Acts 25 (UGV3)

1 Qaisariyā pahuṅchne ke tīn din bād Festus Yarūshalam chalā gayā. 2 Wahāṅ rāhnumā imāmoṅ aur bāqī Yahūdī rāhnumāoṅ ne us ke sāmne Paulus par apne ilzāmāt pesh kie. Unhoṅ ne baṛe zor se 3 minnat kī ki wuh un kī riāyat karke Paulus ko Yarūshalam muntaqil kare. Wajah yih thī ki wuh ghāt meṅ baiṭh kar rāste meṅ Paulus ko qatl karnā chāhte the. 4 Lekin Festus ne jawāb diyā, “Paulus ko Qaisariyā meṅ rakhā gayā hai aur maiṅ ḳhud wahāṅ jāne ko hūṅ. 5 Agar us se koī jurm sarzad huā hai to āp ke kuchh rāhnumā mere sāth wahāṅ jā kar us par ilzām lagāeṅ.” 6 Festus ne mazīd āṭh das din un ke sāth guzāre, phir Qaisariyā chalā gayā. Agle din wuh adālat karne ke lie baiṭhā aur Paulus ko lāne kā hukm diyā. 7 Jab Paulus pahuṅchā to Yarūshalam se āe hue Yahūdī us ke irdgird khaṛe hue aur us par kaī sanjīdā ilzāmāt lagāe, lekin wuh koī bhī bāt sābit na kar sake. 8 Paulus ne apnā difā karke kahā, “Mujh se na Yahūdī sharīat, na Baitul-muqaddas aur na shahanshāh ke ḳhilāf jurm sarzad huā hai.” 9 Lekin Festus Yahūdiyoṅ ke sāth riāyat baratnā chāhtā thā, is lie us ne pūchhā, “Kyā āp Yarūshalam jā kar wahāṅ kī adālat meṅ mere sāmne pesh kie jāne ke lie taiyār haiṅ?” 10 Paulus ne jawāb diyā, “Maiṅ shahanshāh kī Romī adālat meṅ khaṛā hūṅ aur lāzim hai ki yihīṅ merā faislā kiyā jāe. Āp bhī is se ḳhūb wāqif haiṅ ki maiṅ ne Yahūdiyoṅ se koī nāinsāfī nahīṅ kī. 11 Agar mujh se koī aisā kām sarzad huā ho jo sazā-e-maut ke lāyq ho to maiṅ marne se inkār nahīṅ karūṅga. Lekin agar bequsūr hūṅ to kisī ko bhī mujhe in ādmiyoṅ ke hawāle karne kā haq nahīṅ hai. Maiṅ shahanshāh se apīl kartā hūṅ!” 12 Yih sun kar Festus ne apnī kaunsal se mashwarā karke kahā, “Āp ne shahanshāh se apīl kī hai, is lie āp shahanshāh hī ke pās jāeṅge.” 13 Kuchh din guzar gae to Agrippā Bādshāh apnī bahan Birnīke ke sāth Festus se milne āyā. 14 Wuh kaī din wahāṅ ṭhahre rahe. Itne meṅ Festus ne Paulus ke muāmale par bādshāh ke sāth bāt kī. Us ne kahā, “Yahāṅ ek qaidī hai jise Feliks chhoṛ kar chalā gayā hai. 15 Jab maiṅ Yarūshalam gayā to rāhnumā imāmoṅ aur Yahūdī buzurgoṅ ne us par ilzāmāt lagā kar use mujrim qarār dene