Acts 20 (UGV3)

1 Jab shahr meṅ afrā-tafrī ḳhatm huī to Paulus ne shāgirdoṅ ko bulā kar un kī hauslā-afzāī kī. Phir wuh unheṅ ḳhairbād kah kar Makiduniyā ke lie rawānā huā. 2 Wahāṅ pahuṅch kar us ne jagah bajagah jā kar bahut-sī bātoṅ se īmāndāroṅ kī hauslā-afzāī kī. Yoṅ chalte chalte wuh Yūnān pahuṅch gayā 3 jahāṅ wuh tīn māh tak ṭhahrā. Wuh Mulk-e-Shām ke lie jahāz par sawār hone wālā thā ki patā chalā ki Yahūdiyoṅ ne us ke ḳhilāf sāzish kī hai. Is par us ne Makiduniyā se ho kar wāpas jāne kā faislā kiyā. 4 Us ke kaī hamsafr the: Beriyā se Purus kā beṭā Sopatrus, Thissalunīke se Aristarḳhus aur Sikundus, Dirbe se Gayus, Tīmuthiyus aur sūbā Āsiyā se Tuḳhikus aur Trufimus. 5 Yih ādmī āge nikal kar Troās chale gae jahāṅ unhoṅ ne hamārā intazār kiyā. 6 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd ke bād ham Filippī ke qarīb jahāz par sawār hue aur pāṅch din ke bād un ke pās Troās pahuṅch gae. Wahāṅ ham sāt din rahe. 7 Itwār ko ham Ashā-e-Rabbānī manāne ke lie jamā hue. Paulus logoṅ se bāt karne lagā aur chūṅki wuh agle din rawānā hone wālā thā is lie wuh ādhī rāt tak boltā rahā. 8 Ūpar kī manzil meṅ jis kamre meṅ ham jamā the wahāṅ bahut-se charāġh jal rahe the. 9 Ek jawān khiṛkī kī dahlīz par baiṭhā thā. Us kā nām Yūtiḳhus thā. Jyoṅ jyoṅ Paulus kī bāteṅ lambī hotī jā rahī thīṅ us par nīnd ġhālib ātī jā rahī thī. Āḳhirkār wuh gahrī nīnd meṅ tīsrī manzil se zamīn par gir gayā. Jab logoṅ ne nīche pahuṅch kar use zamīn par se uṭhāyā to wuh jāṅ bahaq ho chukā thā. 10 Lekin Paulus utar kar us par jhuk gayā aur use apne bāzuoṅ meṅ le liyā. Us ne kahā, “Mat ghabrāeṅ, wuh zindā hai.” 11 Phir wuh wāpas ūpar ā gayā, Ashā-e-Rabbānī manāī aur khānā khāyā. Us ne apnī bāteṅ pau phaṭne tak jārī rakhīṅ, phir rawānā huā. 12 Aur unhoṅ ne jawān ko zindā hālat meṅ wahāṅ se le kar bahut tasallī pāī. 13 Ham āge nikal kar Assus ke lie jahāz par sawār hue. Ḳhud Paulus ne intazām karwāyā thā ki wuh paidal jā kar Assus meṅ hamāre jahāz par āegā. 14 Wahāṅ wuh ham se milā aur ham use jahāz par lā kar Matulene pahuṅche. 15 Agle din ham ḳhiyus ke jazīre se guzare. Us se agle din ham Sāmus ke jazīre ke qarīb āe. Is ke bād ke din ham Mīletus pahuṅch gae. 16 Paulus pahle se faislā kar chukā thā ki maiṅ Ifisus meṅ nahīṅ ṭhahrūṅga balki āge niklūṅgā, kyoṅki wuh jaldī meṅ thā. Wuh jahāṅ tak mumkin thā Pantikust kī Īd se pahle pahle Yarūshalam pahuṅchnā chāhtā thā. 17 Mīletus se Paulus ne Ifisus kī jamāt ke buzurgoṅ ko bulā liyā. 18 Jab wuh pahuṅche to us ne un se kahā, “Āp jānte haiṅ ki maiṅ sūbā Āsiyā meṅ pahlā qadam uṭhāne se le kar pūrā waqt āp ke sāth kis tarah rahā. 19 Maiṅ ne baṛī inkisārī se Ḳhudāwand kī ḳhidmat kī hai. Mujhe bahut āṅsū bahāne paṛe