Ephesians 5 (UGV3)
1 Chūṅki āp Allāh ke pyāre bachche haiṅ is lie us ke namūne par chaleṅ. 2 Muhabbat kī rūh meṅ zindagī yoṅ guzāreṅ jaise Masīh ne guzārī. Kyoṅki us ne ham se muhabbat rakh kar apne āp ko hamāre lie Allāh ke huzūr qurbān kar diyā aur yoṅ aisī qurbānī ban gayā jis kī ḳhushbū Allāh ko pasand āī. 3 Āp ke darmiyān zinākārī, har tarah kī nāpākī yā lālach kā zikr tak na ho, kyoṅki yih Allāh ke muqaddasīn ke lie munāsib nahīṅ hai. 4 Isī tarah sharmnāk, ahmaqānā yā gandī bāteṅ bhī ṭhīk nahīṅ. In kī jagah shukrguzārī honī chāhie. 5 Kyoṅki yaqīn jāneṅ ki zinākār, nāpāk yā lālchī Masīh aur Allāh kī bādshāhī meṅ mīrās nahīṅ pāeṅge. (Lālach to ek qism kī butparastī hai.) 6 Koī āp ko bemānī alfāz se dhokā na de. Aisī hī bātoṅ kī wajah se Allāh kā ġhazab un par jo nāfarmān haiṅ nāzil hotā hai. 7 Chunāṅche un meṅ sharīk na ho jāeṅ jo yih karte haiṅ. 8 Kyoṅki pahle āp tārīkī the, lekin ab āp Ḳhudāwand meṅ raushnī haiṅ. Raushnī ke farzand kī tarah zindagī guzāreṅ, 9 kyoṅki raushnī kā phal har tarah kī bhalāī, rāstbāzī aur sachchāī hai. 10 Aur mālūm karte raheṅ ki Ḳhudāwand ko kyā kuchh pasand hai. 11 Tārīkī ke bephal kāmoṅ meṅ hissā na leṅ balki unheṅ raushnī meṅ lāeṅ. 12 Kyoṅki jo kuchh yih log poshīdagī meṅ karte haiṅ us kā zikr karnā bhī sharm kī bāt hai. 13 Lekin sab kuchh beniqāb ho jātā hai jab use raushnī meṅ lāyā jātā hai. 14 Kyoṅki jo raushnī meṅ lāyā jātā hai wuh raushan ho jātā hai. Is lie kahā jātā hai,“Ai sone wāle, jāg uṭh.Murdoṅ meṅ se jī uṭh,to Masīh tujh par chamkegā.” 15 Chunāṅche baṛī ehtiyāt se is par dhyān deṅ ki āp zindagī kis tarah guzārte haiṅ—besamajh yā samajhdār logoṅ kī tarah. 16 Har mauqe se pūrā fāydā uṭhāeṅ, kyoṅki din bure haiṅ. 17 Is lie ahmaq na baneṅ balki Ḳhudāwand kī marzī ko samjheṅ. 18 Sharāb meṅ matwāle na ho jāeṅ, kyoṅki is kā anjām aiyāshī hai. Is ke bajāe Rūhul-quds se māmūr hote jāeṅ. 19 Zabūroṅ, hamd-o-sanā aur ruhānī gītoṅ se ek dūsre kī hauslā-afzāī kareṅ. Apne diloṅ meṅ Ḳhudāwand ke lie gīt gāeṅ aur naġhmāsarāī kareṅ. 20 Hāṅ, har waqt hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke nām meṅ har chīz ke lie shukr kareṅ. 21 Masīh ke ḳhauf meṅ ek dūsre ke tābe raheṅ. 22 Bīwiyo, jis tarah āp Ḳhudāwand ke tābe haiṅ usī tarah apne shauhar ke tābe bhī raheṅ. 23 Kyoṅki shauhar waise hī apnī bīwī kā sar hai jaise Masīh apnī jamāt kā. Hāṅ, jamāt Masīh kā badan hai jise us ne najāt dī hai. 24 Ab jis tarah jamāt Masīh ke tābe hai usī tarah bīwiyāṅ bhī apne shauharoṅ ke tābe raheṅ. 