kā taqāzā kiyā. 16 Maiṅ ne unheṅ jawāb diyā, ‘Romī qānūn kisī ko adālat meṅ pesh kie baġhair mujrim qarār nahīṅ detā. Lāzim hai ki use pahle ilzām lagāne wāloṅ kā sāmnā karne kā mauqā diyā jāe tāki apnā difā kar sake.’ 17 Jab us par ilzām lagāne wāle yahāṅ pahuṅche to maiṅ ne tāḳhīr na kī. Maiṅ ne agle hī din adālat mun'aqid karke Paulus ko pesh karne kā hukm diyā. 18 Lekin jab us ke muḳhālif ilzām lagāne ke lie khaṛe hue to wuh aise jurm nahīṅ the jin kī tawaqqo maiṅ kar rahā thā. 19 Un kā us ke sāth koī aur jhagaṛā thā jo un ke apne mazhab aur ek murdā ādmī banām Īsā se tālluq rakhtā hai. Is Īsā ke bāre meṅ Paulus dāwā kartā hai ki wuh zindā hai. 20 Maiṅ uljhan meṅ paṛ gayā kyoṅki mujhe mālūm nahīṅ thā ki kis tarah is muāmale kā sahīh jāyzā lūṅ. Chunāṅche maiṅ ne pūchhā, ‘Kyā āp Yarūshalam jā kar wahāṅ adālat meṅ pesh kie jāne ke lie taiyār haiṅ?’ 21 Lekin Paulus ne apīl kī, ‘Shahanshāh hī merā faislā kare.’ Phir maiṅ ne hukm diyā ki use us waqt tak qaid meṅ rakhā jāe jab tak use shahanshāh ke pās bhejne kā intazām na karwā sakūṅ.” 22 Agrippā ne Festus se kahā, “Maiṅ bhī us shaḳhs ko sunanā chāhtā hūṅ.”Us ne jawāb diyā, “Kal hī āp us ko sun leṅge.” 23 Agle din Agrippā aur Birnīke baṛī dhūmdhām ke sāth āe aur baṛe faujī afsaroṅ aur shahr ke nāmwar ādmiyoṅ ke sāth dīwān-e-ām meṅ dāḳhil hue. Festus ke hukm par Paulus ko andar lāyā gayā. 24 Festus ne kahā, “Agrippā Bādshāh aur tamām ḳhawātīn-o-hazarāt! Āp yahāṅ ek ādmī ko deḳhte haiṅ jis ke bāre meṅ tamām Yahūdī ḳhāh wuh Yarūshalam ke rahne wāle hoṅ, ḳhāh yahāṅ ke, shor machā kar sazā-e-maut kā taqāzā kar rahe haiṅ. 25 Merī dānist meṅ to is ne koī aisā kām nahīṅ kiyā jo sazā-e-maut ke lāyq ho. Lekin is ne shahanshāh se apīl kī hai, is lie maiṅ ne ise Rom bhejne kā faislā kiyā hai. 26 Lekin maiṅ shahanshāh ko kyā likh dūṅ? Kyoṅki is par koī sāf ilzām nahīṅ lagāyā gayā. Is lie maiṅ ise āp sab ke sāmne lāyā hūṅ, ḳhāskar Agrippā Bādshāh āp ke sāmne, tāki āp is kī taftīsh kareṅ aur maiṅ kuchh likh sakūṅ. 27 Kyoṅki mujhe betukī-sī bāt lag rahī hai ki ham ek qaidī ko Rom bhejeṅ jis par ab tak sāf ilzāmāt nahīṅ lagāe gae haiṅ.”