aur Yahūdiyoṅ kī sāzishoṅ se mujh par bahut āzmāisheṅ āīṅ. 20 Maiṅ ne āp ke fāyde kī koī bhī bāt āp se chhupāe na rakhī balki āp ko alāniyā aur ghar ghar jā kar tālīm detā rahā. 21 Maiṅ ne Yahūdiyoṅ ko Yūnāniyoṅ samet gawāhī dī ki unheṅ taubā karke Allāh kī taraf rujū karne aur hamāre Ḳhudāwand Īsā par īmān lāne kī zarūrat hai. 22 Aur ab maiṅ Rūhul-quds se bandhā huā Yarūshalam jā rahā hūṅ. Maiṅ nahīṅ jāntā ki mere sāth kyā kuchh hogā, 23 lekin itnā mujhe mālūm hai ki Rūhul-quds mujhe shahr bashahr is bāt se āgāh kar rahā hai ki mujhe qaid aur musībatoṅ kā sāmnā karnā paṛegā. 24 Ḳhair, maiṅ apnī zindagī ko kisī tarah bhī aham nahīṅ samajhtā. Aham bāt sirf yih hai ki maiṅ apnā wuh mishan aur zimmedārī pūrī karūṅ jo Ḳhudāwand Īsā ne mere sapurd kī hai. Aur wuh zimmedārī yih hai ki maiṅ logoṅ ko gawāhī de kar yih ḳhushḳhabrī sunāūṅ ki Allāh ne apne fazl se un ke lie kyā kuchh kiyā hai. 25 Aur ab maiṅ jāntā hūṅ ki āp sab jinheṅ maiṅ ne Allāh kī bādshāhī kā paiġhām sunā diyā hai mujhe is ke bād kabhī nahīṅ dekheṅge. 26 Is lie maiṅ āj hī āp ko batātā hūṅ ki agar āp meṅ se koī bhī halāk ho jāe to maiṅ bequsūr hūṅ, 27 kyoṅki maiṅ āp ko Allāh kī pūrī marzī batāne se na jhijkā. 28 Chunāṅche ḳhabardār rah kar apnā aur us pūre galle kā ḳhayāl rakhnā jis par Rūhul-quds ne āp ko muqarrar kiyā hai. Nigarānoṅ aur charwāhoṅ kī haisiyat se Allāh kī jamāt kī ḳhidmat kareṅ, us jamāt kī jise us ne apne hī Farzand ke ḳhūn se hāsil kiyā hai. 29 Mujhe mālūm hai ki mere jāne ke bād wahshī bheṛie āp meṅ ghus āeṅge jo galle ko nahīṅ chhoṛeṅge. 30 Āp ke darmiyān se bhī ādmī uṭh kar sachchāī ko toṛ-maroṛ kar bayān kareṅge tāki shāgirdoṅ ko apne pīchhe lagā leṅ. 31 Is lie jāgte raheṅ! Yih bāt zahan meṅ rakheṅ ki maiṅ tīn sāl ke daurān din rāt har ek ko samjhāne se bāz na āyā. Mere āṅsuoṅ ko yād rakheṅ jo maiṅ ne āp ke lie bahāe haiṅ. 32 Aur ab maiṅ āp ko Allāh aur us ke fazl ke kalām ke sapurd kartā hūṅ. Yihī kalām āp kī tāmīr karke āp ko wuh mīrās muhaiyā karne ke qābil hai jo Allāh tamām muqaddas kie gae logoṅ ko detā hai. 33 Maiṅ ne kisī ke bhī sone, chāṅdī yā kapṛoṅ kā lālach na kiyā. 34 Āp ḳhud jānte haiṅ ki maiṅ ne apne in hāthoṅ se kām karke na sirf apnī balki apne sāthiyoṅ kī zarūriyāt bhī pūrī kīṅ. 35 Apne har kām meṅ maiṅ āp ko dikhātā rahā ki lāzim hai ki ham is qism kī mehnat karke kamzoroṅ kī madad kareṅ. Kyoṅki hamāre sāmne Ḳhudāwand Īsā ke yih alfāz hone chāhieṅ ki denā lene se mubārak hai.” 36 Yih sab kuchh kah kar Paulus ne ghuṭne ṭek kar un sab ke sāth duā kī. 37 Sab ḳhūb roe aur us ko gale lagā lagā kar bose die. 38 Unheṅ ḳhāskar Paulus kī is bāt se taklīf huī ki ‘Āp is ke bād mujhe kabhī nahīṅ dekheṅge.’ Phir wuh us ke sāth jahāz tak gae.

