John 20 (UGV3)

1 Hafte kā din guzar gayā to Itwār ko Mariyam Magdalīnī subah-sawere qabr ke pās āī. Abhī andherā thā. Wahāṅ pahuṅch kar us ne dekhā ki qabr ke muṅh par kā patthar ek taraf haṭāyā gayā hai. 2 Mariyam dauṛ kar Shamāūn Patras aur Īsā ko pyāre shāgird ke pās āī. Us ne ittalā dī, “Wuh Ḳhudāwand ko qabr se le gae haiṅ, aur hameṅ mālūm nahīṅ ki unhoṅ ne use kahāṅ rakh diyā hai.” 3 Tab Patras dūsre shāgird samet qabr kī taraf chal paṛā. 4 Donoṅ dauṛ rahe the, lekin dūsrā shāgird zyādā tezraftār thā. Wuh pahle qabr par pahuṅch gayā. 5 Us ne jhuk kar andar jhāṅkā to kafan kī paṭṭiyāṅ wahāṅ paṛī nazar āīṅ. Lekin wuh andar na gayā. 6 Phir Shamāūn Patras us ke pīchhe pahuṅch kar qabr meṅ dāḳhil huā. Us ne bhī dekhā ki kafan kī paṭṭiyāṅ wahāṅ paṛī haiṅ 7 aur sāth wuh kapṛā bhī jis meṅ Īsā kā sar lipṭā huā thā. Yih kapṛā tah kiyā gayā thā aur paṭṭiyoṅ se alag paṛā thā. 8 Phir dūsrā shāgird jo pahle pahuṅch gayā thā, wuh bhī dāḳhil huā. Jab us ne yih dekhā to wuh īmān lāyā. 9 (Lekin ab bhī wuh kalām-e-muqaddas kī yih peshgoī nahīṅ samajhte the ki use murdoṅ meṅ se jī uṭhnā hai.) 10 Phir donoṅ shāgird ghar wāpas chale gae. 11 Lekin Mariyam ro ro kar qabr ke sāmne khaṛī rahī. Aur rote hue us ne jhuk kar qabr meṅ jhāṅkā 12 to kyā deḳhtī hai ki do farishte safed libās pahne hue wahāṅ baiṭhe haiṅ jahāṅ pahle Īsā kī lāsh paṛī thī, ek us ke sirhāne aur dūsrā wahāṅ jahāṅ pahle us ke pāṅw the. 13 Unhoṅ ne Mariyam se pūchhā, “Ai ḳhātūn, tū kyoṅ ro rahī hai?”Us ne kahā, “Wuh mere Ḳhudāwand ko le gae haiṅ, aur mālūm nahīṅ ki unhoṅ ne use kahāṅ rakh diyā hai.” 14 Phir us ne pīchhe muṛ kar Īsā ko wahāṅ khaṛe dekhā, lekin us ne use na pahchānā. 15 Īsā ne pūchhā, “Ai ḳhātūn, tū kyoṅ ro rahī hai, kis ko ḍhūnḍ rahī hai?”Yih soch kar ki wuh mālī hai us ne kahā, “Janāb, agar āp use le gae haiṅ to mujhe batā deṅ ki use kahāṅ rakh diyā hai tāki use le jāūṅ.” 16 Īsā ne us se kahā, “Mariyam!”Wuh us kī taraf muṛī aur bol uṭhī, “Rabbbūnī!” (Is kā matlab Arāmī zabān meṅ ustād hai.) 17 Īsā ne kahā, “Mere sāth chimṭī na rah, kyoṅki abhī maiṅ ūpar, Bāp ke pās nahīṅ gayā. Lekin bhāiyoṅ ke pās jā aur unheṅ batā, ‘Maiṅ apne Bāp aur tumhāre Bāp ke pās wāpas jā rahā hūṅ, apne Ḳhudā aur tumhāre Ḳhudā ke pās.’” 18 Chunāṅche Mariyam Magdalīnī shāgirdoṅ ke pās gaī aur unheṅ ittalā dī, “Maiṅ ne Ḳhudāwand ko dekhā hai aur us ne mujh se yih bāteṅ kahīṅ.” 