In Other Versions

Acts 25 in the ANGEFD

Acts 25 in the ANTPNG2D

Acts 25 in the AS21

Acts 25 in the BAGH

Acts 25 in the BBPNG

Acts 25 in the BBT1E

Acts 25 in the BDS

Acts 25 in the BEV

Acts 25 in the BHAD

Acts 25 in the BIB

Acts 25 in the BLPT

Acts 25 in the BNT

Acts 25 in the BNTABOOT

Acts 25 in the BNTLV

Acts 25 in the BOATCB

Acts 25 in the BOATCB2

Acts 25 in the BOBCV

Acts 25 in the BOCNT

Acts 25 in the BOECS

Acts 25 in the BOGWICC

Acts 25 in the BOHCB

Acts 25 in the BOHCV

Acts 25 in the BOHLNT

Acts 25 in the BOHNTLTAL

Acts 25 in the BOICB

Acts 25 in the BOILNTAP

Acts 25 in the BOITCV

Acts 25 in the BOKCV

Acts 25 in the BOKCV2

Acts 25 in the BOKHWOG

Acts 25 in the BOKSSV

Acts 25 in the BOLCB

Acts 25 in the BOLCB2

Acts 25 in the BOMCV

Acts 25 in the BONAV

Acts 25 in the BONCB

Acts 25 in the BONLT

Acts 25 in the BONUT2

Acts 25 in the BOPLNT

Acts 25 in the BOSCB

Acts 25 in the BOSNC

Acts 25 in the BOTLNT

Acts 25 in the BOVCB

Acts 25 in the BOYCB

Acts 25 in the BPBB

Acts 25 in the BPH

Acts 25 in the BSB

Acts 25 in the CCB

Acts 25 in the CUV

Acts 25 in the CUVS

Acts 25 in the DBT

Acts 25 in the DGDNT

Acts 25 in the DHNT

Acts 25 in the DNT

Acts 25 in the ELBE

Acts 25 in the EMTV

Acts 25 in the ESV

Acts 25 in the FBV

Acts 25 in the FEB

Acts 25 in the GGMNT

Acts 25 in the GNT

Acts 25 in the HARY

Acts 25 in the HNT

Acts 25 in the IRVA

Acts 25 in the IRVB

Acts 25 in the IRVG

Acts 25 in the IRVH

Acts 25 in the IRVK

Acts 25 in the IRVM

Acts 25 in the IRVM2

Acts 25 in the IRVO

Acts 25 in the IRVP

Acts 25 in the IRVT

Acts 25 in the IRVT2

Acts 25 in the IRVU

Acts 25 in the ISVN

Acts 25 in the JSNT

Acts 25 in the KAPI

Acts 25 in the KBT1ETNIK

Acts 25 in the KBV

Acts 25 in the KJV

Acts 25 in the KNFD

Acts 25 in the LBA

Acts 25 in the LBLA

Acts 25 in the LNT

Acts 25 in the LSV

Acts 25 in the MAAL

Acts 25 in the MBV

Acts 25 in the MBV2

Acts 25 in the MHNT

Acts 25 in the MKNFD

Acts 25 in the MNG

Acts 25 in the MNT

Acts 25 in the MNT2

Acts 25 in the MRS1T

Acts 25 in the NAA

Acts 25 in the NASB

Acts 25 in the NBLA

Acts 25 in the NBS

Acts 25 in the NBVTP

Acts 25 in the NET2

Acts 25 in the NIV11

Acts 25 in the NNT

Acts 25 in the NNT2

Acts 25 in the NNT3

Acts 25 in the PDDPT

Acts 25 in the PFNT

Acts 25 in the RMNT

Acts 25 in the SBIAS

Acts 25 in the SBIBS

Acts 25 in the SBIBS2

Acts 25 in the SBICS

Acts 25 in the SBIDS

Acts 25 in the SBIGS

Acts 25 in the SBIHS

Acts 25 in the SBIIS

Acts 25 in the SBIIS2

Acts 25 in the SBIIS3

Acts 25 in the SBIKS

Acts 25 in the SBIKS2

Acts 25 in the SBIMS

Acts 25 in the SBIOS

Acts 25 in the SBIPS

Acts 25 in the SBISS

Acts 25 in the SBITS

Acts 25 in the SBITS2

Acts 25 in the SBITS3

Acts 25 in the SBITS4

Acts 25 in the SBIUS

Acts 25 in the SBIVS

Acts 25 in the SBT

Acts 25 in the SBT1E

Acts 25 in the SCHL

Acts 25 in the SNT

Acts 25 in the SUSU

Acts 25 in the SUSU2

Acts 25 in the SYNO

Acts 25 in the TBIAOTANT

Acts 25 in the TBT1E

Acts 25 in the TBT1E2

Acts 25 in the TFTIP

Acts 25 in the TFTU

Acts 25 in the TGNTATF3T

Acts 25 in the THAI

Acts 25 in the TNFD

Acts 25 in the TNT

Acts 25 in the TNTIK

Acts 25 in the TNTIL

Acts 25 in the TNTIN

Acts 25 in the TNTIP

Acts 25 in the TNTIZ

Acts 25 in the TOMA

Acts 25 in the TTENT

Acts 25 in the UBG

Acts 25 in the UGV

Acts 25 in the UGV2

Acts 25 in the VBL

Acts 25 in the VDCC

Acts 25 in the YALU

Acts 25 in the YAPE

Acts 25 in the YBVTP

Acts 25 in the ZBP