Isaiah 66 (UGV3)
1 Rab farmātā hai, “Āsmān merā taḳht hai aur zamīn mere pāṅwoṅ kī chaukī, to phir wuh ghar kahāṅ hai jo tum mere lie banāoge? Wuh jagah kahāṅ hai jahāṅ maiṅ ārām karūṅga?” 2 Rab farmātā hai, “Mere hāth ne yih sab kuchh banāyā, tab hī yih sab kuchh wujūd meṅ āyā. Aur maiṅ usī kā ḳhayāl rakhtā hūṅ jo musībatzadā aur shikastādil hai, jo mere kalām ke sāmne kāṅptā hai. 3 Lekin bail ko zabah karne wālā qātil ke barābar aur lele ko qurbān karne wālā kutte kī gardan toṛne wāle ke barābar hai. Ġhallā kī nazar pesh karne wālā suar kā ḳhūn chaṛhāne wāle se behtar nahīṅ, aur baḳhūr jalāne wālā butparast kī mānind hai. In logoṅ ne apnī ġhalat rāhoṅ ko iḳhtiyār kiyā hai, aur in kī jān apnī ghinaunī chīzoṅ se lutfandoz hotī hai. 4 Jawāb meṅ maiṅ bhī un se badsulūkī kī rāh iḳhtiyār karūṅga, maiṅ un par wuh kuchh nāzil karūṅga jis se wuh dahshat khāte haiṅ. Kyoṅki jab maiṅ ne unheṅ āwāz dī to kisī ne jawāb na diyā, jab maiṅ bolā to unhoṅ ne na sunā balki wuhī kuchh karte rahe jo mujhe burā lagā, wuhī karne par tule rahe jo mujhe nāpasand hai.” 5 Ai Rab ke kalām ke sāmne larazne wālo, us kā farmān suno! “Tumhāre apne bhāī tum se nafrat karte aur mere nām ke bāis tumheṅ radd karte haiṅ. Wuh mazāq uṛā kar kahte haiṅ, ‘Rab apne jalāl kā izhār kare tāki ham tumhārī ḳhushī kā mushāhadā kar sakeṅ.’ Lekin wuh sharmindā ho jāeṅge. 6 Suno! Shahr meṅ shor-o-ġhauġhā ho rahā hai. Suno! Rab ke ghar se halchal kī āwāz sunāī de rahī hai. Suno! Rab apne dushmanoṅ ko un kī munāsib sazā de rahā hai. 7 Dard-e-zah meṅ mubtalā hone se pahle hī Yarūshalam ne bachchā janm diyā, zachchagī kī īzā se pahle hī us ke beṭā paidā huā. 8 Kis ne kabhī aisī bāt sunī hai? Kis ne kabhī is qism kā muāmalā dekhā hai? Kyā koī mulk ek hī din ke andar andar paidā ho saktā hai? Kyā koī qaum ek hī lamhe meṅ janm le saktī hai? Lekin Siyyūn ke sāth aisā hī huā hai. Dard-e-zah abhī shurū hī honā thā ki us ke bachche paidā hue.” 9 Rab farmātā hai, “Kyā maiṅ bachche ko yahāṅ tak lāūṅ ki wuh māṅ ke peṭ se nikalne wālā ho aur phir use janm lene na dūṅ? Hargiz nahīṅ!” Terā Ḳhudā farmātā hai, “Kyā maiṅ jo bachche ko paidā hone detā hūṅ bachche ko rok dūṅ? Kabhī nahīṅ!” 10 “Ai Yarūshalam ko pyār karne wālo, sab us ke sāth ḳhushī manāo! Ai shahr par mātam karne wālo, sab us ke sāth shādiyānā bajāo! 11 Kyoṅki ab tum us kī tasallī dilāne wālī chhātī se jī bhar kar dūdh piyoge, tum us ke shāndār dūdh kī kasrat se lutfandoz hoge.” 12 Kyoṅki Rab farmātā hai, “Maiṅ Yarūshalam meṅ salāmatī kā dariyā bahne dūṅgā aur us par aqwām kī shān-o-shaukat kā sailāb āne dūṅgā. Tab wuh tumheṅ apnā dūdh pilā kar uṭhāe phiregī, tumheṅ god meṅ biṭhā kar pyār karegī. 