25 Shauharo, apnī bīwiyoṅ se muhabbat rakheṅ, bilkul usī tarah jis tarah Masīh ne apnī jamāt se muhabbat rakh kar apne āp ko us ke lie qurbān kiyā 26 tāki use Allāh ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare. Us ne use kalām-e-pāk se dho kar pāk-sāf kar diyā 27 tāki apne āp ko ek aisī jamāt pesh kare jo jalālī, muqaddas aur be'ilzām ho, jis meṅ na koī dāġh ho, na koī jhurrī, na kisī aur qism kā nuqs. 28 Shauharoṅ kā farz hai ki wuh apnī bīwiyoṅ se aisī hī muhabbat rakheṅ. Hāṅ, wuh un se waisī muhabbat rakheṅ jaisī apne jism se rakhte haiṅ. Kyoṅki jo apnī bīwī se muhabbat rakhtā hai wuh apne āp se hī muhabbat rakhtā hai. 29 Āḳhir koī bhī apne jism se nafrat nahīṅ kartā balki use ḳhurāk muhaiyā kartā aur pāltā hai. Masīh bhī apnī jamāt ke lie yihī kuchh kartā hai. 30 Kyoṅki ham us ke badan ke āzā haiṅ. 31 Kalām-e-muqaddas meṅ bhī likhā hai, “Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai. Wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.” 32 Yih rāz bahut gahrā hai. Maiṅ to us kā itlāq Masīh aur us kī jamāt par kartā hūṅ. 33 Lekin is kā itlāq āp par bhī hai. Har shauhar apnī bīwī se is tarah muhabbat rakhe jis tarah wuh apne āp se rakhtā hai. Aur har bīwī apne shauhar kī izzat kare.
In Other Versions
Ephesians 5 in the ANGEFD
Ephesians 5 in the ANTPNG2D
Ephesians 5 in the AS21
Ephesians 5 in the BAGH
Ephesians 5 in the BBPNG
Ephesians 5 in the BBT1E
Ephesians 5 in the BDS
Ephesians 5 in the BEV
Ephesians 5 in the BHAD
Ephesians 5 in the BIB
Ephesians 5 in the BLPT
Ephesians 5 in the BNT
Ephesians 5 in the BNTABOOT
Ephesians 5 in the BNTLV
Ephesians 5 in the BOATCB
Ephesians 5 in the BOATCB2
Ephesians 5 in the BOBCV
Ephesians 5 in the BOCNT
Ephesians 5 in the BOECS
Ephesians 5 in the BOGWICC
Ephesians 5 in the BOHCB
Ephesians 5 in the BOHCV
Ephesians 5 in the BOHLNT
Ephesians 5 in the BOHNTLTAL
Ephesians 5 in the BOICB
Ephesians 5 in the BOILNTAP
Ephesians 5 in the BOITCV
Ephesians 5 in the BOKCV
Ephesians 5 in the BOKCV2
Ephesians 5 in the BOKHWOG
Ephesians 5 in the BOKSSV
Ephesians 5 in the BOLCB
Ephesians 5 in the BOLCB2
Ephesians 5 in the BOMCV
Ephesians 5 in the BONAV
Ephesians 5 in the BONCB
Ephesians 5 in the BONLT
Ephesians 5 in the BONUT2
Ephesians 5 in the BOPLNT
Ephesians 5 in the BOSCB
Ephesians 5 in the BOSNC
Ephesians 5 in the BOTLNT
Ephesians 5 in the BOVCB
Ephesians 5 in the BOYCB
Ephesians 5 in the BPBB
Ephesians 5 in the BPH
Ephesians 5 in the BSB
Ephesians 5 in the CCB
Ephesians 5 in the CUV
Ephesians 5 in the CUVS
Ephesians 5 in the DBT
Ephesians 5 in the DGDNT
Ephesians 5 in the DHNT
Ephesians 5 in the DNT
Ephesians 5 in the ELBE
Ephesians 5 in the EMTV
Ephesians 5 in the ESV
