Psalms 107 (UGV3)
1 Rab kā shukr karo, kyoṅki wuh bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai. 2 Rab ke najātyāftā jin ko us ne ewazānā de kar dushman ke qabze se chhuṛāyā hai sab yih kaheṅ. 3 Us ne unheṅ mashriq se maġhrib tak aur shimāl se junūb tak dīgar mamālik se ikaṭṭhā kiyā hai. 4 Bāz registān meṅ sahīh rāstā bhūl kar wīrān rāste par māre māre phire, aur kahīṅ bhī ābādī na milī. 5 Bhūk aur pyās ke māre un kī jān niḍhāl ho gaī. 6 Tab unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ un kī tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā. 7 Us ne unheṅ sahīh rāh par lā kar aisī ābādī tak pahuṅchāyā jahāṅ rah sakte the. 8 Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur apne mojize insān par zāhir kie haiṅ. 9 Kyoṅki wuh pyāsī jān ko āsūdā kartā aur bhūkī jān ko kasrat kī achchhī chīzoṅ se ser kartā hai. 10 Dūsre zanjīroṅ aur musībat meṅ jakaṛe hue andhere aur gahrī tārīkī meṅ baste the, 11 kyoṅki wuh Allāh ke farmānoṅ se sarkash hue the, unhoṅ ne Allāh T'ālā kā faislā haqīr jānā thā. 12 Is lie Allāh ne un ke dil ko taklīf meṅ mubtalā karke past kar diyā. Jab wuh ṭhokar khā kar gir gae aur madad karne wālā koī na rahā thā 13 to unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ un kī tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā. 14 Wuh unheṅ andhere aur gahrī tārīkī se nikāl lāyā aur un kī zanjīreṅ toṛ ḍālīṅ. 15 Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur apne mojize insān par zāhir kie haiṅ. 16 Kyoṅki us ne pītal ke darwāze toṛ ḍāle, lohe ke kunḍe ṭukṛe ṭukṛe kar die haiṅ. 17 Kuchh log ahmaq the, wuh apne sarkash chāl-chalan aur gunāhoṅ ke bāis pareshāniyoṅ meṅ mubtalā hue. 18 Unheṅ har ḳhurāk se ghin āne lagī, aur wuh maut ke darwāzoṅ ke qarīb pahuṅche. 19 Tab unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ un kī tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā. 20 Us ne apnā kalām bhej kar unheṅ shifā dī aur unheṅ maut ke gaṛhe se bachāyā. 21 Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur mojize insān par zāhir kie haiṅ. 22 Wuh shukrguzārī kī qurbāniyāṅ pesh kareṅ aur ḳhushī ke nāre lagā kar us ke kāmoṅ kā charchā kareṅ. 23 Bāz bahrī jahāz meṅ baiṭh gae aur tijārat ke silsile meṅ samundar par safr karte karte dūr-darāz ilāqoṅ tak pahuṅche. 24 Unhoṅ ne Rab ke azīm kām aur samundar kī gahrāiyoṅ meṅ us ke mojize dekhe haiṅ. 25 Kyoṅki Rab ne hukm diyā to āṅdhī chalī jo samundar kī maujeṅ bulandiyoṅ par lāī. 26 Wuh āsmān tak chaṛhīṅ aur gahrāiyoṅ tak utrīṅ. Pareshānī ke bāis mallāhoṅ kī himmat jawāb de gaī. 27 Wuh sharāb meṅ dhut ādmī kī tarah laṛkhaṛāte aur ḍagmagāte rahe. Un kī tamām hikmat nākām sābit huī. 28 Tab unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā. 29 Us ne samundar ko thamā diyā aur ḳhāmoshī phail gaī, lahreṅ sākit ho gaīṅ. 30 Musāfir pursukūn hālāt dekh kar ḳhush hue, aur Allāh ne unheṅ manzil-e-maqsūd tak pahuṅchāyā. 31 Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur apne mojize insān par zāhir kie haiṅ. 32 Wuh qaum kī jamāt meṅ us kī tāzīm kareṅ, buzurgoṅ kī majlis meṅ us kī hamd kareṅ. 33 Kaī jaghoṅ par wuh dariyāoṅ ko registān meṅ aur chashmoṅ ko pyāsī zamīn meṅ badal detā hai. 34 Bāshindoṅ kī burāī dekh kar wuh zarḳhez zamīn ko kallar ke bayābān meṅ badal detā hai. 35 Dūsrī jaghoṅ par wuh registān ko jhīl meṅ aur pyāsī zamīn ko chashmoṅ meṅ badal detā hai. 36 Wahāṅ wuh bhūkoṅ ko basā detā hai tāki ābādiyāṅ qāym kareṅ. 37 Tab wuh khet aur angūr ke bāġh lagāte haiṅ jo ḳhūb phal lāte haiṅ. 38 Allāh unheṅ barkat detā hai to un kī tādād bahut baṛh jātī hai. Wuh un ke rewaṛoṅ ko bhī kam hone nahīṅ detā. 39 Jab kabhī un kī tādād kam ho jātī aur wuh musībat aur dukh ke bojh tale ḳhāk meṅ dab jāte haiṅ 40 to wuh shurafā par apnī hiqārat unḍel detā aur unheṅ registān meṅ bhagā kar sahīh rāste se dūr phirne detā hai. 41 Lekin muhtāj ko wuh musībat kī daldal se nikāl kar sarfarāz kartā aur us ke ḳhāndānoṅ ko bheṛ-bakriyoṅ kī tarah baṛhā detā hai. 42 Sīdhī rāh par chalne wāle yih dekh kar ḳhush hoṅge, lekin be'insāf kā muṅh band kiyā jāegā. 43 Kaun dānishmand hai? Wuh is par dhyān de, wuh Rab kī mehrbāniyoṅ par ġhaur kare.