13 Maiṅ tumheṅ māṅ kī-sī tasallī dūṅgā, aur tum Yarūshalam ko dekh kar tasallī pāoge. 14 In bātoṅ kā mushāhadā karke tumhārā dil ḳhush hogā aur tum tāzā hariyālī kī tarah phalo-phūloge.”Us waqt zāhir ho jāegā ki Rab kā hāth us ke ḳhādimoṅ ke sāth hai jabki us ke dushman us ke ġhazab kā nishānā baneṅge. 15 Rab āg kī sūrat meṅ ā rahā hai, āṅdhī jaise rathoṅ ke sāth nāzil ho rahā hai tāki dahakte koeloṅ se apnā ġhussā ṭhanḍā kare aur sholā'afshāṅ āg se malāmat kare. 16 Kyoṅki Rab āg aur apnī talwār ke zariye tamām insānoṅ kī adālat karke apne hāth se muta'addid logoṅ ko halāk karegā. 17 Rab farmātā hai, “Jo apne āp ko butoṅ ke bāġhoṅ ke lie maḳhsūs aur pāk-sāf karte haiṅ aur darmiyān ke rāhnumā kī pairawī karke suar, chūhe aur dīgar ghinaunī chīzeṅ khāte haiṅ wuh mil kar halāk ho jāeṅge. 18 Chunāṅche maiṅ jo un ke āmāl aur ḳhayālāt se wāqif hūṅ tamām aqwām aur alag alag zabāneṅ bolne wāloṅ ko jamā karne ke lie nāzil ho rahā hūṅ. Tab wuh ā kar mere jalāl kā mushāhadā kareṅge. 19 Maiṅ un ke darmiyān ilāhī nishān qāym karke bache huoṅ meṅ se kuchh dīgar aqwām ke pās bhej dūṅgā. Wuh Tarsīs, Libiyā, tīr chalāne kī māhir qaum Ludiyā, Tūbal, Yūnān aur un dūr-darāz jazīroṅ ke pās jāeṅge jinhoṅ ne na mere bāre meṅ sunā, na mere jalāl kā mushāhadā kiyā hai. In aqwām meṅ wuh mere jalāl kā elān kareṅge. 20 Phir wuh tamām aqwām meṅ rahne wāle tumhāre bhāiyoṅ ko ghoṛoṅ, rathoṅ, gāṛiyoṅ, ḳhachcharoṅ aur ūṅṭoṅ par sawār karke Yarūshalam le āeṅge. Yahāṅ mere muqaddas pahāṛ par wuh unheṅ ġhallā kī nazar ke taur par pesh kareṅge. Kyoṅki Rab farmātā hai ki jis tarah Isrāīlī apnī ġhallā kī nazareṅ pāk bartanoṅ meṅ rakh kar Rab ke ghar meṅ le āte haiṅ usī tarah wuh tumhāre Isrāīlī bhāiyoṅ ko yahāṅ pesh kareṅge. 21 Un meṅ se maiṅ bāz ko imām aur Lāwī kā ohdā dūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai. 22 Rab farmātā hai, “Jitne yaqīn ke sāth merā banāyā huā nayā āsmān aur naī zamīn mere sāmne qāym rahegā utne yaqīn ke sāth tumhārī nasl aur tumhārā nām abad tak qāym rahegā. 23 Us waqt tamām insān mere pās ā kar mujhe sijdā kareṅge. Har Nae Chāṅd aur har Sabat ko wuh bāqāydagī se āte raheṅge.” Yih Rab kā farmān hai. 24 “Tab wuh shahr se nikal kar un kī lāshoṅ par nazar ḍāleṅge jo mujh se sarkash hue the. Kyoṅki na unheṅ khāne wāle kīṛe kabhī mareṅge, na unheṅ jalāne wālī āg kabhī bujhegī. Tamām insān un se ghin khāeṅge.”