19 Us Itwār kī shām ko shāgird jamā the. Unhoṅ ne darwāzoṅ par tāle lagā die the kyoṅki wuh Yahūdiyoṅ se ḍarte the. Achānak Īsā un ke darmiyān ā khaṛā huā aur kahā, “Tumhārī salāmatī ho,” 20 aur unheṅ apne hāthoṅ aur pahlū ko dikhāyā. Ḳhudāwand ko dekh kar wuh nihāyat ḳhush hue. 21 Īsā ne dubārā kahā, “Tumhārī salāmatī ho! Jis tarah Bāp ne mujhe bhejā usī tarah maiṅ tum ko bhej rahā hūṅ.” 22 Phir un par phūṅk kar us ne farmāyā, “Rūhul-quds ko pā lo. 23 Agar tum kisī ke gunāhoṅ ko muāf karo to wuh muāf kie jāeṅge. Aur agar tum unheṅ muāf na karo to wuh muāf nahīṅ kie jāeṅge.” 24 Bārah shāgirdoṅ meṅ se Tomā jis kā laqab Juṛwāṅ thā Īsā ke āne par maujūd na thā. 25 Chunāṅche dūsre shāgirdoṅ ne use batāyā, “Ham ne Ḳhudāwand ko dekhā hai!” Lekin Tomā ne kahā, “Mujhe yaqīn nahīṅ ātā. Pahle mujhe us ke hāthoṅ meṅ kīloṅ ke nishān nazar āeṅ aur maiṅ un meṅ apnī unglī ḍālūṅ, pahle maiṅ apne hāth ko us ke pahlū ke zaḳhm meṅ ḍālūṅ. Phir hī mujhe yaqīn āegā.” 26 Ek haftā guzar gayā. Shāgird dubārā makān meṅ jamā the. Is martabā Tomā bhī sāth thā. Agarche darwāzoṅ par tāle lage the phir bhī Īsā un ke darmiyān ā kar khaṛā huā. Us ne kahā, “Tumhārī salāmatī ho!” 27 Phir wuh Tomā se muḳhātib huā, “Apnī unglī ko mere hāthoṅ aur apne hāth ko mere pahlū ke zaḳhm meṅ ḍāl aur be'etaqād na ho balki īmān rakh.” 28 Tomā ne jawāb meṅ us se kahā, “Ai mere Ḳhudāwand! Ai mere Ḳhudā!” 29 Phir Īsā ne use batāyā, “Kyā tū is lie īmān lāyā hai ki tū ne mujhe dekhā hai? Mubārak haiṅ wuh jo mujhe dekhe baġhair mujh par īmān lāte haiṅ.” 30 Īsā ne apne shāgirdoṅ kī maujūdagī meṅ mazīd bahut-se aise ilāhī nishān dikhāe jo is kitāb meṅ darj nahīṅ haiṅ. 31 Lekin jitne darj haiṅ un kā maqsad yih hai ki āp īmān lāeṅ ki Īsā hī Masīh yānī Allāh kā Farzand hai aur āp ko is īmān ke wasīle se us ke nām se zindagī hāsil ho.