Ephesians 5 in the FBV
Ephesians 5 in the FEB
Ephesians 5 in the GGMNT
Ephesians 5 in the GNT
Ephesians 5 in the HARY
Ephesians 5 in the HNT
Ephesians 5 in the IRVA
Ephesians 5 in the IRVB
Ephesians 5 in the IRVG
Ephesians 5 in the IRVH
Ephesians 5 in the IRVK
Ephesians 5 in the IRVM
Ephesians 5 in the IRVM2
Ephesians 5 in the IRVO
Ephesians 5 in the IRVP
Ephesians 5 in the IRVT
Ephesians 5 in the IRVT2
Ephesians 5 in the IRVU
Ephesians 5 in the ISVN
Ephesians 5 in the JSNT
Ephesians 5 in the KAPI
Ephesians 5 in the KBT1ETNIK
Ephesians 5 in the KBV
Ephesians 5 in the KJV
Ephesians 5 in the KNFD
Ephesians 5 in the LBA
Ephesians 5 in the LBLA
Ephesians 5 in the LNT
Ephesians 5 in the LSV
Ephesians 5 in the MAAL
Ephesians 5 in the MBV
Ephesians 5 in the MBV2
Ephesians 5 in the MHNT
Ephesians 5 in the MKNFD
Ephesians 5 in the MNG
Ephesians 5 in the MNT
Ephesians 5 in the MNT2
Ephesians 5 in the MRS1T
Ephesians 5 in the NAA
Ephesians 5 in the NASB
Ephesians 5 in the NBLA
Ephesians 5 in the NBS
Ephesians 5 in the NBVTP
Ephesians 5 in the NET2
Ephesians 5 in the NIV11
Ephesians 5 in the NNT
Ephesians 5 in the NNT2
Ephesians 5 in the NNT3
Ephesians 5 in the PDDPT
Ephesians 5 in the PFNT
Ephesians 5 in the RMNT
Ephesians 5 in the SBIAS
Ephesians 5 in the SBIBS
Ephesians 5 in the SBIBS2
Ephesians 5 in the SBICS
Ephesians 5 in the SBIDS
Ephesians 5 in the SBIGS
Ephesians 5 in the SBIHS
Ephesians 5 in the SBIIS
Ephesians 5 in the SBIIS2
Ephesians 5 in the SBIIS3
Ephesians 5 in the SBIKS
Ephesians 5 in the SBIKS2
Ephesians 5 in the SBIMS
Ephesians 5 in the SBIOS
Ephesians 5 in the SBIPS
Ephesians 5 in the SBISS
Ephesians 5 in the SBITS
Ephesians 5 in the SBITS2
Ephesians 5 in the SBITS3
Ephesians 5 in the SBITS4
Ephesians 5 in the SBIUS
Ephesians 5 in the SBIVS
Ephesians 5 in the SBT
Ephesians 5 in the SBT1E
Ephesians 5 in the SCHL
Ephesians 5 in the SNT
Ephesians 5 in the SUSU
Ephesians 5 in the SUSU2
Ephesians 5 in the SYNO
Ephesians 5 in the TBIAOTANT
Ephesians 5 in the TBT1E
Ephesians 5 in the TBT1E2
Ephesians 5 in the TFTIP
Ephesians 5 in the TFTU
Ephesians 5 in the TGNTATF3T
Ephesians 5 in the THAI
Ephesians 5 in the TNFD
Ephesians 5 in the TNT
Ephesians 5 in the TNTIK
Ephesians 5 in the TNTIL
Ephesians 5 in the TNTIN
Ephesians 5 in the TNTIP
Ephesians 5 in the TNTIZ
Ephesians 5 in the TOMA
Ephesians 5 in the TTENT
Ephesians 5 in the UBG
Ephesians 5 in the UGV
Ephesians 5 in the UGV2
Ephesians 5 in the VBL
Ephesians 5 in the VDCC
Ephesians 5 in the YALU
Ephesians 5 in the YAPE
Ephesians 5 in the YBVTP
Ephesians 5 in the ZBP