh kī sharīat kī ḳhidmat sirf apnī samajh se kar saktā hūṅ jabki merī purānī fitrat gunāh kī sharīat kī ġhulām rah kar usī kī ḳhidmat kartī hai.

In Other Versions

Romans 7 in the ANGEFD

Romans 7 in the ANTPNG2D

Romans 7 in the AS21

Romans 7 in the BAGH

Romans 7 in the BBPNG

Romans 7 in the BBT1E

Romans 7 in the BDS

Romans 7 in the BEV

Romans 7 in the BHAD

Romans 7 in the BIB

Romans 7 in the BLPT

Romans 7 in the BNT

Romans 7 in the BNTABOOT

Romans 7 in the BNTLV

Romans 7 in the BOATCB

Romans 7 in the BOATCB2

Romans 7 in the BOBCV

Romans 7 in the BOCNT

Romans 7 in the BOECS

Romans 7 in the BOGWICC

Romans 7 in the BOHCB

Romans 7 in the BOHCV

Romans 7 in the BOHLNT

Romans 7 in the BOHNTLTAL

Romans 7 in the BOICB

Romans 7 in the BOILNTAP

Romans 7 in the BOITCV

Romans 7 in the BOKCV

Romans 7 in the BOKCV2

Romans 7 in the BOKHWOG

Romans 7 in the BOKSSV

Romans 7 in the BOLCB

Romans 7 in the BOLCB2

Romans 7 in the BOMCV

Romans 7 in the BONAV

Romans 7 in the BONCB

Romans 7 in the BONLT

Romans 7 in the BONUT2

Romans 7 in the BOPLNT

Romans 7 in the BOSCB

Romans 7 in the BOSNC

Romans 7 in the BOTLNT

Romans 7 in the BOVCB

Romans 7 in the BOYCB

Romans 7 in the BPBB

Romans 7 in the BPH

Romans 7 in the BSB

Romans 7 in the CCB

Romans 7 in the CUV

Romans 7 in the CUVS

Romans 7 in the DBT

Romans 7 in the DGDNT

Romans 7 in the DHNT

Romans 7 in the DNT

Romans 7 in the ELBE

Romans 7 in the EMTV

Romans 7 in the ESV

Romans 7 in the FBV

Romans 7 in the FEB

Romans 7 in the GGMNT

Romans 7 in the GNT

Romans 7 in the HARY

Romans 7 in the HNT

Romans 7 in the IRVA

Romans 7 in the IRVB

Romans 7 in the IRVG

Romans 7 in the IRVH

Romans 7 in the IRVK

Romans 7 in the IRVM

Romans 7 in the IRVM2

Romans 7 in the IRVO

Romans 7 in the IRVP

Romans 7 in the IRVT

Romans 7 in the IRVT2

Romans 7 in the IRVU

Romans 7 in the ISVN

Romans 7 in the JSNT

Romans 7 in the KAPI

Romans 7 in the KBT1ETNIK

Romans 7 in the KBV

Romans 7 in the KJV

Romans 7 in the KNFD

Romans 7 in the LBA

Romans 7 in the LBLA

Romans 7 in the LNT

Romans 7 in the LSV

Romans 7 in the MAAL

Romans 7 in the MBV

Romans 7 in the MBV2

Romans 7 in the MHNT

Romans 7 in the MKNFD

Romans 7 in the MNG

Romans 7 in the MNT

Romans 7 in the MNT2

Romans 7 in the MRS1T

Romans 7 in the NAA

Romans 7 in the NASB

Romans 7 in the NBLA

Romans 7 in the NBS

Romans 7 in the NBVTP

Romans 7 in the NET2

Romans 7 in the NIV11

Romans 7 in the NNT

Romans 7 in the NNT2

Romans 7 in the NNT3

Romans 7 in the PDDPT

Romans 7 in the PFNT

Romans 7 in the RMNT

Romans 7 in the SBIAS

Romans 7 in the SBIBS

Romans 7 in the SBIBS2

Romans 7 in the SBICS

Romans 7 in the SBIDS

Romans 7 in the SBIGS

Romans 7 in the SBIHS

Romans 7 in the SBIIS

Romans 7 in the SBIIS2

Romans 7 in the SBIIS3

Romans 7 in the SBIKS

Romans 7 in the SBIKS2

Romans 7 in the SBIMS

Romans 7 in the SBIOS

Romans 7 in the SBIPS

Romans 7 in the SBISS

Romans 7 in the SBITS

Romans 7 in the SBITS2

Romans 7 in the SBITS3

Romans 7 in the SBITS4

Romans 7 in the SBIUS

Romans 7 in the SBIVS

Romans 7 in the SBT

Romans 7 in the SBT1E

Romans 7 in the SCHL

Romans 7 in the SNT

Romans 7 in the SUSU

Romans 7 in the SUSU2

Romans 7 in the SYNO

Romans 7 in the TBIAOTANT

Romans 7 in the TBT1E

Romans 7 in the TBT1E2

Romans 7 in the TFTIP

Romans 7 in the TFTU

Romans 7 in the TGNTATF3T

Romans 7 in the THAI

Romans 7 in the TNFD

Romans 7 in the TNT

Romans 7 in the TNTIK

Romans 7 in the TNTIL

Romans 7 in the TNTIN

Romans 7 in the TNTIP

Romans 7 in the TNTIZ

Romans 7 in the TOMA

Romans 7 in the TTENT

Romans 7 in the UBG

Romans 7 in the UGV

Romans 7 in the UGV2

Romans 7 in the VBL

Romans 7 in the VDCC

Romans 7 in the YALU

Romans 7 in the YAPE

Romans 7 in the YBVTP

Romans 7 in the ZBP