In Other Versions

Acts 20 in the ANGEFD

Acts 20 in the ANTPNG2D

Acts 20 in the AS21

Acts 20 in the BAGH

Acts 20 in the BBPNG

Acts 20 in the BBT1E

Acts 20 in the BDS

Acts 20 in the BEV

Acts 20 in the BHAD

Acts 20 in the BIB

Acts 20 in the BLPT

Acts 20 in the BNT

Acts 20 in the BNTABOOT

Acts 20 in the BNTLV

Acts 20 in the BOATCB

Acts 20 in the BOATCB2

Acts 20 in the BOBCV

Acts 20 in the BOCNT

Acts 20 in the BOECS

Acts 20 in the BOGWICC

Acts 20 in the BOHCB

Acts 20 in the BOHCV

Acts 20 in the BOHLNT

Acts 20 in the BOHNTLTAL

Acts 20 in the BOICB

Acts 20 in the BOILNTAP

Acts 20 in the BOITCV

Acts 20 in the BOKCV

Acts 20 in the BOKCV2

Acts 20 in the BOKHWOG

Acts 20 in the BOKSSV

Acts 20 in the BOLCB

Acts 20 in the BOLCB2

Acts 20 in the BOMCV

Acts 20 in the BONAV

Acts 20 in the BONCB

Acts 20 in the BONLT

Acts 20 in the BONUT2

Acts 20 in the BOPLNT

Acts 20 in the BOSCB

Acts 20 in the BOSNC

Acts 20 in the BOTLNT

Acts 20 in the BOVCB

Acts 20 in the BOYCB

Acts 20 in the BPBB

Acts 20 in the BPH

Acts 20 in the BSB

Acts 20 in the CCB

Acts 20 in the CUV

Acts 20 in the CUVS

Acts 20 in the DBT

Acts 20 in the DGDNT

Acts 20 in the DHNT

Acts 20 in the DNT

Acts 20 in the ELBE

Acts 20 in the EMTV

Acts 20 in the ESV

Acts 20 in the FBV

Acts 20 in the FEB

Acts 20 in the GGMNT

Acts 20 in the GNT

Acts 20 in the HARY

Acts 20 in the HNT

Acts 20 in the IRVA

Acts 20 in the IRVB

Acts 20 in the IRVG

Acts 20 in the IRVH

Acts 20 in the IRVK

Acts 20 in the IRVM

Acts 20 in the IRVM2

Acts 20 in the IRVO

Acts 20 in the IRVP

Acts 20 in the IRVT

Acts 20 in the IRVT2

Acts 20 in the IRVU

Acts 20 in the ISVN

Acts 20 in the JSNT

Acts 20 in the KAPI

Acts 20 in the KBT1ETNIK

Acts 20 in the KBV

Acts 20 in the KJV

Acts 20 in the KNFD

Acts 20 in the LBA

Acts 20 in the LBLA

Acts 20 in the LNT

Acts 20 in the LSV

Acts 20 in the MAAL

Acts 20 in the MBV

Acts 20 in the MBV2

Acts 20 in the MHNT

Acts 20 in the MKNFD

Acts 20 in the MNG

Acts 20 in the MNT

Acts 20 in the MNT2

Acts 20 in the MRS1T

Acts 20 in the NAA

Acts 20 in the NASB

Acts 20 in the NBLA

Acts 20 in the NBS

Acts 20 in the NBVTP

Acts 20 in the NET2

Acts 20 in the NIV11

Acts 20 in the NNT

Acts 20 in the NNT2

Acts 20 in the NNT3

Acts 20 in the PDDPT

Acts 20 in the PFNT

Acts 20 in the RMNT

Acts 20 in the SBIAS

Acts 20 in the SBIBS

Acts 20 in the SBIBS2

Acts 20 in the SBICS

Acts 20 in the SBIDS

Acts 20 in the SBIGS

Acts 20 in the SBIHS

Acts 20 in the SBIIS

Acts 20 in the SBIIS2

Acts 20 in the SBIIS3

Acts 20 in the SBIKS

Acts 20 in the SBIKS2

Acts 20 in the SBIMS

Acts 20 in the SBIOS

Acts 20 in the SBIPS

Acts 20 in the SBISS

Acts 20 in the SBITS

Acts 20 in the SBITS2

Acts 20 in the SBITS3

Acts 20 in the SBITS4

Acts 20 in the SBIUS

Acts 20 in the SBIVS

Acts 20 in the SBT

Acts 20 in the SBT1E

Acts 20 in the SCHL

Acts 20 in the SNT

Acts 20 in the SUSU

Acts 20 in the SUSU2

Acts 20 in the SYNO

Acts 20 in the TBIAOTANT

Acts 20 in the TBT1E

Acts 20 in the TBT1E2

Acts 20 in the TFTIP

Acts 20 in the TFTU

Acts 20 in the TGNTATF3T

Acts 20 in the THAI

Acts 20 in the TNFD

Acts 20 in the TNT

Acts 20 in the TNTIK

Acts 20 in the TNTIL

Acts 20 in the TNTIN

Acts 20 in the TNTIP

Acts 20 in the TNTIZ

Acts 20 in the TOMA

Acts 20 in the TTENT

Acts 20 in the UBG

Acts 20 in the UGV

Acts 20 in the UGV2

Acts 20 in the VBL

Acts 20 in the VDCC

Acts 20 in the YALU

Acts 20 in the YAPE

Acts 20 in the YBVTP

Acts 20 in the ZBP