In Other Versions

John 20 in the ANGEFD

John 20 in the ANTPNG2D

John 20 in the AS21

John 20 in the BAGH

John 20 in the BBPNG

John 20 in the BBT1E

John 20 in the BDS

John 20 in the BEV

John 20 in the BHAD

John 20 in the BIB

John 20 in the BLPT

John 20 in the BNT

John 20 in the BNTABOOT

John 20 in the BNTLV

John 20 in the BOATCB

John 20 in the BOATCB2

John 20 in the BOBCV

John 20 in the BOCNT

John 20 in the BOECS

John 20 in the BOGWICC

John 20 in the BOHCB

John 20 in the BOHCV

John 20 in the BOHLNT

John 20 in the BOHNTLTAL

John 20 in the BOICB

John 20 in the BOILNTAP

John 20 in the BOITCV

John 20 in the BOKCV

John 20 in the BOKCV2

John 20 in the BOKHWOG

John 20 in the BOKSSV

John 20 in the BOLCB

John 20 in the BOLCB2

John 20 in the BOMCV

John 20 in the BONAV

John 20 in the BONCB

John 20 in the BONLT

John 20 in the BONUT2

John 20 in the BOPLNT

John 20 in the BOSCB

John 20 in the BOSNC

John 20 in the BOTLNT

John 20 in the BOVCB

John 20 in the BOYCB

John 20 in the BPBB

John 20 in the BPH

John 20 in the BSB

John 20 in the CCB

John 20 in the CUV

John 20 in the CUVS

John 20 in the DBT

John 20 in the DGDNT

John 20 in the DHNT

John 20 in the DNT

John 20 in the ELBE

John 20 in the EMTV

John 20 in the ESV

John 20 in the FBV

John 20 in the FEB

John 20 in the GGMNT

John 20 in the GNT

John 20 in the HARY

John 20 in the HNT

John 20 in the IRVA

John 20 in the IRVB

John 20 in the IRVG

John 20 in the IRVH

John 20 in the IRVK

John 20 in the IRVM

John 20 in the IRVM2

John 20 in the IRVO

John 20 in the IRVP

John 20 in the IRVT

John 20 in the IRVT2

John 20 in the IRVU

John 20 in the ISVN

John 20 in the JSNT

John 20 in the KAPI

John 20 in the KBT1ETNIK

John 20 in the KBV

John 20 in the KJV

John 20 in the KNFD

John 20 in the LBA

John 20 in the LBLA

John 20 in the LNT

John 20 in the LSV

John 20 in the MAAL

John 20 in the MBV

John 20 in the MBV2

John 20 in the MHNT

John 20 in the MKNFD

John 20 in the MNG

John 20 in the MNT

John 20 in the MNT2

John 20 in the MRS1T

John 20 in the NAA

John 20 in the NASB

John 20 in the NBLA

John 20 in the NBS

John 20 in the NBVTP

John 20 in the NET2

John 20 in the NIV11

John 20 in the NNT

John 20 in the NNT2

John 20 in the NNT3

John 20 in the PDDPT

John 20 in the PFNT

John 20 in the RMNT

John 20 in the SBIAS

John 20 in the SBIBS

John 20 in the SBIBS2

John 20 in the SBICS

John 20 in the SBIDS

John 20 in the SBIGS

John 20 in the SBIHS

John 20 in the SBIIS

John 20 in the SBIIS2

John 20 in the SBIIS3

John 20 in the SBIKS

John 20 in the SBIKS2

John 20 in the SBIMS

John 20 in the SBIOS

John 20 in the SBIPS

John 20 in the SBISS

John 20 in the SBITS

John 20 in the SBITS2

John 20 in the SBITS3

John 20 in the SBITS4

John 20 in the SBIUS

John 20 in the SBIVS

John 20 in the SBT

John 20 in the SBT1E

John 20 in the SCHL

John 20 in the SNT

John 20 in the SUSU

John 20 in the SUSU2

John 20 in the SYNO

John 20 in the TBIAOTANT

John 20 in the TBT1E

John 20 in the TBT1E2

John 20 in the TFTIP

John 20 in the TFTU

John 20 in the TGNTATF3T

John 20 in the THAI

John 20 in the TNFD

John 20 in the TNT

John 20 in the TNTIK

John 20 in the TNTIL

John 20 in the TNTIN

John 20 in the TNTIP

John 20 in the TNTIZ

John 20 in the TOMA

John 20 in the TTENT

John 20 in the UBG

John 20 in the UGV

John 20 in the UGV2

John 20 in the VBL

John 20 in the VDCC

John 20 in the YALU

John 20 in the YAPE

John 20 in the YBVTP

John 20 in the ZBP